CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Literature (http://www.cssforum.com.pk/css-optional-subjects/group-v/urdu-literature/)
-   -   Faiz Ahmad Faiz (http://www.cssforum.com.pk/css-optional-subjects/group-v/urdu-literature/45914-faiz-ahmad-faiz.html)

Farrah Zafar Saturday, March 05, 2011 07:16 PM

Faiz Ahmad Faiz
 
[SIZE="3"][SIZE="4"]Faiz Ahmed Faiz...[/SIZE]

Faiz Ahmed Faiz was a renowned Pakistani poet, and one of the most famous poets of the Urdu language. He was a member of the Anjuman Tarraqi Pasand Mussanafin-e-Hind (All India Progressive Writers' Movement) and an avowed Marxist. In 1962, he was awarded the Lenin Peace Prize by the Soviet Union.

[B][U]Early life[/U][/B]

Faiz Ahmed Faiz was born in Kala Kader village, Sialkot in Punjab in British India to Sultan Mohammad Khan and his youngest wife Fatima.
Following the Muslim tradition in South Asia, at an early age Faiz was sent to the Masjid (Mosque) to be oriented to the basics of religious studies by Maulvi Muhammad Ibrahim Mir Sialkoti. He went on to the Scotch Mission School, Sialkot, for academic education and after matriculation joined Murray College, Sialkot-Pakistan for intermediate study and graduation. His most influential teachers were Professor Yousuf Saleem Chishti, who taught Urdu, and Shams-ul-Ullamah Syed Mir Hasan, who taught Arabic. Hasan had also taught the renowned philosopher, poet, and politician of South Asia, Allama Dr. Muhammad Iqbal. Faiz acquired a post-graduate degree from the Government College, Lahore-Pakistan, a Master of Arts in English Literature, and he also attended the Oriental College, Lahore-Pakistan, where he obtained another master's degree in Arabic Literature.

[B][U]Career[/U][/B]

Faiz started a branch of Progressive Writers' Movement in Punjab in 1936. Also he was a Member and Secretary of this branch. He was also an Editor of Mahanama (Monthly). Faiz became a lecturer in English at M. A. O. College, Amritsar in 1935 and then at Hailey College of Commerce, Lahore. He briefly joined the British Indian Army and was promoted to the rank of Lieut. Colonel in 1944. He resigned from the Army in 1947 and returned to Lahore to become the first editor in chief of the Pakistan Times, In 1959 he was appointed as Secretary, Pakistan Arts Council and worked in that capacity till 1962.

[B][U]Return to Pakistan[/U][/B]

Returning from London in 1964 he settled down in Karachi and was appointed as Principal at Abdullah Haroon College. Faiz distinguished himself as a journalist and was editor of the Pakistan Times, the Urdu newspaper Nasha Sharab Da and the weekly Lail-o-Nihar. In the 1965 war between India & Pakistan he worked in an honorary capacity in the Department of Information and during that period Faiz was very much close to the senior officers, like Syed Fakhruddin Balley. In exile he acted as Editor of the magazine Lotus in Moscow, London and Beirut.
Faiz wrote poems that opposed the bloodshed during separation of Bangladesh from Pakistan.

[B][U]Communism[/U][/B]

In a certain period of his life, Faiz was a communist and was associated with the Communist Party of Pakistan. He spent much of the 1950s and 1960s promoting the cause of communism in Pakistan. During the time when Faiz was editor of The Pakistan Times, one of the leading newspapers of 50s, he lent editorial support to CP. He was also involved in the circle lending support to military personnel (e.g. Major General Akbar Khan. This involvement with CP and Major General Akbar Khan's coup plan lead to his imprisonment later.

[B][U]Sufism[/U][/B]

Faiz was an avowed supporter of Sufism. He had close relations with several Sufi saints of his time. He was all time favourite of Baba Malang Sahib, a Sufi of Lahore , Ashfaq Ahmad, Syed Fakhruddin Balley, Wasif Ali Wasif and other renowned sufies. Once when he was asked how can he compares Sufis with socialist comrades, he replied, "They (Sufis) are the real comrades". He is also credited for coining the term Ana al-Haqq in political sense.

[B][U]Major Works[/U][/B]

Naqsh-e-Faryadi (1943)
Dast-e-Saba (1952)
Zindan-Nama (1956)
Dast-e-Tah-e-Sang (1965)

[B][U]Translations[/U][/B]

Faiz Ahmed Faiz's poetry has been translated into many languages, from English to Russian. A Balochi Poet, Mir Gul Khan Nasir, who was also a friend of Faiz Ahmed Faiz translated his book "Sar-e-Wadi-e-Seena" into Balochi with the title "Seenai Keechag aa". This work of Faiz was translated by Gul Khan while he (Gul Khan) was in jail during Bhutto's regime for opposing the government's policies. It was published in 1980, after Zia-ul-Haq toppled Bhutto's government and freed all the political prisoners of his (Bhutto's) regime.
Faiz Ahmed Faiz, himself, has also translated works of notable poets from other languages into Urdu. In his book "Sar-i Waadi-i Seena" there are some translations of the famous poet of Dagestan, Rasul Gamzatov. "Deewa", a Balochi poem of Mir Gul Khan Nasir was also translated into Urdu by Faiz.

[B][U]Personal life[/U][/B]

In the 1930s Faiz Ahmed Faiz married a British woman, Alys Faiz. They had two daughters Moneeza and Salima Hashmi. Salima is an eminent artist while Moneeza is a TV producer. Salima and Moneeza are married to brothers Shoaib Hashmi and Humair Hashmi who are noted media personalities.

[B][U]Awards[/U][/B]

Faiz was the first Asian poet to be awarded the Lenin Peace Prize, the Soviet Union's equivalent to the Nobel Prize in 1963. Other notable recipients include Pablo Neruda, Nelson Mandela, W. E. B. Du Bois, Bertolt Brecht, Fidel Castro and Nobel Prize winning Chemist Linus Pauling. He recorded for the Library of Congress in 1977 which has fifty two works by him.
Before his death in 1984 he was also nominated for the Nobel Prize..

[B][U]Rana Jibran[/U][/B]![/SIZE]

Farrah Zafar Saturday, March 05, 2011 07:43 PM

1 Attachment(s)
[SIZE="3"]Is nazm mein Faiz ne aazadi hasil kernay k kathen daur ka tazkara kia hai aur sath is ranj o alm ko b alfaaz ka jama pehnaya hai k ye aazadi mukammal aazadi nae,abi hamen kaii darya paar kerna hon gay tab ja k ham sahi maeno mein aazad kehlayen gay.Faiz naa'umeedi ka izhaar nae kertay balkay umeed ki kiran is nazm mein wazeh toar pe nazer aati hai..aik aur jaga Faiz kehtay hain;

[B]Dil naa'umeed tou nae,nakaam he tou hai,
lambi hai gham ki shaam mager shaam he tou hai[/B].!![/SIZE]

[attach]4264[/attach]

Farrah Zafar Saturday, March 05, 2011 07:53 PM

1 Attachment(s)
[SIZE="3"]Is nazm mein Faiz ne apni be'basi ka mazaq urraya hai.wo is baat pe zor daal rahay hain k zindagi mein wo he log kamyab hotay hain jo her kaam tawajjo se kertay hain,Faiz ki tarah adhooray kaam kernay walay hamesha naa'muraad he rehtay hain.is nazm ko youn bhi lia ja sakta hai k Faiz samjhtay hain k Ishq tab e mukammal hota hai jab isi ko he maqsad e hayaat bana lia jaye aur ye k Khaalis Ishq insaan ko kuch aur kernay k qaabil nae chorta.baqol Ghalib;

[B]Ishq ne Ghalib nakkama ker dia,
werna ham bhi aadmi thay kaam k..!![/B][/SIZE]

[ATTACH]4265[/ATTACH]

Farrah Zafar Saturday, March 05, 2011 08:01 PM

1 Attachment(s)
[SIZE="3"]Manzil he insaan ka maqsad e hayaat hota hai.yahan Faiz ne manzilon ki iqsaam pe roshni daali hai k ik fard ki zindagi in he manzilon k gird ghoomti hai.ye Manzilen he us mein agay barhnay ki lagan paida kerti hain.
kisi shayir ne kia khoob kaha hai;

[B]ay jazba e dil gar mein chahun her cheez muqabil aa jaye,
manzil k liye do gaam chalun aur samnay manzil aa jaye.[/B].[/SIZE]

[ATTACH]4266[/ATTACH]

Farrah Zafar Saturday, March 05, 2011 08:20 PM

1 Attachment(s)
[SIZE="3"][B][U]pehla sher:[/U][/B]Is shaer mein Faiz apnay mehboob se mukhatib hain.wo kehtay hain aisa kon sa lamha hai k jab mein tumhe yaad na karoon.meri gufatagu mein b tumhara he ziker hota hai.baqol Momin;
[B]
tum meray paas hotay ho goya,
jab koi doosra nae hota..[/B]

Doosray misray mein kehtay hain k so baar shuker adaa karun k ab ham mein doori nae rahi.faaslay simet gaye hain,judaai tal gayi hai.

[B][U]2nd shaer:[/U][/B]is shaer mein Faiz ne bht mash'hoor mazmoon baandha hai,mehboob ki gali ka ziker.wo poochtay hain k mehboob ko mutaasir kernay k lye kia ye b kafi nae k apnay dil aur jaan ka nazraana usay paish ker den?

[B][U]3rd shaer:[/U][/B]is shaer mein Faiz ki be'baaki aur dalairi ki umdaa misaal milti hai.kehtay hain k jaan tou sab detay hain mger jis shaan o shaukat se koi jaan deta hai,wo us ka turra e imtiaaz ban jata hai.Bismil Azeem abadi ne kia khoob kaha hai;

[B]sarfaroshi ki tamanna ab hamaray dil mein hai,
dekhna hai zor kitna bazoo e qaatil mein hai[/B]

[B][U]4th shaer:[/U][/B]Is shaer mein Faiz wafa k maidaan ka ziker kertay hain k yahan kisi ka naam o nasb nae chalta.

[B][U]5th shaer:[/U][/B]aakhri shaer mein Faiz kehtay hain Ishq kernay k liye jurrat darkaar hoti hai.Ishq ko baazi se tashbeeh di hai.kehtay hain k is baazi mein haar jeet ko nae dekha jata,bas be'khatar kood jana chahye.baqol Ghalib;

[B]ye ishq nahi aasan bas itna samjh lijiye,
ik aag ka darya hai aur doob k jana hai.[/B][/SIZE]

[ATTACH]4267[/ATTACH]

Farrah Zafar Saturday, March 05, 2011 08:59 PM

1 Attachment(s)
[SIZE="3"]Is nazm mein shaayir mehboob se apni wabastgi aur unsiyat ka izhaar kerta hai.shayir kehta hai k Jab maut usay is jahan e faani se utha le jaye gi tou usay ye ijazat de k wo phir se mehboob ka gham bantnay ja sakay.us k dard mein shareek ho sakay.aur ager wo ghamgeen na ho tou phir se adam ki jaanib laut jaye.[/SIZE]

[ATTACH]4268[/ATTACH]

sibgakhan Saturday, March 05, 2011 11:39 PM

[QUOTE=Farrah Zafar;274465][SIZE="3"][SIZE="4"]Faiz Ahmed Faiz...[/SIZE]

[B][U]Major Works[/U][/B]

Naqsh-e-Faryadi (1943)

[B][U]Rana Jibran[/U][/B]![/SIZE][/QUOTE]

Naqsh-e-Faryadi (1939).

Farrah Zafar Sunday, March 06, 2011 10:47 AM

[QUOTE=sibgakhan;274618]Naqsh-e-Faryadi (1939).[/QUOTE]
Sibgha see this;
[url=http://www.kirjasto.sci.fi/faiz.htm]Faiz Ahmed Faiz[/url].

Farrah Zafar Sunday, March 06, 2011 01:17 PM

Faiz tarraqi pasand tehreek k fa'aal kaarkun rahay.wo ishtarakiyat ka parchaar kertay thay.ye nazm unki socialism movement ka moun bolta saboot hai.

[url=http://www.youtube.com/watch?v=3Y8U73fSQDw&feature=related]YouTube - faiz ahmad faiz hum mehnat kash[/url]

This poem is an example of Faiz's revolutionary poetry.Faiz ko inqalabi shaa'ir kaha jata hai.

[url=http://www.youtube.com/watch?v=cRgoxqDUDT4&feature=related]YouTube - hum dekhen ge[/url]

Farrah Zafar Sunday, March 06, 2011 01:31 PM

[CENTER][SIZE="4"][B][U]Heart Attack[/U]

درد اتنا تھا کہ اس رات دلِ وحشی نے
ہر رگِ جاں سے الجھنا چاہا
ہر بُنِ مُو سے ٹپکنا چاہا
اور کہیں دور ترے صحن میں گویا
پتا پتا مرے افسردہ لہو میں دھل کر
حسنِ مہتاب سے آزردہ نظر آنے لگا
میرے ویرانہء تن میں گویا
سارے دُکھتے ہوئے ریشوں کی طنابیں کُھل کر
سلسلہ وار پتا دینے لگیں
رخصتِ فاصلہء شوق کی تّیاری کا
اور جب یاد کی بجھتی ہوئی شمعوں میں نظر آیا کہیں
ایک پل آخری لمحہ تری دلداری کا
درد اتنا تھا کہ اس سے بھی گزرنا چاہا
ہم نے چاہا بھی ، مگر دل نہ ٹھہرنا چاہا

[U]فیض احمد فیض[/U][/B][/SIZE][/CENTER]

[SIZE="3"]Is nazm mein Faiz ki infradiyat apnay arooj pe nazer aati hai.Dil k dauray ka talluq unho ne mehboob se apni jazbati wabastagi se jorr dia hai jis se is tibbi bemari mein shaaiyirana rang paida ho gaya hai.[/SIZE]


09:30 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.