Tail k Sodagar by Noon Meem Rashid(iran me ajnabi)
bukhara-o-smarqand ek khaal hindu k badlay
bja hai, bukhara smarqand baqi kahan hein
bukhara smarqand neendon me madhosh
ek neelgoon khamshi k huijabon me mastoor
ore rahruwon k liye unk dar bnd
soi hui mah jabeeno ki palkon ki manind
roosi HMA OO AST k taza banoon sy mafrooro
2 mah jabeenein...
bukhara-o-samarqand ko bhool jao
ab apnay darakhshnda shehron ki
tahraan-mash'had k saqaf dar-o-baam ki fikr kro
tum apnay naye daur hosh-o-amal k dil awaiz chashmon ko
apni naee aarzuon k in khubsurat kinayon ko
mehfooz kr lo!
un unchay darakhshnda shehron ki
kona faseelon ko mazboot kr lo
her ek burj-o-baam
pr apnay nigahbaan chrha do
gharon me hwa k siwa
sb sdaon ki shamein bujha do
k bahir faseelon k neechay
kai din sy rahzan hein khaima figan...
tail k burhy sodagron k libaday pehan kr
wo kal raat ya aaj ki raat ki teergi me
chalay aein gy bn k mehmaan
tumharay ghr mein
wo dawat ki shb jaam-o-meena lundhaein gy
nachein gy gaein gy
be'sakhta qehqahoon humhamon sy
wo garmaein gy khoon mehfil....
magar po phatay gi
tou palkon sy khodo gy apnay murdon ki qabrein
bisaat-ezyafat ki khakistar-e-sokhta k kinaray
bahaye hn hum ny bhi ansoo
go ab khal-o-khd ki arzish nahein hai
azaar-e-jahan
pr wo rista hua gehra nasoor afrang ki aaz khunkhwar sy bn chuka hai
bahaye hn hum ny b ansoo
hmari nugahon y dekhay hn
syaal saiyon ki manind khulty huye sheher
girty huye baam-o-dr
ore meena-o-gumbad
magar waqt ki mehraab hai
ore dushman ab uski khameeda kamar sy guzarta hua
usk nichly ufaq ki taraf lurhkta ja raha hai!
hmaray barhna-o-kaheeda jismon ny
wo qaid-o-bnd ore wo taziyanay sahay hn
k un sy hmara sitamgar
khud apanay alo me jalany lga hai
mery hath me hath dy do
mery hath me hath dy do
k dekhi hn mein ny
himala-o-alvand ki chotion
pr unki shuaein
unhein sy khuirsheed phooty ga aakhir
bukhara-o-samarqnad b sal'ha saal sy
jiski hasrat k daruwza gr hn.....