Raqeeb se
Aa, kay wabasta haiN uss husn ki yaadeiN tujhse
Jis ne is dil ko pari-khana bana rakha tha
Jis ki ulfat meiN bhula rakhi thi duniya humne
Deher ko deher ka afsana bana rakha tha
Aashna haiN tere qadmon se woh raaheN jin par
Us kii madhosh jawani ne inayat ki hai
KarwaaN guzre haiN jin se usi raanaai kay
Jis ki in aankhoN ne be-sood ibadat ki hai
Tujhse kheli haiN woh mehboob hawaaiN jin mein
Uss kay malboos ki afsurda mehak baaqi hai
Tujh pay bhi barsa hai us baam se mehtaab ka noor
Jis meiN beeti hui raatoN ki kasak baaqi hai
Tu nay dekhi haiN woh peshani woh rukhsaar woh honT
Zindagi jin kay tasavvur meiN luTa di humne
Tujh pay uTThi haiN woh khoii hui sahir aankheN
Tujhko maloom hai !! kiuN umr ganwadi humne ??
Hum pay mushtarkah haiN ehsaan gham-e-ulfat kay
Itnay ehsaan kay ginwaauN to ginwaa na sakuN
Hum nay iss ishq meiN kya khoya hai kya seekha hai
Juz teray aur ko samjhauN !! to samjha na sakuN
Aajizi seekhi, ghariboN ki himayat seekhi
Yaas o hirmaan kay dukh dard kay maani seekhay
Zeer dastoN kay masaaib ko samajhna seekha
Sard aahoN kay rukh e zard kay maani seekhay
Jab kahiN beTh kay rotay haiN woh bekas jin kay
aansoo aankhoN meiN bilaktay huey so jaate haiN
NatawaanoN kay niwaloN pay jhapaTtay haiN uqaab
Bazoo tolay hueY manDlaatay hue aate haiN
Jab kabhi bikta hai bazaar meiN mazdoor ka gosht
Shah rahoN pay ghareeboN ka luhoo behta hai
Aag si seenay meiN reh reh kay ubalti hai na pooch
Apnay dil par mujhe qaaboo hi nahiN rehta hai
__________________
You cannot hate a person when you know him
|