Chaand aur Insaan
Chand
Chaand ki zindagi aur kisi tanha insaan ki zindagi mai koi ziayda farq nahi ,balaky ye kaha jae k farq hai hi nahi bilkul tou bhi ghalat na hoga ,jis tarha chand k sath buhaat say sitaray hotay hain asmaan par ushi tarha hamaray sath(ek tanha insaan k sath) bhi dunya k log hotay hain ,jo kehnay ko aur dekhnay ko hamaray sath hi hain , jaisay k sitray kehnay aur dekhnay ko chaand k sath hi hain ,par ye hamara dil aur chaand hi janta hai k hum itnay logon (sitaroun) ki mehfil mai bhi kitnay tanha hain kyn k tanhai hazaroun ki mehfil jamnay say nahi apnay aap mai hi mukamaal honay say dour hoti hai , ishi liye tou chaudvien ka chand hum sab ko itna piyaara lagta hai kash insaan k sath bhi ye hi hota k koi ek aesa tareeqha muqaraar kar diya jata jis mai woh ek din k liyee hi sahi , par mukamaal ho jaata !
__________________
When you try, you risk failure. When you don’t try, you ensure it.
|