CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Humorous, Inspirational and General Stuff (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/humorous-inspirational-general-stuff/)
-   -   What do you say about your mom? (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/humorous-inspirational-general-stuff/23381-what-do-you-say-about-your-mom.html)

Astute Accountant Monday, October 05, 2009 09:10 AM

[B]Main Barson Se Jannat Ki Talash Main Nikla Hua Tha Faraz
Lekin Thank K Aaj Phir MAA K Qadmon Main Aa Gira...[/B]

ravaila Monday, October 05, 2009 03:19 PM

[B]achanak phir bachaaya hai kisi na deeda hasti nay
magar kesay hua ye mojza maloom krna hai
tumhain kuch yaad hai kal kb tujhay main yaad aaya tha
mujhy aay maa tera waqt.e.dua maloom krna hai[/B]

naeemsandhu Monday, October 05, 2009 03:51 PM

[B]Aik mudat se meri Maa nahi soyi Tabish
Main ne ik baar kaha tha [I]mujhe dar lagta hai[/I][/B]

Maha Khan Friday, October 09, 2009 09:41 AM

Maa
 
Aap( S.A.W) na frmaya
"kash meri MAA zinda hti aur main FARZ namaz parh rha hta,
meri Maa ki awaz ati "MUHAMMAD",
tou mein Farz nmaz torr k kehta
"G MAA".....
RESPECT UR MOTHERS...

Saqib Riaz Friday, October 09, 2009 09:59 AM

[SIZE="3"][COLOR="DeepSkyBlue"][COLOR="RoyalBlue"]Zindagani Ke Safar Me Gardishoon Ki Dhoop Me
Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa

Pyar Kehtai Hain Kisai Aur Mamta Kya Cheez Hai
Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa

Dair Ho Jati He Ghar Aanai Main Aksar Jab Hamain
Rait Per Machli Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa

Marte Dam Bacha Na Aapaye Agar Pardes Se
Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maa

Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak Ke Soo Jati Hai Maa
Tab Kaheen Ja Kar ‘Raza’ Thora Sukoon Pati Hai Maa

Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa
Nojawaan Hotay Huwe Boodhi Nazar Aati Hai Maa

Rooh Ke Rishtay Ki Yeah Gehrayean To Daikheye
Choot Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa

Ek ek hasrath ko apne azm wo istekhal se
Anso’oan se ghusl de ker khud hi dhafna thi hai maa

Oadthi hai hasrathoan ka khudtho bosida kafan
chahatoan ka payrahan bachoan ko pehnathi hai maa

Kab Zarurat Ho Meri Bachay Ko Itna Sooch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa

Bhuka rehne hi nahi dethi yateemon ko khabhi
Jane kiskis se kahan se mang kar lati hai maa

Haddiyoon Ka Ras Pila kar Apnay Dil Ke Chain Ko
Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa

Jane Kitne Barf Si Ratoon Me Aysa Bhi Hua
Bacha To Chaati Pe Hai Gelay Main Soo Jati hai Maa

Jab Khilone Ko Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool
Aansoon Ke Saaz Par Bachay Ko Behlati Hai Maa

Fiker Ke Shamshaan Me Aakhir Chitaoon Ki Terha
Jaisai Sookhi Lakdeyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa

Muflisi bache ki zid par jab uthaleti hai haath
Jaisai ho mujrim koi is tarha sharmati hai maa

Apnay Aanchal Se Gulabi Aansuoon Ko Poonch Kar
Dair Tak Gurbat Pe Apne Ashk Barsati Hai Maa

samne Bachoon Ke Khush Rahti Hai Har Ik Haal Main
Raat Ko Chup Chup Ke Laikin Ashk Bersati Hai Maa

Pehlay Bachoon Ko Khilati Hai Sukoon-o-Chain Se
Baad Mai Jo Kuch Bacha ho Shouk Se Khati Hai Maa

Mangti Hi Kuch Nahi Apnai Leye ALLAH Se
Apnai Bachoon Ke Leye Daman Ko Phailati Hai Maa

Jane Anjane me hojaye jo bachoan se khusoor
Ek anjaani sazaa ke dar se tharrathi hai maa

Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koie Rishta Na Ho
Ek Naye Ehsas Ki Suli Pe Chard Jati Hai Maa

Apne bachoan ki bahaar-e-zindagi ke waste
Ansooan ke phool har mausam me barsati hai maa

Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharaz
Be-Gharaz, Be-Lous, Har Khidmat Ko Kar Jati Hai Maa

Bazuwoon Me Khinch Ke Aajayegi Jaise Kayenat
Apnai Bachay Ke Leye Bahoon Ko Phailati Hai Maa

Zindagani Ke Safar Me Gardishoon Ki Dhoop Mai
Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa

Pyar Kehtai Hain Kise Aur Mamta Kya Cheez Hai
Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa

Safha-e-Hasti Pe Likhti Hai Usool-e-Zindagi
Is Liye Ek Maktab-e-Islam Kehlati Hai Maa

Us Nayi Duniya Ko Diye Masoom Rahber Is Leye
Azmatoon Me Sani-e-Quran Kehlati Hai Maa

Ghar Se Jab Pardes JaTa Hai Koie Noor-e-Nazar
Haath Main Qur’an Le Kar Dar Pe Aajati Hai Maa

De Ke Bachay Ko Zamanat Main Raza-e-Pak Ki
Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa

Kanpti Aawaz Sai Khaiti Hai “Baita alwida”
Samne Jab Tak Rahe Haatoon Ko Lehrati Hai Maa

Jab Parayshani Me Ghir Jate Hain Hum Pardes Me
Aansuwoon Ku Poanch Ne Khwaboon Main Aajati Hai Maa

Dair Ho Jati He Ghar Aane Main Aksar Jab Hamain
Rait Per Machli Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa

Marte Dam Bacha Na aapaya agar Pardes Se
Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maa

Baad Mar Janai Ke Phir Baite Ki Khidmat Ke Leye
Bhes Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa

Chahe hum khushyoun me maa ko bhool jayen doasto
Jab musibat sar pe aati hai tho yaad aati hai maa

Door Ho Jati Hai Sari Omr Ki Us Dum Thakan
Biyah Kar Betay Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa

Cheen lati hai wohi aksar sukoon-e-zindagi
Pyar se dhulhan bana kar jis ko ghar lati hai maa

Hamne ye bhi tho nahi soachan alaag hone ke baad
Jab diya hi khuch nahi ham ne tho kya khati hai maa

Zabt tho dakho ke itni berukhi ke baujood
Bad dua deti hai hargis aur na pashtati hai maa

Saal bhar me ya khabhi hafte me jumeraat ko
Zindagi bhar ka sila ek Fateha pati hai maa

Apne pehlu me lita kar roz thouthe ki tarha
Eik barah panch chouda ham ko ratwati hai maa

Umr bhar ghafil na hona matame Shabbir se
Raat din apne amal se hamko samjati hai maa

Yaad aata hai shab-e-ashoor ka kadyal jawan
Jab khabi uljhi huyi zulfon ko suljhati hai maa

Sab se pehle jaan dena Fatima ke lal par
Raat bhar Aun-o-Mohd ko ye samjhati hai maa

Fatima ke lal par qurban kar ne ke liye
Baandh kar sehra jawan bete ko leati hai maa

Allah Allah ithehade sabre Laila-o- Hussain
Baap ne khenchi sinah, sine ko sehlati hai maa

Ye bata sakti hai hum ko bus Rabab-e-Khastatan
Kis tarha bin doodh ke bache ko behlati hai maa

Shimr ke khanjar se ya sukhe gale se puchiye
“Maa” idhar mun se nikalta hai udhar aati hai maa

Aysa lagtha hai kisi maqtal se ab bhi waqte asr
Ek burida sar se “pyasa hoon” sada aati hai “maa”

Apne gam ko bhool kar rothe hain jo Shabbir ko
Un ke ashkoan ke liye Jannat se aajati hai maa

Shukriya ho hi nahi sakta khabhi us ka ada
Marte marte bhi dua jine ki de jati hai maa
[/COLOR][/COLOR][/SIZE][B][CENTER][/CENTER][/B]

Saqib Shah Friday, October 09, 2009 10:49 AM

[CENTER][IMG]http://www.guy-sports.com/fun_pictures/mothers_poem.jpg[/IMG][/CENTER]

marriam Friday, October 09, 2009 03:17 PM

Mother
 
Mother is the best thing in life ..the one you can confide in everything .

People are lucky who have their mothers alive.

I love my Mom.

Waseemtabish Monday, October 19, 2009 06:43 PM

Hundreds of dewdrops to greet the dawn,
Hundreds of bees in the purple clover,
Hundreds of butterflies on the lawn,
But only one mother the wide world over.


Wassim

Azhar Hussain Memon Monday, October 19, 2009 08:45 PM

Maa!
 
[B][I]Mom whose love never end.

Take care of mothers and your Well-wishers

Regards
Azhar Hussain Memon[/I][/B]

Hina 11(MISS Einstein) Wednesday, October 21, 2009 08:55 PM

[B]Mother is one of the precious gifts and blessings of ALLAH PAK, consider her worth and presence.

[/B] [B][COLOR=Magenta]"When you are a mother, you are never really alone in your thoughts. A mother always has to think twice, once for herself and once for her child."[/COLOR] ~Sophia Loren, Women and Beauty[/B]

[B][COLOR=Magenta]"A mother is one to whom you hurry when you are troubled."[/COLOR] ~Emily Dickinson

[/B][CENTER][COLOR=Magenta][B][I]

[SIZE=4]"my mother"[/SIZE]
Before I was myself you made me, me[/I][/B]
[/COLOR][COLOR=Magenta][B][I] With love and patience, discipline and tears,[/I][/B]
[/COLOR][COLOR=Magenta][B][I] Then bit by bit stepped back to set me free,[/I][/B][/COLOR]
[COLOR=Magenta][B][I]Allowing me to sail upon my sea,
Though well within the headlands of your fears.
Before I was myself you made me, me[/I][/B][/COLOR]
[COLOR=Magenta][B][I]With dreams enough of what I was to be
And hopes that would be sculpted by the years,
Then bit by bit stepped back to set me free,[/I][/B][/COLOR]
[COLOR=Magenta][B][I]Relinquishing your powers gradually
To let me shape myself among my peers.
Before I was myself you made me, me,[/I][/B][/COLOR]
[COLOR=Magenta][B][I]And being good and wise, you gracefully
As dancers when the last sweet cadence nears
Bit by bit stepped back to set me free.[/I][/B][/COLOR]
[COLOR=Magenta][B][I]For love inspires learning naturally:
The mind assents to what the heart reveres.
And so it was through love you made me, me
By slowly stepping back to set me free.[/I][/B][/COLOR][/CENTER]


03:30 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.