Friday, April 19, 2024
10:55 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Humorous, Inspirational and General Stuff

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Friday, May 06, 2011
Tooba Malik's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Aug 2010
Location: in dreams
Posts: 534
Thanks: 455
Thanked 292 Times in 201 Posts
Tooba Malik has a spectacular aura aboutTooba Malik has a spectacular aura aboutTooba Malik has a spectacular aura about
Default determination

There are no secrets to success. It is the result of preparation, hard work, and learning from failures!!!

Main jo story likhny ja rha hon wo aik aisy nojwan ki hai jo apni mehnat aur determination ki waja sy aik aisy maqam tak pohncha jahn tak pohchna us k liya aik khawab tha.



Pakistan ka aik chota sa city aur us sy taqreban 20km k fasly per aik Gaon jis ki khasta hali ka yeh alam k na electricity na koi road, na pakki galiyan (streets). City jany k liya 3km paidal chal ker ghari milti aur wo bhi ager aik chot jay to next k liya at least 2h wait kerna perta. Jub bersat ka mousam ata gaon k mostly makan taba ho jaty jo k mitti k bany huy thy (us nojwan ka makan bhi aisa hi tha), her sal barshin hotin makan tabah hoty aur log dubara tamer kerna shuro ker daity. Is k ilawa larayan, fasad, hasd mamol ki bat thi (yeh sub ab bhi hai but I think ab thora kam ho gya hai).



Ali ka tualaq isi gaon sy tha aur wo 6 behan bahion main dosry no per tha. Ali ka Abu aik mazdor tha wo sara din mazdori kerta aur din k 50-100 rupees kma ker lay ata. Aur mazdori bhi kis tarah ki wo ya to gaon main makan bnany waly mamaron ko mitti ghara pakrata ya phir gaon main mitti ki trolly berta. Usy aik trolly berny k 10 rupees mil jaty aur wo sara din main 8-10 trolyan bher laita .(gaon main log mostly tractor trolly use kerty thy jis ko 5 mazdor behrty hain). Itny kamm paison main ghar chlana boht mushkal tha baz dafa to faqon tak nobat a jaty, aur booky pait rat guzarna perti. Handya to kisi Mubarak din hi pakti thi, wo bhi jub koi mehman ata (waisy both kam aty thy as all of u know k ghreeb sy mostly relatives bhi away hi rehty hain).



Jub Ali 6 sal ka hua to usy aik asiy school main dakhil kerwa diya gya jis ki na koi diwar, na room aur jahn per master sahib ka jub dil kerta a jata ya phir apny kheiton (fields) main kam kerta rehta aur bari bari sub bachon sy bhi wahn per kam kerwata. Ali School jata master sahib k any ka intizar kerta, jub wo door sy nazer aty un ki cycle pekrta aur phir subah 1h us ko clean kerny main lga daita. Bad main master sahib k liya huqy pani ka intizam kerty kerty chutti ka time ho jata, chutti dainy sy pehly master sahib tamam books ka aik aik lesson jaldi jaldi perha daity. Chuti k bad Ali fouran sy gher pohnchta, basta rakhta, jaldi sy kuch khata apni kuch kitabin pakrta aur behron (sheeps) ko chrwany bahir lay jata (Ali k abu ny kuch sheeps bhi rakhi hui thin, jo beri eid per kuch paisy dy daitin).Youn Ali apni sheeps ko cherwta rehta aur sath sath jo sabaq hota yad ker laita. Kisa mukhtser waqt guzrta gya aur Ali ny 5th ka imtyhan pas ker liya aur master sahib ny usy class main first declare kiya.



5th class main first any ki khber master sahib ny gher bhi pohncha di, aur sath hi us k abu ko mashwra diya k Ali ko high school main admission kerwa do. Master sahib ka mashwra mann liya gya aur Ali ka high school main admission ho gya. High school chunky gaon sy 3km k fasly per tha isliya sary larkon ny cycle rakhy huy thy but Ali k pas cycle kherdny k liya paisy nahin thy, so us ko 6 km distance rozana cover kerna perta. High school main apni mehnat ki waja sy Ali ko 3 months k bad 6th class ka monitor bna diya gya. Waqt k sath sath sheeps ki tadad bhi zaida hoti gaiy aur perhai ka bohj bhi but Ali ny himat na hari aur dono kam dil lagi say kerta raha. 9th main pohnch ker decide kerna tha scince ya arts, is k bawjood k gaon k boht sary log jin sy mashwra kiya gya tha scince rakhwany k haq main nahin thay, Ali ny scince subjects choose ker liya because usy apny oper itmad aur Allah per barosa tha (Although gher waly arts k liya keh rahy thy because Ali gaon ka pehla student tha jo scince subjects rakhny jar rha tha). 9-10th main sary students school k bad tution perty but Ali ki wohi routine, school sy gher aur gher main bains (buffalo) k liya chara aur kuch waqt kisi ky kheithon (fields) main kam (sheeps ki responsibility ab choty bahi k pas chaly gai thi). Ab sary subjects ki study rat ko hoti some time laltain aur some time diya ki light main, jis sy mostly rat ko nak aur moun black ho jata (mitti ka oil dal ker diya jlain to akser aisa hota hai). Anyway 2 sal bad Ali ny apni mehnat aur determination k bad metric k imtihan main na sirf 72% marks liya balky school main 2nd position bhi hasil ki. Metric main acha result any k bad Ali ny irada ker liya k wo zaror kuch acha ker dekhay ga chahy us k liya usy kitni bhi mehnat kerni pary.



Gaon main yeh kisi bhi bachy ki itny marks k sath pehly metric thi aur wo bhi scince subjects k sath. Ali k abu us ko agy bhi perhana chahty thy but again wohi majboori college fee, aur ager wo F.Sc kery to tution bhi, but kahn sy ab to baqi behn bahi bhi perty thy aur un k expenses bhi. Ali ny apny abu ka hosla barhya k wo khud mazdori kary ga college ki fee bherny k liya. Ali ko metric ka last practical (Physics ka) nahin bohlta jis k fouran bad wo apny cousin ka pas Rawalpindi chala gya, aur wahn ja ker 2 months flour mill main kam kiya. Flour mill main Ali sara din trucks per ata load aur unload kerta rehta ur sham ko 200 rupees tak kma laita. Is k ilwa us ny taqreeban 1 month apny abu k sath gaon main mazdoori bhi ki. Is 3 months ki mehnat sy itny paisy ho gaiy ka Ali ka admission ho jata college main aur books bhi a jatin.



Ab admission ka merhla a gya, gaon k log Ali k abu ko perhany lagy k agy apny baity ko scince na rakhwana, boht kharcha hai, college main aur ager yahn sy pass ho bhi gya to phir university main fees,..wegaira wegaira (zaida jealousy ki waja sy jo amoman gaon main hota hai). Yahn kuch aur batin bhi kabil ziker hain but un sub ko phir kabhi ager mouqa mila to, finally Ali ka admission ho gya aur F.Sc (pre-engineering) ki books bhi khreed li gain. Gher a ker books kholin to wo sub English main, yeh sub dekh ker Ali thora perisahn hua but us ny himat na hari aur unhin as a challenge accept kiya.



In dino Allah ka kerna yeh hua k Ali k gher main bhi bigli ka bulb roshan hona shuro ho gya tha. Ali ki routine ab pehly say bhi zaida tough thi, subah 4 bajy us ki amman (mother) usy roti bna ker daby main pack ker daity, wo almost 3 km paidal chalta, bus stop per pohnch ker fajir ki namz perta (mostly sep,oct sy march tak fajir late hoti hai) aur bus per swar ho ker subah taqreban 6 bajy city pohnchta, college lagny sy pehly tution perta aur college k bad 2h k liya bachon ko perhta, youn sham ko wapis ata. Yeh silsla 2 years tak chlata raha aur Allah ny Ali ko F.Sc main more than 74% marks main pas ker diya.



Wo din Ali k liya intahi khushi ka din tha jub us ny itny no apny name k samny dekhy. Ab university ka khyal us k zehan main any laga but again jub wo apny gher k halat dekhta to dil hi dil main sochta k ab kia kary althoghu result any sy pehly us ny kuch paisy kma liya thy but not as much as needed for university dues and hostel expenses. Ali ny himat na hari aur Engineering k liya entry test main appear hua, us ny enetry test bhi bery achy numbron sy pas kiya aur finaly enginnering university LHR main merit list main name a gya..lakin abhi usy aur mushklat ka samna kerna tha, wo itny paisy na ker saka k admission fee puri ker ly aur bad main apny hostel expenses bhi berdasht kerta rahy…so is dafa wo zindgi main pehly bar har gya ur university na ja ska.



Wo thora upset tha aur apny future k bary main kafi fiqermand tha bec asmission to hath sy nikal chukka tha. Usi duran us ny university main zero point aur shahab nama dekha (us larky k room main jahn wo tehra tha). Yeh dono books usy boht psand ayin aur wo usi waqt urdu bzar gya aur dono books khareed ker gher chala gya. Yeh dono books parah ker to jaisy us ko aik nai dunya mil gai aur wo aik bar phir her cheez bhool ker kamer basta ho gya. Wohi thoray paisy jo us k pas thy un say agly sal apny purany college main B.Sc kerna shruro ker di, ab us ka apny pury alaqy main kafi name bun chukka tha log door door sy us k pass bachy perny k liya behjty. Wo college k bad un ko perhata aur next two years paisy achaty kerta raha, after two years us ny B.Sc high first division main pas ki.



Ab us k pas itny paisy ho gaiy thy k wo university main parh saky, so us ny dubara university main master degree k liya apply kerny ka faisla kiya. Us ny tmam test aur interview pas kiya aur us ka university main admission ho gya. University us k liya bilkul nai dunya thi, gaon sy totally different jahn bery bery achy scholon aur collgon k students thy…But yahn per usy kuch achy dost mil gay aur kuch months k bad us ny yahn bhi tution perhna shuro ker di aur youn apny study k sath sath hostl aur university k dues pay kerta raha. Wo sara din university main perta sham ko bus per baitha aur kisi academy ya gher main tution perhany chala jata, Waqat guzrta gya aur us ny master bhi more than 70% percent sy pas ker liya

Master kerny k fouran bad us ki Islambad 17th scale main job ho gai, lakin wo abhi bhi satisfy nahin tha, wo kuch different kerna chahta tha, is maqsad k liya us ny apni koshesh jari rakhin aur agy perny k liya different test daita raha. Us ki mehnat aur lagan ka nateja yeh nikla k us ny higher study k liya test pas ker liya, aur wo bhi kisi foreign university main, wo din us ki zindgi ka yadgar din hai aur wo jub kabhi bhi us din ko yad kerta hai to apni sari mehntin aur mushklat bhool ker Allah k agy sajda rase ho jata hai. Test ka result any k few months bad interview tha Allah ny usy us main bhi kamyabi ata fermay. Aj us ko 3 years ho gaiy hain bahir ay huy for his PhD studies. Usy Allah per pura barosa hai k wo agly sal InshAllh apni study complete ker k watan wapis ay ga aur apny mulak k liya apni khidmat paish kery ga. (He will be the first student from his university mates who will complete his PhD ).



(Boht sari batin Ali k mutaliq main ny skip ker di hain because I think yeh pehly hi kafi lengthy ho gya hai)

He humbly request all the youth of Pakistan please use the resources whatever you have, work hard, learn from failures and keep trust in God, you will succeed InshAllah.

(Dear Javed Chaudhry Sahib, Ali, is really thankful to you for helping him a lot through your columns and books, May Allah bless you and your family!! Ameen)

Like · Comment · Share. source; javed chaudhry.facebook
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to Tooba Malik For This Useful Post:
Fnoor (Friday, May 06, 2011), unsolved_Mystery (Saturday, May 07, 2011)
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Asma Jilani ---- Vs---- Govt. of the Punjab sajidnuml Constitutional Law 5 Saturday, November 11, 2017 06:00 PM
Notes and Topics on Statistics Faraz_1984 Statistics 23 Saturday, June 04, 2011 07:08 AM
Gov. Punjab Salman Taseer killed in Islamabad Saleeqa Batool Discussion 69 Tuesday, January 04, 2011 10:31 PM
A Baloch Cultural Tradition as Depicted in Modern Balochi Poetry sillent.killer Balochi Poetry 0 Thursday, October 29, 2009 12:00 PM
CSS Exam 2006 Date Sheet/Time Table Leonidas CSS 2006 Exam 6 Saturday, March 31, 2007 10:39 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.