CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

qayym Thursday, July 26, 2012 08:59 PM

[CENTER][IMG]http://i47.tinypic.com/2jdf2ag.jpg[/IMG]
[IMG]http://i46.tinypic.com/i6le9u.jpg[/IMG][/CENTER]

Farrukh Aziz Friday, July 27, 2012 04:45 PM

[COLOR="Blue"][SIZE="5"]Hum Faqiroon Ko Madine Ki Galli Achi Lagi[/SIZE]

[B]Khusravi achi lagi na, sarwari achi lagi,
Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi.
Door thay to zindagi bay rang thi be-kaif thi,
Unkay kuchey main ga’ey to, zindagi achi lagi.
Hum faqiron ko madine ki gali achi lagi….
Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar
Mujh ko ku’ey Mustafa ki chakari achi lagi.
Naaz kar tu aey Halima Sarwar-e-Kownain par,
Gar lagi achi to teri jhownparhi achi lagi.
Rakh diya Sarkaar kay qadmoon pay sultanoon nay sar,
Sarwarey kown-o-makaan ki saadgi ach-chii lagi.
Mahr-o-mah ki roshani mana kay achi hai magar,
Sabz gunbad ki mujhey to, roshani achi lagi.
Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se
Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii
Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi,
Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi
Hum faqiron ko madine ki gali achi lagi….
Hum faqiroon ko madinay ki gali achi lagi…
Khusravi achi lagi na, sarwari achi lagi,
Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi.[/B][/COLOR]

Farrukh Aziz Friday, July 27, 2012 04:48 PM

[COLOR="Blue"][SIZE="5"]Assalam, Asalam, Asalaam, Aasalam[/SIZE]

[B]Air remat e azeem kay mehman assalam
Quran kay nazool kay saman asalam,
Ramadan Assalam, Aie Ramzan Asalam.
Anwar e mustafa ka ujala liye huey
Humday khuda ka saath hawala liye huway.
Tu aagaya hai aie mah e zeshaan assalam.
Ramadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.
Kyun na tujhay salaam karein arsh ore zameen
Teray sabab say sajdoon main jhuknay lagein jabeen



Juzdaan mein rahay nahin Quran assalam
Ramadaan Assalam, Aie Ramdan Asalam.
Punjgana ho namaz kay har jo zakat ho
Hum sab rajoh kerat hain rehman ki taraf
Lekin karam ki had hai yeh Rab e Kareem ki
Ramzan chal kay aata hai insaan ki taraf
Phir masjidoon main ronakein aabad ho gayein
Bholi hoyi aabadatein phir yaad ho gayein
Hum per bara hai tera yeh ehsan asalam
Ramaadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.
Sad shuker teray saath hai, pegham e eid bhi
Yani kay teray baad hai rozay saeed bhi
Kehtay hai tujh ko Aamir or Rehan asaalam
Ramadan Assalam, Aie Ramzan Asalam.[/B][/COLOR]

Farrukh Aziz Sunday, July 29, 2012 11:54 AM

[COLOR="Blue"][SIZE="5"]Tala al Badru Alayna[/SIZE]

[B]talaa al-badru alayna

min thaniyyat al-wada

wajaba al-shukru alayna

ma daa lillahi da

anta shamsun anta badrun

anta nurun fawqa nur

anta iksiru al-wujud

anta misbah al-sud

ashraqa al-badru alayna

fakhtafat minhu al-budur

mithla husnik ma raayna

qattu ya wajh al-surur[/B][/COLOR]

Farrukh Aziz Monday, July 30, 2012 12:58 PM

[[COLOR="Magenta"]SIZE="4"]Hai Kalaam-E-Ilahi Me Shams-O-Duha[/SIZE]

[B]Hai kalaam e Ilahi me Shamsuz'zuha, Tere chehre Noore Faza ki qasam
Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasam

Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya
Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam

Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya, na kisi ko mile na kisi ko mila
Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha, Tere shehro kalamo baqa ki qasam

Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen
Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam

Yehi 'arz hai khaliq e Ard o sama, Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera
Mujhe unki jawaar me day woh jagah, ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam

Tu hi bandaun pa karta hai lutf o 'Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua
Mujhe Jalwah e Pak Rasool dikha, Tujhe apne hi izz o 'Ala ki qasam

Mere gar chay gunah hai had se siwa, magar Un se ummed hai Tujh se rija
Tu Raheem hai Unka Karam hai, gawah woh Kareem hai Teri 'Ata ki qasam

Yehi kehti hai bulbule baagh e jina, ke Raza ki tarha koee sehre bayaan
Nahi hind me wasif shahe huda, mujhe shaukhe tabae Raza ki qasam.[/B][/COLOR]

Farrukh Aziz Monday, July 30, 2012 12:59 PM

[SIZE="5"]Ham Dar-E-Aaqa Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain[/SIZE]


[B][COLOR="Blue"]Ham dar-e-Aaqa (S.A.W) pay sar apna jhuka letay hain
Sach bataana array duniya tera kya letay hain

Uss ko aankho pay bithaatay hain zamaane waalay
Jiss ko Mehboob (S.A.W)-e-KHUDA apna bana letay hain

Waqt ki kaif nahee hay ye karam ki baatein
Jab bhi Sarkaar (S.A.W) ki marzi ho bula letay hain

Gham kay maarou ka tabeebo na karo koi elaag
Ham ghame Ishq-e-Nabi (S.A.W) may bhi maza letay hain

Patharou tum tou ho pathar magar Aaqa (S.A.W) meray
Tum say gar chaheu tou kalma bhi parha letay hain

Jab nahi milti kahee say bhi sukooun ki daulat
Teri (S.A.W) mefil Teray (S.A.W) dewaanay saja letay hain
Ye bhi Sarkaar (S.A.W) ki rehmat hay karam hay unka
Ham jahaa jaey wahaa rang jamaa letay hain

Gumbad-e-Khazra (S.A.W) KHUDA tujh ko salaamat rakhay (Aameen)
Dekh letay hain Tujhay pyaas bujha letay hain[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Tuesday, July 31, 2012 12:52 PM

[SIZE="5"]Kiskay Jalwo Ki Jhalak Hai[/SIZE]

[B]kiskay jalwo ki jhalak hai ye ujala kiya hai
har taraf wiada hairat zada tak ta kita hai

mange man manti munh mangi murade le ga
na yaha na hai na mangta se ye kahna kiya hai

hum hai unke wo hai tere to huve hum tere
is se badkar teri samt aur wasila kiya hai

un ki ummat me banaya unhe rahmat bheja
yu na farma ke tera raham me dawa kiya hai

sadqa pyare ki haya na la mujhse hisab
baqsh be puche lajaye ko laja na kiya hai

zahad un ka mai gunahgaar wo mere shafi
itni nisbat mujhe kiya kam hai tu samjha kiya hai

bebasi ho jo mujhe pusishe aamal ke waqt
dosto kiya kahu us waqt tamanna kiya hai

kash fariyad meri sunakr ye farmaye huzoor
haan koi dekho ye kiya shor hai ghogha kiya hai

kon aafat zada hai kis pe bala tuti hai
kis musibat me giraftar hai sadma kiya hai

kis se kahta hai ke lillah qabar lijiye meri
kiyu hai betab ye be chaini ka rona kiya hai

is ki bechaini se hai qatir-e-aqdas pe malal
be kasi kaisi hai pucho koi guzra kiya hai

yu malaik kare maaroz ke aqa ek mujrim hai
is se pusish hai bata tune kiya kiya kiya hai

samna qahar ka hai daftar-e-aamal hai pesh
daar raha hai ke khuda hukm sunata kiya hai

aap se karta hai fariyad ke YA SHA-E-RASOOL
banda bekas hai SHAHA raham me waqfa kiya hai

ab koi dam me giraftare bala hota ho
aap aajaye aaqa kiya qouf hai khatka kiya hai

sun ke ye aarz meri bahre karam josh me aai
yu malaik ko ho irshad taharna kiya hai

kis ko tum muride aafat kiya chahte ho
hum bhi to aake zara dekhe tamasha kiya hai

un ki aawaz pe kar uthu mai be saqta shour
aur tadap kar kahu ab mujhe parwa kiya hai

LO WO AAYA MERA HAAMI LO WO AAYA MERA HAAMI...MERA GHAAR-E-UMAM
AAGAYI JAAN TANE BE JAAN ME YE AANA KIYA HAI
phir mujhe daman-e-aqdas me chupale SARWAR
aur farmaye hato is pe taqaza kiya hai

banda aazad shuda hai ye hamare dar ka
kaisa lete ho hisab is pe tumhara kiya hai

chod kar mujh ko farishte kahe mahkum hai hum
hukm wala ki na taalim ho zuhra kiya hai

ye sama dekh ke mahshar me uthe shour ke WAH!!
chashm-e-badur ho kiya shaan hai rutba kiya hai

sadqe us rahim ke is saye daman pe nisar
apne bande ko musibat se bachaya kiya hai

aai RAZA jan-e-ana dil tere naamo ke nisar
bul bule baghe-e-madina tera kahna kiya hai.[/B]

Farrukh Aziz Wednesday, August 01, 2012 04:24 AM

Zehe Izzat-o itlaaye Muhammad
 
[COLOR="Purple"][SIZE="5"]ZEHE IZZAT-O ITLAAYE MUHAMMAD [/SIZE]

[SIZE="4"]Zehe Izzat-o itlaaye Muhammad
Ke he Arsh-e-Haqq zer-e-paaye Muhammad
Makaan Arsh unka falak farsh inka
Malak khaadmaan-e-saraaye Muhammad

Khuda ki Raza chaahata hain do Aalam
Khuda chaahata he Razaaye Muhammad

Tamasha Tu Dekho Jahanam Ki Aatish
Lagaye Khuda Aur Bujhaye Muhammad

Ta'aujub Ki Jaa Hai Key Firdous-e-Bala
Banaye Khuda Aur Basaye Muhammad

Ajab kya agar raham farmaaye hum par
Khudaaye Muhammad Baraaye Muhammad

Muhammad baraaye Janaab-e-Ilaahi
Janaab-e-Ilaahi Baraaye Muhammad

Dam-e-nazaa jaari ho meri zabaan par
Muhammad Muhammad Khudaaye Muhammad

Mein qurbaan kya pyaari pyaari he nisbat!
Yeh aan Khuda woh Khudaaye Muhammad

Khuda unko kis pyaar se dekhta he
Joh aankhein hein mah-we-liqaaye Muhammad

Ijaabat ka sehra Inaayat ka jawra
Dulhan ban ke niklee Duaaye Muhammad

Raza pul se ab Wajd karte guzrehes
Ke he Rabbi Sallim Sadaaye Muhammad.[/SIZE][/COLOR]

Farrukh Aziz Wednesday, August 01, 2012 04:30 AM

Ye sub Tumhara Karam Hai Aaqa
 
[COLOR="Green"][SIZE="5"]Yeh Sab Tumhara Karam Hai Aaqa[/SIZE]

[SIZE="4"]Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara karam hai Aaqa ke baat ab tak bani hui hai

Kissi ka ehsan kyun uthaaye, kisi ko haalat kyun bataaye
Tumhain se maange ge tum hi do ge, tumhare dar se hi luu lagi hai

Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, Huzoor ki banda parwari hai

Shoor o fikro nazar ke daire, hadd ka inse barh na paaye
Na choo saqe un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai

Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai

Bashir kahiye nazir kahiye, unhe siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalaam-e-Rabbi, woh mere Aaqa ki zindagi hai

Aamal ki mere asas kya hai, baajuz nadamat ke paas kya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai

Hai Kaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsood-e-aashqi hai, Huzoor ke dar ki haazri hai

Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, Nabi ka irfan bandagi hai

Yeh sab tumhara karam hai aaqa ke baat ab tak bani hui hai[/SIZE][/COLOR]

Farrukh Aziz Thursday, August 02, 2012 03:53 AM

Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho
 
[SIZE="3"][COLOR="Green"][B]Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho
Jibreel Par Bichaaey To Par Ko Khabhar Na Ho

Kaantaa Merey Jighar Sat Gham e Rozgaar Ko
Yoon Kheench Leeyjiey Kay Jighar Ko Khabhar Na Ho

Faryaad Ummatey Jo karay Haal e Zaar Mein
Mumkin Nahin Kay Khair e Bashar Ko Khabhar Na Ho

Kehtey They Yeh Buraaq Say Uskey Sabaq Raveey
Yoon Jaiey Kay Ghard e Safar Ko Khabhar Na Ho

Farmaatay Hein Yeh Dono Hein Sardaar e Do jahaa
Ay Murtazaa! Ateeq o Umar Ko Khabhar Na Ho

Aysa Ghumaa Day Un Key Vilaa Mein Khuda Humein
Dhoondhaa Karay Par Apney Khabhar Ko Khabhar Na Ho

Aa Dil! Haram Ko Roknay Waalon Say Chup kay Aaj
Yoon Uth Chalay Kay Pehlo Wabar Ko Khabhar Na Ho

Teer e Haram Hein Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Ho
Yoon Daykhiyeh Kay Taarey Nazar Ko Khabhar Na Ho

Ay Khaar e Taibah! Daykh Kay Daaman Na Bheekh Jaey
Yoon Dil Mein Aa Kay Deedah e Tar Ko Khabhar Na Ho

Ay Shauq e Dil! Yeh Sajdah Ghar Un Ko Ravaa Nahin
Acha! Woh Sajda Key Jiey Sar Ko Khabhar Na Ho

Un kay Sivaa RAZA Koey Haamey Nahin Jahaa
Ghuzra Karay Pisar Pay Pidar Ko Khabhar Na Ho[/COLOR][/SIZE][/B]


07:56 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.