CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

Farrukh Aziz Friday, October 26, 2012 09:59 AM

[B][SIZE="4"][COLOR="Blue"]Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main
Main phir rota huwa aoo, teray dar par Madinay main

Na dowlat dey nah showhrat dey, mujhay bas yeh sahaadat dey
Teray kadmo main marjaoon, main ro ro kar Madinay main

Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman'illah
Kabhi toh apna bhi lag jaey ja bistar Madinay main

Meraa gham bhi toh dekho, main para hoo door Tayba sey
Sukoon aey'ga bas meraa dil-e-muztar Madinay main

Salaam-e-showq kehna haajio meraa bhi ro ro kar
Sunaana dastaney gham meri ro kar Madinay main

Madina is liye Attar jaan-o-diil sey hai pyaara
Key rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Wednesday, October 31, 2012 10:37 AM

[B][SIZE="3"][COLOR="Green"]Dil may kissi ko aur basaaya na jaey ga
Zikr-e-RASUUL-e-Paak bhulaaya na jaey ga

WO khud he jaan lain gay, jataaya na jaey ga
Hum say tou apna haal sunaaya na jaey ga

Hum ko jazaa millay gee MUHAMMAD say Ishq ki
Dozakh kay aas paas bhi laaya na jaey ga

Kehtay thay yay Bilal(R.A), tashadud pay kufr kay
Ishq-e-NABI tou dil say nikaala na jaey ga

Bayshak Huzuur Shafa-e-Mehshar hain Munkirou(A.S)
kya Un ka saamnay Tumhay laaya na jaey ga

Maanay ga UN ki baat, KHUDA hashr may Naseer
Bin MUSTAFA KHUDA ko manaaya na jaey ga[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Wednesday, October 31, 2012 10:38 AM

[B][SIZE="3"][COLOR="Purple"]Phir ke galli galli taybah thokare sab ki khayen kyoon
Dil ko jo akal de Khuda teri gali se jayen kyoon

Rukhsate qaafila ka shor gashse hame uthae kyoon
Sote hain Unke Sayen mein koyi hamme jagaaye kyoon

Yaade Huzoor ki qasam gaflate aish he sitam
Khoob hai qaide ghum mein hum koyee hamme chhurae kyoon

Dekh ke Hazrate Gani phel pare Faqeer bhi
Chaayi he ab to chauni Hashr hi aana jae kyoon

Jaan he Ishq e Mustafa roz fizoo kare Khuda
Jis ko ho dard ka mazaa naaze dawa uthae kyoon

Woh jo nathe to kuch natha woh jo naho to kuch naho
Jaan hai woh jahan ki, jaan hai to jahaan hai

Hai to Raza nira Sitam jurm pe gar lajaaye hum
Koyee bajaaye soze gam saze tarab bajaaye kyoon[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Friday, November 02, 2012 09:09 AM

[B][SIZE="3"][COLOR="DarkGreen"]Mera dil aur meri jaan Madinay waley

Tujh peh sow jaan sey qurbaan Madinay waley

Bhar dey bhar dey meray Aqa meri jholi bhar dey

ab na rukh bey sar-o-samaan Madinay waley

Tera dar chowr kai jaaun tho kahan jaaun mein

meray Aqa meray Sultaan Madinay waley

Phir thamanaey ziyarath ney kiya dil beychaeyn

phir Madinay ka hai armaan Madinay waley

Sabz Ghunbad ki fazaaon mey bula lo mujh ko

tera ghaafil hei pareeshan Madinay waley

Likh dey likh dey meri qismat mey Madinay likh dey

hai teri milk qalamdaan Madinay waley

Sag-e-Taibah mujhay sab kahe key pukaray Baydam

yahi rakhein meri pehchaan Madinay waley[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Saturday, November 03, 2012 03:11 PM

[B][SIZE="4"][COLOR="DarkGreen"]
Aa gaye aa gaye Mustafa aa gaye
Aaj dunia maiN Khair-ul-wara aa gaye

Bazm-e-Konain maiN har taraf shoor hay
Mustafa aa gaye Mujtaba aa gaye

Arsh walay Mubarak dainy lagay
Farsh walo Habib-e-Khuda aa gaye

Koon daita hay dainy ko moonh chahaye
Dainay wala hay sacha hamara Nabi
Kia khabar kitnay taray khilay chup gaye
Par naaN dobay naaN doba hamara Nabi

Har taraf hay Niazi samaN Eid ka
Mustafa aa gaye Mujhtaba aa gaye

Har taraf Teergi thi Na thi Roshni
Aap Aaye to sub ko mili Roshni.

Khilkate Awaleen Khatamal Mursaleen
Aap Pehli Kiran Aakhri Roshni.

Mustafa ki men Tauseef karta Raha
Umar bhar mere ghar men rahi Roshni.

To Do jahan ka Ujala Hamara Nabi
Hai Bari Shaan Wala Hamra Nabi.

Aa gaye aa gaye Mustafa aa gaye
Aaj dunia maiN Khair-ul-wara aa gaye..

[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Saturday, November 03, 2012 03:21 PM

[B][SIZE="3"][COLOR="Purple"]Naheen hay koi dunia maiN hamara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah

Sarapa maaseaat hooN baar hay bay had gunahoon ka
Bachana nar-e-dozakh say Khuda raa ra Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah

Talatum khaiz hay daria bhanwar maiN hay mairi kashti
Nazar aata naheen koi kinara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah

Faqat aamal kay badlay naaN paye ga koi Janat
naaN ho ga jab talak tera ishara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah

Haqeeqat maiN bohat berh kar hay Arsh-e-Mo’ala sey
ZameeN jiss par ho naqsh-e-paa tumhara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah

TaRapta hay maira dil aur tarasti haiN bohat aankhaieN
Bula loophir Madinay maiN dobara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah

Gunahgaaraan-e-Ummat ka khajal hoona saza pana
Tairi rehmat ko kab ho ga gawara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah

Dam-e-aakhir zara Hassam par itna karam karna
Keh uss kay lab par hoo kalma tumhara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah

Naheen hay koi dunia maiN hamara ya Rasool Allah
Faqat hay aap hee ka ik sahara ya Rasool Allah
[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Sunday, November 04, 2012 10:53 PM

[COLOR="Blue"][B][SIZE="3"] Akse Roowe Mustafa Se Aisi Zebai Mili
Khil Utha Range Chaman, Phoolon Ko Ranai Mili

Sabz Gumbad Ke Manazir Dekhta Rehta Hun Mayn
Ishq Mein Chashme Tasawwur Ko, Woh Girai Mili

Jis Taraf Uth Thi Nigahen Mehfiley Konein Mein
Rehmatul Lil Alameen Ki, Jalwa Farmaee Mili

Behre Pa Bosi Pahonch Jaen Harime Paak Mein
Yun Hamare Muntashir, Ajza Ko Yakjai Mili..

[SIZE="4"]Meaning(s):[/SIZE]

Line 1: Akse = Reflection / Shadow
Line 1: Roowe = Face
Line 1: Zebai = Khubsoorati
Line 2: Ranai = Nazakat
Line 3: Manazir = Nazara
Line 4: Chashme Tasawwur = Imagination
Line 4: Girai = Taqat
Line 8: Muntashir = Bikhare Huey Khayalat Ko
Line 8: Ajza = Plural Of Juz
Line 8: Yakjai = Ek Jagah Hona

Line 7: Behre = ---- Ke Waaste; This Line Means That If We Reach Madinah Sharif Bare Feet; In Order To Kiss The Holy Feet Of Prophet Muhammad (saw).[/SIZE][/B][/COLOR]

qayym Wednesday, January 16, 2013 11:43 AM

[CENTER][IMG]http://i49.tinypic.com/33a8eg2.jpg[/IMG][/CENTER]

Stunner Friday, January 25, 2013 04:42 AM

An Extremely Beautiful Naat By Hassan Nisaar ..
 
[FONT="Comic Sans MS"][SIZE="3"]Terey hotay janam liya hotaa,
Koi mujhsa na doosra hotaa ..

Saans laita tuu aur main jee uth'ta,
Kaash Makkah ki main fiza hotaa ..

Hijraton mein parraao hota main,
Aur tuu khuch dair ko rukaa hotaa ..

Teray hujray k Aass pass kaheen,
Main koi kacha rastaa hotaa ..

Beech Taif bawaqt e sang-zani,
Teray lab pe saji duaa hota ..

Kisi ghazwa mein zakhmi ho ker main,
Terey qadmon mein jaa gira hotaa ..

Kaash Uhad mein shareeq ho sakta,
Aur baaqi na phir bacha hotaa ..

Teri pakeeza zindagi ka main,
Koi gumnaam waqeyaa hotaa ..

Main koi jang-juu e Arab hota,
Aur teray saamnay jhukaa hota ..

Main bhi hota tera ghulam koi,
Laakh kehta, Na main rehaa hotaa ..

Sochta hun main tab janam leta,
Jaanay phir kya se kya hua hotaa .. ?

Chaand hota teray zamanay ka,
Phir teray hukam se battaa hotaa ..

Mujh pe parrti jo teri chashm e karam,
Aadmi kya .. Main maujzaa hotaa ..

Asman hota ehad e Nabwi ka,
Tujh ko hairat se daikhta hotaa ..

Pairr hota khajoor ka main koi,
Jiss ka phal tuu ne khaa liya hotaa ..

Bacha hota ghareeb baiwa ka,
Sir teri gaud mein chupa liya hotaa ..

Rasta hota teray guzarnay ka,
Aur tera raasta dekhta hota ..

Buutt hee hota mein Khana e Kaaba mein,
Jo teray haath se fanaa hotaa ..

Mujh ko Khaaliq banata ghaar 'Hassan'
Aur mera naam bhi Hiraa hotaa ..

Terey hotay janam liya hotaa,
Koi mujhsa na doosra hotaa .. !!

Hassan Nisaar ..[/SIZE][/FONT]

SADIA SHAFIQ Friday, January 25, 2013 08:23 AM

[SIZE="5"][COLOR="DarkGreen"][B]لو مدینے کی تجلی سے لگائے ہوئے ہیں
دل کو ہم مطلع انوار بنائے ہوئے ہیں

اک جھلک آج دکھا گنبد خضرٰی کے مکیں
کچھ بھی ہیں ، دور سے دیدار کو آئے ہوئے ہیں

سر پہ رکھ دیجے ذرا دستِ تسلی آقا
غم کے مارے ہیں ، زمانے کے ستائے ہوئے ہیں

نام کس منہ سے ترا لیں کہ ترے کہلاتے
تیری نسبت کے تقاضوں کو بُھلائے ہوئے ہیں

گھٹ گیا ہے تری تعلیم سے رشتہ اپنا
غیر کے ساتھ رہ و رسم بڑھائے ہوئے ہیں

شرم عصیاں سے نہیں سامنے جایا جاتا
یہ بھی کیا کم ہے ، ترے شہر میں ائے ہوئے ہیں

تری نسبت ہی تو ہے جس کی بدولت ہم لوگ
کفر کے دور میں ایمان بچائے ہوئے ہیں

کاش دیوانہ بنا لیں وُہ ہمیں بھی اپنا
ایک دنیا کو جو دیوانہ بنائے ہوئے ہیں

اللہ اللہ مدینے پہ یہ جلووں کی پھُوار
بارشِ نور میں سب لوگ نہائے ہوئے ہیں

کشتیاں اپنی کنارے سے لگائے ہوئے ہیں
کیا وہ ڈوبے جو محمد کے ترائے ہوئے ہیں

نام آنے سے ابوبکر و عمر کا لب پر کیوں بگڑتا ہے
وہ پہلو میں سلائے ہوئے ہیں

حاضر و ناظر و نور و بشر و غیب کو چھوڑ
شکر کر وہ تیرے عیبوں کو چھپائے ہوئے ہیں

قبر کی نیند سے اٹھنا کوئی آسان نہ تھا
ہم تو محشر میں انہیں دیکھنے آئے ہوئے ہیں

کیوں نہ پلڑا تیرے اعمال کا بھاری ہو نصیر
اب تو میزان پہ سرکار بھی آئے ہوئے ہیں

Naseer ud Din Naseer
[/B][/COLOR][/SIZE]نصیر الدین نصیر


07:02 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.