Thursday, March 28, 2024
06:45 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Islam

Islam Invite to the Way of your Lord with wisdom and fair preaching, and argue with them in a way that is better. Truly, your Lord knows best who has gone astray from His Path, and He is the Best Aware of those who are guided." Holy Qur'an 16:125

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #211  
Old Sunday, February 03, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Dildaar barhe aa'ey mahboob barhe dekhey
Jo dekhey sabhii un keh qadmon main parhe dekhey

Sardaare do 'aalam ki ta'ziim keh kiyaa kehne
Mursal bhii sabhii jin ki raahon main karhe dekhey

Yaad un keh Madiinah ki jab dil main utar aai
Palkon keh kinaaron pih moti seh jurhe dekhey

Mahboob ki midhat main hai taab sukhan kis ko
Sab ahle sukhan main ne hairat main garhe dekhey

Un jaisaa Zuhurii ab aaey gaa nah duniya main
Dildaar barhe aa'ey mahboob barhe dekhey.
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Stunner (Sunday, February 03, 2013)
  #212  
Old Monday, February 04, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Thi Jis Ke Muqadar Mein Gadaie Tere Dar Ki
Qudrat Ne Ussay Raah Dikhaai Tere Dar Ki

تھی جس کے مقدر میں گدائی ترے در کی
قدرت نے اسے راہ دکھائی ترے در کی

ہر وقت ہے اب جلوہ نمائی ترے در کی
تصویر ہی دل میں اتر آئی ترے در کی

ہیں عرض و سماوات تری ذات کا صدقہ
محتاج ہے یہ ساری خدائی ترے در کی

انوار ہی انوار کا عالم نظر آیا
چلمن جو ذرا میں نے اٹھائی ترے در کی

مشرب ہے مرا تیری طلب تیرا تصور
مسلک ہے مرا صرف گدائی ترے در کی

در سے ترے الله کا در ہم کو ملا
اس اوج کا باعث ہے رسائی ترے در کی

اک نعمت عظمیٰ سے وہ محروم رہ گیا
جس شخص نے خیرات نہ پائی ترے در کی

میں بھول گیا نقش و نگار رخ دنیا
صورت جو مرے سامنے آئی ترے در کی

تازیست ترے در سے مرا سر نہ اٹھے گا
مر جاؤں تو ممکن ہے جدائی ترے در کی

صد شکر کہ میں بھی ہوں ترے در کا
صد فخر کہ حاصل ہے گدائی ترے در کی

پھر اس نے کوئی اور تصور نہیں باندھا
ہم نے جسے تصویر دکھائی ترے در کی

ہے میرے لیے تو یہی معراج عبادت
حاصل ہے مجھے ناصیہ سائی ترے در کی

رویا ھوں میں اس شخص کے پاؤں سے لپٹ کر
جس نے بھی کوئی بات سنائی ترے در کی

پانے کو تو یہ شمس و قمر چرخ نہ پاۓ
کیا پایا اگر خاک نہ پائی ترے در کی

آیا ہے نصیر آج تمنا یہی لے کر
پلکوں سے کیے جائے صفائی ترے در کی
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
  #213  
Old Monday, February 04, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

(With English Translation)



Aye chara garey shouk koi aisi dawaa dey

Jo dil sey har aik gair ki caahat ko bhoolaa dey

Oh the cure giver, give me such a cure

Which will make from the forget the love of every gair (everyone other than Allah and his friends)



Bas deykh liya duniya key rishto ka tamaashaa

makhlook sey ummed key sab deep bhujaa dey

That’s enough, I have seen the dramas of the worldly relations.

Blow out the candle of hope given to me from all the creation



paakeeza tamannaey bhii laatii hey udaasii

har zouk talab shouk tamannaa hi mitaa dey

Even clean/pure wishes brings sadness

Finish off all the pleasures and yearning desires



dey lazzatey deedar ki behoshi mey wo hosh

jo hastii ki tareef u tayyun ko gawaa dey

Give me the pleasure of seeing you (i.e.: Allah) such an awakening in the state of faintness

Which will remove the recognition and identity of this being (Dr Tahir)



ik mey hoo fakat too hoo aur aalamey hoo ho

aey husney azal saarey hijaabaat uthaa dey

May it be me and only you and the world of hoo (World of laa maqaa)

Oh the ever lasting beauty, remove all the curtains



mey khud ko bhi khud apney sey phir dhoond nap au

yoo aatishey sozaa sey meri raakh jilaa dey

May I not find my self from myself ever again

Burn my dust with burning fire



hoo teri hijaabat ki dehleez pey kab sey

ik baar zara deykh ley ik parda hataa dey

I am at the door step of your curtains for a long time

Look at me for a moment, remove a curtain



(This is a reply From Allah SWT)

soo baar bulaayaa tujhey soo baar sataayaa

tu bhi to kabhi raat ko mil chup key nidaa dey

Hundred of times I called you, Hundred of times I sataya (can’t find a befitting word)

You as well sometime meet me at night and hidden call me



(This is a reply From Allah SWT)

khud deykh ley to soyaa hey mey jag rahaa hoon

to bhi to kabhi meri wafaau ka silaa dey

You look that you are asleep and I am awake

You as well repay me for my faithfullness/loyalty
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Stunner (Wednesday, February 06, 2013)
  #214  
Old Tuesday, February 05, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Unhen Ikhtiyaar Diya Gaya
Sallallaho Ala Muhammad Sallallaho Alayhi Wasallam

Wo jo chahe chand ko tod de unhe iktiyaar diya gaya
Wo fir uske tukdo ko jod de unhe ikhtiyaar diya gaya

Jo Ali ki asr qaza hui to waqt par hi adaa hui
Chupe aaftab ko mod de unhe ikhtiyaar diya gaya

Kisi ummati ko sarkar ke rakh liye ja rahe hai malaika
To pakad ke khuld ko mod de unhe ikhtiyaar diya gaya

Wo nabi ki mutthi ka mojiza ke wa ma ramaita kahe khuda
Wo nigah kufr ki fod de unhe ikhtiyaar diya gaya

Likho naajish unka ye mojiza jo kisi ki aankh nikal gayi
To luaab paak se jod de unhe ikhtiyaar diya gay
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Stunner (Wednesday, February 06, 2013)
  #215  
Old Tuesday, February 05, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Allah Allah Nabi ka gharana
Yeh gharana wara-ul-wara hai
Is mein Hasnain hain Fatima hein
Is gharany mein Mushkil Kusha hai.

Lab pe hein tazkiray Panjtaan ke
Phool mehkey hein mery chaman ke
Aisa Unke karam ne nawazah
Apni kismat pe dil jhoomta hai.

Ummati hun mein Shah-e-Zaman ka
Hoon bheekhari mein Mola Aaqa Hassan ka
Sadqay jaun mein Unke atta par
Deney wale ne sab kuch diya hai.

Naam per Tere sab kuch mila hai
Naam per Tere sab kuch fida hai
Naam per Tere qurbaan jaoun
Hum ghreebon ka Tu asraa hai.

Khair se Tum he Khair-ul-Wara ho
Aur Tumhin Sayed-ul-Ambiyaa ho
koi Tujh sa huwa hai na hoga
Tere Raab ka yahi fayeselaa hai.

Mera bhi hai koi dunya waalo
Bey-sahara mujhay tum na samjho
Saath mery mera Peshwaa hai
Mera Raab hai mera Mustafaa hai.

Laaj rakh lo gad’dae karam ke
Bhardo bhardo hamari bhi jholi
Koi yeh na kahe Kamli Wale
Tere mehfil se khali gaya hai.

Kab’ba-e-Ishq ka hoon namazi
Mein hoon Unke inayaat pe raazi
Mere turbaat pe likhna Niazi
Panjtaan ka yeh adna gad’daa hai.

Allah Allah Nabi ka gharana…
Yeh gharana wara-ul-wara hai
Is mein Hasnain hain Fatima hein
Is gharany mein Mushkil Kusha hai.
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Stunner (Wednesday, February 06, 2013)
  #216  
Old Wednesday, February 06, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Tumi Farsh say Arsh par janay walay

Tumi Namatein Haq se dilwanay walay

Teray aagay sab hath philanay walay

Maira dil bhi chamkaa de chamkanay walay



Sawari se apni tu jiss dum utarna

Madinay kay Zaier Zara tu Sanbhalna

Kay yahan tha mairay Mustafa(S.A.W) ka guzarna

Aray Sar ka mooka hai Ooh janay walay



Hain Kabay kay jalway bhi mana ke achay

Magar main Madinay ke azmat kay sadkay

Issay hai Nisbat Mairay Mustafa(S.A.W) se

Madinay ke Khittay Khuda Tujh ko rakhay



Gariboon Faqiroon ke Tehranay walay

Maira dil bhi chamkaa de Chamkanay wala..
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Stunner (Wednesday, February 06, 2013)
  #217  
Old Wednesday, February 06, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Tere Qadmo me aana, mera kaam tha
Meri Kismat jagaana, Tera kaam he

Meri aankho ko he, deed ki arazoo
Rukh se Parda uthaana, Tera kaam he


Teri choukat kahan aur kaha ye jabeen
Tere faiz-e karam ki to hud hi nahi

Jin ko duniya me koyi na apna kahe
unko apna banana Tera kaam he


Baaraa bat�ta he Sultaane Kaunain ka
Sadqa Moula Ali Sadqa Hasnain ka
Sadqa Khwaja Piya Ghous Saqalain ka
Sadqa Sultan Bahu Peer Kaamil ka
Haaziri hogayi ye bhi in�aam he


Mere dil me teri yaad ka raaj he
Zahne Tere Tassawur ka muhtaaj he
Har ek nigahe karam me meri laaj he
Laaj meri nibhaana Tera kaam he


Pesh har aarazoo har tamana karoo
Thaam loo Jaaliya iltija ye karo
Mangne waalo daaman kushaada karo
Noor waale ka Faiz-e-karam aam he
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Stunner (Wednesday, February 06, 2013)
  #218  
Old Thursday, February 07, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Taiba ke jaane wale, Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
Taiba Ke Jane Wale
Taiba Kay Jaane Walay

Kehna kay shah e aali, eik ranj o gham ka mara
Dono jahan mein iska, hai app hi sahara
Halaat e pur aalam say, har dam guzar raha hai
Aur kanptay labhoon say, faryaad ker raha hai

Baaray gunah apna, hai dosh per uthaye
Koi nahin hai aisa, jo puchanay ko aiye
Bhatka hua musafar manzil ko dhundta hai
Tarikiyoon mein mah e kamil ko dhundta hai

Senay mein hai andhera, dil hai siyah khana x2
Yeh sab meri haqeeqat sarkar ko sunana

Kehna meray Nabi say, mehroom hoon khushi say, sar per eik abray gham hai
Ashkoon say aankh naam hai, pamale zindagi hoon, sarkar ummati houn,
Ummat kay rehnuma ho, kuch arz e hal sunlo, faryaad ker raha houn,
Mein dil figar kab say, mera bhi kisa e gham kehna shahe arab sai.

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
Teiba Ke Jane Vale
Taiba Kay Jaane Walay

Kehna kay kha raha houn, mein thokarein jahan mein
Tum hee batao aaqa, jaoon bhala kahan main
Mehsoos ker raha houn, duniya hai aik dhoka
Matlab kay yaar hain sab, koi nahin kisi ka
Kis ko mein apna janoon, kis ka main loun sahara
Mujko to meray aaqa hai aap ka sahara

Tum hi suno gay meri, tum hee karam karo gay
Dono jahan mein tumhi, mera bharam rakho gay.

Tum daad kha e alam, mein eik naseeb e barham
Tum bay kasoun kay wali, main bay nawas wali
Tum aasiyoon ka yaara, mein gardishoon ka mara
Rehmat ho tum sarapa, main murtiqam khata ka
Houn sharam sar apnay, aamal kay sabab say
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say.
Taiba Ke Janay Wale
Taiba Ke Janay Wale

Aie aazam e madina, jaa kar Nabi say kehna
Soz e gham e aalam say, aab jal raha hai seena
Kehna kay dil mein lakhoon armaan bharay huay hain
Kehna kay hasratoon kay nashtar chubhay huey hein
Hai arzoo yeh dil ki, mein bhi madinay jayoun
Sultan e dojahan ko, sab dagh e dil dikhoon.

Katoun hazar chakar, taiba ki har gali kay
Youn hee guzar doun mein, aayam zindagi kay.

Phooloon pay jaan nisaroon, katoun pay dil ko waroun
Zaroun ko doun salami, dar ki karoun ghulami
Deewar o dar ko choumoon, qadmoon pay sar ko rakh doon
Mehboob say lipat kar, rota rahoun bara ber
Aalam kay dil mein hai yeh, hasrat najanay kab say
Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
Taiba Ke Janay Wale
Taiba Ke Janay Wale.
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Stunner (Thursday, February 07, 2013)
  #219  
Old Thursday, February 07, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

With English tranlation

Jasne amade Rasoole, Allah hi Allah
Bibi Amna ke phool, Allah hi Allah

Celebrations of the coming of the Messenger,
The flower of Lady Aminah.


Jab kay Sarkaar tashrief lane lage,
Hoero milma bhi gushian mana ne laqe,

When the master was about to come,
The maidens and boy servants of Paradise began to rejoice.


Har taraf noor ki rosheni chagayi,
Mustafa kiya milay zindagi milgayi,

The light spread everywhere,
With the coming of the Chosen One came life to us all.


Aie Halima teri goad mein aa gaye,
Dono alam ke Rasool, Allah hee Allah

O Halima in your lap has arrived,
The Messenger of both worlds.


CHORUS

Koi chehray ki tareef kernay laga,
Koi zulfoun key tarif kernay laga,

Some would praise his face,
Some would praise his locks of hair.


Aminah dekh ker muskuranay lagein,
Hawwaa, Mariam bhi khushiyaan mananay lagein,

Seeing this, Aminah began smiling,
Eve and Mary too began rejoicing.


Amina bibi sab say yeh kehnay lagein,
Dua ho gayi qabool, Allah he Allah.

Lady Aminah began saying to everybody,
The prayer has been accepted.


CHORUS

Shadiyaanay kushi kay bajaye gaye,
Shaad kay naghmay sab ko sunaye gaye,

Festive music was sounded,
Songs of happiness were heard by all.


Har taraf shor Salealla ho gaya,
Aaj peda Habib e Khuda ho gaya,

Everywhere shouts of ‘peace on him’
Today the Beloved of God has been born.


Phir to Jibriel nay bhi yeh elaan kiya,
Yeh Khuda kay hein Rasool, Allah hi Allah.

Thereafter Gabriel announced,
This truly is the Messenger of God.


Jashn-e-Aamade Rasool, Allah he Allah,
Bibi Amna kay phool, Allah he Allah.

Celebrations of the coming of the Messenger,
The flower of Lady Aminah.
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Stunner (Thursday, February 07, 2013)
  #220  
Old Friday, February 08, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

VERY SPECIAL NAAT:

Thumhin Farsh Se Arsh Tak Jaane Waale
Thumhin Nimate Rab Se Dil Wane Aale

Tere Aage Sab Haath Paylane Wale
Chamak Tujh Se Paate Hain Sub Paane Waale
Mera Dil Bhi Chamka De Chamkaane Waale (3)

Sawaari Se Apni Tu Jisdam Utarna
Madeene Ke Zaayir Zara Tu Shambalna
Yahan Tha Mere Mustafa Ka Guzarna
Haram Ki Zamin Aur Qadam Rakh Ke Chalna
Arey Sar Ka Mouqa Hai Oh Jaane Waale
Mera Dil Bhi Chamka De Chamkaane Waale (3)

Hai Makke Ke Jalwe Ki Maanna Ke Acche
Magar Main Madeene Ki Azmath Ke Sadqe
Use Tho Hai Nisbat Mere Mustafa Se
Madine Ki Khitte Khuda Tujh Ko Rakhe
Gareebon Faqeeron Ke Thahraane Waale
Mera Dil Bhi Chamka De Chamkaane Waale (3)

Kabhi Gaus Khaja Ke Naamon Se Uljhen
Daroodon Se Uljhen Salamon Se Uljhen
Saheehul Aqeeda Imamon Se Uljhen
Tera Khayen Tere Ghulamon Se Uljhen
Hai Munkir Ajab Khaane Ghurrane Waale

Yeh Najdi Munaafiq Hai Munaafiq Hai Wallah
Ghilazazt ka balke Bulanda hai Wallah
Jahanum pe naam iska kunda hai Wallah
Jho Murdha Kahe Tujko Wo Murdha Hai Wallah
Tu Zinda He WalLlah Tu Zinda He WalLlah
Meri Chashme Aalam Se Chup Jaane Waale .

Chamak tujh se paate he sub paane waale
Mera dil bhi chamka de chamkaane waale

Barasta nahin dekh kar abre Rehmat
Badon par bhi barsa de barsaa ne waale

Madine ki khit’te Khuda tujh ko rakhe
Gareebon Faqeeron ke thahraane waale

Tu zinda he Wal’llah tu zinda he Wal’llah
Meri chashme aalam se chup jaane waale

Me mujrim hoo Aqaa mujhe saath le lo
Ke raste me he jaa baja thaane waale

Haram ki zami aur qadam rakh ke chalna
Are sar ka mouqa he au jaane waale

Tera khaene tere Ghulamo se uljhe
He munkir ajab khaane ghur’raane waale

Rahe ga yun heen unka charcha rahega
Pare khaak hojaye jaljane wale

Raza nafs dushman hai dum me na aana
Kahaa tum ne dekhe he chand raane waale


SUBHANALLAH

__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
Reply

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
NAB ::: Psychological Test ::: HELP NEEDED MYG2010 National Accountability Bureau (NAB) 1216 Friday, September 16, 2016 06:45 PM
NAB Result Announced: Please Share Your Marks sarfaraz shami National Accountability Bureau (NAB) 240 Saturday, August 15, 2015 12:07 PM
The Holy Quran Argus Islam 9 Saturday, October 13, 2007 06:10 AM
How the Sects Can be Dissolved Sureshlasi Islam 0 Wednesday, September 12, 2007 03:27 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.