CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

Farrukh Aziz Tuesday, August 13, 2013 02:34 PM

[B][FONT="Comic Sans MS"][SIZE="4"][COLOR="SeaGreen"]Lutf unkaa aam ho hi jaayegaa
Shaad har naa kaam ho hi jaayegaa

Jaan de do wadah-e deedaar par
Naqd apnaa daam ho hi jaayegaa

Yaad rah jaayegi ye bebaakiyaa
Nafs too to raam ho hi jaayegaa

Be nishaano ka nishaan mit-taa nahi
Mitte mitte naam ho hi jaayegaa

Saailo daaman sakhi ka thaam lo
Kuch na kuch in’aam ho hi jaayegaa

Yaad-e abroo kar ke tarpo bulbulo
Tukre tukre daam ho hi jaayegaa

Mufliso un ki galee mein jaa paro
Baagh-e khuld ikraam ho hi jaayegaa

Gham to un ko bhool kar lipta hai yun
Jaise apna kaam ho hi jaayegaa

Ab to laayee hai Shafaa’at ‘afwa par
Badhte badhte aam ho hi jaayegaa

Ay Raza har kaam ka ik waqt he
Dil ko bhi aaraam ho hi jaayegaa..[/COLOR][/SIZE][/FONT][/B]

Farrukh Aziz Wednesday, August 14, 2013 12:55 PM

[B][SIZE="4"][COLOR="RoyalBlue"][SIZE="5"]Tumhara Naam Musibat Mey Jab Liya Hoga [/SIZE][/COLOR][/SIZE][/B]

[B][FONT="Comic Sans MS"][SIZE="3"][COLOR="RoyalBlue"]Tumhara naam musibat mey jab liya hoga,
Humara bigda huwa kaam ban gaya hoga.

Gunahgaar pe jab lutf Aap ka hoga,
Kiya baghayr kiya bey kiya kiya hoga

Khuda ka lutf huwa hoga dastagir zaroor,
Jo girthay girthay tera naam ley liya hoga.

Dikhayi jaayegi mehshar mein shaane Mahboobi,
Ke Aap hi ki khushi Aap ka kaha hoga.

Khudaye Paak ki chahein gey aglay pichlay khushi,
Khudaye Paak khushi un ki chahtha hoga.

Kisi ke paaon ki beydi yeh kaat te honge,
Koi aseere gham unko pukaarta hoga

Kisi taraf se sada aaey gi Huzoor aao!
Nahi to dam me ghareebon ka faisala hoga.

Kisi key palle peh ye hongay waqt wazne amal,
Koi umeed se mooh unka tak raha hoga

Koi kahe ga duhaahi hai Ya Rasoolallah!
To koi thaam key daman machal gaya hoga

Kisi ko le ke chalein ge farishte sooye jaheem,
Woh un ka raasta phir phir key dekhta hoga.

Shikastha paaon mere haal ki khabr kar do,
Koi kisi sey yeh ro ro key keh raha hoga.

Khuda ke waaste jald unse arze haal karo,
Kise khabr hai ke dambhar me haal kya hoga.

Pakad ke haath koi haale dil sunaaye ga,
To ro key qadmon pe koi machal gaya hoga.

Zaban sookhi dikha kar koi labe kauthar,
Janabay Paak key qadmon pey gir gaya hoga

Nishaane husraway di door mey ghulaamon ko,
Liwaye hamd ka parcham batha raha hoga

Koi qareebe tarazu koi labe kauthar,
Koi sirat pey unko pukaarta hoga

Yeh bekaraar karegi sada ghareebon ki,
Ke muqaddas ankhon sey thalaash ka bandha hoga

Woh paak dil ke nahi jisko apna andeysha,
Khoj me fikr o tharado mey gir gaya hoga

Hazaar jaan fida narm narm paaon sey,
Pukaar unke aseeron ki daudtha hoga

Azeez bache ko maa jis tarhay talash kare,
Khuda gawa yahi haal Aap ka hoga

Khudai bhar inhi haathon ko dekhti hogi,
Zamana bhar unhi qadmon pey lowt-ta hoga

Maqaam faasilon par kaam mukhtalif ithnay,
Woh din zahooray kamaale Huzoor ka hoga

Kahein gey aur nabi 'iz habu ila ghairi',
Meray Huzoor keh lab par 'ANA LAHA' hoga

Duaey ummath badkaar wirday lab hogi,
Aur Khuda kay saamney sajdey mey sar jhuka hoga

Ghulaam unki inayath say chayn mey hongay,
Aduw Huzoor ka aafath mey mubthala hoga

Mai un key dar ka bhikari hun fazlay Mouwla sey,
Hasan faqeer ka jannat mey bistara hoga.
[/COLOR][/SIZE][/FONT][/B]

Farrukh Aziz Sunday, August 18, 2013 01:36 PM

[COLOR="Teal"][SIZE="4"][B][FONT="Comic Sans MS"]Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he
Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kesa he

Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho
Uss sa-ay mayn rab kay aagay sajda karna kesa he

Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay
Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kesa he

Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do
Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he

Waqt e rukhsat dil ko apnay chhoarr wahaan tum aa-ay ho
Yay batlaa-o ishrat un kay dar say bichharrna kesa he..[/FONT][/B][/SIZE][/COLOR]

Farrukh Aziz Sunday, August 18, 2013 01:38 PM

[SIZE="4"][B][FONT="Comic Sans MS"][COLOR="DarkOrange"]Aey Qaza teher ja, unse karloun zara, ik haseen guftagoo akhari aakhri
our koi tamanna nahi ba-khuda, hai yahi aarzoo, akhri akhri

aansoon ki jo rut hai, badal jay gi, jaan aaraam se phir, nikal jay gi
pooch le ghar zara, haal haazaq mera, bayth kar ruuh baruuh, aakhri aakhri

mere ghar mein wo jis waqt aajay gein, unke daaman se pal pal libat jay gein
saamne unke naino ko kar waayein ge, aasooun se wudu, aakhri aakhri

meri halat bazahir to kamzor hai, unke gham se badi saans ki dor hai
bohanch jao faqat unke qadmoun talaq, hai yahi justajoo, akhri akhri

isse pehle ke uth kar challe jaae wo, kissa’e'gham mukammal na sun pay wo
hosh kar be-khabar, waqt hai mukhtasar, bol de lafz tu, akhri akhri

unki basti mein le chal mujhe chaara ghar, dekhni hai wo galiyaan faqat ik nazar
chaahati hai nigah, unki ho baargah, dekhloun chaarsuu, akhri akhri

raat dhalte hi, yeh lafz ruk jay gi, tooth kar shaakh saansoun, ki jukh jay gi
aise lagta hai ab, to yeh hakim mujhe, hogi subho namoun, akhri akhri.[/COLOR][/FONT][/B][/SIZE]

Farrukh Aziz Monday, August 19, 2013 02:48 PM

[SIZE="5"][FONT="Book Antiqua"][B][SIZE="4"][COLOR="DarkOrchid"][B]Karam kay aashiyanay ki kia baat hai
Aap kay aastanay ki kya baat hay.

Fatima o Ali phir Hussain o Hassan
Mustafa k gharanay ki kia baat hay.

Haazri ko chala hay madinay ki tu
Dosta teray janay ki kia baat hai.

Waq e aakhir bhi hai, woh bhi hain samnay
Aie kaza teray aanay ki baat hai.

Kitnay nanay bhi hain, aur nawasay bhi hain
Ibn e Haider kay nanay ki kia baat hay.

Tak kay bolay nakirain hakim mujhay
Mustafa kay diwanay ki kia baat hay.

Aik ghar jo milay shehray sarkar main
Phir to aisay thikanay ki kia baat hay.

[/B][/COLOR][/SIZE][/B][/FONT][/SIZE]

Farrukh Aziz Monday, August 19, 2013 02:50 PM

[B][FONT="Comic Sans MS"][SIZE="4"][COLOR="SlateGray"][COLOR="Indigo"]Hai Paak Rutba Fikr Sey Uss Bey Niyaaz Ka
Kuch Dakhal ‘Aqal Ka Hai Na Kaam Imtiyaaz Ka
Lab Band Aur Dil Mey Wo Jalwey Bharey Huwey
Allah Rey Jigar Terey Aagaah Raaz Ka
‘Ash Aagayaa Kaleem Sey Mushtaq Deed Ko
Jalwah Bhi Bey Niyaaz Hai Uss Bey Niyaaz Ka
Har Shai Sey ‘Ayaan Merey Saane’ Ki San’atain
‘Aalam Sab Aa-inoon Mey Hai Aa-ina Saaz Ka
Aflaak Waariz Sab Terey Farmaan Pazeer Hain
Haakim Hain Tu Jahan Key Nisheb–o–Faraaz Hain



Is Bey Kasee Mey Dil Ko Merey Teyk Lag Gayee
Shehr–o–Sunaa Jo Rehmat Beykas Nawaaz Ka
Maanand Sham’a Teyri Taraf Lau Lagee Rahey
Dey Lutf Meyri Jaan Ko Soz-o-Gudaz Ka
Tu Bey Hisaab Bakhsh Key Hain Bey Hisaab Jurm
Deyta Hoon Waasta Tujhey Shah e Hijaaz Ka
Bandey Pey Terey Nafs-e-La’een Ho Gaya Muheet Allah Kar Ilaaj Meyri Hirs-o-Aaz Ka
Kyun Kar Na Merey Kaam Baney Ghaib Sey Hasan
Banda Bhi Hoon Kaisey Barey Kaar Saaz Ka

[/COLOR][/COLOR][/SIZE][/FONT][/B]

Farrukh Aziz Tuesday, August 20, 2013 02:19 PM

[B][SIZE="4"][FONT="Book Antiqua"][COLOR="Blue"]Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Mehboobe Khuda Ke Jalwon Se, Iman Ki Ankhen Raushan Hain
Bin Dekhey Hi Jab Yeh Alam Hai, Didar Ka Alam Kya Hoga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Jab Unke Gada Bhar Detey Hain, Shahane Zamana Ki Jholi
Mohtaj Ki Jab Yeh Halat Hai, Mukhtar Ka Alam Kya Hoga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Hai Naam Mein Unka Itna Asar, Ji Uthte Hai Murdey Bhi Sun Kar
Woh Haal Agar Khud Puchein To, Bimar Ka Alam Kya Hoga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Jab Unke Ghulamon Ke Dar Par, Jhukte Hain Salaati-ne Alam
Phir Koi Bataey Aqa Ke, Darbar Ka Alam Kya Ho Ga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Jab Sunke Sahaba Ki Baaten, Kuffar Musalman Hote Hain
Phir Donon Jahan Ke Sarwar Ki, Guftar Ka Alam Kya Hoga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Taibah Se Hawa Jab Ati Hai, Bekal Ko Sukun Mil Jata Hai
Is Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Us Par Ka Alam Kya Hoga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga.[/COLOR][/FONT][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Tuesday, August 20, 2013 02:22 PM

[B][FONT="Times New Roman"][SIZE="4"][B]Qadmoun mein bula leejiye Ya Nabi Madeenay mein

Kaash mein challa jaon, aaj he Madeenay mein

[COLOR="Purple"]Samnay jo aathi hai, muskura kay aathi hai

Ehtraam kerthi hai, mauth bhi Madeenay mein
[/COLOR]
[COLOR="DarkGreen"]Dosto dua ki jiye, pir mujh ko bula lein wo

Hai meri dua, jaein aap sab Madinay mein
[/COLOR]
[COLOR="DarkOrchid"]Paijyeh Darood un par, paijyeh Salam un par

Aapni roz lagwayeh, haazri Madinay mein
[/COLOR]
[COLOR="DarkSlateBlue"]Ab meri nigaon mein, har tharaf Madina hai

Meri dil ki kulthi hai, har gali Madinay mein[/COLOR]

[COLOR="DarkOrange"]Is kadar barastha hai, Noor sabz ghumbad par

Raat ko bhi raithi hai, roshni Madinay mein
[/COLOR]
[COLOR="Magenta"]Qadmoun mein bula leejiye Ya Nabi Madeenay mein

Kaash mein challa jaon, aaj he Madeenay mein[/COLOR][/B][/SIZE][/FONT][/B]

Farrukh Aziz Wednesday, August 21, 2013 07:13 AM

[SIZE="4"][FONT="Times New Roman"][B]Rangiiniiay gulaab na gulzaar chahiye
Teba kay dasht ka mujhay ik haar chahiye

[COLOR="Olive"]Dunya na mujh ko maal ka anbaar chahiye
Chashm e karam huzur ki ik baar chahiye[/COLOR]

[COLOR="DarkOrange"]Kaaba ki azmatein mujhay tasleem heyn magar
Mayrii jabeen ko kucha e sarkaar chahiye
[/COLOR]
[COLOR="Blue"]Yay aarzu e dil he ada yuun namaaz ho
Sajdon kay waastay tayra darbaar chahiye[/COLOR]

[COLOR="Green"]Yusuf sa maalka bhi kehta zuroor aaj
Biknay kay waastay tayra bazaar chahiye[/COLOR]
[COLOR="RoyalBlue"]
He khuld ki talab na kisi huur say gharaz
Mujh ko huzur aap ka deedaar chahiye[/COLOR]

[COLOR="DarkRed"]Un kay gunahgaar ko to chaahiiay karam
Un kay karam ko to bhi gunahgaar chahiye[/COLOR]
[COLOR="Magenta"]
Daykhay to sirf aap ko daykhay na gheyr ko
Mujh ko esi nazar shah e abraar chahiye[/COLOR][/B][/FONT][/SIZE]

Farrukh Aziz Wednesday, August 21, 2013 07:14 AM

[B][FONT="Trebuchet MS"][SIZE="5"][COLOR="DarkOrange"]Dil ko unke se Khuda juda na kare
Bay kisi loot le Khuda na kare

Iss me Raude ka sajdah ho ke Tawaaf
Hosh me jo na ho woh kya na kare

Ye wahi hai ke bakhsh dete hain
Kaun in jurmaun par saza na kare

Sab tabeebaun ne de diya hai jawaab
Aah E’saa agar dawah na kare

Dil kahaan le chala Haram se mujhe
Aray tera bura Khuda na kare

A’zr ummed a’fwu gar na sune
Roosiyah aur kya bahana kare

Dil me Raushan hai Sham’a Ishq e Huzoor
Kaash josh e hose hawa na kare

Hashr me hum bhi sair dekhinge
Munkar aaj Unse ilteja na kare

Za’eef mana magar yeh zalim dil
Unke raste me to thaka na kare

Jab Teri khoo hai sab ka jee rakhna
Wahi achcha jo dil bura na kare

Lay Raza sab chale Madine ko
Mai na jaoon aray Khuda na kare..[/COLOR][/SIZE][/FONT][/B]


10:42 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.