CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

najamrahim Friday, October 28, 2011 10:43 AM

Huzoor aisa koi intizam ho jaye
 
Huzoor aisa koi intizam ho jaye
Huzoor aisa koi intizam ho jaye

Kay phir Madina rawana ghulam ho jaye
Kay phir Madina rawana ghulam ho jaye

Naseeb waalon mein mera bhi naam ho jaye
Naseeb waalon mein mera bhi naam ho jaye

Jo zindagi ki Madinay mein shaam ho jay
Jo zindagi ki Madinay mein shaam ho jay

Main shad shad marron go, agar dameakhir
Main shad shad marron go, agar dameakhir

Naseeb jalwa e khirul anam ho jaye
Naseeb jalwa e khirul anam ho jaye
Huzoor aisa koi intizam ho jaye

Fuzool go say bach jaye yeh zaban meri
Fuzool go say bach jaye yeh zaban meri

Mera kalam Drood-o-Salaam ho jaye
Mera kalam Drood-o-Salaam ho jaye
Huzoor aisa koi intizam ho jaye

marslanqaisar Monday, October 31, 2011 10:51 AM

Ya Mustafa Khair-Ul-Wara (Mushtaq Qadri)
 
[YOUTUBE]y9ZAtlO5Gzc[/YOUTUBE]

Ali Ahmad Syed Monday, October 31, 2011 11:17 PM

Naat-e-Rasool-e-Maqbool
 
[CENTER][IMG]http://i1109.photobucket.com/albums/h424/aliahmadsyed/Khalid1.jpg[/IMG][/CENTER]

qayym Monday, November 07, 2011 10:46 AM

[CENTER][IMG]http://i39.tinypic.com/6qehbm.jpg[/IMG][/CENTER]

marslanqaisar Tuesday, November 08, 2011 11:41 PM

Insha ALLAH kabhi hum bhi jaeen gay...
 
[YOUTUBE]Lz46IOMt4iQ&feature=related[/YOUTUBE]

marslanqaisar Friday, November 11, 2011 12:12 PM

Darood e Taj
 
[CENTER][YOUTUBE]pJ0_oS-0Wu0[/YOUTUBE][/CENTER]

marslanqaisar Wednesday, November 16, 2011 09:14 AM

Dua
 
[CENTER][YOUTUBE]IUwYOpDcrYg&feature=related[/YOUTUBE][/CENTER]

Ali Ahmad Syed Friday, November 18, 2011 07:58 AM

Naat-e-Rasool-e-Maqbool
 
[CENTER][SIZE="4"][COLOR="Green"]Ik nazar ho tu kia se kia ho jaaon
Mein jo pathar hoon a'ina ho jaaon[/COLOR][/SIZE]
[IMG]http://i1109.photobucket.com/albums/h424/aliahmadsyed/Islamic/Naat4.jpg[/IMG][/CENTER]

Arain007 Friday, November 18, 2011 09:12 PM

[IMG]http://i1082.photobucket.com/albums/j374/madeel206/BaagHussainNaat1.jpg[/IMG]
[IMG]http://i1082.photobucket.com/albums/j374/madeel206/BaagHussainNaat2.jpg[/IMG]

marslanqaisar Saturday, November 19, 2011 10:05 AM

Hamd-E-Bari-Tala
 
[YOUTUBE]n5hTmqXHyvk[/YOUTUBE]

qayym Thursday, November 24, 2011 09:51 AM

[CENTER][IMG]http://i40.tinypic.com/knlp5.jpg[/IMG][/CENTER]

Arain007 Thursday, November 24, 2011 10:05 AM

[CENTER][IMG]http://i1082.photobucket.com/albums/j374/madeel206/Arain007/Naat124-11-11.jpg[/IMG]
[IMG]http://i1082.photobucket.com/albums/j374/madeel206/Arain007/Naat224-11-11.jpg[/IMG][/CENTER]

marslanqaisar Monday, November 28, 2011 10:39 AM

Manqabat
 
[YOUTUBE]D4WUEKTzABo[/YOUTUBE]

Waseemtabish Tuesday, November 29, 2011 06:01 PM

[B]Main Lajpalan De Lar Lagiyan[/B]

[url=http://www.youtube.com/watch?v=4NJzuih3oe0]Main Lajpalan De Lar Lagiyan by SYED MOHAMMAD FASIH UD DIN SOHARWARDI (Mahfil Jauharabad 2010) - YouTube[/url]

qayym Wednesday, November 30, 2011 10:03 PM

[CENTER][IMG]http://i43.tinypic.com/34q1a43.jpg[/IMG][/CENTER]

marslanqaisar Thursday, December 01, 2011 11:34 AM

Manqabat e Imam Hussain (R.A)
 
[CENTER][YOUTUBE]LowvFjDyMH4&feature=related[/YOUTUBE][/CENTER]

marslanqaisar Sunday, December 04, 2011 11:14 AM

Manqabat -Sar Ko Kata Gaye Hussain (R.A)-
 
[CENTER][YOUTUBE]Xgn6v9cFcks&feature=related[/YOUTUBE][/CENTER]

marslanqaisar Thursday, December 15, 2011 11:11 AM

Salam
 
[CENTER][YOUTUBE]teuSv9Tk8rg&feature=related[/YOUTUBE][/CENTER]

qayym Sunday, January 01, 2012 12:54 PM

[CENTER][IMG]http://i39.tinypic.com/2eap1qb.jpg[/IMG][/CENTER]

marslanqaisar Friday, January 06, 2012 01:00 PM

Jab Karam hota hai
 
[CENTER][YOUTUBE]rzPosiEXMBs[/YOUTUBE][/CENTER]

Zulfiqar Shah Wednesday, January 25, 2012 09:26 PM

Aaqa Ka Milad Aaya
 
[CENTER][SIZE="6"][COLOR="Navy"]Ya RasoolAllah Ya HabibAllah
Salla Alaika Ya RasoolAllah
Wassallam Alaika Ya HabibAllah
Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah

Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya

Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya

Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya

Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya

Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya

Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya

Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya

Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya

Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya[/COLOR][/SIZE][/CENTER]

marslanqaisar Wednesday, January 25, 2012 09:45 PM

Ya Rasool Allah (P.B.U.H) Tere Chahane Walo Ki Khair
 
[CENTER][YOUTUBE]ETvoyvOfTdw[/YOUTUBE][/CENTER]

marslanqaisar Friday, February 03, 2012 02:54 PM

Salle Ala Nabiena Salle Ala Muhammadin
 
[CENTER][YOUTUBE]Yvkg7MaAb4Y[/YOUTUBE][/CENTER]

marslanqaisar Sunday, February 05, 2012 06:31 PM

Naat by Arif lohar
 
[CENTER][YOUTUBE]TEXYPqETMQk&feature=related[/YOUTUBE][/CENTER]

Arain007 Thursday, March 08, 2012 11:53 AM

[CENTER][IMG]http://i1082.photobucket.com/albums/j374/madeel206/Arain007/Naat08-03-12.jpg[/IMG][/CENTER]

qayym Friday, April 27, 2012 03:21 PM

[CENTER][IMG]http://i47.tinypic.com/15cm52v.jpg[/IMG][/CENTER]

Farrukh Aziz Monday, July 09, 2012 08:07 PM

Zahe Muqadar
 
Zahe muqaddar Huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukaao nazren bichaao palken adab ka aala maqam aaya

Yeh kohn sar se kafan lapetein chala hai ulfat ke raate par
Farishte hairat se tak rahe hein ye kohn zi ehteram aaya

Faza mein labbaik ki sadaa-e za farsh ta Arsh goonjhti hein
Har ek qurban ho raha hai zaban pe ye kis ka naam aaya

Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna Aaqa salaam lijiye ghulam aaya

Yeh kehna aaqa bohat se aashiq tarapte se chorr aaya huun mein
Bulaawe ke muntazir hai lekin na subha aaya na shaam aaya

Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aayi
Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya

Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke jaane wale
Nabi de saad in bisat ban kar payam durood-o-salaam aaya

Zahe muqaddar Huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukaao nazren bichaao palken adab ka aala maqam aaya

Farrukh Aziz Saturday, July 14, 2012 03:22 PM

[COLOR="Blue"][B]Arshe HAq hai Masnade Rifaat Rasoollulah ki[/B][/COLOR]

Arshe HAq hai Masnade Rifaat Rasoollulah ki
Daikhne hai hashr mein Izzat Rasoollulah ki

LA wa Rabil Arsh jis ko jo mila Un se mila
Bat'te hai Komain mein Nihmat Rasoollulah ki

Soraj olte paon palte, Chand ishaare se ho chaak
Andhe najde dekh lay Qudrat Rasoolullah ki

Ham Bhekaari wo Kareem Un ka Khuda Un se Fazoon
Or NA kahna nahi Aadat Rasoollulah ki

Ahle Sunaat ka hai baira paar Ashabe Huzoor
Najam hein or nao hai Itrat Rasoollulahi ki

Ya RAB ik sa'at mein dhol jaen siyaakaroon kay jorm
Joos per Aa jae Aabe Rehmat Rasoollulah ki

Ay Raza khod Sahibe Quraan hai Madahe Huzoor
Tujh se kab Mumkin hai phir Midhat Rasoollulah ki

Farrukh Aziz Sunday, July 15, 2012 02:20 PM

[COLOR="Blue"]Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte[/COLOR]

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte
Jo yaad e Mustafa se dil ko behlaya nahin kartay.

Zaban per shikwae ranj o alam laya nahin karte
Nabi kay naam lewa gham say ghabraya nahin karte.

Yeh darbaar e Mohammad hai yahan apnoon ka kiya kehna
Yahaan se hath khali gheir bhi jaya nehi karte.

Are o na samaj qurbaan hoja Inke roze par
Yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehin karte.

Yeh he darbaar e Muhammed hai yahaan milta hei bemange
Are nadan yahaan daman ko phelaya nehi karte.

Madinay jo bhi jata hai, woh jholi bhar kay lata hai
Sakhi data hain khali haath lotaya nahin kertay.

Mohammad Mustafa key bagh key sabh phool aise hain
Jo bepani ke tar rehte hain murjaya nahi karte.

Nadamat sath le kar hashr mein ae aasio jana
Suna hei sharm waloon ko woh sharmaya nehi karte.

Jo unke damaan e rehmet say wabasta hai ae Hamid,
Kisi kay samnay woh haath phelaya nehi karte.

Mohammad Mustafa ki shaan e rehmet to zarah dekho,
Sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte.

Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
Woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karte.

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
Jo yaad e Mustafa se dil ko garmaya nehi karte.

Farrukh Aziz Monday, July 16, 2012 12:29 AM

Kalam-E-Raza (R.A)

Naimatain baanta jis simt woh zeeshaan gaya
Saath hi munshi e rehmat ka qalamdaan gaya

Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhyan gaya
Mere Mawla mere Aaqa, tere qurbaan gaya

Aah woh aankh ke nakame tamanna hi rahi
He woh dil jo tere dar se, pur arman gaya

Dil he woh dil jo teri yaad se ma'moor raha
Sar woh sar jo tere qadmon pe qurbaan gaya

Unhe jana unhe mana na rakkha ghair se kaam
Lillah hil hamd mein duniya se musalman gaya

Aur tum par mere Aaqa ki inayat na sahi
Najdio Kalima parha ne ka bhi ehsaan gaya

Aaj le unki panah aaj madad maang unse
Phir na manenge Qayamat mein agar maan gaya

Jaano dil hosh o khirad sab to Madine ponche
Tum nahin chalte Raza saara to samaan gaya

Farrukh Aziz Monday, July 16, 2012 12:48 AM

Naat-E-Sarkar

Aaj ashk mere Naat soonaa’e to ajab kiya
Sun kar woh mujhe paas bulaa’e to ajab kiya.

Deedar ke qaabil to kaha meri nazar he
Lekin woh kabhi khwaab me aaye to ajab kiya.

Un par to ghunahagaar ka sub haal khula he
Us par bhi who daaman me choepaa’e to ajab kya.

Haasil jinhi Aqaa ki ghulaami ka sharaf he
Tokar se woh moordo ko jalaa’e to ajab kiya.

Muh dhan ke rakna ke ghunahagaar bohot ho
Mayyit ko meri dekhne aye to ajab kiya.

Na zaade safar he na koyee kaam bhale he
Lekin mujhe Sarkaar bulaa’e to ajab kiya.

Woh husne do alam he Adeeb Un ka karam he
Sehra bhi ghir phool khilaa’e to ajab kiya.

Farrukh Aziz Tuesday, July 17, 2012 12:46 PM

[COLOR="RoyalBlue"][B][B]Ya Ilaahi Har Jaga[/B][/B][/COLOR]

Ya ilaahi har jaga teri ataa ka saath ho
Jab pare mushkil sha'e mushkil kusha ka saath ho
O Allah! In every instance let me be blessed by Your Bounties
When I am in calamity, Let me be with the Eradicator of all calamities.

Ya ilaahi bhool jawu naza'ki takleef ko
Shaadiye deedare husne Mustafa ka saath ho
O Allah! Let me not remember the difficulties of death,
When blessed by the joy of seeing the Holy Prophet, peace and blessings of Allah be upon him,

Ya ilaahi gor teera ki jab aayeh sakht raat
Unke pyaare mu ki subha jaa fiza ka saath ho
O Allah! When the night of darkness in the grave finally comes
Let it be brightened by the Holy Prophet, peace and blessings of Allah be upon him,’s Blessed Face which gives hope

Ya ilaahi jub pare mahshar me shore daar-o-geer
Amn dene waale pyaare peshwa ka saath ho
O Allah! In the Hereafter when there will be total pandemonium
Let me be with our Leader, the Granter of Salvation

Ya Ilaahi Jub Zabaane Baahar Aayey Pyaas Se
Saahib-e-Kauthar Sha'e Jood-o-ataa Ka Saath Ho
O Allah! When our tounges hang in immense thirst
Let us be blessed by the Distributor of Kawthar & The Generous King

Ya ilaahi sard-e-mehri par ho jab khurshid-e-hashr
Sayyad-e-besaaya ke zille-e-liwaa ka saath ho
O Allah! When the Hot Sun is over our heads on the day of Reckoning
Let us be under the shade of the Banner of the Shadowless Master

Ya ilaah garmi-e-mahshar seh jub bharke badan
Daaman-e-mahboob ki thandi hawaa ka saath ho
O Allah! When our bodies burn up in the heat of the Day of Reckoning,
Let us be in the cool breeze from the Presence of the Holy Prophet, peace and blessings of Allah be upon him,

Ya ilaahi nama-e-a'maal jab khulne lage
Aib-e-pooshe khalq sat'taare khata ka saath ho
O Allah! When the books of our deeds are opened
Let the sins of the servants be hidden by the One who conceals our shortcomings

Ya ilaahi jub bahe aankhe hisaab-e-jurm me
Un tabassum rez-e-honto ki dua ka saath ho
O Allah! When our eyes tear in accountabililty of our sins
Let us be blessed with prayers from his sweet smiling Mouth

Ya ilaahi jub hisaabe khanda-e-bejaa rulaaye
Chashme giryaane shafi-e-murtaja ka saath ho
O Allah! When the Accountability causes us to cry in vain
Let us be blessed with the Intercession of our Master who hurts for us

Ya ilaahi rang laayi jab meri be haaqiyah
Unki neechi neechi nazro ki hayaa ka saatho ho
O Allah! When my daring actions are unveiled before all
Let me be with the modesty of the Lowered Gaze of the Beloved Prophet, peace and blessings of Allah be upon him,

Ya ilaahi jab chalo tareekh raahe pul siraate
Aftaab-e-haashmi noorul huda ka saath ho
O Allah! When we walk over the dark bridge of Pul Siraat
Let us be with the guiding Light of the Holy Prophet, peace and blessings of Allah be upon him,

Ya ilaahi jub sare shamsheer par chalna pare
Rabbe sallim kehne waale ghamzudah ka saath ho
O Allah! When we have to walk on the sword-like path,
Bless us as the One who removes grief says, "O Allah allow them safe passage"

Ya ilaahi jo dua'e nek hum tujhe se kare
Qudsiyo ke lub se aameen rab'bana ka saath ho
O Allah! For all the Good things which we invoke You
Allow the Angels to say, "Ameen O Allah" for whatever we ask

Ya ilaahi jab raza khaab-e-giraa say sar utaa'ay
Daulat-e-baydaar ishk-e-Mustafa ka saath ho
O Allah! When Raza raises his head from his precious sleep,
Let him be given the Gift of awakening in the Love of the Beloved Prophet, peace and blessings of Allah be upon him,

Ya ilaahi lay chalay jub dafan karnay qabar may
Ghaus-e-azam peshwa'ay awliya ka saath ho
O Allah! When I am taken towards my grave for my burial
Let Ghaus-e-Azam the Leader of the Awliya be with Me

Farrukh Aziz Wednesday, July 18, 2012 12:42 PM

[COLOR="Blue"][B]Uthado Parda Dikhaado Chehra[/B][/COLOR]

Uthado parda dikhaado Chehra
Ke Noore baari hijab me he

Zamaana taarikh ho rahaa he
Ke meher kab se naqaab me he

Unhi ki boo ma ya saman he
Unhi ka Jalwa chaman chaman he

Unhi se Gulshan mehak rahe he
Unhi ki rangat ghulab me he

Khade he Munkar Nakir sar par
Na koyee haami na koyee yaawar

Batado aakar mere Payambar
Ke sakht mushkil jawab me he

Khuda-e Qah’har he gazab par
Khule he badkaariyo ke Daftar

Bachaalo aakar Shafi-e Mehshar
Tumhara banda azaab me he

Kareem aisa mila ke jiske
Khule he haath aur bhare khazaane

Batao-e mufliso ke phir kyuun
Tumhara dil iztaraab mein he

Karim apne karam ka Sadqa
Laeem beqadr ko na sharma

Tu aur Raza se Hisaab lena
Raza bhi koyee Hisaab me he

Farrukh Aziz Wednesday, July 18, 2012 12:48 PM

[B][COLOR="RoyalBlue"]Raate Bhi Madine Ki Baate Bhi Madine Ki[/COLOR][/B]

Raate bhi Madine ki baate bhi Madine ki
Jeena mein ye jeena hai kya baat hai jeene ki

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Mein Madine ki galiyon pe qurban
Jinse guzra he Shah-e-Madinah

Is tarha se mehekta hai raasta
Itr jaisa lage huwa hai

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Kya mehekta ta hai mehekne wala
Ke buu pe chalta hai bhatakne wala

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Wallah jo miljaaye tera gul ka paseena
Maanga na kabhi itr na phir chaaya dulan phool

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Ye zakham hai Taiba ka ye sabko nahi milta
Koshish na kare koi is zakham ko seena ki

Ye apni nigaaho se mastaana banata hai
Mastaana banata hai deewana banata hai

Har saal Madine me Mirza ko bulaata hai
Sarkar jagaata hai taqdeer kameene ki

Raate bhi Madine ki baate bhi Madine ki
Jeena mein ye jeena hai kya baat hai jeene ki.

Farrukh Aziz Thursday, July 19, 2012 08:07 AM

[B][B][COLOR="RoyalBlue"]Tanam Farsooda Jaa Para[/COLOR][/B][/B]
(with English Translation)

Tanam Farsooda jaa para
Ze Hijra, Ya Rasulallah
Dillam Paz Murda Aawara
Ze Isyaa, Ya Rasulallah !
My body is dissolving in your separation
And my soul is breaking into pieces, Ya Rasulallah!
Due to my sins, My heart is weak and becoming enticed, Ya Rasulallah!

Choon Soo’e Mun Guzar Aari
Manne Miskeen Zanaa Daari
Fida-E-Naqsh-E-Nalainat
Kunam Ja, Ya Rasulallah!
When you pass by me
Then even in my immense poverty, ecstatically,
I must sacrifice my soul on the impression of your Blessed Sandal, Ya Rasulallah!

Ze Jaame Hubb To Mustam
Ba Zanjeere To Dil Bustam
Nu’mi Goyam Ke Mun Bustum
Sukun Daa, Ya Rasulallah!
I am drowned in the taste of your love
And the chain of your love binds my heart.
Yet I don’t say that I know this language (of love), Ya Rasulallah!

Ze Kharda Khaish Hairaanam
Siyaa Shud Roze Isyaanam
Pashemaanam, Pashemaanam, Pashemaanam, Ya Rasulallah !
I am worried due to my misdeeds;
And I feel that my sins have blackened my heart, Ya Rasulallah!
I am in distress! I am in distress! I am in distress! Ya Rasulallah!

Choon Baazoo’e Shafaa’at Raa
Khushaa’I Bar Gunaagara
Makun Mahruume Jaami Raa
Daraa Aan, Ya Rasulallah !
Ya Rasulallah ! When you raise your hands to intercede for the sinners,
Then do not deprive Jami of your exalted intercession.

Farrukh Aziz Thursday, July 19, 2012 02:39 PM

[COLOR="Blue"][B]GOD IS THE LIGHT [/B][/COLOR]

[B]How great the wonder of the heavens
And the timeless beauty of the night
How great, then how great the Creator?
And its star like priceless jewels
Far beyond the reach of kings
Bow down for the shepherd guiding him home

But how many eyes are closed
To the wonder of this night?
Like pearls hidden deep, beneath a dark stream of desires
But like dreams vanish with the call to prayer
And the dawn extinguishes night - here too are signs
God is the Light, God is the Light

How great the beauty of the earth and the creatures
Who dwell on her
How great, then how great the Creator?
As its mountains pierce the clouds

High above the lives of men
Weeping rivers for thousands of years
But how many hearts are closed
To the wonders of this sight?
Like birds in a cage, asleep with closed wings
But as work stops with the call to prayer
And the birds recite - here too are signs
God is the Light, God is the Light

How great the works of man and the things he makes
How great, then how great the Creator?
Though he strives to reach the heavens
He can barely survive
The wars of the world he lives in
Yet how many times he?s tried, himself to immortalise?
Like his parents before him in the garden of Eden
But like the sun sets with the call to prayer
And surrenders to the night here too are signs
God is the Light everlasting, God is the Light everlasting[/B]

Farrukh Aziz Thursday, July 19, 2012 02:42 PM

[B][COLOR="Blue"]KAB TALAK MUNTAZIR HUM RAHEIN YA NABI[/COLOR][/B]

Kab talak muntazir hum rahein Ya Nabi
Apna Jalwa-e-athar dikha deejiye
Hum faqeeron ki Ya Ahmad-e-Mujtaba
Piyaas qalb-o-nazar ki bujha deejiye

Aap zeenat azall ki hein Khair-ul-waraa
Aap ronaq abadd ki hein Salle Alaa
Aap Khair-ul-Bashar, Wajah-e-kaun-o-makaan
Paar baira hamara laga deejiye

Arsh walay bhi tairay sana khwan hein
Aur Malaik tairay darr key darbaan hein
Tairay darbaar-e-aali ki kiya shaan hay
Apnay qadmon mein hum ko bula leejiye

Ranj-o-Aalaam se hum ko kar do baree
Khushk hai dil ki khaitee, yeh kar do haree
Tashnagee, Bekalee, Teergi, Ya Nabi!
Rahguzaron ki dil say hataa deejiye

Bay amal hum saraapa gunahgaar hein
Ranjishon mushkilon mein giriftaar hein
Hum karam kay tumharay talabgaar hein
Aah-o-girya say hum ko jilla deejiye

Sab say ooncha hay rutbon mein rutba tera
choomtay hein malaaik bhee Roza tera
Chahatein dil mein hein, sar mein sauda tera

Farrukh Aziz Friday, July 20, 2012 03:52 PM

[COLOR="RoyalBlue"][B]Dil Mein Ho Yaad Teri[/B][/COLOR]

Dil mein ho yaad teri gosha e tanhaii ho
Phir to khalwat mein ajab anjuman aaraii ho

Aaj jo Aeb kisi per nahi Khulne Dete
Kab wo Chahenge Meri Hashar men Ruswayee Ho.

Aastana pe tere sarr ho ajal aayi ho
Aur ay jaane jahaan tu bhi tamashae ho

Khaakh paamal gharibaan ko na kyun zinda kare
Jis daamaan ki hawa bad e maseehaii ho

Us ki qismat pe fidaa takht shaahe ki raahat
Khaakh e Taiba pe jisse chain ke neend aayi ho

Taaj waalo ki khwaaish he ke unke dar par
Hum ko haasil sharf e nasiyaa farsaii ho

Band jab khwaab e ajal se huun Hassan ke aankhein
Us ki nazron mein tera jalwaii zebaii ho

Farrukh Aziz Friday, July 20, 2012 03:56 PM

Allahu Allahu Allahu Allahu


As-subhu bada min tala’ atihi
Wal laylu daja miN wafratihi
Hai noore sahar chehre se Tere
Aur shab ki rawnaq zulfon se
The light of the dawn is from the radiance of Your Blessed Face
And the sparkle of the night is from the glimmer of Your Blessed Hair

Kanz-ul-karamii mowl-an-ni’amii
Haad-il-umamii li sharii’ati hii
Naimat ka khazina hai Mawla, ganjina e rehmat hai Aaqa
Hadi hai tammam ummat ke, aur rehnuma hai shari’at ke
Our Master is the treasure of grace, He is a treasure of mercy
He is the guide of the entire Nation, showing us the way of the Sacred Law

Sa’tish shajaru nataqal hajaru
Shaqqal qamaru bi ishaaratihi
Ungli ke ishaare ped chale, Hijaz se patthar bol uthe
Aur chand huwa hai do tukre angusht ke ek ishaare se
On the command of your Blessed finger the tree began to walk
Embraced in your hand the stones began to speak
Upon one gesture of Your blessed finger the moon was split in two

Jibrilu ata laylata asra’
Wa ’r-rabbu da‘a fi hadratihi
Jibril-i Amin paigham-i khuda, lekar aaye the shab-i asra'
Allah hane Arsh pe bulwiya, Kurbat ke sharaf unko baksha
On the night of the Ascension, Hazrat Jibril came with glad tidings
Your Lord invites you to the heavens, bestowing upon You the honour of intimacy

Fa-wasilatuna huwa sayyiduna
Wa ’l-izzu lana bi-ijabatihi
So Muhammad hai apane aqa
Is naam se apani izzo vaqa
Therefore You are our benefactor, You are our leader
You are the cause of our dignity and preservation

Wa ahsanu minka lam thara qatun Aini
Wa ajmalu minka talidin nisa’
My eyes have not seen more beautiful person than you
No women has given birth to a more beautiful person than you

Khuliqta mubarra an min kulli aibin
Ka annaka qad khuliqta kama tashaa
You have been created without any weakness and blemish
As if you have been created as you wished to be created.

Farrukh Aziz Saturday, July 21, 2012 12:41 PM

[B]Wo Bhi Din Aayega Ek Baar[/B]

[COLOR="Blue"]Karne Roze Ka Deedar Main Madine Ja'Unga
Woh Din Ayega Ek Baar Main Madine Ja'Unga

Shahe Madina Rehmathe Alam Nabiyon Ke Sardar
Dekiye Kab Diklaye Apna Noorani Darbar
Main To Hun Kab Se Thayyar Main Madine Ja'Unga

Badi Ummeedh Hai Sarkar Qadhmon Main Bulayenge (3)
Karamki Jab Nazar Hogi Madine Ham Sab Jayenge

Deka Nahi Unka Dar Ab Thak Kya Hoga Anjan
Mere Dilki Dadkan Mujko Deti Hai Paygam
Mere Dilki Dadkan Dadkan
Dadkan Dadkan Dadkan Dadkan Deti Hai Paygam
Marne Se Pehle Ek Bar Main Madine Ja'unga

Hai Amina Main Meem Halima Mein Meem Hai
Mehrab Mein Hai Meem To Mimbar Mein Meem Hai
Minar Mein Hai Meem To Masjid Mein Meem Hai
Iman Mein Hai Meem To Muslim Mein Meem Hai
Kya Kya Fazeelathe Hai Muhammad Ki Meem Mein
Mureed Mein Hai Meem To Murshid Mein Meem Hai
Meelad Mein Hai Meem To Mehfil Mein Meem Hai
Paygam Mein Hai Meem Paygambar Mein Meem Hai
Payam Mein Hai Meem Payambar Mein Meem Hai
Ali Mein Meem Na Sahi Maula Mein Meem Hai
Ehram Mein Hai Meem To Zam Zam Mein Meem Hai
Zamin Mein Hai Meem To Asman Mein Meem Hai
Muj Mein Hai Agar Meem To Tum Mein bhi Meem Hai
Makkeh Mein Meem Hai To Madine Mein Meem Hai
Are Islimu Ka Hai Ra Alif Laam Meem Mein

Mujko Ekin hai Karam Karenge Amina Beevi Ke Lal
Unko To Malum Hai Lillah Mere Dil Ka Haal
Jiz Din Chaahenge Sarkaar Mein Madine Ja'Unga

Ke Ghouse Kaja Lal Kalandar Sab Ke Sache Peer
Inki Nisbatka Sarmaya Hai Meri Jagi
Woh Kardenge Beh Aapar (2) Mein Madine Jaunga

Dikne Usdarke Bazaar Mein Madine Ja'unga[/COLOR]


03:01 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.