CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

Farrukh Aziz Thursday, August 22, 2013 12:50 PM

[B][FONT="Comic Sans MS"][SIZE="4"][COLOR="Teal"]Ujala jiska hai do jahan me wo mere aaqa ki roshni hai
Unhi ke qadmon ki barkaton se ye zindagi aaj zindagi hai

Durood padhna salaam padhna har ek pal unka naam padhna
Jo arz karna unhi se karna sikhaya rab ne hame yahi hai

Hisab ka din kathin to hoga magar hame unka aasra hai
Wo aa hi jayenge bakhswane shafa'at unhi ko ata hui hai

Kahan hai duniya me shehar aisa madine jaisa madine jaisa
Hai fakhre jannat zameen ka tukda jahan pe lehde nabi bani hai

Wo khusbu e zulfe Mustafa hai ki mushk bhi hech jiskw aage
Mahekti galiyan yeh keh rahi hai sawaari unki abhi gayi hai

Unhi ka charcha hai aasman par zameen pe bhi zikr hai unhi ka
Har ek gul me har ek kali me mahek unhi ki basi hui hai

Wo sabz gumbad wo unka rouza wo unki masjid ka gosha gosha
Kadam kadam par lage hai aisa falak se jannat utar padi hai

Wahi hai Ahmed wahi Muhammad wahi hai Mehmood wo hai Haamid
Hamid wo hai Saeed wo hai unhi se nazmi ki lau lagi hai..[/COLOR][/SIZE][/FONT][/B]

Farrukh Aziz Thursday, August 22, 2013 12:57 PM

[B][FONT="Arial Black"][SIZE="3"]Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah

[COLOR="YellowGreen"]Lo jhoom ke naam Muhammad ka
Ye naam suhana lagta hai
Is naam se raunaq hoti hai
Purnoor zamana lagta hai[/COLOR]

[COLOR="DarkSlateBlue"]Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah[/COLOR]

[COLOR="Sienna"]Hai dil ki ziya aankhon ki chamak
Is naam me hai kuch aisi mahak
Imaan ko mu'attar kar jaye
Khusboo ka khazana lagta hai[/COLOR]

[COLOR="Orange"]Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah[/COLOR]

[COLOR="Black"]Jo arsh pe Ahmed kehlaye
Wo zaate Muhammad hai beshak
Mehmood aur Haamid mere nabi
Hasnain ka naana lagta hai[/COLOR]

[COLOR="DarkRed"]Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah[/COLOR]

[COLOR="Sienna"]Ye naam waseela bakshish ka
Laraib zariya barkat ka
Wo khulqe azeem Allah Allah
Jo sabse yagana lagta hai[/COLOR]

[COLOR="Blue"]Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah[/COLOR]

[COLOR="Purple"]Taha bhi wahi Yaseen bhi wahi
Wo Bashir-o-Nazeer hai salle ala
Barkat ka khazina naam e nabi
Har roz shabana lagta hai[/COLOR]

[COLOR="Green"]Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah[/COLOR]

[COLOR="DarkSlateBlue"]Naato ki sajate hai mehfil
Padhte hai salaamo ke nagme
Jab jab bhi liya hai naame nabi
Kya khoob tarana lagta hai[/COLOR]

[COLOR="Navy"]Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah[/COLOR]

[COLOR="Teal"]Kya wasf likhe Rizwan unka
Hai jinka khuda khud madha sara
Kuch husne amal to paas nahi
Bas unka diwana lagta hai[/COLOR]

[COLOR="Magenta"]Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah[/COLOR][/SIZE][/FONT][/B]

Farrukh Aziz Friday, August 23, 2013 12:17 PM

[B][FONT="Comic Sans MS"][SIZE="4"][COLOR="Plum"]Khudawand Kareem Ki Barghah Mein Hai

Aap ke Wasile Ki Zaroorat Hai Ya Rasoolallah

[COLOR="Black"]Aap ki Sifarish Hojaye Agar Mere Liye
Is Se Badi Kya Baat Hogi Ya Rasoolallah[/COLOR]

[COLOR="Lime"]Woh Alfaz Kaha Se Layoon Main
Jo Allah ki Sana Aur Aap Ki Azmat Bayan Kar Sakeen[/COLOR]

[COLOR="Black"]Phir Bhi Yeh Kosish Hai Is Nacheez Ki
Aap Se Yeh Guzarish Khudawand Kareem Tak Pohchane Ki[/COLOR]

[COLOR="Orange"]Tanha Jal Raha Hoon Main Sehra Mein
Aapki Kaali Kamli Ki Chaon Mujh Par Ho Jaye Ya Rasoolallah[/COLOR]

[COLOR="Black"]Zindagi Meri Hai Woh Kishti, Jo Gum Gayi Hai Samandar Mein
Isse Iman Ke Sahil Peh Panah Mil Jaye Ya Rasoolallah
[/COLOR]
[COLOR="DeepSkyBlue"]Deewar Banke Ke Ruke Hain Mujhe Log
Deewar Ke Gihrne Se hojaye Asra Ya Rasoolallah
[/COLOR]
[COLOR="Black"]Main Akela Kada Hoon Is Weerane Mein
Allah Loh Ishq-e-Rasool (saw) Dil Mein Jaga De[/COLOR].[/COLOR][/SIZE][/FONT][/B]

Farrukh Aziz Friday, August 23, 2013 12:21 PM

[B][FONT="Comic Sans MS"][SIZE="4"][COLOR="DarkRed"]hai yehi qahesh ke raat din likhta rahu naat-e-mustafa(saw)
isse badkar aur kiya hogi aata-e-mustafa(saw)

sajate raho mahafil aqidat se aur mohabbat se
phir jald hogi mahafil me amad-e-mustafa(saw)

wala soufa yuu tika rabbuka fatarza kaha hai qur aan me rab
ne
dekho khuda bhi chahta hai raza-e-mustafa(saw)

chale the farooq(raziallahutalaanhu)khatl-e-huzoor ke liye
badal diye irada jab dekha chehra-e-mustafa(saw)

padte raho durood-o-salam aqa-e-do jahan par
yaqinan hogi wajib shafaat-e-mustafa(saw)

karde moula ab fazlo karam JABER pe
take ye bhi ban jaye aashiq-e-mustafa(saw)
(Ameen ya allah)[/COLOR][/SIZE][/FONT][/B]

ENGINEER BILAL MINHAS Saturday, August 24, 2013 11:08 AM

Dar e Nabi Par in English
 
Dare nabi par para rahoon ga pare hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri kabhi to mera salam hoga
I will remain at the Prophet's door, my wishes will only be fulfilled by staying there!
At some time my destiny will shine, sometime I will be able to present my salam!

Khilafe mashooq kuch huwa hai na koi aashiq se kaam hoga
Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil jidhar woh aali maqam hoga
No lover has ever done or will ever do anything against their beloved
God will also be there, let the heart come to where that elevated place is!

Kiye hi jaoon ga arz matlab milega jab tak na dil ka matlab
Na shaam e matlab ki subha hogi na yeh fasana tamam hoga
I shall keep on pleading for my heart's desire until it is met!
Neither will the eve of my desires ever see morn, nor will this story ever end!

Jo dil se hai ma’il-e-payambar yeh is ki pehchan hai muqarrar
Ke har dam is be nawa ke lab par durood hoga salam hoga
He who is in thrall of the Messenger from his heart, is constantly recognised by this:
At every breath from his soundless lips pours salutations and blessings upon him!

Isi tawaqqa pe ji raha hoon yehi tamanna jila rahi hai
Nigahe lutfo karam na hogi to mujh ko jeena haram hoga
I am keeping alive with this expectation; this want keeps me breathing:
If I don't receive his gracious gaze of pleasure my staying alive will be a crime!

Farrukh Aziz Saturday, August 24, 2013 02:47 PM

[B][SIZE="5"][COLOR="Blue"]Dil Madinah Mera Bana Aaqa[/COLOR][/SIZE][/B]

[B][FONT="Comic Sans MS"][SIZE="4"][COLOR="RoyalBlue"]Dil madinah mera bana Aaqa (SAW),
Ho mujhe chashm-e-nam ataa Aaqa (SAW).

Ab huzoori ho, dur doori ho,
Phir madinay mujhe bula Aaqa (SAW).

Maut kay baad, bhi suroor aaye,
Aisi ulfat ki mai pila Aaqa (SAW).

Mujh ko Siddiq (Radi Allahu Anhu) ki sadaqat ka,
Koi zara Tu (SAW) kar ataa Aaqa (SAW).

Kash roay Khashiyat-e-Rab say,
Behr-e-Farooq (Radi Allah Anhu) dil mera Aaka (SAW).

Behr-e-Usman (Radi Allah Anhu) ba haya mujh ko,
Dijiye dolat-e-haya Aqa (SAW).

Behr-e-Mola Ali (Alaihis Salaam) mujhe ghalba,
Dushmano per tu kar ataa Aaka (SAW).

Az paye Fatima (Radi Allahu Anha) mujhe apnay,
Ishq mein har ghari rula Aaka (SAW).

Behr-e-Hasnain (Radi Allahu Anhu) day panah mujh ko,
Paikar-e-sabr or riza Aaqa (SAW).

Mujh ko sadqay mein Bu-Hanifa (Radi Allah Anhu) kay,
Aalim-e-baa amal bana Aaqa (SAW).

Waasta tujh ko Ghous-e-Azam (Radi Allah Anhu) ka,
Naik seerat mujhe bana Aaqa (SAW).

Waasta tujh ko Alahazrat (Radi Allah Anho) ka,
Tu mujhe muttaqi bana Aaqa (SAW).

Mere ahlo-ayaal ore mujh say,
Door ho jaye har bala Aaqa (SAW).

Muskura kar Ubaid say keh do,
Tu mera banda mein tera Aaqa (SAW).[/COLOR][/SIZE][/FONT][/B]

Farrukh Aziz Saturday, August 24, 2013 02:49 PM

[B][SIZE="5"][COLOR="Purple"]Dil Main Ishq e Nabi[/COLOR][/SIZE][/B]


[B][SIZE="4"][COLOR="DarkOrchid"]Dil main ishq e Nabi (SAW) ki ho aisi lagan,
Ruh tarapti rahe dil machalta rahe,
Zindagi ka maza hey kay har saans say,
Ya Muhammad Muhammad (SAW) nikalta rahey.

Dil Main Ishq-e-Nabi Kee Ho Aesee Lagan….

Ya Muhammad Muhammad (SAW) mein kehta raha,
Noor kay motion ki lare ban gaee,
Ayaton sey milata raha ayatayn,
Phir jo dekha to Naat e Nabi (SAW) ban gaye.

Jo bhi ansoo bahe merey Mehboob kay,
Sab key sab abr e rehmat kay cheentay banay,
Chah gaee raat jab zulf lehra gaee,
Jab tabasum kiya chandani ban gaee.

Yeh to maana kay jannat hai bagh e haseen,
Khoobsoorat hey sab khuld ki sar zameen,
Husn e jannat ko phir jab samayta gaya,
Sarwar e ambiya ki galee ban gaee.

Jab chirah tazkira un kay rukhsaar ka,
Waduha par liya, wal qamar keh dia,
Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi,
Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi.

Sab say saim zamanay main mazoor tha,
Sab sey beykas tha beybas tha majboor tha ,
Un ko reham agaya merey halaat par,
Meree azmat meree beybasee ban gaee.

Dil mein ishq e Nabi (SAW) ki ho aisi lagan,
Rooh tarapti rahay dil machalta rahay,
Zindagi ka maza hai kay har saans say,
Ya Muhammad Muhammad (SAW) nikalta rahey.[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Sunday, August 25, 2013 12:24 PM

[B][SIZE="5"][COLOR="Green"]Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye[/COLOR][/SIZE][/B]

[B][SIZE="3"][FONT="Comic Sans MS"][COLOR="SeaGreen"]Baat jo kijiye or jab kijiye,
Saath mein Zikr-e-Mehboob kijiye.

Chahtay ho milay zoq ansu bahain,
lab baaton say band apnay lub kijiye.

Loh woh minar-o-gumbad nazar aa gaye,
Ab Salam arz sub ba-adab kijiye.

Subz gunbad kay saaye talay hain kharay,
Khoob taqdeer par rashk aab kijiye.

Woh nawaazein gay khali na lotaayein gay,
Unsay hajaat arz apni sub kijiye.
Saath mein zikr-e-Mehboob kijiye.

Dar pe aakar, bhikari phirein namurad,
Yeh gawara bhala aap kab kijiye.

Ru baroo jaalion kay kharay hain Hazoor,
Ab ataa bheek Shah-e-Arab kijiye.

Aap kay dar kay hotay kidhar jaayein hum,
Ab ataa bheek Shah-e-Arab kijiye

Dijiye hum ko khairat deedar ki,
Aab karam Ya Nabi behr-e-Rab kijiye.

Mar raha hoon gunahoon kay amraaz say,
Ek nazar Janib-e-Jaan balab kijiye.

Qalb-e-tareek par rakh kay apna qadam,
Chaandna mere Mah-e-Arab kijiye.

Sun kay faryad imdaad ko aa gaye,
Yaad Ubaid-e-Raza unko jab kijiye.

Unkay nisar, koi kaisay bhi ranj mein ho,
Jab Yaad aagaye hain, sub gham bhula diye hain,
Yaad Ubaid-e-Raza un ko jab kijiye.

Walah woh sun lein gay, faryad ko pohnchein gay,
Itna bhi to ho koi, jo aah karay dil say,
Yaad Ubaid-e-Raza unko jab kijiye.

Baat jo kijiye Aur jab kijiye,
Saath main Zikr-e-Mehboob kijiye.


[/COLOR][/FONT][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Sunday, August 25, 2013 12:27 PM

[SIZE="5"][B][COLOR="Teal"]Bazm e Konain Sajanain Kay liye [/COLOR][/B][/SIZE]

[B][SIZE="4"][FONT="Comic Sans MS"][COLOR="Teal"]Bazm-e-Konain Sajanain kayliyay aap Aaye
Sham-e-toheed jalaanain kayliyay aap Aaye

Aik pegham jo har dil main ujala kar day
Saaree dunya ko sunanain kayliyay aap Aaye

Aik mudat sey battaktay huway insano ko
Aik markaz pey bulanain kayliyay aap Aaye

Na khuda ban kay obaltay huway toofaanon main
Kashtiyan paar lagane kayliyay aap Aaye

Qafilay wale batak jaeyn na manzil sey kaheen
Door tak raha dekanain kayliyay aap Aaye

Chashm-e-beydaar ko asraar khudaee bakhshay
Sonay walon ko jaganain kayliyay aap Aaye
[/COLOR][/FONT][/SIZE][/B]

SADIA SHAFIQ Saturday, March 15, 2014 03:25 PM

[b][/b][color="darkred"][/color][size="4"][font="palatino linotype"][size="4"][b][i]
دل ہی ہے نہ کہ سنگ و خشت درد سے بھر نہ آۓ کیوں۔
روئیں گے ہم ہزار بار کوئی ہمیں ستاۓ کیوں؟

دیر نہیں ، حرم نہیں ، در نہیں ، آستاں نہیں۔
بیٹھے ہیں رہ گزر پہ ہم،غیر ہمیں اتھاۓ کیوں؟

جب وہ جمالٍ دلٍ فروز، صورتٍ مہرؤ نیم ٍو روز۔
آپ ہی ہو نذرانہٍ سوز،پردے میں مونہہ چھپاۓ کیوں؟

دشناۓ غمزہ جانٍ ستاں، نواکٍ نازٍ بے پناہ۔
ترا ہی عکسٍ ُرخ سہی،سامنے ترے آۓ کیوں؟

قیدٍ حیات و بندہ و غم،اصل میں دونوں ایک ہیں
موت سے پہلے آدمی غم سے نجات پاۓ کیوں؟

حسں اور اس پہ حسنٍ زان راہ گئی بلحوس کی شرم۔
اپنے پہ اعتماد ہے غیر کو آزماۓ کیوں ؟

واں وہ غرورٍ عزو ناز، یاں یہ حجابٍ پاسٍ وضع۔
راہ میں ہم ملیں کہاں ،بزم میں وہ بلاۓ کیوں؟

ہاں نہیں وہ خدا پرست ، جاؤ بے وفا سہی
جسکو ہو دین و دل عزیز،اسکی گلی میں جاۓ کیوں؟

غالبٍ خستہ کہ بغیر کونسے کام بند ہیں۔
روئیے زار زار کیاا، کیجیۓ ہاۓ ہاۓ کیو ں؟

مشہور مجدید ٍ دین وملت حضرت احمد رضا سید (رح )نے اسی قا فیے اور ردیف کو فا لو کرتے ہوۓ اک دل افزوں نعت کہی جو دل کو چھوتے ہوۓ آپ کو قیفیتٍ وجد میں پہنچا دیتی ہے۔

نعت شریف :

پھر کے گلی گلی تباہ ٹھوکریں سب کی کھاۓ کیو؟۔
دل کو جو عقل دے خدا تیری گلی سے جاۓ کیوں؟۔

رخصتٍ قا فلہ کا شور غش سے ہمیں اٹھاۓ کیوں؟
سوتے ہیں ان کے ساۓ میں کوئی ہمیں جگاۓ کیوں؟

ھم تو ہیں آپ دل فگار ،غم میں حسیں ہے ناگوار
چھیڑ کے گل کو نو بہار ، خون ہمیں رلاۓ کیوں

اب تو نہ روک اے غنی، عاد تیں سب بگڑ گئی
میرے کریم پہلے ہی لقمہ تر کھلاۓ کیوں

یادٍ حضور(ﷺ) کی قسم غفلتٍ عیش ہے ستم۔
خوب ہے قیدٍ غم میں ہم،کوئی ہمیں چھڑاۓ کیوں؟

یا تو یو نہی تڑپ کے جائیں یا وہ ہی دام سے چھڑاۓ
منتٍ غیر کیوں اتھائیں کوئی ترس جتاۓ کیوں

جانٍ ہے عشقٍ مصطفی(ﷺ)روز فضوں کرے خدا
جسکو ہو درد کا مزا ،نازٍ دوا اٹھاۓ کیوں ؟

دیکھ کہ حضرتٍ غنی پرے فقیر بھی
چھائی ہے اب چھونی حشر آنا جاۓ کیوں۔

وہ جا نہ تھے تو کچھ نہ تھا،وہ جو نہ ہوں تو کچھ نہیں۔
جان ہے وہ جہاں کی ، جان ہے تو جہاں ہے ۔

۔
ہے تو رضا (رح) نرا ستم جرم پے گر لجاۓ ہم۔
کوئی بجاۓ سوزٍ غم ،سازٍ طرب بجاۓ کیوں[/i][/b][/size][/font][/size]


08:42 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.