CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

sure hope Tuesday, September 15, 2009 02:45 PM

2 Attachment(s)
[B]“Kalki Autar”

By Pandit Weed Parkash
[/B]

Symbol Tuesday, September 15, 2009 08:47 PM

Gunahon Ki Adat Churah Meray Mowla,
Mujhay Naik Insaan Bana Meray Mowla


Meri Sabhi Har Khatha Meray Mowla,
Tu Rehmath Sey Apni Mita Meray Mowla


Tu Qudrat Say Apni Badal Naikyon Sey,
Har Ik Meri Laghzish, Khata Meray Mowla


Mujhay Naik Insaan Bana Meray Mowla

Jo Tujh Ko Jo Teray Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) Ko Pasand Hai,
Mujhay Aisa Bandhah Bana Meray Mowla


Tu Masjood Mera Main Saajid Hu Tera,
Tu Malik, Main Bandha Tera Meray Mowla


Tu Matloob Mera Main Talib Hu Tera,
Mujhay Deyday Apni Wila Meray Mowla


Mujhay Naik Insaan Bana Meray Mowla

Tu Leyga Agar Adal Sey Kaam Apnay,
Main Hun Mustahik Naar Ka Meray Mowla


Tujay Waastha Teri Rahmat Ka Ya Rabb,
Jahannam Sey Mujh Ko Bacha Meray Mowla


Jo Rahmath Teri Shah Miley Haal Ho Tho,
Tikana Hey Jannath Mera Meray Mowla


Mujhay Naik Insaan Bana Meray Mowla

Meri Tha Qiyamat Jo Nasley Ho Ya Rabb,
Ho Sab Aashiq-E-Mustafah Meray Mowla


Mujhay Bhi Dikhaday Tu Jalwa Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) Ka
Yahi Hai Meri Iltijah Meray Mowla


Jinon Ney Kaha Hai Duaon Ka Mujh Sey,
Tu Kar Dey Sabhi Ka Bhala Meray Mowla


Rula Tu Mujhay Bas Gham-E-Mustafa (Sal Allaho Alehi Wasallam) Main,
Na Duniya Keh Gham Mein Rula Meray Mowla


Na Mohtaaj Kar Tu Jahan Mein Kisi Ka,
Mujhay Muflisi Sey Bacha Meray Mowla

Hai Ka'bay Pay Nazray Obaiday Raza Ki,
Ho Maqbool Har Ik Dua Meray Mowla

Mujhay Naik Insaan Bana Meray Mowla

Red Flower Wednesday, September 16, 2009 07:34 PM

[CENTER][YOUTUBE]RSEU_OgoJUk[/YOUTUBE][/CENTER]

Red Flower Thursday, September 17, 2009 08:23 PM

[B][COLOR="Purple"]Lab par naat-e-pak ka naghma kal bhi tha aur aj bhi hy
Mery Nabi sy mera rishta kal bhi tha aur aj bhi hy

aur kisi janib kiyon jayen aur kisi ko kiyon dekhein
apna sab kuch gumbad-e-khizra kal bhi tha aur aj bhi hy

pust wo kesy ho sakta hy jisko Haq ny buland kiya
dono jahan main unka charcha kal bhi tha aur aj bhi hy

jis ky faiz sy banjar seenon ny shadabi payi hy
mauj main wo rehmat ka darya kal bhi tha aur aj bhi hy

batla do yeh hr dushman-e-deen ko ghairat-e-muslim zinda hy
deen pr mar mitny ka jazba kal bhi tha aur aj bhi hy

in ky dar sy sab ho aaye jaa na saka to aik sabhi
yeh ky aik tasweer-e-tamana kal bhi tha aur aj bhi hy

jinn ankhon sy taiba dekha wo ankhein bay taab hein phir
inn ankhon main aik takaza kal bhi tha aur aj bhi hy[/COLOR][/B]

ravaila Thursday, September 17, 2009 09:03 PM

[B][U][COLOR="DarkOrange"]Kalaam = Hassan Raza Khan[/COLOR][/U]

Karay Chaara Saazee Ziyarat Kissee Kee
Bharay Zakham Dil Kay Malaahat Kisse Kee

Chamak Kar Ye Kehtee Hai Tal'at Kisee Kee
Kay Deedar-e-Haq Hai Ziyarat Kissee Kee

Ajab Pyaree Pyaree Hai Soorat Kisee Kee
Humein Kiya Khuda Ko Hai Ulfat Kisse Kee

Abhee Paar Hoon Doobnay Waalay Beiray
Sahara Lagaday Jo Rehmat Kissee Kee

Kissee Ko Kissee Say Hui Hai Na Hogee
Khuda Ko Hai Jitnee Muhabbat Kissee Kee

Dum-e-Hashar Aasee Mazay Lay Rahay Hain
Shafa'at Kissee Kee Hai Rehmat Kissee Kee

Khuda Ka Diya Hai Teray Paas Sub Kuch
Teray Hotay Kiya Hum Ko Haajat Kisee Kee

Qamar Ik Ishaaray Mein Do Tukray Dekha
Zamanay Pay Roshan Hai Taaqat Kissee Kee

Humein Hain Kissee Kee Shafa'at Kee Khaatir
Humaree Hee Khaatir Hai Shafa'at Kissee Kee

Musibat Zadoon Shaad Ho Tum Keh Unse
Nahi Dekhi Jaati Musibat Kissi Ki

Na Pohonchaygay Jab tak Gunaahgar Un Kay
Na Jaayegi Jannat Mein Ummat Kissi Ki

Khuda Say Dua Hai Keh Hungaam-e-Rukhsat
Zubaan-e-Hassan Par Ho Midhat Kissi Ki[/B]

Red Flower Friday, September 18, 2009 07:40 AM

[B][COLOR="purple"]Na ho aaraam jis bimaar ko saare zamaane se
Uthaa lejaaye thori khaak unke aastaane se

Tumhaare dar ke tukro se paraa palta he ek aalam
Guzaara sub ka hotaa he ussi muhtaaj khaane se

Shab-e-asra ke doolha par nichaawar hone waali he
Nahee to kya garaz thee itni jaano ki banaane se

Na kyun unki taraf allah sou sou pyaar se dekhe
Jo apni aankhe malte he tumhaare aastaane se[/COLOR][/B]

Red Flower Friday, September 18, 2009 07:45 AM

[B][COLOR="Purple"]Allah da pyara madni qalbe-jamal sohna ghar Abdullah dey aayaa Amina da laal sohna

zulfa wal'Lail waala waduha dey chehray waala
Taaha dey taaj waala Yaseen dey chehrey waala
Umath da shaaf`i hein madni lajpaal sohna
Ghar Abdullah dey aaya Amina da laal sohna

Zulfa wal'Lail diya qasman quran vich
rab da quran saara madni di shaan vich
Khud vi salwatan parrda
Rabzul jalaal sohna
Ghar abdullah dey aaya amian da laal sohna amina da laal sohna

Allah da pyaara madni qalbe jamaal sohna ghar abdullah dey ayaa amina da laal sohna[/COLOR][/B]

Red Flower Friday, September 18, 2009 09:39 AM

[CENTER][YOUTUBE]xLgYsscQZLU[/YOUTUBE][/CENTER]

Red Flower Thursday, October 22, 2009 02:14 PM

[CENTER][IMG]http://i604.photobucket.com/albums/tt128/red-flower55/28aomfb.jpg[/IMG][/CENTER]

sara soomro Wednesday, February 16, 2011 01:00 AM

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
 
[B][COLOR="DarkRed"]Farishtoon ki salami denay wali fauj gati thi,
Janab e Amina sunti thein, yeh awaz aati thi,
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika
Rehmatoon kay taj walay,
do jahan kay raj walay,
aarsh ki mairaj walay,
aasiyoon ki laj walay.
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.

Mustafa khir ul wara ho,
sarware har do sara ho,
apnay achoon ka tasaduk,
hum badoon ko bhi niba ho.
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.
Ho mubarak ahle imaan,
ho gayi subhay baharaan,
ho gaya har ghar charaghan,
Swalawatullah alaika.
Amina Bibi ka jaya,
baharwi tareekh aaya,
subhe saadiq nay sunaya,
Swalawatullah alaika.

As-tufailay Ghouse Azam,
Ganj Bakhsay faizay azam,
sadqaye Imam e Azam,
door houn sabh hi kay ranj o gham.
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika[/COLOR][/B]

[B][COLOR="DarkRed"]Jankani ke waqt aana
Kalimah taybah sikaana
Chehra eh anwar dekana
Hum koh imaan par utaana
Wasta aale aba ka
Sadaqah Bibi Fatima ka
Aur shaheed-e-karbala ka
Ghum na ho roze jaza ka

Jan kar kafi sahara
Le liya hai dar tumara
Khalq ke waris khudara
Kar qabul salaam hamara
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika ......[/COLOR][/B]


03:36 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.