CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

Red Flower Thursday, August 27, 2009 08:54 PM

Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W
 
[COLOR="Purple"][SIZE="3"][B]Its Ramzan so lets share Naats...[/B][/SIZE][/COLOR]

[CENTER][YOUTUBE]vrmBzM8N0cg[/YOUTUBE][/CENTER]

Red Flower Thursday, August 27, 2009 09:22 PM

[B][CENTER][COLOR="Purple"]Kiya Khabar Kiya Saza Mujh Ko Milti
Meray Aaqa Ny Izzat Bacha Lee

Farday Isya Meri Mujh Sy Lay Kr
Kali Kamli Main Apni Chupa Lee

Woh Ata Pr Ata Krny Waly
Aur Hum B Nahi Talny Waly

Jaisi Jhorii Hy Waisy Bhikari
Jaisa Data Hy Waisy Sawali

Main Gaadaa Hoon Mgr Kis Ky Darr Ka
Wo Jo Sutan-e-Kaun-o-Makaan Hy

Yeh Ghulami Bari Mustanak Hy
Mery Sar Pr Hy Taj-e-Bilali

Meri Umer-e-Rawaaan Bus Thehr Ja
Ab Safar Ki Zaroorat Nahi Hy

Un Ky Qadmoon Main Meri Jabeen
Aur Hathoon Main Raozay Ki Jali[/COLOR][/CENTER][/B]

Chauhdary12 Thursday, August 27, 2009 10:03 PM

[YOUTUBE]OeiO6mqndpo[/YOUTUBE]
[url]http://www.youtube.com/watch?v=OeiO6mqndpo[/url]

Chauhdary12 Thursday, August 27, 2009 11:11 PM

[CENTER][YOUTUBE]Dm82LOTPR7Y[/YOUTUBE]


[B][COLOR="Green"][SIZE="3"]Ae Ishq-E-Nabi Meray Dil Mey Bhi Sama Jana
Mujh Ko Bhe MUHAMMAD(S.A.W) Ka Deewana Bana Jana

Jo Rang Kay Jami Par Roomi Pey Charhaya Tha
Us Rang Ki Kuch Rangat Mujh Pay Bhi Charha Jana

Mujh Ko Bhe MUHAMMAD(S.A.W) Ka Deewana Bana Jana

Qudrat Ki Nigahein Bhe Jis Chehra E Anwar Ko Taktee hein
Us Chehra E Anwar Ka Deedaar Kara Jana

Mujh Ko Bhe MUHAMMAD(S.A.W) Ka Deewana Bana Jana

Jis Khwab Mey Ho Jaey Deedaar E Nabi(S.A.W) Hasil
Aey Ishq Kabhi Mujh Ko Neend Aesi Sula Jana

Mujh Ko Bhe MUHAMMAD(S.A.W) Ka Deewana bana Jana

Ae Kaash Riyaaz Aey Pegham MADINA PAAK Say
SARKAR(S.A.W) Bulatay Hein, Tum Naat Suna Jana

Deedaar E MUHAMMAD(S.A.W) Ki Hasrat To Rahey Baki
Juz Is Key Har ik Hasrat Is Dil Sey Mita Jana

Ae Ishq-E-Nabi Meray Dil Mey Bhi Sama Jana
Mujh Ko Bhe MUHAMMAD(S.A.W) Ka Deewana Bana Jana[/SIZE][/COLOR][/B][/CENTER]

Red Flower Saturday, August 29, 2009 12:28 PM

[CENTER][B][COLOR="Purple"]Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
Bas Issi Baat Say Ghar Mein Meri Rahmat Hogi
Ik Tera Naam Waseela He Mera
Ranj O Gham Mey Bhi Iss Naam Sey Rahat Hogi

Kabhi Yassin Kabhi Toha Kabhi Walail Aya
Aray Jis Ki Kasmein Mera Rab Khata Hai
Kitni Dilkash Meray Mehboob Ki Soorat Hogi

Ye Suna Hey Kay Bahot Ghor Andheri Hogi
Qabar Ka Khowf Na Rakna Ey Dil
Waha Sarkar E Madina Ki Ziarat Hogi

Unko Mukhtar Banaya Hey Merey Mola Ney
Khuld Mein Bas Wahi Ja Sakta Hein
Jisko Hasnain Kay Baba Ki Ijazat Hogi

Unki Chokat Pey Parey He to Bari Moj Mein Hey
Lot Kay Ayengey Jab Us Dar Sey
Merey Dil Tu Hi Bata Kya Teri Halat Hogi

Hashr Ka Din Bhi Ajab Deykna Vala Hoga
Zulf Lehra Key Wo Jab Ayengey
Phir Qiyamat Mein Bhi Ik Aur Qiayamat Hogi

Rashk Sey Door Karey Deyktey Hogay Zaahid
Jab Sare Hashr Gunahgaro Pey
Merey Aaqa Ka Karam Hoga Inayat Hogi

Do Jahaan Mein Usey Kon Pana Deyga
Hoga Ruswa Sare Hashr Jise
Syeda Zahra Kay Bach Sey Adawat Hogi

Mayray Sarkaar Bulaa Ain Gay, Un Ki Chokat Pay
Wo Nazaara Phir May Daykoon Ga,
Daykh E Kar Gumbad E Khazra, Mayri Ulfat Hogi

Mera Daman to Gunaho Sey Bhara Hey ILTAF
Ik Sahara Hey Kay Mein Unka Hoon
Issi Nisbat Sey Sar-e-hashr Shifa-at Hogi [/COLOR][/B][/CENTER]

ravaila Saturday, August 29, 2009 01:46 PM

[B][CENTER][COLOR="Purple"]Zameen maili nahi hoti, zaman maila nahi hota
Zameen mali nahi hoti, zaman maila nahin hota
Muhammad (SAW) kay gulamon ka kafan maila nahi hota.

Mohabbat Kamli wale say, woh jazba hai suno logo
Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota.

Muhammed (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

Gulon ko choom laite, hain seharnam shabnami qatre
Nabi (SAW) ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota.

Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

Jo Naam-e-Mustafa (SAW) chumein, nahi dukhti kabhi ankhein
Pehen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota.

Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota

Nabi (SAW) ka daman-e-rehmat pakar lo aey jahan walo
Rahe jab tak yeh hathon main, chalan maila nahi hota.

Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota

Main nazan tu nahi fanpan magar Nasir yeh dawa hai
Sana-e-Mustafa (SAW) karne se fan maila nahi hota.

Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.[/COLOR][/CENTER][/B]

Astute Accountant Monday, August 31, 2009 12:57 PM

[B]@ ravaila
Ap ne meri favorite naat laga di... Thanks! :)[/B]

[CENTER][YOUTUBE]vuj21eMcfww[/YOUTUBE][/CENTER]

ravaila Monday, August 31, 2009 08:07 PM

@Astute
its also my fav. one......


[B]Ka'abay Kay Dar Kay Saamnay Maangee Hai Ye Dua Faqat
Haathon Mein Hashar Tak Rahay Daaman-e-Mustafa Faqat

Apnay Karam Say Ae Khuda Ishq-e-Rasool Kar Ataa
Aakhree Dum Subaan Pay Ho Sallay A'la Sadaa Faqat

Tayba Kee Sayr Ko Chalein Qadmon Mein Unki Jaan Dein
Duffan Hoon Unkay Shehar Mein Hai Yehee Iltija Faqat

Duniya Kee Saari Ne'ymatein Meri Nazar Mein Hainch Hoon
Rakhnay Ko Sar Pay Gar Milay Na'lein-e-Mustafa Faqat

Munkar Nakeer Qabar Mein Hum Say Sawaal Jab Karein
Aisay Mein Wird Hum Rakhein Aap Kay Naam Ka Faqat

Naza'a Kay Waqt Jab Meri Saanson Mein Intishaar Ho
Meri Nazar Kay Saamnay Gumbad Ho Woh Hara Faqat

Na'at-e-Rasool-e-Paak Hai Nazmi Ka Maqsad-e-Hayaat
Qabr Mein Bhi Laboon Pay Ho Sarkaar Kee Sana Faqat[/B]

Red Flower Tuesday, September 01, 2009 01:39 PM

[CENTER][YOUTUBE]yFcSpSXyc4g[/YOUTUBE][/CENTER]

Muhammad Ali Awan Tuesday, September 01, 2009 02:10 PM

[SIZE="4"]Yeh sub tumhara karam ha Aaqa
K baat ab tak bani hue ha[/SIZE]

ravaila Tuesday, September 01, 2009 03:54 PM

[B]Wo Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hay Kay Gumaan-e-Naqs Jahaa(n) Nahee(n)
Yay-hee Phool (Kh)aar Say D(oo)r Hai Yay-Hee Sham’a Hai Kay Dhu-Aa(n) Nahee(n)

Ba(Kh)uda (Kh)uda Ka Yay-hee Hay Darr Nahi(n) Aur Koi Maffar Maqqar
Joe Wahaa(n) Say Ho Yahee(n) Aakay Ho Joe Yahaa(n) Nahee(n) Tou Waha(n) Nahee(n)

Teyray Aagay You(n) Hay(n) Dabbay La(ch)ay Fu-saha A’rab Kay Ba(rr)ay Ba(rr)ay
Ko-ee Jaanay Moo(n) May(n) Zubaa(n) Nahee(n) Nahee(n) Balkay Jism Mei(n) Jaa(n) Nahee(n)

Wo-hee Noor-e-Haq Wo-hee Zillay Rub Hai Unhee Say Sub Hai Unhee Ka Sub
Nahee(n) Unkee Milk Mey(n) Aasmaa(n) Ke Zamee(n) Nahi(n) Ke Zamaa(n) Nahee(n)

Wo-hee Laa Makaa(n) Kay Makee(n) Huay Sar-e-‘Arsh Ta(kh)t Nashee(n) Huay
Wo Nabee Hai Jiss Kay Hai(n) Yay Makaa(n) Wo (Kh)uda Hai Jiss Ka Makaa(n) Nahee(n)

Sar-e-‘Ar(sh) Per Hai Teree Guzar Dil-e-Farsh Per Hai Teree Nazar
Malakoot-o-Mulk May(n) Ko-ee Shay Nahee(n) Wo Tujh Pay A’yaa(n) Nahee(n)

Karoo(n) Teray Naam Pay Jaa(n) Fida Na Buss Aik Jaa(n) Dou Jahaa(n) Fida
Dou Jahaa(n) Say Bhee Nahee(n) Jee Bharaa Karoo(n) Kiya Ka(ro)(ro)o(n) Jahaa(n) Nahee(n)

Karoo(n) Madhay Ahle-e-Doel Raza Pa(rr)ay Iss Bala Mey(n) Meyree Balaa
Mey(n) Gada Hoo(n) Apnay Kareem Ka Meyra Deen Paara-e-Naa(n) Nahee(n)
[/B]

sara soomro Tuesday, September 01, 2009 09:00 PM

[CENTER][FONT=Georgia][SIZE=3][COLOR=black][B]Mustafa Jane Rahmet Pe Lakhon Salam[/B][/COLOR][/SIZE][/FONT][/CENTER]

[FONT=Georgia][SIZE=3][COLOR=black][B]Mustafa Jaan-E-Rehmat Pay Lakhoon Salam[/B]
[B]Shama-E-Bazm-E-Hidayat Pay Lakhoon Salam .... [/B]

[B]Mehr-E-Charkh-E-Nabuwat Pay Raushan Durood[/B]
[B]Bhool-E-Baagh-E-Risalat Pay Lakhoon Salam[/B]

[B]Mujh Se Baikas Ki Daulat Pay Lakhoon Durood[/B]
[B]Mujh Se Baibas Ki Koowat Pay Lakhoon Salam[/B]

[B]Hum Ghariboon Kay Aaka Pay Behad Durood[/B]
[B]Hum Fakiroon Ki Sarwat Pay Lakhoon Salam[/B]

[B]Neeche Aankhoon Ki Sharm-O-Haya Par Durood[/B]
[B]Unchi Beenai Ki Rifat Pay Lakhoon Salam[/B]

[B]Syeda Zahida Tyaba Tahira[/B]
[B]Jaan-E-Ahmad Ki Rahat Pay Lakhoon Salam[/B]

[B]Unki Bala Sharafat Pay Aala Durood[/B]
[B]Unki Bala Siadat Pay Lakhoon Salam[/B]

[B]Kaash Mehshar Main Unki Aamad Ho Aur[/B]
[B]Kay Jay Sub Unki Shaukat Pay Lakhoon Salam[/B]

[B]Mujh Say Khidmat Kay Kudsi Kahain Ha Raza[/B]
[B]Mustafa Jaan-E-Rehmat Pay Lakhoon Salam[/B][/COLOR][/SIZE][/FONT]

[B][SIZE=3]Khalq Ke Daad Ras, Sab Ke Fariyaad Ras [/SIZE][/B][SIZE=3]
[B]Kahfe Roze Musibat Pe Laakho(N) Salaam [/B]
[/SIZE]
[B][SIZE=3]Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur [/SIZE][/B][SIZE=3]
[B]Bhejein Sab Unki Shaukat Pe Lakhon Salaam [/B]

[B]Jis Suhani Ghari Chamka Taibah Ka Chand [/B]
[B]Us Dil Afroz Sa'At Pe Lakhon Salaam [/B]

[B]Jis Taraf Uth Gayin Dam Mein Dam Aa Gaya [/B]
[B]Us Nigahe Inayat Pe Lakhon Salaam [/B]
[/SIZE]
[B][SIZE=3]Jin Ke Sajdon Ko Mehrabe Kaa'Bah Jhuki [/SIZE][/B][SIZE=3]
[B]Un Bhavon Ki Latafat Pe Lakhon Salaam [/B]
[/SIZE]
[SIZE=3][B]Jis Ke Maathe Shafa'At Ka Sehra Raha [/B]
[B]Us Jabine Sa'Adat Pe Lakhon Salaam [/B]
[/SIZE]

Red Flower Wednesday, September 02, 2009 08:33 PM

[CENTER][YOUTUBE]Z1N7gEVrayQ[/YOUTUBE]

[YOUTUBE]WH2B24gTz-8[/YOUTUBE][/CENTER]

ravaila Thursday, September 03, 2009 05:24 AM

[B]Meri Tauba, Meri Tauba, Meri Tauba, Tauba
Meri Tauba, Meri Tauba, Meri Tauba, Tauba
Meri Tauba, Meri Tauba, Meri Tauba, Tauba

Tu Maaf Karega Mere Saare Gunaah
Meri Tauba, Meri Tauba, Meri Tauba, Tauba
Meri Tauba
Meri Tauba, Meri Tauba, Meri Tauba, Tauba
Tu Maaf Karega Mere Saare Gunaah

Mujhe Maloom Hai Mujrim Main, Aur Tu Mera Hakim
Aur Tu Mera Hakim
Jabhi Tau Aaj Meri Aankh Mein Ashqon Ki Hai Rim Jhim
Ashqon Ki Hai Rim Jhim
Koi Banda Tere Dar Par Jo Aansoo Raul Deta Hai
Mere Maula Dar-e-Tauba Tu Us Par Khol Deta Hai
Mere Maula Dar-e-Tauba Tu Us Par Khol Deta Hai
Tu Zaroor Sunega Mere Dil Ki Sada
Meri Tauba, Meri Tauba, Meri Tauba, Tauba
Tauba...Tauba...Tauba...Tauba...Tauba...Yaara...Tauba...Tauba...Tauba...Tauba...Meri Tauba
Meri Tauba, Meri Tauba, Meri Tauba, Tauba

Tere Dar Pe Na Kyon Na Sawaal Karun?
Tu Rahim Bhi Hai Tu Karim Bhi Hai
Tu Rahim Bhi Hai Tu Karim Bhi Hai
Main Tau Wast Bhi Hoon, Main Hakir Bhi Hoon
Tu Buland Bhi Hai, Tu Azeem Bhi Hai
Tu Buland Bhi Hai, Tu Azeem Bhi Hai
Jo Main Jhel Chuka Woh Bahut Hai Sazaa
Meri Tauba, Meri Tauba, Meri Tauba, Tauba
Gham Ka Maara Hoon, Be-Sahara Hoon
Hoon Bura Ya Bhala Tumhara Hoon
Meri Tauba, Meri Tauba, Meri Tauba, Tauba
Mere Gunaah Ziada Hain Yaan Teri Rehmat
Karim Tu Hi Bata Dey Hisaab Kar Ke Mujhe

Mujhe Kar De Maaf Apne Rasool-e-Pak Ke Sadke
Khataayen Bhaksh De Meri Shah-e-Laulaak Ke Sadke
Mere Maalik Duhai Hai Tujhe Aal-e-Payamber Ki
Rihaa Kar De Ghamon Se Karbala Ki Khak Ke Sadke
Karbala Ki Khaak Ke Sadke
Rihaa Kar De Ghamo Se Karbala Ki Khak Ke Sadke
Karbala Ki Khak Ke Sadke
Andheron Mein Mujhe Tabindagi De De Mere Maula
Naya Mujhko Shaur-e-Zindagi De De Mere Maula
Meri Tauba, Meri Tauba, Meri Tauba, Tauba
[/B]

Red Flower Thursday, September 03, 2009 08:05 PM

[CENTER][YOUTUBE]uosW-yiHCMw[/YOUTUBE][/CENTER]

Red Flower Friday, September 04, 2009 10:10 PM

[B][COLOR="Purple"]pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se

bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se

irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se[/COLOR][/B]

ravaila Saturday, September 05, 2009 02:49 PM

[B]Kalaam = Khalid Mehmood Khalid

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
Jaisay Meray Sarkaar Hain Waisa Nahi Koi

Tumsa Tou Haseen Aankh Ne Dekha Nahi Koi
Ye Shaan-e-Latafat Hai Ke Saaya Nahi Koi

Ye Toor Say Kehti Hai Abhi Tak Shab-e-Mairaj
Sarkaar Ka Jalwa Hai Tamaasha Nahi Koi

Hota Hai Jaha Zikr Muhammad(SalAllaho Alaih-e-Wa Sallam) Kay Karam Ka
Uss Bazm Mein Mehroom Tamanna Nahi Koi

Aizaaz Ye Haasil Hai Tou Haasil Hai Zamee Ko
Aflaak Pe Tou Gumbad-e-Khizra Nahi Koi

Sarkar Ki Rehmat Ne Magar Khoob Nawaza
Ye Sach Hai Ke Khalid Sa Nikamma Nahi Koi[/B]

Saqib Riaz Saturday, September 05, 2009 05:26 PM

AAEY AAQA (Sallalahu Aalehe WAsalam) MADNI AAQA


Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah


Aaey Aaqa(Sallalahu Aalehe WAsalam) Madni Aaqa(Sallalahu Aalehe WAsalam)
Pyaray Pyaray Pyaray Aaqa(Sallalahu Aalehe WAsalam)
Aamina Bibi ke Gulshan mein
Aai he Taza Bahar
Partay hein SallAllaho Wa Sallam
Aaj dr-o-dewar Madni


Bara Rabi ul Awwal ko woh
Aaya Dur-e-Yateem
Mah-e-Nabuwat Mehr-e-Risalat
Sahib-e-Khulq-e-Azeem Madni
Pyari Surat Hasta Chehra
Munh Seh Jartay Phool
Noor SiraaPa Chand sa Chehra
Haq Ka Pyara Rasool Madni(Sallalahu Aalehe WAsalam)


Jibreel Aay jhoola jhulaey
Lori de Zi Shan,
So ja So ja Rahmat-e-Aalam(Sallalahu Aalehe WAsalam)
Do jag ke Sultan Madni


Awwal-o-Aakhir sab kuch Jaanay
Dekhe Ba'eed-o-Qareeb
Ghayb ki Khabrein Denay Wala
Allah ka who Habeeb Madni


Hamid o Mahmood o Muhammad(Sallalahu Aalehe WAsalam)
Do jag Ka Sardar
Jaan se Pyara Laj Dulara
Rahmat ki Sarkar Madni
Aaey Aaqa Madni Aaqa(Sallalahu Aalehe WAsalam)
Pyaray Pyaray Pyaray Aaqa(Sallalahu Aalehe WAsalam)


Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah

Saqib Riaz Saturday, September 05, 2009 05:27 PM

Tu Shamm-e- Risalat Hai
Thu Shamm-e Risalath hai - Alam Tera Parwana

1. Thu Shamm-e Risalath hai - Alam Tera Parwana...(2)
Aa dhil Men Tujehe Rakloon(3) - Eh Jalawa Eh JaanAna (2)

2. Bus Itna Karam Karna - Eh Chashme KareemAna... (2)
Jab Jaan Laboon Par Ho (Aqa) - Thum Samene A Jana (2)

3. Khatthe hain Tere Darka - Pitthe hain Tere Darka...(2)
Paani Hai Tera Paani - Dhana Hai Tera Dhana (2)

4. Duniya Men Mujhe Apna ... - Thum Ne tho Banaya hai...(2)
Mahshar Men Bhi Kehdena (Aqa) - Yeh Hai Mera Deewana (2)

Aa dhil Men Tujhe Rakloon (3) - Eh Jalwa eh jaan ana (2)

5. Pine Ko Tho Pilunga - Par Sharth Zara See hai...(2)
Ajhmeer Ka Saaqi Ho (2) - Baghdhad Ka MenKhana (3)

6. Jee Chahtha hai thohfe men - Bhejunga Unhen Akke(2)
Dharshan Ka Tho Dharshan ho - Nazrane ka Nazrana(2)

Aa dhil Men Tujhe Rakloon - Eh Jalwa Eh jaanana

Saqib Riaz Saturday, September 05, 2009 05:29 PM

O Allah the Almighty
Protect me and guide me
To your love and mercy
Ya Allah don’t deprive me
From beholding your beauty
O my Lord accept this plea

CHORUS:
Hasbi rabbi jallallah
Ma fi qalbi ghayrullah
My Lord is enough for me, Glory be to Allah
There is nothing in my heart except Allah

CHORUS

Hindi:
Wo tanha kaun hai
Badshah wo kaun hai
Meherba wo kaun hai
Who is the only One?
Who is the King?
Who is the Merciful?

Kya unchi shan hai
Uskey sab nishan hai
Sab dilon ki jan hai
Who is the most praised and benevolent?
Whatever you see in this world is His sign
He’s the love of every soul

CHORUS
Turkish:
Affeder gunahi
Alemin padisahi
Yureklerin penahi
He is the Forgiver of all sins
He is the King of the universe
He is the Refuge of all hearts

Isit Allah derdimi, bu ahlarimi
Rahmeyle, bagisla gunahlarimi
Hayreyle hem aksam hem sabahlarimi
O Allah hear my sorrows and my sighs
Have mercy and pardon my sins
Bless my night and days

CHORUS

Arabic:
Ya rabbal ‘alamin
Salli ‘ala Tahal amin
Fi kulli waqtin wa hin
O Lord of the worlds
Send peace and blessings
On Ta-ha the trustworthy
In every time and at every instant

Imla’ qalbi bil yaqin
Thabbitni ‘ala hadhad din
Waghfir li wal muslimin
Fill my heart with conviction
Make me steadfast on this Religion
And forgive me and all the believers

happy ending Saturday, September 05, 2009 08:39 PM

Madine ka Safar hay ........... !
 
[FONT="Garamond"][SIZE="4"][CENTER]Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda

Chala Hoon Eik Mujrim Ki Tarha Mey Janib E Taiba
Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeda Larzeda

Kise Key Hath Ney Mujh Ko Sahara Dey Diya Warna
Kahan Mey Aur Kahan Ye Rasty Pechida Pechida

Kahan Mey Aur Kahan Us Roza E Aqdas Ka Nazara
Nazar Us Samat uthte hey Magar Duzdeda Duzdeda

Ghulaman E Mohammad Dour Sey Pehchany Jaty Hein
Dil E Girweda Girweda Sare Shoreda Shoreda

Madine Jaa Key Hum Samjhy Taqadus Kis Ko Kehty Hein
Hawa Pakeeza Pakeeza Faza Sanjida Sanjida

Basarat Khoo Gai Lekin Basirat To Salamat Hey
Madina Hum Ney Dekha Hey Magar Nadeda Nadeda

Wohi Iqbal jis Ko Naaz Tha Kal Khush Mezaji Par
Firaq E Taiba Mey Rehta Hey Aab Ranjida Ranjida

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda[/CENTER][/SIZE][/FONT]

ravaila Sunday, September 06, 2009 10:17 AM

[B][U][COLOR="DarkOrange"]Kalaam = Sheikh Sa'adi/Alahazrat[/COLOR][/U]

Balaghal Ula Baykamalayhi Kashafadduja Bayjamaalayhi
Hasunat Jame'eo Khisualayhi Sallu Alaih-e-Wa Aalayhi

Woh Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hai Ke Gumaan-e-Naks Jaha Nahi
Yehi Phool Khaar Se Door Hai Yehi Shama'a Hai Kay Dhuan Nahi

Mein Nisaar Teray Kalaam Per Milee Youn Tou Kiss Ko Zubaan Nahi
Woh Sukhan Hai Jiss Mein Sukhan Na Ho Wo Bayan Hai Jiss Ka Bayan Nahi

Ba Khuda Khuda Ka Yehi Hai Dar Nahi Aur Koi Maffar Maqqar
Jo Waha Say Ho Yaheen Aakay Ho Jo Yahan Nahi Tou Wahan Nahi

Teray Aagay Youn Hain Dabbay Lachay Fusaha Arab Ke Barray Barray
Koi Jaanay Moo Mein Zubaan Nahi Nahi Balkay Jism Mein Jaan Nahi

Sar-e-Arsh Per Hai Teri Guzar Dil-e-Farsh Per Hai Teri Nazar
Malakoot-o-Mulk Mein Koi Shay Nahi Woh Jou Tujh Pe A'ayan Nahi

Karoon Teray Naam Pe Jaan Fida Na Bus Aik Jaan Do Jahaan Fida
Do Jahaan Say Bhi Nahi Jee Bhara Karoon Kiya Karrorro Jahaan Nahi

Karoon Madh-e-Ahle DoAl Raza Parray Iss Balaa Mein Meri Balaa
Mein Gadaa Hoon Apnay Kareem Ka Mera Deen Para-e-Naa Nahi[/B]

Red Flower Monday, September 07, 2009 03:04 PM

[COLOR="Purple"][B]Apni Atta Ka Haq Ney Ye manzar Dekha Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Kohey Shahe Arab ka Bana Kar Mujhy Faqeer
Shahe Ka Martaba Mery Dil Sey Ghata Diya

Esa Karim Esa Sakhi Aur Kon Hey
Mangta Jo Aya Mangny Sultan Bana Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Pohncha Diya Khuda Ney Dare Shah Par Humy
Allah Ney Ye Naat Ka Acha Sila Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Hum Sey Ziada Kon Hey Dunia Mey Khush Naseeb
Hum Ko Khuda Ney Un Ka Sana Khawan bana Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Rashke Falaq hey Mery Muqadar Ki Rifatein
Mujh Ko Ghulam un Ka Khuda Ney Bana Diya

Ankho Mey Bas Giya Hey Jamale Khuda Riaz
Deedar Jab sey Un ka Khuda Ney Kara Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya[/B][/COLOR]

ravaila Monday, September 07, 2009 04:07 PM

[B]Chamak Tujh Say Paatay Hai(n) Sub Paanay Waalay
Meyra Dil Bhee Chamkaday Chamkanay Waalay

Barasta Nahi(n) Deykh Kar Abray Rehmat
Ba(dd)on Per Bhee Barsaaday Barsanay Waalay

Madeenay Kay (Kh)ittay (Kh)uda Tujh Ko Rakhay
(Gh)areebou(n) Faqeero(n) Kay T(eh)ranay Waalay

Tu Zinda Hae WAllah Tu Zinda Hae WAllah
Meyree (Ch)asm-e-A’alam Say (Ch)up Jaanay Waalay

Mey(n) Mujrim Hoo(n) Aaqa Mujhay Saath Leylo
Keh Rastay Mey(n) Hay(n) Jaa Bajaa Thaanay Waalay

Haram Ki Zamee(n) Aur Qadam Rakh Kay (Ch)alna
Array Sarr Ka Mauqa Hae O Jaanay Waalay

Ab Aa-ee Shafa’at Kee Saa’at Ab Aa-ee
Zara Chayn Lay Meyray Ghabranay Waalay

Raza Nafs Du(sh)mun Hae Dum May(n) Naa Aana
Kaha(n) Tum Nay Deykhay Hay(n) (Ch)undra-Nay Waalay
[/B]

Red Flower Tuesday, September 08, 2009 10:38 AM

[B][COLOR="Purple"]Sunehri Jalion Ko Ab Nazar Aney Ka Muqa Do
Faqeeroon Ko Shahey Badeha Udher Aney Ka Muqa Do

Dilon Mey karwatein Leti Hoi Bekal Tamanaey
Ye Kehti Hein Key Qadmoon Mey Bikhar Jany Ka Muqa Do

Tumhara Zikar Hum Athoon Pehar Karty Hein Roo Roo Kar
Hamari Akibat Ko Bhi Sanwar Jany Ka Muqa Do

Takaza Akhri Hey Aap Sey Ya Shafa E Mehshar
Hamy Bhi Ab Madine Mey Utar Jany Ka Muqa Do

Lipat Jay Ga Ishrat Bhi Dare Athar Key Jalwoon Sey
Usey Bhi aap Key Jalwoon Mey Ghir Jany Ka Muqa Do

Faqeeroon Ko Shahe baduha Udher Aney ka Muqa Do
Sunehri Jalion Ko Ab Nazar Aney Ka Muqa Do


Hamy Bhi ab Madine May Utar Jany Ka Muqa Do[/COLOR][/B]

ravaila Tuesday, September 08, 2009 10:46 AM

[B][U][COLOR="DarkOrange"]Kalaam = Syed Nazmi Mian[/COLOR][/U]

Ka'abay Kay Dar Kay Saamnay Maangee Hai Ye Dua Faqat
Haathon Mein Hashar Tak Rahay Daaman-e-Mustafa Faqat

Apnay Karam Say Ae Khuda Ishq-e-Rasool Kar Ataa
Aakhree Dum Subaan Pay Ho Sallay A'la Sadaa Faqat

Tayba Kee Sayr Ko Chalein Qadmon Mein Unki Jaan Dein
Duffan Hoon Unkay Shehar Mein Hai Yehee Iltija Faqat

Duniya Kee Saari Ne'ymatein Meri Nazar Mein Hainch Hoon
Rakhnay Ko Sar Pay Gar Milay Na'lein-e-Mustafa Faqat

Munkar Nakeer Qabar Mein Hum Say Sawaal Jab Karein
Aisay Mein Wird Hum Rakhein Aap Kay Naam Ka Faqat

Naza'a Kay Waqt Jab Meri Saanson Mein Intishaar Ho
Meri Nazar Kay Saamnay Gumbad Ho Woh Hara Faqat

Na'at-e-Rasool-e-Paak Hai Nazmi Ka Maqsad-e-Hayaat
Qabr Mein Bhi Laboon Pay Ho Sarkaar Kee Sana Faqat[/B]

Red Flower Thursday, September 10, 2009 02:08 PM

[B][COLOR="Purple"]Tum Par Main Lakh Jaan se Fida Ya Rasool
Ber Aayen Mere Dil ke Bhi Armaan Ya Rasool

Sadqa Darood-e-Pak ka Niklon Jo Qabr Se
Jaari Meri Zuban Se Ho Quran Ya Rasool

Dunya se Aur kuch Nahi Matloob Hai Mujhe
Le Jaaon Apne Saath Main Emaan Ya Rasool

Iss Shauq Main Ke Apke Daman se Ja Mile
Main Chak kar Raha hon Gir-e-Ban Ya Rasool

Kafi hai Yeh Waseela Shafa'at ke Waste
Aasi tu Hon Magar hon Pashemaan Ya Rasool

Mushkil Kusha Hain Ap aur Main Apki Gulam
Ab Meri Mushkilen bhi Assan hon Ya Rasool[/COLOR][/B]

Red Flower Thursday, September 10, 2009 02:18 PM

[COLOR="Purple"][B]MEH MADINE CHALA

Meh Madine chala, me Madine chala
Phir karam hogaya, meh Madine chala

Saaqiya meh pilaa, me Madine chala
Masto be khud bana, me Madine chala

Kaif-sa chaa gaya, me Madine chala
Jhoomta jhoomta, me Madine chala

Kya bata-o mili, dil ko kayse kushi
Jub ye mujhda suna, me Madine chala

Muskuraane lagi, mere dil ki gali
Guncha guncha kila, me Madine chala

Phir ijaazat mili, jub khabar ye suni
Dil mera jhoomta, me Madine chala

Ashke tumpte nahi, pau jhamte nahi
Lar karata huwa, me Madine chala

Laaj rakhna Khuda, me Madine chala
Ay shajar ay hajar, tum bi shamso kamar

Dheko dheko zara, me Madine chala
Dekh thare mujhe, ye nazare mujhe

Tum bi dheko zara, me Madine chala
Rooh he muztar teher, tu nikalna udhar

Itni jaldi he kya, me Madine chala
Haath uthe rahe, mujh ko dethe rahe

Woh talab se siwaa, me Madine chala
Mere Akaa ka ghar, wo gapeshe nazar

Chaahiye aur kya, me Madine chala
Mere Siddique Umar, wo Salaam aap par

Aur rehmat saada, me Madine chala
Woh Uhud ki zamin, jis ke andar makin

Mere Hamza piyaa, me Madine chala
Ghumbade subse par, jub paregi nazar

Kya suroor aayega, me Madine chala
Unke Minaar par, jub pare gi nazar

Kya suroor aayega, me Madine chala
Mimbare noor par, jub uthe gi nazar

Kya suroor aayega, me Madine chala
Mustapha ke Huzoor, apne sare qusoor

Baksh wale chala, me Madine chala
Kya karega idhar, pand rakhte safar

Chal Ubaid-e Raza, me Madine chala
Kya he tune kaha, ai Ubaid-e Raza

Sonch to kuch zara, me Madine chala
Lutf to jub mile, mere Murshid kahi

Chal Ubaid-e Raza, me Madine chala
Rehmat-e jhoom kar, barse ataar par
Behre Ahmad Raza, meh Madine chala [/B][/COLOR]

happy ending Saturday, September 12, 2009 06:25 AM

[CENTER][YOUTUBE]G-oW8BGjh0g[/YOUTUBE]

[B][FONT="Garamond"][SIZE="4"][COLOR="Green"]Faslon ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door say
Raaste mein agar paon thak jayengay.

Hum Madinay mein tanha nikal jayengey,
Aur galiyon mein kus dun batak jayengey.

Hum wahan jakey wapas nahin ayengay.
Dhoondtay dhoondte loog thak jayengey.

Jaise hi sabz Gumbad nazar ayega,
Bandagi ka kareena badal jaye ga.

Sar jhukane ki fursat milay gi kisey.
Khud hi palkon say sajdey tapak jayengey.

Naam e Aaka jahan bhi liya jayega,
Zikr unka jahan bhi kiya jayega.

Noor hi noor seeno mein bhar jayega,
Sari mehfil mein jalwe lapak jayegey.

Aie Madinay kay zahir KHuda ke liye,
Dastaan e safar mujko yoon mat suna.

Baat bhar jayegi dil tarap jayega,
Meray mohtat ansoo chalak jayegay.

Unki chashme karam ko hai iski khabar,
Kis musafir ko hai kitna shaukey safar.

Humko Iqbal jab bhi ijazat mili,
Hum bhi Aaqa kay darbar tak jayegeney.

Faslon ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door se
Raaste mein agar paon tak jayengey .[/COLOR][/SIZE][/FONT][/B][/CENTER]

Red Flower Saturday, September 12, 2009 06:47 AM

[B][COLOR="Purple"]Main muddat se is aas par jirahi hoon
kabhi to sunega duaen wo meri
kabhi to sunega sadaen wo meri

Jo logon say sun sun kay nakhse hain khenche
haqiqat may honge manazir wo kaise
kabhi jake dekhon khud aankhon se apni
main muddat se is aas par jirahi hon

Khuda ne utara jishe asman se
kiya nasb tha jisko Paighambaron ne
ushi Hajre Aswad ka bosa me lelon
main muddat se is aas par jirahi hon

Mere samne ho wo Qabe ki cokhat
wo rukne yahmani wo mizabe rehmat
me sehne haram me karon jake sajde
main muddat se is aas par jirahi hon

Wo shehre haram wo Madine ki galiyan
wo arafat ka din minah ki wo ratain
Muyasar kabhi hon hame sare jalwe
main muddat se is aas par jirahi hon

Mere samne ho wo Gunbade khizran
wo roze ki jaali wo jannath ka gosha
kabhi chuom lon jake khake madina
main muddat se is aas par jirahi hon

Nehi hay bharosa koi zindegi ka
ushi ko khabar hay wohi janta hay
bulalega hamko wo marne se pehle
bulalijiye mujhko marne se pehle

main muddat se is aas par jirahi hon
khuda kab bulalain mujhe apne ghar me
main muddat se is aas par jirahi hoon...[/COLOR][/B]

Red Flower Saturday, September 12, 2009 06:56 AM

[CENTER][YOUTUBE]aZOfkzveacY[/YOUTUBE][/CENTER]

[B][COLOR="Purple"][CENTER]Ya Rasool Allah Ya Rasool Allah
Ya Habeeb Allah Ya Habeeb Allah

Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh
Waya Na Lulbarakat Kullu Man Salla Aleh

Al Nabi Ya Hazeerin Elamu Almal Yakeen
Inna Rabal Alameen Waraza Salla Aleh

Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh
Waya Na Lulbarakat Kullu Man Salla Aleh

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Kabay ke Badar-u-Duja Tumpe Karoron Durood
Taiba ke Shams-u-Zuha Tumhe Karoron Durood

Shaf-e-Roz-e-Jaza Tumpe Karoron Durood
Daf-e-Jumla Bala Tumpe Karoron Durood

Ya Rasool Allah Ya Rasool Allah
Ya Habeeb Allah Ya Habeeb Allah

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Al Nabi Ya Man Hazar Al Nabi Khair-ul-Bashar
Man La Ho Haq-ul-Qamar Wanazil Sallim Aleh

Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh
Waya Na Lulbarakat Kullu Man Salla Aleh

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Dil Karo Thanda Mera Who Kaf-e-pa Chand sa
Seene Pe Rakh Do Zara Tumpe Karoron Durood

Zaat hoi Intekhab Wasf Howe Lajawab
Naam Howa Mustafa Tumpe Karoron Durood

Ya Rasool Allah Ya Rasool Allah
Ya Habeeb Allah Ya Habeeb Allah

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Al Nabi Zakal Uroos Zikro Ho Yuhyi-Nafoos
Al Nasara Wal Majoos Aslam-o-Ala Yadeh
Al Nabi Ya Man Hazar Al Nabi Khair-ul-Bashar
Man La Ho Haq-ul-Qamar Wanazil Sallim Aleh

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Be Hunur-o-Betameez Kiss ko Howe Hain Azeez
Aik Tumhare Siwa Tumpe Karoron Durood
Aas Hai Koi Na Pass Aik Tumhari Hai Ass
Bas Yahi Asra Tumpe Karoro Duroo
Ya Rasool Allah Ya Rasool Allah
Ya Habeeb Allah Ya Habeeb Allah

Seena Ke Hain Daag Daag Kehdo Karain Baag Baag
Taiba se Aake Saba Tumpe Karoron Durood
Ya Rasool Allah Ya Rasool Allah
Ya Habeeb Allah Ya Habeeb Allah

Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh
Waya Na Lulbarakat Kullu Man Salla Aleh

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Al Nabi Yul Mustafa Ibn-o-Zam Zam Wa safa
Man Ta'ala Sharafa Kul-o-Kum Salla Aleh
Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh
Waya Na Lulbarakat Kullu Man Salla Aleh

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Al Nabi Yul Mujtaba Al Nabi Sakin-o-Quba
Hubbu Ho la Mal Haba Rabba Na Salla Aleh
Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh
Waya Na Lulbarakat Kullu Man Salla Aleh

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Tumse Jahan Ka Nizam Tumpe Karoron Durood
Tumpe Karoron Sana Tumpe Karoron Durood
Tum Ho Jawad-o-Kareeb Tum Ho Rauf-o-Raheem
Bheek Ho Data Ataa Tumpe Karoron Durood
Khalq Ke Hakim Ho Tum Rizq Ke Kasim Ho Tum
Tumse Mila Jo Mila Tumpe Karoron Durood
Nafe-o-Dafe Ho Tum Shafe-o-Rafe Ho Tum
Tumse Bas Afzoon Khuda Tumpe Karoron Durood
Shafi-o-Nafi Ho Tum Kafi-o- Dafi Ho Tum
Dard ko Kar Do Dawa Tumpe Karoron Durood
Ya Rasool Allah Ya Rasool Allah
Ya Habeeb Allah Ya Habeeb Allah

Barse Karam ki Bharan Phoole Ne'am Ke Chaman
Aisi Chala Do Hawa Tumpe Karoron Durood
Kiun Kahon Bekas Hon Main Kiun Kahon Bebas Hon Main
Tumho Main tumpe Fida Tumpe Karoron Durood
Ya Rasool Allah Ya Rasool Allah
Ya Habeeb Allah Ya Habeeb Allah

Al Nabi Zaka-al-Mali Kaoloho Kolan Sahi
Wal Quran Shae-u-Faseeh Allazi Unzil Aleh
Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh
Waya Na Lulbarakat Kullu Man Salla Aleh

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Kar ke Tumhare Gunah Maange Tumhari Panah
Tum Kaho Daman Main Aa Tumpe Karoron Durood
Humne Khata Main Na ki Tumne Ataa Main Na ki
Koi Kami Sarwara Tumpe Karoron Durood

Ankh Ataa Kijiye Uss Main Ziya Dijiye
Jalwa Kareeb Aa Gaya Tumpe Karoron Durood
Kaam Who Le Lijiye Tumko Jo Raazi Kare
Theek Ho Naam-e-Raza Tumpe Karoron Durood
Ya Rasool Allah Ya Rasool Allah
Ya Habeeb Allah Ya Habeeb Allah

Wal Hassan Umm Al Hussain Lin Nabi RayhaNatain
Fatima QurratuAin Jaddu Hum Sallu Aleh

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh
Waya Na Lulbarakat Kullu Man Salla Aleh
Yeh Ubaid Adna Gulam Tera Hai Khair-ul-Anam
Waqt Midhat ke Liye Iss Ki Ho Umar Tamaam

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah [/CENTER][/COLOR][/B]

ravaila Saturday, September 12, 2009 08:56 PM

[B]Tum Ik Gorakh Dhanda Ho



Kabhi Yahaan Tumhein Dhonda, Kabhi Wahaan Pohncha
Tumhari Deed Ki Khaatir Kahan Kahan Pohcha
Ghareeb Mit Ga'ay, Pamaal Ho Gaye Laikin
Kisi Talak Na Tera Aaj Tak Nishaan Pohncha

Ho Bhi Nahi Aur Her Jaa Ho
Ho Bhi Nahi Aur Her Ja Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Her Zarray Mein Kiss Shaan Say Tu Jalwa Numa Hai
Hairaan Hai Magar Aqal K Kaisay Hai To Kia Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Tujhay Dair-O-Haram Mein Nai Dhonda Tu Nahi Milta
Magar Tashreef Farma Tujhay Apne Dil Mein Daikha Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Dhonday Nahi Milay Ho Na Dhonday Say Kaheen Tum
Aur Phir Yeah Tamasha Hai, Jahan Hum Hein Waheen Tum
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jab Bajuz Tairay Koi Dosra Maujood Nahi
Phir Samajh Mein Nahi Aata Tera Purdah Karna
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Harm O Dair Mein Hai Jalwa E Purfan Tera
Do Gharoon Ka Hai Charaagh E Kurkhe Roshan Tera
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai, Usi Kho'ay Hoay Ko Kuch Mila Hai
Na But-Khanay, Na Kabay Mein Mila Hai, Magar Totay Hoay Dil Mein Mila Hai
Adam Bun Ker Kaheen To Chup Gaya Hai, Kaheen To Hast Bun Ker Aa Gaya Hai

Nahi Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa, Nafi Bhi Tairay Honay Ka Pata Hai
Mein Jiss Ko Keh Raha Hoon Apni Hasti, Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia Hai
Nahi Aaya Khayaloon Mein Agar Tu, To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Hairan Hoon Is Baat Pay, Tum Kon Ho Kia Ho
Haath Aao To But, Haath Na Aao To Khuda Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Aqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiyoon Ker Hoa
Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiyoon Ker Hoa
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Falsafi Ko Behas K Ander Khuda Milta Nahi
Dour Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Pata Yoon To Bata Daitay Ho Sub Ko La-Makaan Apna
Ta'ajub Hai Magar Rehtay Ho Tum Tootay Hoay Dil Mein
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jab K Tujh Bin Nahi Koi Maujood
Phir Yeah Hangama Ay Khuda Kia Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Chuptay Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum, Jalwa Dikha K Jalwa Dikhatay Nahi Ho Tum
Dair O Haram K Jhagray Mita'tay Nahi Ho Tum, Jo Asal Baat Hai Wo Batatay Nahi To Tum
Hairaan Hoon Mairay Dil Mein Sama'ay Ho Kiss Tarah, Haan'la K Do Jahan Mein Samatay Nahi To Tum
Yeah Ma Bud O Haram, Yeah Qaleesa-o-Dair Kiyoon, Harjayii Ho Jabhi To Bata'tay Nahi To Tum
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Dil Peh Hairat Nai Ajab Rung Jama Rakha Hai, Aik Uljhi Howi Tasveer Bana Rakha Hai
Kuch Samajh Mein Nahi Aata K Yeah Chakkar Kia Hai, Khail Kia Tum Nai Azal Say Yeah Racha Rakha Hai
Rooh Ko Jism K Pingray Ka Bana Ker Qaidee, Us Pay Phir Mout Ka Pehraa Bhi Bithaa Rakha Hai
Day K Tadbeer K Panchi Ko Uranay Tu Nai, Daam-E-Tadbeer Mein Her Sumt Bicha Rakha Hai
Kar K Araish E Qounain Ki Barsoon Tu Nai, Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai

La-Makaani Ka Bahr Haal Hai Dawa Bhi Tumhein, Nahl-O-Akrab Ka Bhi Paighaam Suna Rakha Hai
Yeah Burai, Wo Bhalai, Yeah Jahannum, Wo Bahisht, Is Ulat Phiar Mein Farmao To Kia Rakha Hai
Jurm Aadam Nai Kiya Aur Saza Baitoon Ko, Adl O Insaaf Ka Mi'aar Bhi Kia Rakha Hai
Dai K Insaan Ko Dunya Mein Khilafat Apni, Ik Tamasha Sa Zamanay Mein Bana Rakha Hai
Apni Pehchaan Ki Khaatir Hai Banaya Sub Ko, Sub Ki Nazaroon Say Magar Khud Ko Chup Rakha Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Daitay Ho, Janay Kiss Jurm-E-Tamanna Ki Saza Daitay Ho
Kabhi Kunker Ko Bana Daitay Ho Heeray Ki Kani, Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Daitay Ho
Zindagi Kitnay He Murdoon Ko Ata Ki Jiss Nai, Wo Maseeha Bhi Saleebon Pay Saja Daitay Ho
Khuwahish-E-Deed Jo Kar Baithay Sir-E-Tuur Koi, Tuur Hee Bark e Tajaali Say Jala Daitay Ho
Nalay Namrood Mein Dalwatay Ho Qudrat Na Khaleeq, Khud Hee Phir Naar Ko Gulzaar Bana Daitay Ho

Chahay Kin Aan Mein Phainko Kabhi Maah Kinaan, Noor Yaqoob Ki Aankhon Ka Bujha Daitay Ho
Day Ke Yusuf Ko Kabhi Mirs K Bazaaron Mein, Aakhir Kaar Shah-E-Misr Bana Daitay Ho
Jazb O Masti Ki Jo Manzil Pe Pohonchta Hai Koi, Baith Ker Dil Mein Anal Haq Ki Sada Daitay Ho
Khud He Lagwatay Ho Phir Kufr K Fatway Us Per, Khud He Mansoor Ko Sooli Peh Charha Daitay Ho
Apni Hasti Bhi Wo Ik Rooz Gawa Baith'ta Hai, Apne Darshan Ki Lagan Jiss Ko Laga Daitay Ho

Koi Ranjha Jo Kabhi Khooj Mein Nikle Teri, Tum Usay Jhang K Bele Mein Rula Daitay Ho
Justujo Lay K Tumhari Joh Chalay Qais Koi, Us Ko Majno Kisi Laila Ka Bana Daitay Ho
Jot? Sassi K Agar Mun Mein Tumhari Jagay, Tum Usay Taptay Hoay Thal Mein Jala Daitay Ho
Sohni Gar Tum Ko Mahiwaal Tassawur Ker Le, Us Ko Bikhri Howi Lehroon Mein Baha Daitay Ho
Khudh Joh Chaho To Sar-E-Arsh Bula Ker Mehboob, Aik He Raat Mein Mairaaj Kara Daitay Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Aap Hi Apna Pardah Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jo Kehta Hoon Mana Tumhein Lagta Hai Bura Sa, Phir Bhi Hai Mujhay Tum Say Baharhaal Gila Sa
Chup Chaap Rahay Daikhtay Tum Arsh-E-Bareen Per, Taptay Hoay Karbal Mein Mohammad Ka Nawasa
Kiss Tarah Pilata Tha Laahu Apna Wafa Ko, Khud Teen Dino Say Wo Agarchay Tha Piyasa
Dushmun To Bahar Haal Thay Dumshun Magar Afsoos, Tum Nai Bhi Faraham Na Kia Pani Zara Sa

Her Zulm Ki Taufeeq Hai Zaalim Ki Wirasat, Mazloom K Hissay Mein Tasalli Na Dilasa
Kal Taaj Saja Daikha Tha Jis Shaqs K Sir Per, Hai Aaj Usi Shaqs K Haathon Mein Hikasa
Yeh Kia Hai Agar Pochon To Kehtay Ho Jawaban, Is Raaz Say Ho Sakta Nahi Koi Shanasa
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Hairat Ki Ik Dunya Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Har Aik Jaan Pey Ho, Laikin Pata Nahi Maloom
Tumahra Naam Suna Nai, Nishaan Nahi Maloom
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Dil Say Armaan Jo Nikal Ja'ay To Jugnu Ho Ja'ay, Aur Aankhon Mein Simat Aa'ay To Aanso Ho Ja'ay
Ja Pe Ya Huu Ka Jo Be Hu Karay Hu Mein Kho Ker, Us Ko Sultaniyaan Mil Jaein Woh Baahu Ho Ja'ay
Baalgi Ka Na Kisi Ka Ho Churi Ke Neechay, Halk-E-Asghar Mein Kabhi Teer Tarazu Ho Ja'ay
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Kiss Qadar Beniyaaz Ho Tum Bhi
Daastan E Niyaaz Ho Tum Bhi
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
[/B]

Saqib Riaz Saturday, September 12, 2009 09:06 PM

My ummah, my ummah
He will say
Rasulullah on that day
Even though we've strayed from him and his way

My brothers, my sisters, in Islam
Let’s struggle, work, and pray
If we are to
Bring back the glory of his way

CHORUS:
Ya Allah ya rabbal ‘alamin
Ya rahmanu ya rahim
Ya rabbi
O Allah Lord of the Worlds
O Merciful and Beneficent
O my Lord

Let the Ummah rise again
Let us see daylight again
Once again

Let’s become whole again
Proud again
’Cause I swear with firm belief in our hearts
We can bring back the glory of our past

My ummah, my ummah
He will say
Rasulullah on that day
Even though we strayed from him and his way

Look at where we were
And look at where we are
And tell me
Is this how he’d want it to be?
Oh no! Let us bring back our glory

Saqib Riaz Saturday, September 12, 2009 09:07 PM

Ya sadiqal aqwal ya Muhammad
Ya tahiral akhlaq ya Muhammad
Ya hadiyal akwan ya Muhammad
Ya taja ruslillah ya Muhammad
Ya khayra khalqillah, ya rasulallah
O truthful one in sayings O Muhammad
O pure one in character O Muhammad
O guide of all the worlds O Muhammad
O crown of God’s messengers O Muhammad
O best of creation O Messenger of God

CHORUS:
Ya nabiyyallah, safiyyallah ya Muhammad
Ya waliyyallah, hafiyyallah ya Muhammad
Ya bashirallah, nadhirallah ya Muhammad
Ya habiballah, shafi’allah ya Muhammad
Ya khayra khalqillah, ya rasulallah

Ya badrat tamam
Nuradh dhalam
‘Aliyal maqam
Sayyidul kiram
Monqidhal anam
‘Alayhis salatu wassalam (repeat)
O full moon
Light of the darkness
In possession of a high rank
Master of the noble & generous
Saviour of humanity
May peace & blessings be upon you (repeat)

CHORUS

Ya nabiyyallah, safiyyallah, waliyyallah, Muhammad
Ya habiballah, khalilallah, nadhirallah, Muhammad
Ya khitamal anbiya’i ya rasulallah
Ya imamal atqiya’i ya rasulallah
Ya dawa’a kulli da’i ya rasulallah
O seal of the Prophets, O Messenger of Allah
O leader of the God-fearing, O Messenger of Allah
O cure for every disease, O Messenger of Allah

Ya rabbal Mustafa
Bi jahil Mustafa
O Lord of al-Mustafa
For the sake of al-Mustafa

Ighfiridh dhunub, usturil ‘uyub,
ihdil qulub, likay tatub
Dha’ifi thawab, yamminil kitab,
ab’idil ‘athab, yawmal hisab
Forgive all sins, conceal all faults, guide the hearts,
so that they repent;
Multiply our reward, make our books in our right hands;
make us far from the Fire,
On the Day of Judgement

Ya rasuli, ya habibi, ya nabiyallah
Ya shafi’i, ya bashiri, ya safiyyallah
Ya rasulallah

CHORUS

lyrics: Bara Kherigi
composition: Sami Yusuf

Saqib Riaz Saturday, September 12, 2009 09:08 PM

Make A Prayer

O people
In a hut made of tin and clay
A small boy dreams away
Of clean water and a meal a day
And not to fear mines as he plays each day

O people
Somewhere dark and out of the way
Aids has found yet another prey
To save his life he just couldn’t pay
Tell me what we’re going to do

For our brothers in Durban
For our sisters in Darfur
Show me what we’re going to do
Are we just going to sit there?
Nice and cosy on our armchairs
Will we not even make a prayer?

You might ask yourself
Why should I help these people?
They’ll tell you why
We’re not so different from you
We have dreams just like you
But they were buried with the
bodies of our loved ones

O people
Are we deaf, dumb, and blind?
What is going through our minds?
Don’t we care for the rest of mankind?

O people
We claim to love peace and justice
Why do we preach what we don’t practice?
Let’s help them out of this darkness

Tell me what we’re going to do
For our brothers in Ethiopia
For our sisters in Rwanda
Show me what we’re going to do
Are we just going to sit there?
Nice and cosy on our armchairs
Will we not even make a prayer?

lyrics: Sami Yusuf & Bara Kherigi
composition: Sami Yusuf

Saqib Riaz Saturday, September 12, 2009 09:09 PM

Eid Song

Let us rejoice indeed
For this is the day of Eid

CHORUS:
La ilaha illallah
Muhammad rasulallah
La ilaha illallah
Muhammad rasulallah
‘Alayhi salatullah
‘Alayhi salatullah

Children are wearing new clothes
Bright colours fill the streets
Their faces full of laughter
Their pockets full of sweets
Let us rejoice indeed
For this is the day of Eid

CHORUS

Mosques are full of worshippers
in rows straight and neat
Their Lord they remember, His name they repeat
Their hands are raised to the sky
They supplicate and plead
On this blessed day
Forgive us they entreat
Let us rejoice indeed
For this is the day of Eid

CHORUS

People are giving charity
And helping those in need
In giving they’re competing
Today there is no greed
Let us rejoice indeed
For this is the day of Eid

CHORUS

Enemies embracing each other
All hatred is buried
Everyone is celebrating
Greeting everyone they meet
Let us rejoice indeed
For this is the day of Eid

lyrics: Bara Kherigi
melody: Persian Folklore
additions: Sami Yusuf

Red Flower Monday, September 14, 2009 01:13 PM

[B][CENTER][COLOR="Purple"][YOUTUBE]2TzJADrzS5E[/YOUTUBE]

ALLAH ALLAH UN KA KARAM


Allah Allah Unka Karam Dekhna
Hum Tasavur Main Rozay Pe Jaane Lage

Phir Dile Mubtila Kaif Paane Laga
Phir Madine ke Din Yaad Aane Lage

Deeda o Rooh o Dil Khoye Khoye Se Thay
Dooriyo O Hijar Main Roye Roye Se Thay

Jab Wahan Ki Baharen Nazar Aa Gayin
Deeda o Rooh o Dil Muskurane Lage

Allah Allah Wahan Ki Ataa e Tamaam
Allah Allah Wahan ki Ziya e Tamaam

Qalb Ka Gosha Gosha Munawar Howa
Daag Haaye Jabeen Jagmagane Lage

Us Jaga Jaa Ke Kono Makaan Min Gaye
Aur Kiya Chahiye Do Jahan Mil Gaye
Us Jaga Jaa Ke Kono Makaan Min Gaye
Aur Kiya Chahiye Do Jahan Mil Gaye

Jis Qadar Theen Muraden Huwin Barawar
Jitne Armaan They Sab hi Barane Lage
Jis Qadar Theen Muraden Huwin Barawar
Jitne Armaan They Sab hi Barane Lage

WoH Khajooron Ke Saaye WoH Thandi Hawa
WoH Sukoon Afreen Rooh Parwar Fiza
Kashif Behzaad Hum Ko Mile Mustakil
Zindaganii Ki Mehnat Thikaane Lage

Allah Allah Unka Karam
Hum Tasavur Main Rozay Pe Jaane Lage [/COLOR][/CENTER][/B]

Red Flower Monday, September 14, 2009 09:15 PM

[B][COLOR="Purple"]Do jahaan ke waali ka do jahaan pe saya hy
Un ko to khuda ne un ki marzi se banaya hy

Noori noori jalwe hean keise pyaare jalwe hain
Chaand un ke jalwon ki bheek lene aaya hy

Waduha ka chehra hea taaha ka sehra hy
Un ke muskurane se zamana jagmagaya hy

Toor pe kaha rab ne lantarani musa ko
Lekin mere aaqa ko arsh pe bulaya hy

Nabiyon ne salami di valiyon ne ghulami ki
Sar pe un ke khaaliq ne taaj wo sajaya hy

Lete hean dua'en wo karte hean jafa'en wo
Seene se laga'en uss ko jiss ne bhi sitaya hy

Barkaton ke rele hean nooyon ke mele hain
Haleema teri kuttya mean koan muskuraya hy[/COLOR][/B]

Red Flower Monday, September 14, 2009 09:20 PM

[B][COLOR="Purple"]Kaa'be pei pari jab pehli nazar kya cheez hai Duniya bhul gayi
Youn hosh-o-khard maflooj hote Dil zook-e-tamasha bhul gayi

Ahsaas ke parde lehraye imaan ki haraarat teezi hoyi
Sajdoun ki tarap Allah Allah sar apna sooda bhul geya

Poncha jo Haram ki Chookhat tak aik ibre karam ne gheer liya
baqi na raha phir hosh mujhe kya mangha aur kya kya bhul geya

Jis waqt dua'a ko haat uthe yaad na saka jo socha tha
Izhaar-e-aaqeedat ki dahan mei izhaar-e-tamana bhul geya

Har waqt barasti hai hai rehmat kaa'be mein Jameel Alllah Allah
Khaki houn main kitna bhul geya aati houn main kitna bhul geya[/COLOR][/B]

Red Flower Tuesday, September 15, 2009 01:16 PM

[B][COLOR="Purple"]Rahmat Ka dar khula hai, Darbaar-e- Mustafa Mein
Bin Maange mil raha hai, Darbaar-e- Mustafa Mein

Un par darood Har dam, Un Par Salaam Har dam
Har eik par raha hai, Darbaar-e- Mustafa Mein

Rahmat Ka dar khula hai, Darbaar-e- Mustafa Mein
Bin Maange mil raha hai, Darbaar-e- Mustafa Mein

Asoon jo beh rahain hain, Sub haal keh rahain hain
Lab kaun koltha hai, Darbaar-e- Mustafa Mein

Rahmat Ka dar khula hai, Darbaar-e- Mustafa Mein
Bin Maange mil raha hai, Darbaar-e- Mustafa Mein

Seenay pe haath rakh kar, Mein Dil ko dundtha hoon
Dil mujko dundtha hai, Darbaar-e- Mustafa Mein

Rahmat Ka dar khula hai, Darbaar-e- Mustafa Mein
Bin Maange mil raha hai, Darbaar-e- Mustafa Mein

Mein Naat parh raha tha, Sarkaar Suun rahe thay
Ye Raaz ab khula hai, Darbaar-e- Mustafa Mein

Rahmat Ka dar khula hai, Darbaar-e- Mustafa Mein
Bin Maange mil raha hai, Darbaar-e- Mustafa Mein

Adaab ka takaaza, jumbish na ho badan mein
Dil wajd karaha hai, Darbaar-e- Mustafa Mein

Rahmat Ka dar khula hai, Darbaar-e- Mustafa Mein
Bin Maange mil raha hai, Darbaar-e- Mustafa Mein

Khushboo Adeeb teri, Naaton mein arahi hai
Ik baar kya gaya hai, Darbaar-e- Mustafa Mein

Rahmat Ka dar khula hai, Darbaar-e- Mustafa Mein
Bin Maange mil raha hai, Darbaar-e- Mustafa Mein[/COLOR][/B]


11:10 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.