CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Off Topic Lounge (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/off-topic-lounge/)
-   -   Kia ise ka naam taqdir hai ise ko naseeb kahtae hai please must read (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/off-topic-lounge/102410-kia-ise-ka-naam-taqdir-hai-ise-ko-naseeb-kahtae-hai-please-must-read.html)

Fraz Azam Wednesday, June 17, 2015 08:46 PM

Kia ise ka naam taqdir hai ise ko naseeb kahtae hai please must read
 
Asalam o Alakum
Here is a real story about me.
Mera talaq sargodha k ek village se hai mujhay bachpan se he Forces join krne ka shooq tha especially Pak Army
But due to my bad luck I could not attend school.
But due to my passion main ne ghar pr he thora bohat likhna or parhna seekh lia tha.
In 1998 PTV pr Alfa Bravo Charli drama start howa us drama or Fraz ne jo k mera hum name tha mujhay mazid motivate kia.
So main ne mehnat kr k private matric pass kia I mean direct without my earlier education yane 1st 2nd 3rd..... classes attend kiyee baghar.
Then i have passed FA. and BA as private candidate from BISE sargodha and UOS.
After that I have applied for PMA 125 in 2009 but me not recommended.
Main bohat ziada Diss heat howa but meray pass ek or option tha i mean civil forces Police FIA etc.
Bcoz main ne ghar pr he education hasil ke the so mera is qisam ka koi friend yah teacher ni tha jo meri help kr sakta meray pass questions to bohat ziada thay but Un k Ans denay wala koi na tha is liay main sara din net pr jobs k add search krta rahta akhir ek din mujhay net pr [url]www.ppscforum.com[/url] or [url]www.cssforum.com.pk[/url] mil gay or yaha se mujhay meray sb questions Kay Ans mil gay.
Yaha pr main ne wo kuch sekha jo k main ksi school yah college main bhe na seekh pata.
Main ne 20+ se ziada jobs k liay apply kia PPSC. NTS. FPSC. and under department in main se ziada tr ka to kabhe koi reply ni aaya PCS main bohat dafa apply kia start main written test main fail ho jata tha.
Prepartition ka koi idea na tha phir app ppscforum k respected members ke help se mera interview tak pohnchne ka silsla start ho gia.
But meri final slection kabhe na ho saki.
Or main over age ho gia I mean 25+ I think meri final sections na hone ke 1st reason yah hai k ek ek post k again hazaron candidates hotay hain or wo bhe required education se ziada educated for example sub inspector k interview k doran main jis candidate se us ke education pochta to koi LLB to koi MBA koi M.phil koi engineering btata tha sirf main he waha just BA with 2nd division tha and 2nd reason mera 2nd division main academic background ka hona hai.
Tab main yah sochta k kaash main bhe ksi school yah college ka parhna likha hota to aaj baat he or hoti.
Main apne aap ko mazid motivate krne k liay aksar DPO k office ke tar nikal jata tha.
But all in vain.
NTS PPSC etc. Main rejection ke waja se main Diss heart ho gia but army k baad mujhay sb se ziada dukh 2014 main sub inspector ke rejection ka hai mera interview bhe Acha howa tha or man yah baat soch k gia tha k is bar main interview penal ko sb kuch bta dun ga k main kin halt se guzar kr yaha pohncha hon but after interview main ne jb btana chaha he tha k unho ne mujhay bahir jane ka kah diya or main bahir aa gia agar interview penal k member meri story sun lay ty to may be wo mujhay ziada No dety or mera name final section main aa jata.
Khair SI k baad bhe ek do posts pr apply kia but not slected.
Main jb bhe forces ko dekhta to mujhay bohat dukh hota tha main har waqt tention main rahta tha I have no words to explain my feelings.
In taklif dah tentions se bachne k liye mere pass ek option tha out of country.
So na chahty howay bhe dil pr pathar rakh kr main KSA aa gia but yaha aanay k baad bhe main wo sb kuch ni bhoola saka mera zehan hr waqat pak forces ke tarf atka rahta hai ek pal aram ni mujhay yaha bhe.
Yaha main ek courier company main driving kr raha hon or pay 50 thousand Rs hai.
But I wish pak main 10 thousand he hoti or forces ke job hoti to main bohat khush rahta.
But may be pak ka rizq meray muqadar main ni tha.
Har insan ko us k liay mehnat krta hai jis ke us ko chahat hoti hai but us ko wo he milta hai jo ALLAH ke chahat us k liye hoti hai or yah he us k liay Behar hota hai.
Is liay mujhay umid hai k ek din mujhay bohat bari success milay ge Bcoz hr nakami k pechay ek bohat bari kameyabi hoti hai.

So please remember me in your prayers.
I am very thankful to all the members of this forum.

azmatullah Thursday, June 18, 2015 08:09 AM

Dear ap ne ye jitni bhi baaten ki ye to rastay k mukhtalif stop hain, manzil to koi aur hy mere bhai.
Any way, yahi zindagi hy, aur yahi iska husan hy, don't think about such meagre elements, these are part of our life, aur ye elements sb ki life me hoty hain. apni zindagi ka koi maqsad bna len, aur zindagi us kleay waqf ker den, maqsad naik hoga to mushkilat ko bhi enjoy kro gy, and you have the capability as well as capacity to do it.


12:52 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.