Thursday, March 28, 2024
09:18 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature

Poetry & Literature Post QUOTATIONS and POETRY here that can be used while preparing notes.

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Wednesday, August 03, 2016
Colossal's Avatar
Member
 
Join Date: Sep 2013
Location: 29.4000° N, 69.1833° E
Posts: 48
Thanks: 6
Thanked 141 Times in 33 Posts
Colossal is on a distinguished road
Default Kaho Mujhse MOHABBAT hai . . .

MUHABBAT ki tabiyat mae yeh kaisa bachpanaa qudrat ne rakha hai
keh yeh jitni purani jitni mazboot ho jaye
ise taeed e taza ki zaroorat phir bhi rehti hai
yaqeen ki akhri had tak dilon me lehlahaati ho
nigahon se tapakti ho lahoo me jagmagaati ho
hazaron tarha k dilkash haseen haaley banati ho
ise izhaar k lafzun ki hajat phir bhi rehti hai

MUHABBAT maangti hai yuun gawahi apne hone ki
keh jaise tifl e saadaa sham ko ik beej boye
aur shab me baar-haa utthe
zameen ko khod kar dekhe,keh podaa kahaan tak hai
MUHABBAT ki tabiyat me ajab takrar ki khuu hai
keh yeh iqrar k lafzon ko sunney se nahi thakti
bicharney ki gharri ho ya koi milne ki saa.aat ho
ise bas aik hi dhun hai
kaho mujh se MUHABBAT hai
kaho mujh se MUHABBAT hai

tumhain mujh se MUHABBAT hai
samandar se kahin gehri,sitaron se siwa roshan
paharon ki tarha qaa-im,hawaon ki tarha daa-im
zameen se asman tak jis qadar ache manaazar hain
MUHABBAT k kanaye hain wafa k istaarey hain
humare hain
humare wastey ye chandni ratain sanwarti hain
sunehra din nikalta hai
MUHABBAT jis taraf jaye zamana sath chalta hai



kuch aisi be-sakooni hai wafa ki sar-zameeno me
keh jo ehal e MUHABBAT ko sdaa bechain rakhti hai
keh jaise phool me khushbu,keh jaise hath me paaraa
keh jaise sham ka tara

MUHABBAT kerne walon ki sahar raton me rehti hai
guman k shakhchon me aashiyan banta hai ulfat ka
yeh ain e wasal me bhi HIJAR k khadshon me rehti hai

MUHABBAT k musafir zindagi jab kaat chukte hain
thakan ki kirchiyan chunte wafa ki ajrakain pehney
samay ki rahguzar ki akhri sarhad pe rukte hain
to koi doobti sanson ki dori thaam kar
dheere se kehta hai
yeh sach hai na ........
hamari zindagi ik doosre k naam likhi thi
dhundlaka sa jo ankhon k qareeb o dooor phaila hai
issi ka naam chahat hai
tumhain mujh se MUHABBAT thi
tumhain mujh se MUHABBAT hai

MUHABBAT ki tabiyat me
yeh kaisa bachpanaa qudrat ne rakha hai
__________________
I hated every minute of training, but I said, 'Don't quit. Suffer now and live the rest of your life as a champion.
Reply With Quote
  #2  
Old Thursday, October 15, 2020
Junior Member
 
Join Date: Sep 2020
Posts: 11
Thanks: 8
Thanked 0 Times in 0 Posts
bazmejanaan is on a distinguished road
Default

MUHABBAT ki tabiyat me
Reply With Quote
Reply

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
What is the advantage of adding someone? maha4799 Site Feedback 3 Wednesday, February 23, 2011 06:04 PM
Humien Tum Sey Mohabbat Hai Last Island Urdu Poetry 0 Tuesday, April 20, 2010 08:22 PM
Mohabbat Chup Nai Rehti The Star Urdu Poetry 2 Thursday, January 08, 2009 09:05 PM
Mohabbat Faryal Shah Urdu Poetry 0 Saturday, November 24, 2007 05:34 PM
Mohabbat Mut Kaho Is Ko Last Island Urdu Poetry 0 Monday, May 28, 2007 03:13 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.