CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Poetry & Literature (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/)
-   -   A Tribute to Umera Ahmed (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/4271-tribute-umera-ahmed.html)

Muskan Ghuman Friday, May 05, 2006 11:24 PM

[QUOTE=Mr Ghayas]
========
Optimistic
========
[B]Aurat k 4 ghar hotey hein, baap ka ghar, shohar ka ghar, betay ka ghar aur damaad ka ghar."[/B][/QUOTE]

Ahan Mr. ghyas itni optimistic approach...:closedeye ...
Directly u can say Women are like rolling stones...
Anyways for a male in this also there can be optimism becoz the issue is related to woman.
The line U qouted from my post does nt show pessimism but it is a realistic approach.

Regards,
Muskan

Chilli Thursday, May 11, 2006 05:13 PM

Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)
 
Umera Ahmed k Novel"Peer-e-Kamil"se kuch Iqtebas...................

“Aap main se agar koi bata sakay k Peer-e-Kamil kon hota hay?”
Wahan mojood log aik doosray ko dekhnay lagay phir aik ne kaha,”Peer-e-kamil naik shakhs hota hay,Ibadat Guzar shakhs,Parsa Admi”

Dr. Sabt Ali ne sar hilaya,”bohat se log naik hotay hain,Ibadat Guzar hotay hain,parsa hotay hain,aap k ird gird aisay bohat se log hotay hain to kia wo sab Peer-e-Kamil hotay hain??”

“Nahin! Peer-e-Kamil wo admi hota hay jo dikhaway k liye Ibadat nahi karta,Dil se ibadat karta hay,sirf Allah k liyeus ki naiki or parsai dhong nahi hoti”,aik or shakhs ne ne apni raye di

“Apnay Halqa Ahbab main aap main se har aik kisi na kisi aisay shakhs ko zaroor janta hoga,jis ki ibadat k baray main ussay ya shubah nahi hota k wo dhong hay,jis ki naiki or parsai ka bhi aap ko yaqeen hota hay to kia wo shakhs Peer-e-Kamil hay?”

kuch dair khamoshi rahi phir aik or shakhs ne kaha
“Peer-e-Kamil aik aisa shakhs hota hay ,jis k alfaz main taseer hoti hay k wo insane ka dil badal daitay hain”

“Taseer bhi bohat se logon k alfaz main hoti hay,kuch k Monh se nikalnay walay alfaz main,kuch k qalam se nikalnay walay alfaz main,Taseer to stage par kharay aik Compare or akhbar ka Ka’lam likhnay walay aik Journalist k alfaz main bhi hoti hay to kia wo Peer-e-Kamil hotay hain?
Aik or shakhs bola” Peer-e-Kamil wo hota hay jissay Alham or Wajdan ho,jo mustaqbil ko boojh sakay”

“ham main se bohat saray log aisay khuab dekhtay hain jin main mustaqbil main darpesh anay walay halat se hamain agahi hojati hay,kuch log istekhara bhi kartay hain or cheezon k baray main kisi had tak jan jatay hain,kuch logon ki chati His(6th Sence)bohat taiz hoti hay,wo khatron ko bhanp jatay hain"
“Peer-e-Kamil kon hota hay?Dr Sahab kuch dair khamosh rahay,unhon ne phir apna sawal dohraya

“Peer-e-Kamil kon hota hay? Salar uljhan amaiz andaz main Dr Sabt Ali k chahray ko dekhnay laga

“Kia Dr Sabt Ali k ilawa koi or Peer-e-Kamil ho sakta tha or agar wo nahi thae to phir kon tha or kon ho sakta hay?”

Wahan baithay huay logon k Dil-o-Dimagh main aik hi gounj thi...

Dr Sabt Ali 1,1 ka chahra dekh rahay thae,phir un k chahray ki muskurahat ahista ahista madoom ho gai……….

“Peer-e-Kamil main kamliyat hoti hay..kamliyat un tamam cheezon ka majmooa hoti hay jo aap kah rahay thae, Peer-e-Kamil wo shakhs hota hay jo Dil se Allah ki ibadat karta hay,Naik or Parsa hota hay..us ki har Dua qubool hoti hay,is had tak jis had tak Allah chahay..us k alfaz main taseer bhi hoti hay,wo logon ko hidayat bhi daita hay magar ussay Alham nahi hota,ussay Wajdan hota hay,Wahi utarti hay us par or Wahi kisi Aam Insan par nahi utarti…sirf Paighambar par utarti hay…1 Lakh 24 Hazar Paighambaron main se har Paighambar Kamil tha magar Peer-e-Kamil wo hay jis par Nabuwwat ka silsila khatam kar diya jata hay…
Har Insan ko Zindagi main kabhi na kabhi kisi Peer-e-Kamil ki zaroorat parti hay,kabhi na kabhi Insani zindagi us mor par aa kar zaroor khari ho jati hay jab ya lagta hay k hamaray labon or Dilon se nikalnay wali Duayain be-asar ho gai hain,hamaray sajday or hamaray phailay huay hath rahmaton or naimaton ko apni taraf mor nahi pa rahay…Yun lagta hay jaisay koi talluq tha jo toot gaya hay phir Admi ka dil chahta hay ab us k liye koi or hath uthaye,kisi or k lab us ki Dua Allah tak Pohanchayain,koi or Allah k samnay us k liye gir-giraye,koi aisa shakhs jis ki Duayain qabool hoti hon,jis k labon se nikalnay wali il-tejayain us k apnay lafzon ki tarha wapis na mor di jati hon phir Insan Peer-e-Kamil ki talash shuru karta hay,bhagta phirta hay,Dunya main kisi aisay shakhs k liye jo Kamliyat ki kisi na kisi seerhi par khara ho…….

Peer-e-Kamil ki ya talash Insani Zindagi k irteqa se ab tak jari hay ..ya talash wo khuahish hay jo Allah khud insan k dil main paida karta hay….. Insan k dil main ya khuahish,ya talash na uteri jati to wo Paighambron par kabhi yaqeen na lata…kabhi un ki pairvi or Ata’at karnay ki koshish na karta,Peer-e-Kamil ki ya talash hi insan ko har zamanay main utaray janay walay Paighambaron ki taraf lay jati rahi....

phir Paighambaron ki Ma-boosiyat ka ya silsila Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k sath kahtam kar diya gaya…Aap(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)ki ummat k liye Aap(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k bad kisi or Peer-e-Kamil ki gunjaiysh nahi rakhi gai

Kon hay jissay ab ya aainda anay wallay zamanay main Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)se barh kar koi muqam diya jaye???

Kon hay jissay Aaj ya ainda anay walay zamanay main kisi shakhs k liye Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)se barh kar Kamliyat de di jaye????

Kon hay jo Aaj ya ainda anay walay zamanay main kisi Shakhs k liye Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)se barh kar Shafa’at ka dawa kar sakay???
Jamid or mutaqil khamoshi k surat main anay wala “Nafi”main ya jawab ham se sirf aik sawal karta hay….


Peer-e-Kamil(Sallal Laho ALahe Walay Hi Wasallam) ko chor kar ham dunya main or kis wajood ko khojnay nikal kharay huay hain?? Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k Bay’at Shuda hotay huay hamain doosray kisi Shakhs ki Bay’at ki zaroorat rah gai hay????

Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k rastay par chalnay k bajaye hamain doosra kon sa rasta apni taraf khainch raha hay???

Kia Musalmanon k liye Aik Allah, Aik Quran, Aik Rasool(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam) or un ki Sunnat kafi nahi????

Allah us k Rasool Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)or us ki Kitab k ilawa or kon sa shakhs ,kon sa Kalaam hay jo hamain Dunya or Akhirat ki takleefon se bacha sakay ga????

Jo hamari Duaoon ko qabooliat bakhshay,jo ham par naimatain or rahmatain nazil kar sakay??

Koi Peer-e-Kamil ka firqa(sect) bata sakta hay???Nahin bata sakta”

Dr Sabt Ali Kah rahay thae……..

“Wo sirf Musalman thae,wo musalman jo ya yaqeen rakhtay thae k agar wo Sirat-e-Mustaqeem par chaplain gay to wo jannat main jayain gay,us rastay se hatain gay to Allah k Azab ka nishana banain gay
or Sirat-e-Mustaqeem wo rasta hay jo Allah apnay Paighambar(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k zariye Quran Pak main batata hay,saaf,do tok or Wazah Alfaz main…wok am karain jis ka hukm Allah apnay Rasool(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k zariye daita hay or us kam se ruk jayain jis se mana kia jata hay…..

Allah, Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam) or Quran kisi bat main koi abham nahi rakhtay..
Quran ko kholiye,agar us main kahin do tok or ghair-mubham alfaz main kisi doosray Peer-e-Kamil ya Paighambar ka zikr milay to us ki talash kartay rahiya or agar aisa kuch nazar nahi ata to phir sirf khof khaiye k aap apnay pairon ko kis daldal main liye ja rahay hain…apni 50,60 Sala zindagi ko kis tarha apni abdi zindagi ki tabahi k liye istemal kar rahay hain,kis tarha Khassaray ka soda kar rahay hain..Hidayat ki talsh hay?

Quran kholiye..kia hay jo wo aap ko naho bata daita..wo aap ko masoom,anjan or ba-khabar nahi rahnay daita…aap ka asal aap k monh par de marta hay..Kia Allah Insan ko nahin janta hoga???us Makhlooq ko jo us ki Arbon,Kharbon(Million,Billion) takhleeqat main se aik hay…

Dua qabool nahi hoti to asar or waseelay talash karnay k bajaye sirf hath utha lijye,Allah se khud mangain…de day to shukar karain,na day to Sabar…………..magar hath aap khud hi uthayain..

Zindagi ka qareena or saleeqa nahi araha to Aswa-e-Husna(Sallal LahoAlahe Walay Hi Wasallam)ki taraf chalay jayain,sab kuch mil jaye ga aap ko
Aihtram har aik ka karain…….

har Wali ka,har Momin ka,har Buzurg ka,har Shaheed ka, har Saleh ka, har Parsa ka......
Magar apni zindagiyon main hidayat or rahnumai sirf Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahae Walay Hi Wasallam)se lain q k unhon ne aap tak apnay zaati ahkamat nahi pohanchaye jo kuch bataya hay wo Allah ka nazil karda hay.......

Dr.Syed Sabt Ali kon hay,
kia hay,
kon janta hay ussay???
Aap......??
Aap k ilawa chand so(100)log....

chand Hazar log magar jis Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)ki bat kar raha hoon,unhain to aik Arab k qareeb log apna Rohani Paishwa mantay hain…main to wohi kuch kahta ,dohrata phirta hoon,jo 1400 Saal pahlay Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)farma chukay hain…kia nai bat kahi main ne????

==Jazak Allah==

Chilli Thursday, May 11, 2006 05:33 PM

Favourite'z Lines from Umera's Novels
 
[B]Amar Bail
[/B]
"kaun kahta hai k kisi se ek bat mohabbat ho jane k bad us se nafrat ho sakti hai? jo kahta hai wo duniya ka sab se bara jhoota hai...cycle of replacement mein mohabbat ki replacement nahi hoti...khud ko dhoka dene k bawajood ham jante hain k hamare wajood mein khoon ki gardish ki tarah daurne wala naam kis ka hai...hum us per ek k bad mohabbaton k dher lagae jate hain, kahte jate hain, ab hum is se mohabbat karte hain, ab hum us se mohabbat karte hain....laken jo zyada door hota jata hai wo zyada pass ata jata hai...aur phir wo hamare dil aur dimagh k us kone mein ja puhanchta hai k agar kabhi use wahan se nikalna par jae to phir us k bad hum ek normal zindagi guzarne k qabil nahi rahte...."



"main Alieza ko Joy dunga, phir Eternity".

(Tania)"just relax Alieza! ronay se wo aa to nahi jayega" .......(Alieza)"mere ronay se to aa jata tha"..

"to ye hoti hai zindagi
or ye mohabbat
aik waqt main aik hi cheez khatam hoti hai, donon nahi".

"us ne Alieza ke chehray ko apne zehan ki screen per ubhartay dekha...bayikhtiyar us ne saans lene ki koshish ki, phir us ne us ke saath Junaid ko dekha wo saans nahi le saka".

"mujh se ye mat kaho ke tum mujh se mohabbat nahi kartay, tumhain pata hai is se kitni takleef hoti hai mujhe".

Umer said In Amar Bail

mujhe to aliza se mohabbat thi mein usee kese kisi ka honte dekh sako ga .........mein usee bhaut rulya...."


us ne Alieza ke chehray ko apne zehan ki screen per ubhartay dekha, bayikhtiyar us ne saans lene ki koshish ki, phir us ne us ke saath Junaid ko dekha wo saans nahi le saka

"Cycle Of Replacement" mein mohabbat ki replacement nahi hoti"

[B] Meri Zaat-e-zarra Bey Nishaan [/B]

When Aarfeen asks saba about reality and she says

" Aankhein kuch nahi dikhaatein, aankhein to sirf woh dikhaati hein jo hamara dil, hamara dimagh dekhna chahta hae".

[B]Abhi To Maat Baaqi Hai [/B]

kuch chehrion ko pehchany main zara bhi dair nahi lagti chahy un say humra koi rishta ho yaan na ho.chahy unhien hum 8 min baad yaan 8 saal baad dehkien.chahay unhien hum nay muhabat say dehka ho yaan nafrat say magar ik bar dehknay kay baad woh chehray damgh main naqsh ho jatay hain.pir dobara kabhi zehan say ohjal nahi hotay.

[B] 'Thora Sa Aasma' [/B]

Allah Ta'la har insaan ko zameen par bheej deyta hai aor kehta hai... Ye tumhari azmaish hai, aor ye tumhari umer ki had... Tumko itney saal zameen par iss tarha kay halat kay ssath rehna hai... ye ye masail hain jo tumhen zindagi mai pesh aaingey, ab ro kar inka samna karo ya hans kar inka hal sohney ki koshish karo... Ya in par zindagi bhar matam kartey raho, ye sab tumharey haath mai hai... Behirhaal, tumko in sab ka samna karna hi hai... Hum zindagi kay imtahani kamrey mai beth kar, pedaish sey moat tak mukhtalif qisam kay test dayney kay alawa kuch nahi kar rahey hotey... Har test ka doraniya alag hota hai, uski type alag hoti hai, baaz ka sawal nama zara asan hota hai, baaz ka khasa mushkil,baaz ka sawal nama Syllabus pay phela huwa hota hai, baaz ka mukhtasir jawabaat magta hai... Baaz paper khubsoorat writing mai kartey hain, baaz gandi writing mai, Magar aik baat tou tay hai kay hum sab dey paper hi rahey hain aor ye papers kesey bhi hon, inka Checker aik hi hota hai... Vo merit par puri diyanatdaari kay saath hamen marks dey deyta hai, aor vo checker Allah hai !!

Kamra-e-imtehan mai aney kay baad shor machaney kay bajaey kay falan ko paper asaan diya gaya hai, falan ko naqal karaey jarahi hai, falan ko kam sawal hal karney hain, falan ko ziyada waqt diya gaya hai, falan ko diya janey vala qalam aor sheet mujhsey behtar hai, falan ko paani aor dusri sahuliat di jarahi hain, falan ko calculator istamal karney ki ijazat hai ya falan ney kitaab kholi huey hai.... Kiya ye behtar nahi hai kay hum sirf aor sirf apney question paper par tawwaja den, usko hal karney ki koshish karen, ye dekhen kay iss mai sey kitney sawal hamen aatey hain aor kitney nahi, aor jo sawal hamen atey hain unka jawab hum kitni achi tarha dey saktey hain.... aor jo nahi aatey unko hal karney kay liye hamen kiya karna chaheye... Kiyonkay hamen khaali paper nahi chhorna khali paper dekh kar hamen marks nahi milengey aor nahi hamar koi uzar mana jaeyga...

[B]Wujood-e-Laraib[/B]

"Ya Allah! insaan kitna majboor hai." (Washma Hadi Hasan to Allah in [B]Wujood-e-Laraib[/B])



"yahan kharay ho ker Tuj say Anbiya dua manga kertay thay.un ki duaoon main or meri duaoon main bohat faraq ha..main Nabbi hota tu Nabiyon jasi dua kerta,,mager main tu amm bashar hoon,,,, gunahgar bashar.meri khawishaat,meri arzooain sab amm hain,yahan kharay ho ker koi kabhi kisi orat kay liay nahi roya hoga,meri zilat or pasti ki is say ziada intaha or kia hogi kay main yahan khara,,,,haram-e-paak main khara.....aik orat kay liay girgira reha hoon...mager mujko na apnay dil per ikhtiyar ha na apnay ansooun per,yah main nahi tha jis nay is orat ko apnay dil main jaga di..yah Tu nay kia,,kun meray dil main us orat ka liay itni mohabbat dal di ka main Teray samnay khara bhi usi ko yaad ker reha hoon?main wo bashar hoon jis ko Tu nay in tamam khamiyon kay sath banaya.jis ko Teray siwa koi rasta dekhany wala nahi,or wo orat meri zindagi kay her rastay per khari ha...mujahay kahin janay nahi day rehi..ya tu uski mohabbat ko meray dil say is tarah nikal day kay mujhay kabhi us ka khayal tak na aye,ya phir usay mujhay day da..wo nahi milay gi tu main sari zindagi usi kay liay rotta rahoon ga,wo mil jai gi tu Teray ilawa main kisi kay liay anso nahi baha sakoon ga,meray ansooun ko khalis honay day.main yahan khara tujse paak ortoon main sa aik ko mangta hoon""

sabaun Thursday, November 02, 2006 12:00 AM

well eram,,,,kamal kar di hay ap nay,,,,,kia andaaz hay app ka,,,,,yaqinan app ka post daikh kar may sochnay pay majbooor ho gya,,,,,may ap say 100% mutafiq hoon jo app nay is post may kaha hay,,,,,

sErEnE EyE Sunday, February 11, 2007 12:18 AM

"....tum nay kabhi mout ko kareeb say dekha hai? yeah bilkul waisi hi hai jaisi zindagi main tumharay beghair guzar rahi houn"
Omaira Ahmed

uzma Thursday, March 29, 2007 10:39 PM

A very good writer indeed, was a pleasure to read all thats been shared from Umera Ahmed. Specially by Argus....I'm introduced to a big writer.

Thank you for that.

adeela Sunday, April 29, 2007 12:59 PM

she is marvelous in her thinking...in her writing.really fabulous work. Her novel PEER E KAAMIL.....is one of the grt novel.Before 2 years i read this but still i can feel its effects. it make us to awake up.

really splended !!

Chilli Monday, May 07, 2007 03:47 PM

A new drama serial on Hum Tv and starting from 11 May on Friday @ 8:10 pm. It's based on novel written by Umera Ahmed.

qasim83 Monday, May 21, 2007 12:16 AM

I have read Peer-e-Kamil and am reallly impressed by it?
Can anyone please list all writings of Umera Ahmed,, and where to find those?

Ahmed

Tuba Naz Monday, July 16, 2007 05:02 PM

[SIZE="4"][B]FROM "THORA SA ASMAAN"[/B][/SIZE]

[SIZE="4"]= "Zindagi mey humarey sath chalney wala har shaks es leye nahi hota keh hum thokar kha kar gireen or voh hume sambhaal ley hath thaam kar girney sey pehley ya bazoo khench kar girney keh baad..baaz loog zindagi keh es safar mey humarey sath serf yeh dekhney k lea hotey hain keh hum kab kahan or kesey girtey hain..lagney wali thokar humarey gothnoo ko zakhmi karti hai ya hathoo ko khak,humarey chehrey ko ganda karti hai ya kaproo ko..."

= "Us k samney aney wali pastii usey asmaan sey pataal mey ley janey wali thi..Asmaan or pataal k darmiyaan kaheen bhi zameen nahi hoti..Zameen ki zarorat nahi hoti kuyn keh pataal tak pohonchtey pohonchtey peer kut chukey hotey hain..."[/SIZE]

[SIZE="4"][B]FROM "PEER-E-KAMIL (S.A.W)"[/B][/SIZE]

[SIZE="4"]"Voh andaza nahi kar pa raha tha keh us raat usey kis cheez sey zada khoof aaya tha..Maut sey,Qabar sey,ya pher Dozaq sey..
Imama ney kaha tha ECSTASY keh baad PAIN hoti hai..Maut PAIN thi..
Us ney kaha tha PAIN keh baad NOTHINGNESS hogi..Qabar NOTHINGNESS thi..
Imama ney kaha tha NOTHINGNESS keh baad HELL aa jae ga..
...Voh wahan tak pohonchna nahi chahta tha.Voh es ECSTASY sey bachna chahta tha ,jo usey PAIN sey HELL ka safar karney per majboor kar deti..."[/SIZE]


07:27 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.