CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Poetry & Literature (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/)
-   -   A Tribute to Umera Ahmed (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/4271-tribute-umera-ahmed.html)

Astute Accountant Tuesday, June 16, 2009 07:19 PM

[B]Baaz dafa jo cheez ap ko nazar aati hai wo faraib hota hai. nazar ka dhoka. Aur jab tak ye baat pata chalti hai bahut dair ho chuki hoti hai. Itni dair k na ap aagay ja saktay hain na peechay.

*******

Hamaray liye 24 ghanton main paanch baar Allah ko yaad karna bahut mushkil hai, laikin hum yeh chahtay hain k Allah 24 ghanton main har pal hamara khayal rakhay. Humain har nuksaan se bachaye, humain har uss cheez se nawazay jis ki humain khawahish hai.
Aur agar in main se koi aik cheez bhi na ho tu hum Allah se shikwa karnay lagtay hain. Ussay batanay lagtay hain k uss ne humain kitna bad-kismat banaya hai. Apni mehroom’ioon ka matam kartay hain.

*******

Baaz dafa khamoshi wajood par nahi, dil main utarti hai. Phir iss se ziyada mukamal, khobsurat aur baa’mani guftagu koi aur cheez nahi kar sakti aur ye guftagu insan ki sari zindagi ka hasil hoti hai aur iss guftagu k baad aik dosray se kabhi dobara kuch kehna nahi parta. Kuch kehnay ki zaroorat rehti hi nahi.

Taken From: [SIZE="3"][COLOR="DarkOrchid"]HASIL[/COLOR][/SIZE][/B]

sara soomro Saturday, July 11, 2009 06:55 PM

[B]Yeh jo paisa hai na is ki ginti arboon kharbon tak jati hai bal-k is se bhi agay jo cheez arboon kharboon tak jai na is ki koi kadar nahi hoti-Value ous ki hoti hai [COLOR=#0000ff]jo ungliyoon ki poroon se shuroo ho kar poroon par hi khatum ho jai[/COLOR]-jaise khoon k rishty buhat bhi hoon na tu bus dono hathon ki porain hi bhar pati haan-Aik admi k pass paisa kharbon ho sakta hai-rishty arbon kharbon nahi ho sakty....Tu bus yad rakhna jo cheese kum tadaad ya maqdaar ma milay ous ki value ziyada ,Jo dhairon k hisaab se milay ous ki value kum-

[COLOR=green]Mun o Salwa/Umera Ahmed[/COLOR] ...........[/B]

Astute Accountant Sunday, August 23, 2009 01:03 PM

[B]Ishq insan ko kainat k kisi dosry hissay mein lay jata hai... Insan ishq-e-majazi se ishq-e-haqeeqi tak safar tab karta hai jab ishq la-hasil rehta hai... jab insan jholi bhar bhar kar muhabbat karay... aur khali dil or hath laykar phirray...

[SIZE="3"]From:[/SIZE] [COLOR="DarkOrchid"][SIZE="3"]Darbar-e-Dil[/SIZE][/COLOR][/B]

sara soomro Monday, August 31, 2009 12:44 AM

[CENTER][FONT=Georgia][SIZE=5][COLOR=#8040ff]" Saba ka khat Aarfeen ko kitaab ki tarah lagtaa tha. her lafz koi nayaa mafhoom, koi nayaa maa'ni(meaning) liyea hota tha wo parhta, kuch jumloon per hairaan hota kuch per saktay mai aataa, kuch per is ki saans rukk jaatii. khat dobara parhtaa to koi doosra jumlaa kisi doosrii dunyaa ka derwaza is per khol deta, baa'z dafaa is ka dil chahtaa k wo saba se keh dey, 'cheezon k baray ma aisay mat socho wena zindagee guzarna bohat mushkil ho jaye gee.' her dafaa wo sirf soch ker reh jata, isay kabhi likh nai pata, is mi itni jurrat hi nahi thi. baa'z dafaa is ka dil chahtaa, wo is se kahay k her cheeze k baray ma sochtii ho, mujay likh detii ho. meray baray ma kiaa sochtii ho, yea kioun nahin likhtii'n.[/CENTER]
aik baar is ne himmat ker k yea sawaal isay likh hi diya tha. isay is ka jawab abhi tak yaad tha, is ney likha tha.[/COLOR]

[COLOR=#bf00ff]"jis chezze se be-hadd muhababt ho, is k baray ma sochna nahin chahiyea, soch shubhaat ko paida kerti hai aur shubhaa muhabbat ko khatam ker deta ha, tum chahtay ho, tum se meri muhabbat khatam ho jaye?"[/COLOR]

wo dobara is se apnay baray mai kuch jannay ki fermaaish nahin ker sakaa tha."


[COLOR=#808000]Book : Meri Zaat Zara-e-Be'Nishaan[/COLOR][/SIZE][/FONT]

sara soomro Monday, August 31, 2009 12:48 AM

[CENTER][FONT=Georgia][SIZE=5][COLOR=#0000ff][B]"wo jane se pehle aik din hostel mein phirti rahi thi. Wahan ki her cheez k sath us ki yaadein wabasta thin. Aisi yadein jnhein wo bhula dena chahti thi...

Sardion ki wo ratein jab us ne apni zindagi ko barzakh bante dekha tha.....
......Garmion ki wo ratein jab us ka jism barf ka toda ban jata tha....

Us k aansoo, Us k khawab us ki khawishein,,, sub ki qabrein yehin thin.....
Use yun lagta tha jese wo in qabron ki majwar ban chuki ho....
Is qabristan ne us k wajood ko kha lia tha...
Ab jab wo bahir nikalne ki koshish ker rahi thi to us ka poora wajood kat raha tha...."
[/B][/COLOR]

[COLOR=green][I][B]~Imaan, Umeed or Mohabat~ (Umera Ahmed)[/B][/I][/COLOR][/SIZE][/FONT]
[B][I][FONT=Georgia][SIZE=5][COLOR=#ff0000][/COLOR][/SIZE][/FONT][/I][/B]
[B][I][FONT=Georgia][SIZE=5][COLOR=#ff0000][/COLOR][/SIZE][/FONT][/I][/B]
[B][I][FONT=Georgia][SIZE=5][COLOR=#ff0000][/COLOR][/SIZE][/FONT][/I][/B]
[B][I][FONT=Georgia][SIZE=5][COLOR=#ff0000][/COLOR][/SIZE][/FONT][/I][/B]
[/CENTER]

Astute Accountant Monday, September 21, 2009 04:30 AM

[B]Ankhain kuch nahi dikhaa'tein, ankhain tu sirf wo dikhaa'ti hain jo hamara dil, hamara dimagh dekhna chahta hai.

From: [COLOR="DarkOrchid"][SIZE="2"]Meri Zaat Zara-e-Bay Nishan[/SIZE][/COLOR]

Har aik ko bhikari bana kar rastay main bithaya hua hai, aur har aik khud ko malik samjhta hai. Jab tak thokar nahi lagti,jab tak ghutnoon par nahi girta apni aukaat ka pata hi nahi chaltaa. Wajood k naseeb main hai bhikari hona, bus Zaat bhikari nahi ho sakti. Wajood k muqadar main maangna hai Zaat ka wasaf daina hai.

Sab bhikari hain. Aaj nahi tu Kal, Kal nahi tu parson kabhi na kabhi bhikari ban'na hi parta hai. Maang'na hi hota hai. Koi Ishq maangta hai, koi Duniya aur jo yeh nahi maangta wo Khawahish Ka Khatam hona maangta hai.

From: [COLOR="DarkOrchid"][SIZE="2"]Shehr-e-Zaat[/SIZE][/COLOR][/B]

Astute Accountant Saturday, October 10, 2009 05:11 PM

[B]Kuch chehron ko pehchan'nay main zara bhi dair nahi lagti chahy un se humara koi rishta ho ya na ho. Chahy unhain hum 8 minute baad ya 8 saal baad dehkain. Chahay unhain hum ne muhabbat se daihka ho ya nafrat se magar aik bar daihknay k baad wo chehray damagh main naqsh ho jatay hain. Phir dobara kabhi zehan se ohjal nahi hotay.

[COLOR="DarkOrchid"]From:[/COLOR] Abhi Tu Maat Baaqi Hai[/B]

khush bakht kakakheil Saturday, October 31, 2009 03:55 PM

aOA! indeed umaira ahmad is a superb writer...
:onesec she also wrote a novel in which her main character was a CSP officer.. remember dat?
absolutely outstanding writer...

writer Thursday, April 08, 2010 10:55 PM

[CENTER][IMG]http://www.urdunovels.net/books/peer-e-kamil/PEER-E-KAMIL-192.gif[/IMG]
[IMG]http://www.urdunovels.net/books/peer-e-kamil/PEER-E-KAMIL-193.gif[/IMG][/CENTER]

Farrah Zafar Sunday, May 30, 2010 10:10 PM

She is an outstanding writer and i got amazed on seeing her writings on this forum...very pleasant feelings.Men read her?it is a news for me:-)well i quote a line from her novel "Amer Bail";
"Dunya ka koi darwaza nahi hota jisay khol ker hm bahir nikal jayen,dunya ki sirf khirkiyan hoti hain jin se hm bahir jhank saktay hain"


01:36 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.