CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Poetry & Literature (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/)
-   -   A Tribute to Umera Ahmed (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/4271-tribute-umera-ahmed.html)

Argus Sunday, January 01, 2006 05:12 AM

A Tribute to Umera Ahmed
 
[I][SIZE=4]Ishq la Hasil[/SIZE][/I]

[SIZE=4][I]ishq insan ko kainat k kisi dosry hissay mein la jata hay. Insan[/I] [B]ishq majazi[/B] [I]se[/I] [B]ishq haqeeqi[/B][I] tak safar tab karta ha jab [/I][B]ishq la-hasil[/B][I] rehta hay ,jab insan jholi bhar bhar kar muhabbat karay or khali dil or hath[/I] [/SIZE][SIZE=4][I]laykar phirray..." [/I][/SIZE]
[SIZE=5][COLOR=#ff0000]
[/COLOR][/SIZE](Darbare e Dil)
...................................

[I][FONT=Arial][SIZE=4]Allah humein kissi moqe par yaad aye na aye ,do moqoon par zaroor yaad aata hai aaik jab ko koi cheez chahiye hoo ya phir koi cheez chen jae"[/SIZE] [/FONT][/I]
[I].......................................[/I]


[SIZE=4][I]zindagi main hum kabhi na kabhi uss muqaam per aajatay hain.. jahan saray [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]rishtay khatam ho jatay hain.. wahan sirf hum hotay hai aur Allah hota hai.. koi [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]maan baap, koi behan bhaii, koi dost nahi hota.. phir humain pata chalta hai k [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]humaray pairon talay koi zameen hai na sar pe koi asmaan.. buss sirf aik Allah [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]hi hai jo is khala mei bhi humain thamay huay hai.. phir pata chalta hai k hum [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]zameen per padi miiti k dhair main aik zarray ya darakkht per lagay aik patay se [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]ziada wuqat nahi rakhtay. phir pata chalta k huamray honay ya na honay se sirf [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]humain farq perta hai.. sirf humara kirdar khatam hojata hai.. kainaat mein koi [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]tabdeeli nahi atti .. kisi cheez par kooi asar nahi parta…………….Phir hamari aqal [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]thikanay aajati hai .. [/I][/SIZE]

[SIZE=4]Peer-e-Kamil (S.A.W) [/SIZE]


[I][SIZE=4]" Har aik ko bhikari bana kar rastay me bithaya hua hay, [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]or har aik khud ko malik samjhta hay.jab tak thokar nahi lagti, [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]jab tak ghutnoon par nahi girta apni aukaat ka pata hi nahi chaltaa. [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]wojood kay naseeb main hay bhikari hona bus Zaat bhikari nahi ho sakti. Wojood k muqadar me mangana hay Zaat ka wasaf daina hay. [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]Main to kia BB! sab bhikari hain.Aj nahi to Kal, Kal nahi to parson [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]kabhi na kabhi bhikari banna hi parta hay.Mangana hi hota hay. [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]Koi Ishq mangata hay koi Duniya or jo yeh nahi mangta woh [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]Khuahish Ka Khatam hona mangata hay."[/SIZE] [/I]

[U][COLOR=green][SIZE=2][COLOR=sienna]“Shehray Zaaat”[/COLOR][/SIZE][/COLOR][/U]

Chilli Friday, February 03, 2006 03:41 PM

Para from her novel Haasil
 
[SIZE="3"]Main nahin jaanti, main nay yeh sab kyuon kiya..mujhay yeh sab karna bhi chahiye tha ya nahin..laikin shayad un dinon main itnay pachhtaawon ka shikaar thi kay bus kisi bhi qeemat par kisi bhi tarah wo sab haasil kar lena chahti thi jo main nay kho diya tha..aik din main musalmaan thi aur aglay din kuch bhi nahin thi..kuch honay say kuch na honay kay safar main nay apni marzi say te'y kiya tha..kahin koi mushkil paish nahin aayee..wapsi ka safar main nay kaanton par te'y kiya hai..wapis wahien tuk pauhn'chnay main mujhay kai saal lag gaye aur main aaj bhi nahin jaanti kay main khuda kay nazdeek kahan khari hoon..jub main nay tumko apna mazhab chhornay ka iraada kartay dekha to main nay socha..agar main tumhain is kaam say rok loon to shayad Allah meray gunaah maaf kar day ..shayad wo meri zindagi aasaan kar day shayad wo...main maanti hoon us waqt main nay khud gharzi dikhaai thi ..main nay socha tha kay Allah naiki ka ajar zaroor deta hai..yahan bhi..wahan bhi..main nay socha kay agar main naiki karoon to..main maanti hoon main nay us waqt bhi sirf apna socha tha ..main yeh sab apnay liye karna chahti thi..tumharay liye nahin..apna mazhab chhor kar main jannat say nikal aayee thi..wapis jaanay kay liye mujhay naikiyon kay saaharay ki zaroorat thi..main nay tum say mohabbat ka izhaar bhi isi liye kiya tha taakay..tum mujh par aitamaad karnay lago..yeh samajhnay lago kay main tumhain apnay mazhab islam par qaaim dekhna chahti hoon..mujhay tum say us waqt mohabbat nahin thi Hadeed..main tum say mohabbat karnay kay qaabil hi nahin thi..

David say main nay khud mohabbat ki thi..tum say Allah nay karwaayee hai..in Chhay saalon main har baar namaaz parhnay kay baad main nay aik hi dua ki thi kay main tumhain kabhi na dekhoon...tum say kabhi na miloon..main nay Allah say kaha tha kay wo tumharay saamnay meray aibon ko chhupa kar rakhay..wo tumharay saamnay to mera parda rehnay day..chhay saal meri dua qubool hoti rahi..main nay tumhain nahin dekha..aaj pehli baar main yeh dua karna bhool gai aur..aur tum meray saamnay aa kharay hua aur..wo bhi har raaz ko jaantay huay...

Tumhain yaad hai jub tum mujh say pehli baar milay thay to tum nay kaha tha kay duniya main tumhara koi nahin hai..main tumhain batana chahti thi kay duniya main buhat say log meray hain magar meray liye koi nahin hai..tumhain khuda nay buhat say rishton say mehroom rakha aur jo rishtay chheenay..wo Allah nay chheenay..mujhay Allah nay har rishtay say nawaza tha aur har rishta main nay khud ganwaya tha..apnay haathon say..aaj duniya main shayad koi bhi aisa nahin jo meray liye rota hoga..mujhay yaad karta hoga aur picchhlay chhay saalon main..main har raat yehi soch kar soya karti thi kay tum..tum kabhi na kabhi mujhay zaroor yaad kartay hogay..duniya main buhat kam log aisay hotay jin say aap mohabbat kartay hain..un say bhi kam log aisay hotay hain jo aap say mohabbat kartay hain..mujhay pata tha kay tumhain mujh say mohabbat thi..laikin ab nahin hai..main yeh bhi jaanti hoon.. [/SIZE]

Muskan Ghuman Saturday, February 04, 2006 07:45 AM

Gud work Argus & Chilly,
Umaira Ahmed is a superb writer,her every novel is full of wisdom & is worth to read becoz her novels hv v gud lessons...
thanx 4 sharing this..
with regards,
Muskan

Eram Khan Saturday, April 08, 2006 10:15 PM

beautifully written by Umaira Ehmad !!!!!!!!!
 
[COLOR=darkorchid][B][FONT=Palatino Linotype][SIZE=5][U]Mein Aik Orat Hon[/U][/SIZE][/FONT][/B][/COLOR]

[COLOR=teal][SIZE=3]
Main aik ORAT hon.. Ye mairi Shanakht hey..jisper SAB Muttafiq hain… magar Baz daffa mujhay bohot say rishton kay hawalon say bhi Pukara jata hey.. jayssay MAN, BAYTii, BEHEN,BEVii, BAHO, SAAS waghaira waghaira…. Mairay Liye istamal honay walay lafzon ka Zakheera yahhin khatm nahe ho jaata….. Tawaif, Call-Girl, or Girl-Friend jayssay lafz bhi mairay liye makh’sos hain…or han ! Baz dosray LAFZ bhi hain jinsey mujhay pukara jata hey.. maslan..
Fasad-ki-Jar,
Museebat,
Nahoosat,
Fitna,
Paon-ki-Jooti,
AllahMiyan-ki-Gayee,
Lanat

waghaira waghaira. Baz aysay Lafzon say bhi mujhay Pukaara Jata hay, jinka iz’har karma or unhain yahan Tehreer karma Munasib nahe ho ga, Tehreer karney ki zaroorat bhi kia hay Agar aap Mard hain to yakeenan aap un Alkabat sey wakif hi hon gay, jinsey ap Ghar sey bahar wali Orat ko Pukartey hain.Us orat ko jinsey apka koye door ka ya Nazdek ka RiShta nahe hota. Bas aap usay Kaheen bhi daikh laitay hain.. Hotel main, Park main, Sarak per ! University main, office main ! kaheen bhi,, Or agar aap aik Orat hain .. to phir ap bhee in tamam Alfaz sey Wakif hi hon gi… kewnke Zindagi main ap kabhi na kabhi Ghar se Bahir Zaror gayi hon gi… Or phir AApney apney Liye aysa Koye Lafz to Zaror suna ho ga…. !

Abtak aap Yakee’nan maira image jaan chukay Hon gay… (in sab Alfaz, Alqabat or Namoun ki Roshnii main…) Bahar-Haal aik Lafz jo mairay liye kabhi sahhee Ma’non main istamaal nahee kia gaya wo hay “iNSAAN” ka Lafz…. Mujhay hamaisha Ye Hasrat Rahi hay ke Kaash mujhay koye : tum Orat ho : ki bajayee “Tum insaan ho !” kahay… kabhi aik bar ! Bhol-Chok sey ! …

Hairaan ho Rahay hain na Aap???? Ke aakhir insane Lafz main aysi kia bat hey ! ke main apney liye Ye Lafz istamal karwana chahtii hon… “INSAAN” Lafz “ Ashraf-al-MakhloKaat” key liye istamaal hota hay… Or agar kabhi kissi nay mairay liye ye lafz istamal kia hota, to main bhi khud ko dosri makhlokat sey bar-tar or Afzal samajhti…
Chand Lamhon ki Khushii miltii. ! Kuch dair Sokoon Rehta ! “DOOSRiii Makhlokat” sey mairi Muraad “Janwaron or Keeron sey hay ! or han! Darakhton or Podon ko bhi in-main shamil kar lain… to bas khud ko main inseh behtar samajhtii… Magar..! Magar . aap kabhi bhi ye mat sochain keh main in Makhlokat mein “Mard” ko shamil kar rahi hon…. Main nay bataya na keh main khudko sirf Janwaron keeron or Podon sey bar-tar Samajhtii…

Janwaron main Khas tor par “Kuttey” sey !
KeeRon main Khas tor par “ ChewNtii” sey !
Or Podon main Khas tor par “Ghass” sey !

Magar main apko aik bar phir Yakeen Dahani Karwa rahi hon.. keh main Mard ko in Makhlokat mein Shamil Naheee kar rahii, Main aysa Karney ki JuR’at kar hii nahe sakti.!

Oorat Allah ki aysii Takhleeq hay jis-sey isski Pori Zindagi main Koyee bhi Khush Nahee hota..!.. Khush rehna to DarKanar,Koye isey Pasand tak nahee karta… Laikin iskey BaVajod isey Bardasht karma Parta hey, Kewnke isski Zaroorat Partii rehti hay ….

Billkul waysay hi jaysay Zameen kitni hi BanJar, Garm or KhurDuri kewn na ho , koye bhi ye Khuahish nahe karta ke Pairon Talay say Zameen Ghayeb ho Jayee ! kewnke Kadam Jamanay ke liye , Pairon ke Neechay kissi na kissi chez ki Zarorat to hoti hi hay na…..Chahay wo Banjar,Khurdari or Garam Zamen hi kewn na ho..Us Zamen pe koye paon Khushi sey Rakhey ya NaraZgii sey… Bahar-Haal Paon to Rakhna hi Partaa hey…

Or main bhi pairon key neechay aney wali aysi hi Zamen hon…

Aaj sey Bohot Sal pehley ALAH ney “insan” ko Banaya Yani “Mard” ko….. Uswakt ALLAH ney mujhey iskey Sath nahee banaya… Sirf Mard hi ko Banaya… Phir Mard ko iLM ata kiaa….or Sarey farishton ko issey Sajda karney ko Kaha…

Main usWakt bhi nahii thi…

Mujhey Allah nay usskey Kaafi dair Baad banaya… or Ajeb Bat ye hey ke Mard ko ALLAH ney Mittii sey Banaya… Bay-Jan mitti sey ! Bay-Ronak Mitti sey ! Aysi Mitti jismain Khushbo tak nahe thii… Laikin Mujhey ALLAH ney Mard ki Paslii sey Payda kia… Ajeb Bat hey na??? Mujhey Usney aik aysi cheez se banaya jissey ALLAH nay iLm ki Takat di… jissey ALLAH ney Farishton sey Sajda Karwaya..!Jisko Sajda kerney pe iNkar per iBlees hamaysha key Liye Ma’tooob Karar dey diya gaya… jissey ALLAH nay Zamen par apni Khilafat key Liye muntakhib kia…Kayssi Ajeeb Bat hey na ke Mard key liye istamal honey wala material billkul Aam or Mamooli tha… or Mujhey bananey key liye liya janay wala Material kitna Aala thaphir bhi Zamen par Mujhay Kabhi wo iZZat, Qadar, or ehhmiyyat Hasil na hoyee jo Mard ko hasil hoyee…

Bahar haal! Jannat main apni takhleek kay baad main to is bat par hee bohot Nazan thee k mujhay ALLAH nay aysay Super material say banaya hey or Mujhay us Makhlok ka sathi banaya hey. Jissey Allah ney zameen per Khilafat k liye muntakhib kia hey… Mujhay bananay ka maksad Araam or Sokon tha Ajeeb bat hey na?? k mairay jayssi makhlok ki takhleek ka maksad hi Araam or Sokon tha.. Yani ALLAH taala ney takleef ka unsar hee mairay vojod main nahe rakha tha.. mairay liye ye bohot Fakhar ki bat thee..

Main jannat main us mard ki hamRaahi main bohot Khush or Masroor thee jisskey liye mujhay takhleek kia gaya tha.. or Jissey Zameen per apni Khilafat k liye ALLAH ney muntakhib kia tha .. Main Apko bata chukii hon keh Mairi takhleek ka maksad hee aram or sokon pohnchana tha or jannat main apney Qayam key doran main ney poori kooshish ki k apney saathi ko sokon peohnchaon.. isskey liye aik acha ham-raaz sabit ho sakon.. aik acha saathi ban paon…. Maira khayal hey ke main apni is koshish main bari had tak
kam-yab thee kewn-ke mairay sathi ko kabhi mujh-say shikayat nahe hoye or usney hamaysha mujhsay piyar or mohabbat ka Solok kia wahan pehli bar mujhay Mehsoos hoa ke wo mairi izzat bhee karta hay… or ussey mairi zaroorat bhe the.. or is Ehsaas ney mairay Aitamaad ko oor bhe barhaa diya…

kia is-sey barh ker koye or bat kabil-e-fakhar ho sakti hay ke koye aapsey mohabbat or izzat ka solok karta hay….or kisi ko apki zaroorat bhee hay… UN dinon wakayee main bohot khush hoa kartee the balkeh ye kehna Ziaada behtar ho ga keh HAM DONON hee bohot khush hoa kartey thay..!.. NAHEEE !!! shayed ye kehna sahhe nahe hay kewnkeh MARD to aj bhe bohot khush hey,,.. HAN agar kisi ki khushi main kami aye hay to wo MAIN hon…….

NAHEEEE !!! maira khayal hey aap is sentence ko is tarah parhain to ziaada behtar ho ga keh…….. kisi ki khushii agar "KHATAM" ho gaye hay to wo "MAIN" hon…

Bahar-haal main apko bata rahii the keh UN dinon main bohot khush the.. ham donon jannat key baghon main phira kartey thay… wahan ki khobsoorti ko sarahtey.. or wahan ki Asayeeshon say Lutf-Andoz hotey Or phir apney Parwar-Digar ka shukr ada kartey… jisney ham par apna itna Rehm-o-Karam Nazil kia…. Ham donon ka Khiyal tha keh hamari sari Zindagii isi tarah Pursokon guzray gee… kahen koye mushkil nahe aye ge..magar ye hamari khush-fehmii the.. Ham apni Khusheon main magan ho ker IBLEES ko to bhol hi gaye they…

IBLEES ko to aap jantey hi hon gey..!.... ye wohhi tha jisney ALLAH ke kehnay key bawajood mairay sathi ko sajda kerney say inkaar kar diya tha….

Jab mairi takhleek ke gayee to mujhay is Kissay ka bhee pata chala or aap yakeen karain keh mujhay ibleees ko daikhay baghair hi us-sey Shadeed Nafrat ho gaye thee…

Ab aap soch rahay hon gey keh bhala mairi Nafrat ki kiaa wajah the?? Aakhir iblees ney mujhay sajda karney sey inkar to nahe kia tha…ap sahe soch rahay hayn

Laikin.!!!!!

kia Nafrat ki ye Waja Munaasib nahe hay keh uss-ney "MAIRAY" sathee ko sajda karney say inkar kia tha..uss sathe ko jissey ALLAH ney ilm say nawaza tha ! or jissey Zameen per apni Khilafat sompe the… Or…Or… jis-sey main SHADEED mohabbat karte the…

iblees ney USSEY sajda karney say inkar ker key usey takleef pohnchaye jis-key Aram-o-sokon key liye MUJHEY takhleek kia gaya tha or UN-SAB sey baree aik wajah yeh hay keh … iblees ney "ALLAAH" ki Nafarmani ke the…mujhey hayrani hoye the keh koye apney khalik ki Na-Farmaani kayssay kar sakta hay…!

Hazaaron sal iblees apney Khalik key Paas raha.. Uss ki meherbaneon or inayat say mustafeed hota raha .. Usski HamdoSana bhe karta raha Or phir ALLAH ney ussey aik Mamoole sa kam karney ko kaha OR usney na sirf inkaar kar diya balkeh Ye kasam Khayee keh who AZAL tak insane ko bhatkayee ga……GumRaah karey ga Or ALLAH ki NaFarmani pe uksaye ga.. Aysi NaFarmani jayssi per wo Khud maghdoob hoa…. Kisi cheez say Nafrat key liye koye is-sey ziada vojohat to nahe paish kar sakta na !,,,

BASS !!! inhee sab baton ki wajah sey mujhey iblees sey Sakht Nafrat ho gayee or main ney ye Tey kia tha ke main is-key Jhansey main nahe aaon ge… Main Kabhee ALLAH ki nafarmani nahe karon ge.. or ap yakeen karein keh jahan tak mujh-sey mumkin hoa main ney uskey faraib main NA aney key liye apni Poori Koshish kee Magar iblees itna Kam-Zor nahe tha…. Jitna main ney ussey samajh liya… or mujhey Pata hi nahe chala… Kab mein uskey Faraib main aa ker Gum-Raah ho gayee..

Issmain maira bhi ittna Kosoor to nahe tha AGARR meiray sathi jayssa Ba-iLm insane Usskey faraib main aa sakta hey to phir main kahan Bach saktee hon…Phir aap Khud soochain ke Ye Kam mairay sathi ka tha ke woo Mujhay Shaitan ke Faraib main anaey sey Bachaata AAKHIR ye wohhi to tha jissey KHUDA ney ilm ki Naimat sey Nawaza tha..!..Or apna Nayeb banaya tha !.. phir mairi NigehBaani ka Zimma bhee ussi key supurd kia tha Magar aysa nahe hoa Mujhey shaitan key chungal sey churaaney ki bajaye wo khud shaitan key faraib main aa gaya…

Phir ham donon ney mil ker ALLAH ki sareeh Na-farmaani ke Jis Darakht key Paas janey sey ALLAH ney mana farmaya tha ham donon na sirf usskey Pass gaye balkeh Usska Phal bhe Khaya..Phir ALLAH ham sey Naraz ho gaya or Saza key Tor per ALLAh ney ham donon ko Zameeen per Bhijwa diya…

Ye Ham Donon ki wo ghaltee the jis-ki saari Zimme-Dari Mard ney Mujhper ayed kar dee or ye aysi Ghaltii the Jisskey liye ALLAH ney mujhey Maaf kar diya magar MARD ney mujhey aaaj-takk maaf nahe kia kitni Sadiyan Guzar gayeen magar aj bhi mard mujhay mord-e-ilzam thehrata hey ke MAIREY behkawey mein aa ker ussney ALLAH ki Na-Farmani ke … Aap khud sochain..! ke Mairey jayssi Bay-ilm kia . ittni takatwar ho saktee hay … keh wo Mard jayssey Ba-ilm ko farayb day saktee .. Mujhey Hayrat hooti hey keh MARD iblees ki bajaye is ghalti key liye MUJHEY ilzam kewn daita hey.. MEIN ney to kabhi Ussey ilzam nahee diya ke Mujhey shaitan key Behkawey sey bachaney key liye ussney apney ilm ki takat ko istamal kewn nahe kia … MAGAR wo kisi tarah bhi mujhay bakhshney ko tayyar nahe… uska khayal hey ke AGAR mein usey na Behkati to Usey KABHEE bhee Zameen per nahe ana parta.. wo hamaisha Jannat main hi rehta…..

Kia aap usski iss Bat per Yakeen kar saktey hain???? Ho sakta hey apko usski is Bat per Yakeen aa jayee MAGAR..!! kia aapney ye soocha hey keh KHUDA ney ussey ZAMEEN per apna Nayeb kaysay banaya..? jab mard key Bakol agar mairay Behkawey main NAA aaney per… who hamaysha Jannat main hi rehta tha to?? Haaan Sooochain !! keh KHUDA ney ussey JANNAT mein apna Nayeb kewn nahe banaya???? Aakhir ZAMEEEN par hi apna Khaleefa or Nayeb kewn nahe kaha..???? Shayed ap is sawal ka Jawab Na paa sakein !!!!!! to chaplain…. Main aapko bata daitii hon Jawab Bohot Asaan hey… ALLAH ney Farishton sey USSKA tarruf YEH keh ker karwaya tha keh…

“ MAIN ney issey ZAMEEEN per apna Khaleefa or Nayeb Banaya hey !!”

Isska matlab tha ke wo Shaitan keh Behkaawey main ata !! Yaa naa ata !! USS darakht ka Phal khata !! Ya na Khaata !! Bahar-hal aik din aysa Zaroor ana tha jab KHUDA ney ussey Zameen per Bhaij hi daina tha …….Ussey Banaya hee ZAMEEEN key liye gaya tha...JANNAT key liye NAHEE..!!!!....to PHIRR wo MUJH-PER ilzam keysey aayed kar sakta hey ??????

Zameen per Aaney key aik arsa Baad tak ham donon aik dosrey say Bohot door rahey Mujhay nahe pata tha keh who Zameen per kahan hey.? Na hi ussey Ye pata tha keh Main kahan hon.. Mein Bohot arsey takk ussey talash karte rahee or phir BilAakhir wo Mujhey mill gaya… aik Bar phirrsey ikathey ham Zindagi Guzarney lagey…

Zameen per Jannat jayssi Asayeshain nahe then…Magar mujhey usski parwa nahe the..mairay liye ye kaffi tha keh main usskey sath hon.. or usska dukh or such share karti hon.. ussey Aram or sokon Poncha sakti hon… Aakhir ALLAH ney mujhey isi liye to banaya tha or mujhey iskey ilawa oor kisi chez mein dilchaspi bhe nahe the… WOO khuda ki pasandeeda Makhlok.!! OR MAIN Khuda ki Pasandeeda Makhlok key liye Muntakhib sathee….

MAGAR !!! pata nahe kewn Zameen per usskey sath rehnay key bad Mujhey Ehsas hoa keh usskey dil main marey liye Pehley jayssi Kadar or Mohabbat nahe rahi.. Koyee Cheez thee ! jo ham donon key beech Dewar ban gaye the… Ussney Mujhay Maf nahe kia tha Main ney Bohot Bar ye Janney key Bavajod key Ghalate SIRRF mairi nahe thee Wo bhe issmein Barabar ka shareek tha … Ye Jantey Hoayee bohot bar mein nay us sey Maafi bhe mangee. Itttnii iltija to main nay shayed ALLAH sey bhe nah eke ho ge jitnee mujhey US-SEY karnee paree Har Bar wo Yehhi kehta Keh ussney Mujhey Maaf kar diya tha magar main kabhe mutmaen nahe hoye Usney dil sey kabhe mujhey Maaf nahe kia…AAJ-TAKK nahee Ajeeb Bat hey naaa !!.

“ ALLAH APKO MAF KAR DAITA HEY… MAGAR INSAN NAHE !!!!!”

Uss wakte pehli bar main Bohot Dil-Girifat hoyee mujhey uon laga ke ussey Aram pohnchaney ki bajaye main usey takleef pohnchaney lage hon.. Magar main kuch nahe kar sakte the.. Zamen per Bhaijney ka Faisla ALLAh ka tha .. Main ALLAh key Faislon main Dakhal andazi nahe day sakti the..!

Wakt guzarta raha main apne Na-Karda Ghalte ki talafee key liye dil-o-jan sey usski khidmat kartee rahe magar mairi dil-gariftage or ranjeedgii main kami na aye .. Mairi Khidmat usska Dil jeetney key liye nakaam kewn the….tab pehhli Bar main nay Khuda sey Shikwa bhe kia… Main ney Khuda ko wo sab kuch bataya jo main mehsoos karte the..

ALLAH ki sab sey Behtareen sift ye hey keh wo hamari bat sunta hey. Khamoshi key Saath,, Sokon key Sath ,,, Piyar key Sath,,, iss Wakt bhi jab ham mushtail hotey hain… or ayssi batein keh rahay hotey hein jo hamain kehnaa Zaib nahee daita tab bhe ALLAH hamari batain sun raha hota hey…

ALLAH ki dosrii behtareen sift ye hay keh wo hamaray Zakhmon par marham rakhta hey… mairay sath bhe ALLAH ney aysa hi kia…...

ALLAH ney sirrf AIK mard banaya phir Takhleeq ka ye kaam mujhey Sonp diya kis Kadar barii bat hey ye … keh ALLAH ney zameen per nasal-e-insaani ko agay barhaanay ka aml mairay Supurd kar diyaaa…

Mairi khushi ka koye thikana nahe tha.. Mairay liye ye aik aizaz ki bat thee… keh Khuda ney mairey zimmey itni bari zimm-e-dari sonp dii hay… Maira Khayal tha mard ab yakeenan mairi izzat or kadar karey ga kewnkeh ab main bohot ehem zimm-e-dari sar Anjam day rahi hon… Magar aysa Nahee hoa…. Din-Badin main uski Nazron say oor girtii chali gaye… KHUDA ki janib say sonpe gaye zimm-e-dari key Bavajood who mairey liye apney dil main Koye Khaas jazbat paida na kar saka.. Pehley ki tarah mujhay Hakeer or Bay-Kar hi samajhta raha…. Mairi Khushi ahista ahissta Khatam hoti chalee gayee…. Mujhay uon lagney laga keh main joo chahey kar lon Wo mujhsey kabhi khush nahe ho ga…

Main sabar or shukar sey apni Zindagii Guzar rahee the iskey ilawa main oor kuch nahe kar saktee the… or tabhee achanak aik oor hadisa ho gaya.. Aap HABEEL or KABEEL ko to jantey hi hon gay..!... Mairi wajah sey donon main Jhagra ho gaya…. Main bohot Hairan thee keh AGAR Mard mujhay Na-Pasand karta hey Ussey Mujh-sey Mohabbat Nahee the… Ussey Mairi Zaroorat nahe the… to phir Mairi Malkiyyat keh Muamley per.. ussey is-tarah Larney ki kiaa zaroorat the !..... jis cheez ko aap Na-Pasand kartey hain uss sey to ap Jan Chura laina chahtey hain.. ussey apney pas rakhney key liye ap lartey to nahe…

Magar woo mairey liye na sirrf larta raha Balkeh issi Laraye emain ussney aik dosrey mard ko Qatl bhee kar diya… mairay liye ye aik bohot bara shock tha.. ! Zameen per honey wala PEHLA QATAL oor woo bhe MAIREEE wajah sey or AGAR main phir aapsey ye kahon keh issmain BHEE maira koye kosor nahe tha !.. to kiaa aap Maan lain gey???? Aap manein Ya Na manain Bahar Hal ismain wakaye maira koye kosor nahe tha…. Laikin Mujhey Pachtaawa or Khouf Zaroor tha… keh Mairi wajah sey aik bar phir Mard ney aik Gunaah kia hey……

Qatl karney key bad mard aik bar Phir pachtaaney laga… Mujhey Kosney laga…. Mairey liye issey takleef-deh bat oor kia ho saktee hay.. keh who Pehhley ki tarah ab bhee mujhey hee is Gunah ka Mojib karaar dey raha hey…. Ab bhe who Shaitaan ki Bajayee Mujhey is ka Zimmeh-Daar Karaar day raha hey….IBLEES ka aik oor War kam-yab ho gaya tha………..

issBaar bhe ghalatee mairi nahe the Magar is Bar bhee main nay ALLAH sey bohot Tobah ke…. Sirf ALLAH sey toba hi nah eke… Balkeh Mard sey bhe Mafee mangee.. Nateeja kia hoa…ALLAH ney mujhey maaaf kar diya or Mard key Dil main Parney wali Girhon main aik oor ka izafa ho gaya !

isskey Bad sey Zindage mairey liye kabhe bhee Asaan nahe Rahee Mard ney Mairey liye hatt-al-Makdor mushkilat kharee ken.. Jee Bhar kar Zaleel or Ruswa kia…. Apne har Ghalate ki Mairey Zimmey Lagata raha,, or main har bar.. yehhi soch ker hairan hoti rahee keh Apne ilm ki takat ko istemal kewn nahe karta ?? har bat ko Mairey Sar kewn Mandh daita hey.!!!

KHUDA ney isko Zameen per Hokomat kerney key liye bhaija tha… or isney Zameen per hokomat karney ki bajayee SIRRF mujh-per hokomat karma Apna FARZ samjha or ye hokomat ussney har ROOP main kee ,, wo Baap ka Roop ho ya Baytay ka !! Bhaye ka Roop ho ya Shohar ka !! har roop main ussney mairey liye Zindage ko Mushkil tareen bana diya..

Mairi wo sari khobiyan jo issko kabhee pasand then AB wo inka Mazak uraata hey.. Mairey har Roop main ussey Khud-Gharzee or Bay-wafaye Nazar ati hey.. usska Khiyal hey keh AGAR mujhey kissi cheez sey dil-chaspee hey to who Ropaya hey or ye Ropaya usskey pass hey issliye wo iss-sey mujh samayt maira har Jazba Khareed sakta hey….

Main hairan hoote honk e who kayssa Khaleefa or KHUDA ka nayeb hey jo aysey kam kar raha hey jo KHUDA ko Na-Pasand hain….

Kissi Dour main mujhey ye Fakhar tha keh Mujhay aik ayssi makhlok key liye chuna gaya jo KHUDA ki Pasandeeda tareen hey Magara b ussi Makhlok ko daikh ker main sochtee hon ke kia ab bhee ye makhlok KHUDA ki Pasandeeda tareen hey???? Maira Fakhar or Ghoroor ka who Jazba bhe khatam ho gaya hey…

Duniya main or koye Makhlok nahe hey Jissney Mard ki mairey jittne Khidmat or Ata’at kee ho or Duniya per Koye Makhlok ayssi nahe hey Jiss-sey Mard ney mairey jittne Naffrat ke ho..!!Main ney usski Ata’at or Khidmat main apney Wojod ko mitti bana dala hey…Magar isskey Ba-wajod wo Mujhsey Khush nahe hey….issi khidmat or Ata’at key Josh main Main ney usski Zimm-e-Dariyan bhe Apney Kandhon per Laini shoro kar dee hain or aaj main ney Mard key Hissey ki aadhey sey Ziaada Zimm-e-dariyan apney sar lay lee hain…. Sirrf isskey liye ke WO aram or sokon sey rahay magar isskey Ba-Vajod wo Khush nahee Mujhsye Aram or sokon hasil karney key Ba-Vajod wo Mujhey Bay-Kar or Hakeer samajhta hey or sirrf yehhi nahe mairi Tehkeer key liye wo Nat-naye Alkabaat mujhey daita raha hey isska Khiyal hey key

“Zameen per Honey waaley HAR jhugrey main MAIN kissi na kissi tarah shamil hon”

wo Yee bhe sochta hey keh “ AGAR MAIN Zameen par NAA aati to Ziaada Behtar tha ! Zameen per Honey walay Fasaad mein Bohot kami aa jatee…"

Maira Khiyal tha ke wo kam-az-kam aik MAAN key Roop main to mairi izzat karey ga kewnkeh tab usski takhleek main Maira kirdar bhi shamil hota hey magar aysa nahe hoa !! Maan key Roop main bhe ussney mairii kissi Khidmat or Ata’at ko nahe saraaha…balkeh tab bhe inn cheezon ko apna hack hi samajhta raha BAYTA ban kar bhe wo mujhay Nakis-ul-Akl cheez hi samajhta raha…..

Mairi Mohabbat or Shafkat ko wo mairi Kam-Zoori hi samajhta raha… Bayta ban kar bhee usskey Khiyal main Main kabhee bhe Bay-Wafaye ki murtakib ho sakte hon or Tab ye usska FARZ ban Jaata hey keh wo iss Khata per mujhay Katal ka dey AAp ney aysi kitnee khabrain parhee hon ge jinmein Baytey Mamooli si Khata per MAAN ko mar daytey hain MAAN ban ker bhe mujhey isski zindagi key barey main koye Faisla karney ka Hak nahee !!

kewnkeh usskey Khiyal mein MAIN faysla karney key Kabil nahe hon..or aap mairi Mohabbat ka aalam daikhain ke main MAAN hotey hoaye bhe Baytee ka hak cheen ker ussey daiti rehtiihon.. Bachpan sey Jawani takk har cheez mein ussey baytii per tarjeeh daiti hon Ache Khorak sey achey Libass takk har cheez ussi ka hak bantii hey or main to us wakt bhe ussey Rokney ki koshish nahe kartee jab who apne Behen per Haath uthata hey ya ussey Jhirakta hey ,.. Bayti key sath har cheez main Bay-insafi kartee hon or ye sab aik Mard key liye kartee hon…iskey Ba-Vajod isskey liye kabhe ehmiyyat ikhtiyar nahe kartee… who sari Umr mujhay emotionally Blackmail karta rehta hey..

Or Behen key Roop main bhe wo mairey sath yehi karta hey…. Mujhper Hakmiyyat Jataney ki koshish karte rehta hey…har muamley mein mujh sey Qurbaani chahta hey… or isskey Ba-Vajod bhee aik Mamooli shak ki Bina per wo mujhey Qatl karney say nahe chokta…. Tab bhe ussey maira Koye Eesaar koye qurbaani yad nahe rehtii….

Or Phir agar wo Baap ho to tab bhee mairey liye usskey Usolon or kawaneen mein Koye fark nahe parta… kissi Zamaney main who mujhay Payda hotey hoyee Zameen main ZINDAA garh daita tha… usska Khiyal tha keh mujhsey Nijat Paney ka ye Behtareen Tareeka hay PHIR usney ye tareeka chor diya or kuch naye tareekey apna liyee usski hamaysha yehi koshish rahee hey keh main usskey Gharr main Baytii key Roop main kabhe na aaon… or agar bad-kismati sey aysa ho bhe jayee to wo Bachpan mein bar bar mukhtalif tareekons ey mujhey jatlaata rehta hey keh usney apney ghar mein rakh ker mujh per kitna bara ehsan kia hey tab bhe wo is par iktifa nahe karta…..Baytey ko mujh per tarjeeh daita hey ussey har chez mein mujh per Fokiyat dayta hey

Main Bachpan sey Baap par Jan nisar karte rahi hon… Usskey ghar main aaney say lay kar janey takk main bhag bhag kar usska har kaam karti rahe hon…. Sirrf Mohabbat ki aik Nazar or Shafkat sey Boley gaye chand Lafzon key liye……. Magar ussey Kabhe iska Khyal nahe aaya … Wo mairi Poori Zindagi ko apney Tareekey say Guide karma chahta hey.. or main sirrf usski Khushi key liye har Bar apna dil Maar laytii hon ,, Magar phir-bhe Khandan ki Ghairat per anay wali Zidd key Shubah per wo Kabhe bhe ,Kahhen bhe mujhey Qatal kar sakta hey or is Kaam par koye usska Haath nahe rokta balkeh har koye isski himmat barhaata hey….

Or AGAR main usski Beevi hon to phir to Shayed Mard ko Mujh per Zulm karney ka Liscence mil jaata hey..Aik orat jissey uskey Tasarruf main diya gaya hey.. Wo AAkhir ussper Zulm kewn na karey… Soboh sey ly kar Raat tak kee janey wali mushakkat ka nateeja Aksar wo Alfaz hotey hayn jo mujhey Bohot KUCH sochnay par majbor kar daitay hayn….

Mard hamaysha ye samajhta hey keh MAIN Gharr main reh kar usskey Kamaye janey waley Ropay-Payssey per Aish karte hon…. AAP sochain keh kia Ghar key Andar reh kar aish ho sakta hey??? Wo sochta hey keh Duniya ka Mushkil tareen Kam ropiya Kamana hey…or yeh mushkil kaam woo karta hey Ooorat Nahee…Wo to sirrf us Ropay ko Bay Dardi say Kharch karma Jantee hay ,, Magar jo cheez wo Kabhe nahe sochta wo ye hay ke main who Ropiya kisper Kharch karte hon… Uss ghar main jismein wo Rehta hey,..! Un Bachonper jo uski Olad heyn… Us Khorak per jisey who istamal karta hey .. Bevei key Roop main usey har tarah sey Khush rakhney ki koshish karte hon Magar wo Khush nahe hota .. Naraz ho to aik Dosri Orat ko Mairi Jagah day daita hey… Dosri Shadi ker key bhii bohot Khush ho too bhee Bahar wali Orat ko Meray samney Zarooor Sharek rakhta hey …

Ajeeb Bat hey na Wo Orat sey Na-Khush hey … Ussey Orat Bay-Kar or Hakeer Lagte hey …. Usey Orat Bay-wafa Lagte hey ,.. Ussey Orat Bhooki Lagte hey…. Ussey Orat Fasaad ki Jar Lagtee hey….. Magar Phir bhe who apni Zindagi main Orton ko Tabdeel kartey Rehnay ka Aadi hey… or Jitne Ziaada Ortain hon wo utna hi Ziaada Khush hey …. Mairi Bay-wafaye per mujhey Qatl karney main aik Lamha bhee Zaaia nahe kata magar Tawaeef ke Pas yeh Jan’ney key Ba-wajood jaye ga keh who Bay-Wafa hey….ye Jantey hoye usper Paysa Kharch karey ga keh who Ropey ki Bhookee hey….Ajeeb Bat hey na?? Magar SACH hey !! kiaa itne Na-Kadree uniya main kisi or chez ki ho sakte hey???main agar iski nahe to iskey Bachon ki WafaDaar Ban jaati hon…. Adhe Zindage Mard ki Ata’at main Barbad kar daitii hon… bake ki zindagi Olad ki Khidmat mein …Uski Olad ko Bhok sey Bachaney key liye mujhey Ghar sey Bahar nikal kar Sarkon per ana parta hey… Mard tab bhe maira Mazak Uraata hey… mujh per Awazein kassta hey… usska Khiyal hey ye bhi Maira aik Dhong hey ap khud sochain keh BHOK kabhe DHONG ho saktii hey?? Or Bhok agar bachon ki ho to phir? Rizk kamanay ka kam ALLAH ney Mujhey kabhe nahe soocha …Mard ney ussey bhi mairay Zimmey laga diya…

Phir Rizk kamaney key liye ussney mujhey tawaa-ef or Call-Girl tak bana diya.. baytii ban kar main ney bhaiyon or bap ke liye apni zindagi zaiya kee.. Maan ban kar pori Umr ka Jog bhe liya .. magar kahen bhi mairi koye Qurbaani aysi nahe hay jisko mard nay saraha ho… ussney mairay har Roop ko us image key samney khara kar diya jo uskey zehen main feed hey ….

Duniya ki kissi makhlok ko itna bay-kadar nahe kia gaya jitna mujhey kia gaya… Duniya key kissi dosri makhlok ney apney kandhey per itni Zimm-e-Dariyan nahe Uthayeen jitney main ney uthayen… main nay Chewntii sey barh ker bhi Bojh uthaya.. Olad ki Paydayesh sey parwarish..Mard ki Khidmat-o-ata’at .. or ghar sey bahar tak ka kam mujhey karma para hey or main nay kiaa hey iskey BaVajod mujhey saraha nahe jata ..Mard ki khushi key liye main nay khud ko apney Makam sey Giraa diya phirbhe wo mujhsey Khush nahe …..

Payghambaron ki Maan honey key BaVajood mujhey Na-Kabil-e-aitabar samjha jata hey …..

Duniya main Koye aysa nahe hey jo mujhsey khush ho..hatta keh ALLAH bhe .. magar mainkiskey samney apne safaye paish karon .. Mairay pas to koye wazahat ,koye safayee hay hinahe….

Main Aksar ye sochtee hon aakhir mairi Zindagi ka Maksad kia hey ,,, kia sirf dosron ko aram-o-sokon daina or Dosrey badley main mairay liye kia kartey heyn??? Or Tab mujhey ALLAH sey shikwa hota hey keh usney shayed wakaye mujhey itna haker bana diya ke Zameen par Mojod insane ko mairi kadar hi nahe hey Magar Shikwa karney say Aakhir kia hota hey ..Shikwa karney say ALLAH ki narazgee main oor izafa ho jata hey…

Aap hi soochain kia koye makhlok mairay jayssi hey jo na chahtey hoaye bhe har aik ko Naraz karte phirey Magar aakhir aap bhe kewn soochain gey..!!!!.. OORAT key Barey main koye soochta Thora hi hey…


[/SIZE][/COLOR]

Muskan Ghuman Sunday, April 09, 2006 02:05 AM

Zuburdust selection Eram....
Umera Ahmed has showen the greatest reality of the world....
While reading this a saying just came to my mind...

"[B]Aurat ka upna koi ghar nhi hota, pehlay wo baap kay ghar mai rehtii hai phir shohar kay aur aahir mai betay kay."[/B]

[I]"Main Aksar ye sochtee hon aakhir mairi Zindagi ka Maksad kia hey ,,, kia sirf dosron ko aram-o-sokon daina or Dosrey badley main mairay liye kia kartey heyn??? "[/I]

Yai question hur aurat kay dil-o-dimagh mai gonjta hai aur shaied iss ka juwabb ta-kiamut milna mushkil hai ya shaied na-mumkin...

After all this world is a male dominated world...

Thanx dear for sharing it & keep it up.

with regards,
Muskan

gazal_uzma Sunday, April 09, 2006 05:21 PM

umera ahmad is really a superb writter i didnt knw tht u people also read her. now a days i m reading her novel, Amar Bail.... this month she also finished her one of her more popular novel Thorra Sa Aasman. i hope u people will b reading also this one. if not then wait soon it will b also in book shape insha Allah. but i dont knw y i feel tht in this novel she did its end in hurry.. is any one else agree with me?
regards
uzma khan

humarana Monday, April 10, 2006 02:11 AM

One thing that I must add to this tribute is the words of Umaira Ahmed are no doubt a great source of relief and comfort in the times of crisis for many of us. We can find the answers of most of questions that come across our minds. Simply her words touch the heart.

Emaan Friday, May 05, 2006 02:10 PM

"Jeet to Jeet hi hoti hai..chahay wo aik vote ki ho ya aik laakh votes ki ..zindagi bhi to aik vote ki jeet hai..wazaieh aksariyat say ismain koi bhi kaamyaab nahin hota ..bus yeh hota hai kay kisi ko chundd khushiyaan zyada mil jaati hain aur kisi ko chundd gham"

Mr Ghayas Friday, May 05, 2006 02:51 PM

Pessimistic
========
[quote=Muskan Ghuman]
[B]Aurat ka upna koi ghar nhi hota, pehlay wo baap kay ghar mai rehtii hai phir shohar kay aur aahir mai betay kay."[/B][/quote]


Optimistic
========
[B]Aurat k 4 ghar hotey hein, baap ka ghar, shohar ka ghar, betay ka ghar aur damaad ka ghar."[/B]

Abdullah Friday, May 05, 2006 08:38 PM

2 thumbs up Ghayas bhai:D.....it was really a unique and quick-witted repartee by you,,,,zabardast

Muskan Ghuman Friday, May 05, 2006 11:24 PM

[QUOTE=Mr Ghayas]
========
Optimistic
========
[B]Aurat k 4 ghar hotey hein, baap ka ghar, shohar ka ghar, betay ka ghar aur damaad ka ghar."[/B][/QUOTE]

Ahan Mr. ghyas itni optimistic approach...:closedeye ...
Directly u can say Women are like rolling stones...
Anyways for a male in this also there can be optimism becoz the issue is related to woman.
The line U qouted from my post does nt show pessimism but it is a realistic approach.

Regards,
Muskan

Chilli Thursday, May 11, 2006 05:13 PM

Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)
 
Umera Ahmed k Novel"Peer-e-Kamil"se kuch Iqtebas...................

“Aap main se agar koi bata sakay k Peer-e-Kamil kon hota hay?”
Wahan mojood log aik doosray ko dekhnay lagay phir aik ne kaha,”Peer-e-kamil naik shakhs hota hay,Ibadat Guzar shakhs,Parsa Admi”

Dr. Sabt Ali ne sar hilaya,”bohat se log naik hotay hain,Ibadat Guzar hotay hain,parsa hotay hain,aap k ird gird aisay bohat se log hotay hain to kia wo sab Peer-e-Kamil hotay hain??”

“Nahin! Peer-e-Kamil wo admi hota hay jo dikhaway k liye Ibadat nahi karta,Dil se ibadat karta hay,sirf Allah k liyeus ki naiki or parsai dhong nahi hoti”,aik or shakhs ne ne apni raye di

“Apnay Halqa Ahbab main aap main se har aik kisi na kisi aisay shakhs ko zaroor janta hoga,jis ki ibadat k baray main ussay ya shubah nahi hota k wo dhong hay,jis ki naiki or parsai ka bhi aap ko yaqeen hota hay to kia wo shakhs Peer-e-Kamil hay?”

kuch dair khamoshi rahi phir aik or shakhs ne kaha
“Peer-e-Kamil aik aisa shakhs hota hay ,jis k alfaz main taseer hoti hay k wo insane ka dil badal daitay hain”

“Taseer bhi bohat se logon k alfaz main hoti hay,kuch k Monh se nikalnay walay alfaz main,kuch k qalam se nikalnay walay alfaz main,Taseer to stage par kharay aik Compare or akhbar ka Ka’lam likhnay walay aik Journalist k alfaz main bhi hoti hay to kia wo Peer-e-Kamil hotay hain?
Aik or shakhs bola” Peer-e-Kamil wo hota hay jissay Alham or Wajdan ho,jo mustaqbil ko boojh sakay”

“ham main se bohat saray log aisay khuab dekhtay hain jin main mustaqbil main darpesh anay walay halat se hamain agahi hojati hay,kuch log istekhara bhi kartay hain or cheezon k baray main kisi had tak jan jatay hain,kuch logon ki chati His(6th Sence)bohat taiz hoti hay,wo khatron ko bhanp jatay hain"
“Peer-e-Kamil kon hota hay?Dr Sahab kuch dair khamosh rahay,unhon ne phir apna sawal dohraya

“Peer-e-Kamil kon hota hay? Salar uljhan amaiz andaz main Dr Sabt Ali k chahray ko dekhnay laga

“Kia Dr Sabt Ali k ilawa koi or Peer-e-Kamil ho sakta tha or agar wo nahi thae to phir kon tha or kon ho sakta hay?”

Wahan baithay huay logon k Dil-o-Dimagh main aik hi gounj thi...

Dr Sabt Ali 1,1 ka chahra dekh rahay thae,phir un k chahray ki muskurahat ahista ahista madoom ho gai……….

“Peer-e-Kamil main kamliyat hoti hay..kamliyat un tamam cheezon ka majmooa hoti hay jo aap kah rahay thae, Peer-e-Kamil wo shakhs hota hay jo Dil se Allah ki ibadat karta hay,Naik or Parsa hota hay..us ki har Dua qubool hoti hay,is had tak jis had tak Allah chahay..us k alfaz main taseer bhi hoti hay,wo logon ko hidayat bhi daita hay magar ussay Alham nahi hota,ussay Wajdan hota hay,Wahi utarti hay us par or Wahi kisi Aam Insan par nahi utarti…sirf Paighambar par utarti hay…1 Lakh 24 Hazar Paighambaron main se har Paighambar Kamil tha magar Peer-e-Kamil wo hay jis par Nabuwwat ka silsila khatam kar diya jata hay…
Har Insan ko Zindagi main kabhi na kabhi kisi Peer-e-Kamil ki zaroorat parti hay,kabhi na kabhi Insani zindagi us mor par aa kar zaroor khari ho jati hay jab ya lagta hay k hamaray labon or Dilon se nikalnay wali Duayain be-asar ho gai hain,hamaray sajday or hamaray phailay huay hath rahmaton or naimaton ko apni taraf mor nahi pa rahay…Yun lagta hay jaisay koi talluq tha jo toot gaya hay phir Admi ka dil chahta hay ab us k liye koi or hath uthaye,kisi or k lab us ki Dua Allah tak Pohanchayain,koi or Allah k samnay us k liye gir-giraye,koi aisa shakhs jis ki Duayain qabool hoti hon,jis k labon se nikalnay wali il-tejayain us k apnay lafzon ki tarha wapis na mor di jati hon phir Insan Peer-e-Kamil ki talash shuru karta hay,bhagta phirta hay,Dunya main kisi aisay shakhs k liye jo Kamliyat ki kisi na kisi seerhi par khara ho…….

Peer-e-Kamil ki ya talash Insani Zindagi k irteqa se ab tak jari hay ..ya talash wo khuahish hay jo Allah khud insan k dil main paida karta hay….. Insan k dil main ya khuahish,ya talash na uteri jati to wo Paighambron par kabhi yaqeen na lata…kabhi un ki pairvi or Ata’at karnay ki koshish na karta,Peer-e-Kamil ki ya talash hi insan ko har zamanay main utaray janay walay Paighambaron ki taraf lay jati rahi....

phir Paighambaron ki Ma-boosiyat ka ya silsila Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k sath kahtam kar diya gaya…Aap(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)ki ummat k liye Aap(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k bad kisi or Peer-e-Kamil ki gunjaiysh nahi rakhi gai

Kon hay jissay ab ya aainda anay wallay zamanay main Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)se barh kar koi muqam diya jaye???

Kon hay jissay Aaj ya ainda anay walay zamanay main kisi shakhs k liye Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)se barh kar Kamliyat de di jaye????

Kon hay jo Aaj ya ainda anay walay zamanay main kisi Shakhs k liye Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)se barh kar Shafa’at ka dawa kar sakay???
Jamid or mutaqil khamoshi k surat main anay wala “Nafi”main ya jawab ham se sirf aik sawal karta hay….


Peer-e-Kamil(Sallal Laho ALahe Walay Hi Wasallam) ko chor kar ham dunya main or kis wajood ko khojnay nikal kharay huay hain?? Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k Bay’at Shuda hotay huay hamain doosray kisi Shakhs ki Bay’at ki zaroorat rah gai hay????

Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k rastay par chalnay k bajaye hamain doosra kon sa rasta apni taraf khainch raha hay???

Kia Musalmanon k liye Aik Allah, Aik Quran, Aik Rasool(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam) or un ki Sunnat kafi nahi????

Allah us k Rasool Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)or us ki Kitab k ilawa or kon sa shakhs ,kon sa Kalaam hay jo hamain Dunya or Akhirat ki takleefon se bacha sakay ga????

Jo hamari Duaoon ko qabooliat bakhshay,jo ham par naimatain or rahmatain nazil kar sakay??

Koi Peer-e-Kamil ka firqa(sect) bata sakta hay???Nahin bata sakta”

Dr Sabt Ali Kah rahay thae……..

“Wo sirf Musalman thae,wo musalman jo ya yaqeen rakhtay thae k agar wo Sirat-e-Mustaqeem par chaplain gay to wo jannat main jayain gay,us rastay se hatain gay to Allah k Azab ka nishana banain gay
or Sirat-e-Mustaqeem wo rasta hay jo Allah apnay Paighambar(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k zariye Quran Pak main batata hay,saaf,do tok or Wazah Alfaz main…wok am karain jis ka hukm Allah apnay Rasool(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k zariye daita hay or us kam se ruk jayain jis se mana kia jata hay…..

Allah, Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam) or Quran kisi bat main koi abham nahi rakhtay..
Quran ko kholiye,agar us main kahin do tok or ghair-mubham alfaz main kisi doosray Peer-e-Kamil ya Paighambar ka zikr milay to us ki talash kartay rahiya or agar aisa kuch nazar nahi ata to phir sirf khof khaiye k aap apnay pairon ko kis daldal main liye ja rahay hain…apni 50,60 Sala zindagi ko kis tarha apni abdi zindagi ki tabahi k liye istemal kar rahay hain,kis tarha Khassaray ka soda kar rahay hain..Hidayat ki talsh hay?

Quran kholiye..kia hay jo wo aap ko naho bata daita..wo aap ko masoom,anjan or ba-khabar nahi rahnay daita…aap ka asal aap k monh par de marta hay..Kia Allah Insan ko nahin janta hoga???us Makhlooq ko jo us ki Arbon,Kharbon(Million,Billion) takhleeqat main se aik hay…

Dua qabool nahi hoti to asar or waseelay talash karnay k bajaye sirf hath utha lijye,Allah se khud mangain…de day to shukar karain,na day to Sabar…………..magar hath aap khud hi uthayain..

Zindagi ka qareena or saleeqa nahi araha to Aswa-e-Husna(Sallal LahoAlahe Walay Hi Wasallam)ki taraf chalay jayain,sab kuch mil jaye ga aap ko
Aihtram har aik ka karain…….

har Wali ka,har Momin ka,har Buzurg ka,har Shaheed ka, har Saleh ka, har Parsa ka......
Magar apni zindagiyon main hidayat or rahnumai sirf Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahae Walay Hi Wasallam)se lain q k unhon ne aap tak apnay zaati ahkamat nahi pohanchaye jo kuch bataya hay wo Allah ka nazil karda hay.......

Dr.Syed Sabt Ali kon hay,
kia hay,
kon janta hay ussay???
Aap......??
Aap k ilawa chand so(100)log....

chand Hazar log magar jis Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)ki bat kar raha hoon,unhain to aik Arab k qareeb log apna Rohani Paishwa mantay hain…main to wohi kuch kahta ,dohrata phirta hoon,jo 1400 Saal pahlay Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)farma chukay hain…kia nai bat kahi main ne????

==Jazak Allah==

Chilli Thursday, May 11, 2006 05:33 PM

Favourite'z Lines from Umera's Novels
 
[B]Amar Bail
[/B]
"kaun kahta hai k kisi se ek bat mohabbat ho jane k bad us se nafrat ho sakti hai? jo kahta hai wo duniya ka sab se bara jhoota hai...cycle of replacement mein mohabbat ki replacement nahi hoti...khud ko dhoka dene k bawajood ham jante hain k hamare wajood mein khoon ki gardish ki tarah daurne wala naam kis ka hai...hum us per ek k bad mohabbaton k dher lagae jate hain, kahte jate hain, ab hum is se mohabbat karte hain, ab hum us se mohabbat karte hain....laken jo zyada door hota jata hai wo zyada pass ata jata hai...aur phir wo hamare dil aur dimagh k us kone mein ja puhanchta hai k agar kabhi use wahan se nikalna par jae to phir us k bad hum ek normal zindagi guzarne k qabil nahi rahte...."



"main Alieza ko Joy dunga, phir Eternity".

(Tania)"just relax Alieza! ronay se wo aa to nahi jayega" .......(Alieza)"mere ronay se to aa jata tha"..

"to ye hoti hai zindagi
or ye mohabbat
aik waqt main aik hi cheez khatam hoti hai, donon nahi".

"us ne Alieza ke chehray ko apne zehan ki screen per ubhartay dekha...bayikhtiyar us ne saans lene ki koshish ki, phir us ne us ke saath Junaid ko dekha wo saans nahi le saka".

"mujh se ye mat kaho ke tum mujh se mohabbat nahi kartay, tumhain pata hai is se kitni takleef hoti hai mujhe".

Umer said In Amar Bail

mujhe to aliza se mohabbat thi mein usee kese kisi ka honte dekh sako ga .........mein usee bhaut rulya...."


us ne Alieza ke chehray ko apne zehan ki screen per ubhartay dekha, bayikhtiyar us ne saans lene ki koshish ki, phir us ne us ke saath Junaid ko dekha wo saans nahi le saka

"Cycle Of Replacement" mein mohabbat ki replacement nahi hoti"

[B] Meri Zaat-e-zarra Bey Nishaan [/B]

When Aarfeen asks saba about reality and she says

" Aankhein kuch nahi dikhaatein, aankhein to sirf woh dikhaati hein jo hamara dil, hamara dimagh dekhna chahta hae".

[B]Abhi To Maat Baaqi Hai [/B]

kuch chehrion ko pehchany main zara bhi dair nahi lagti chahy un say humra koi rishta ho yaan na ho.chahy unhien hum 8 min baad yaan 8 saal baad dehkien.chahay unhien hum nay muhabat say dehka ho yaan nafrat say magar ik bar dehknay kay baad woh chehray damgh main naqsh ho jatay hain.pir dobara kabhi zehan say ohjal nahi hotay.

[B] 'Thora Sa Aasma' [/B]

Allah Ta'la har insaan ko zameen par bheej deyta hai aor kehta hai... Ye tumhari azmaish hai, aor ye tumhari umer ki had... Tumko itney saal zameen par iss tarha kay halat kay ssath rehna hai... ye ye masail hain jo tumhen zindagi mai pesh aaingey, ab ro kar inka samna karo ya hans kar inka hal sohney ki koshish karo... Ya in par zindagi bhar matam kartey raho, ye sab tumharey haath mai hai... Behirhaal, tumko in sab ka samna karna hi hai... Hum zindagi kay imtahani kamrey mai beth kar, pedaish sey moat tak mukhtalif qisam kay test dayney kay alawa kuch nahi kar rahey hotey... Har test ka doraniya alag hota hai, uski type alag hoti hai, baaz ka sawal nama zara asan hota hai, baaz ka khasa mushkil,baaz ka sawal nama Syllabus pay phela huwa hota hai, baaz ka mukhtasir jawabaat magta hai... Baaz paper khubsoorat writing mai kartey hain, baaz gandi writing mai, Magar aik baat tou tay hai kay hum sab dey paper hi rahey hain aor ye papers kesey bhi hon, inka Checker aik hi hota hai... Vo merit par puri diyanatdaari kay saath hamen marks dey deyta hai, aor vo checker Allah hai !!

Kamra-e-imtehan mai aney kay baad shor machaney kay bajaey kay falan ko paper asaan diya gaya hai, falan ko naqal karaey jarahi hai, falan ko kam sawal hal karney hain, falan ko ziyada waqt diya gaya hai, falan ko diya janey vala qalam aor sheet mujhsey behtar hai, falan ko paani aor dusri sahuliat di jarahi hain, falan ko calculator istamal karney ki ijazat hai ya falan ney kitaab kholi huey hai.... Kiya ye behtar nahi hai kay hum sirf aor sirf apney question paper par tawwaja den, usko hal karney ki koshish karen, ye dekhen kay iss mai sey kitney sawal hamen aatey hain aor kitney nahi, aor jo sawal hamen atey hain unka jawab hum kitni achi tarha dey saktey hain.... aor jo nahi aatey unko hal karney kay liye hamen kiya karna chaheye... Kiyonkay hamen khaali paper nahi chhorna khali paper dekh kar hamen marks nahi milengey aor nahi hamar koi uzar mana jaeyga...

[B]Wujood-e-Laraib[/B]

"Ya Allah! insaan kitna majboor hai." (Washma Hadi Hasan to Allah in [B]Wujood-e-Laraib[/B])



"yahan kharay ho ker Tuj say Anbiya dua manga kertay thay.un ki duaoon main or meri duaoon main bohat faraq ha..main Nabbi hota tu Nabiyon jasi dua kerta,,mager main tu amm bashar hoon,,,, gunahgar bashar.meri khawishaat,meri arzooain sab amm hain,yahan kharay ho ker koi kabhi kisi orat kay liay nahi roya hoga,meri zilat or pasti ki is say ziada intaha or kia hogi kay main yahan khara,,,,haram-e-paak main khara.....aik orat kay liay girgira reha hoon...mager mujko na apnay dil per ikhtiyar ha na apnay ansooun per,yah main nahi tha jis nay is orat ko apnay dil main jaga di..yah Tu nay kia,,kun meray dil main us orat ka liay itni mohabbat dal di ka main Teray samnay khara bhi usi ko yaad ker reha hoon?main wo bashar hoon jis ko Tu nay in tamam khamiyon kay sath banaya.jis ko Teray siwa koi rasta dekhany wala nahi,or wo orat meri zindagi kay her rastay per khari ha...mujahay kahin janay nahi day rehi..ya tu uski mohabbat ko meray dil say is tarah nikal day kay mujhay kabhi us ka khayal tak na aye,ya phir usay mujhay day da..wo nahi milay gi tu main sari zindagi usi kay liay rotta rahoon ga,wo mil jai gi tu Teray ilawa main kisi kay liay anso nahi baha sakoon ga,meray ansooun ko khalis honay day.main yahan khara tujse paak ortoon main sa aik ko mangta hoon""

sabaun Thursday, November 02, 2006 12:00 AM

well eram,,,,kamal kar di hay ap nay,,,,,kia andaaz hay app ka,,,,,yaqinan app ka post daikh kar may sochnay pay majbooor ho gya,,,,,may ap say 100% mutafiq hoon jo app nay is post may kaha hay,,,,,

sErEnE EyE Sunday, February 11, 2007 12:18 AM

"....tum nay kabhi mout ko kareeb say dekha hai? yeah bilkul waisi hi hai jaisi zindagi main tumharay beghair guzar rahi houn"
Omaira Ahmed

uzma Thursday, March 29, 2007 10:39 PM

A very good writer indeed, was a pleasure to read all thats been shared from Umera Ahmed. Specially by Argus....I'm introduced to a big writer.

Thank you for that.

adeela Sunday, April 29, 2007 12:59 PM

she is marvelous in her thinking...in her writing.really fabulous work. Her novel PEER E KAAMIL.....is one of the grt novel.Before 2 years i read this but still i can feel its effects. it make us to awake up.

really splended !!

Chilli Monday, May 07, 2007 03:47 PM

A new drama serial on Hum Tv and starting from 11 May on Friday @ 8:10 pm. It's based on novel written by Umera Ahmed.

qasim83 Monday, May 21, 2007 12:16 AM

I have read Peer-e-Kamil and am reallly impressed by it?
Can anyone please list all writings of Umera Ahmed,, and where to find those?

Ahmed

Tuba Naz Monday, July 16, 2007 05:02 PM

[SIZE="4"][B]FROM "THORA SA ASMAAN"[/B][/SIZE]

[SIZE="4"]= "Zindagi mey humarey sath chalney wala har shaks es leye nahi hota keh hum thokar kha kar gireen or voh hume sambhaal ley hath thaam kar girney sey pehley ya bazoo khench kar girney keh baad..baaz loog zindagi keh es safar mey humarey sath serf yeh dekhney k lea hotey hain keh hum kab kahan or kesey girtey hain..lagney wali thokar humarey gothnoo ko zakhmi karti hai ya hathoo ko khak,humarey chehrey ko ganda karti hai ya kaproo ko..."

= "Us k samney aney wali pastii usey asmaan sey pataal mey ley janey wali thi..Asmaan or pataal k darmiyaan kaheen bhi zameen nahi hoti..Zameen ki zarorat nahi hoti kuyn keh pataal tak pohonchtey pohonchtey peer kut chukey hotey hain..."[/SIZE]

[SIZE="4"][B]FROM "PEER-E-KAMIL (S.A.W)"[/B][/SIZE]

[SIZE="4"]"Voh andaza nahi kar pa raha tha keh us raat usey kis cheez sey zada khoof aaya tha..Maut sey,Qabar sey,ya pher Dozaq sey..
Imama ney kaha tha ECSTASY keh baad PAIN hoti hai..Maut PAIN thi..
Us ney kaha tha PAIN keh baad NOTHINGNESS hogi..Qabar NOTHINGNESS thi..
Imama ney kaha tha NOTHINGNESS keh baad HELL aa jae ga..
...Voh wahan tak pohonchna nahi chahta tha.Voh es ECSTASY sey bachna chahta tha ,jo usey PAIN sey HELL ka safar karney per majboor kar deti..."[/SIZE]

Super Girl Sunday, September 23, 2007 07:32 AM

Umera Ahmad is really superb. She has a deep thought & she talks about facts. In fact, She describe which a common person dont think at last.

Plz name her all novels if anyone knows.

Thanks

sonia_hanif Sunday, October 07, 2007 04:53 PM

she is a superb writer.................
her new Novel (AAb-e-Hayat)is on da way to publishing...............the 2nd part of Peer-e_Kamil...........
anxiously waiting for it

Mahin Sunday, October 07, 2007 10:51 PM

woh thts gud news... by Peer e Kamil 2nd part means same characters or different ones!!!! anyways jo bhi ho Umera Ahmad rocks and she is a superb writer who writes thought provoking novels...
simply too marvellous!!!

[QUOTE]Plz name her all novels if anyone knows.
[/QUOTE]

hum kahan keh sachay thay
darbar -e- dil
wapsi
zindagi gulzar hai
Peer -e- Kamil
La hasil
Main ney khuwaboon ka shajar dekha hai
Amar Bail
Emaan Umeed aur Mohabbat
Meri zat zerrah beynishan
sehr ek istayara hai
harf sey lafz tak

Amara Thursday, November 15, 2007 08:53 PM

no doubt Umera Ahmed is a nice writer.
her writing touches our heart n soul.....
we need to read such writing always , because such writing always develops our mind to think in best n positive way.
quite optimistic thinking.......

sara soomro Monday, January 07, 2008 04:51 PM

my favourite lines are from AMAR BAIL...

"kaun kahta hai k kisi se ek bat mohabbat ho jane k bad us se nafrat ho sakti hai? jo kahta hai wo duniya ka sab se bara jhoota hai...cycle of replacement mein mohabbat ki replacement nahi hoti...khud ko dhoka dene k bawajood ham jante hain k hamare wajood mein khoon ki gardish ki tarah daurne wala naam kis ka hai...hum us per ek k bad mohabbaton k dher lagae jate hain, kahte jate hain, ab hum is se mohabbat karte hain, ab hum us se mohabbat karte hain....laken jo zyada door hota jata hai wo zyada pass ata jata hai...aur phir wo hamare dil aur dimagh k us kone mein ja puhanchta hai k agar kabhi use wahan se nikalna par jae to phir us k bad hum ek normal zindagi guzarne k qabil nahi rahte...."

Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)
“Aap main se agar koi bata sakay k Peer-e-Kamil kon hota hay?”
Wahan mojood log aik doosray ko dekhnay lagay phir aik ne kaha,”Peer-e-kamil naik shakhs hota hay,Ibadat Guzar shakhs,Parsa Admi”
Dr. Sabt Ali ne sar hilaya,”bohat se log naik hotay hain,Ibadat Guzar hotay hain,parsa hotay hain,aap k ird gird aisay bohat se log hotay hain to kia wo sab Peer-e-Kamil hotay hain??”
“Nahin! Peer-e-Kamil wo admi hota hay jo dikhaway k liye Ibadat nahi karta,Dil se ibadat karta hay,sirf Allah k liyeus ki naiki or parsai dhong nahi hoti”,aik or shakhs ne ne apni raye di
“Apnay Halqa Ahbab main aap main se har aik kisi na kisi aisay shakhs ko zaroor janta hoga,jis ki ibadat k baray main ussay ya shubah nahi hota k wo dhong hay,jis ki naiki or parsai ka bhi aap ko yaqeen hota hay to kia wo shakhs Peer-e-Kamil hay?”
kuch dair khamoshi rahi phir aik or shakhs ne kaha
“Peer-e-Kamil aik aisa shakhs hota hay ,jis k alfaz main taseer hoti hay k wo insane ka dil badal daitay hain”
“Taseer bhi bohat se logon k alfaz main hoti hay,kuch k Monh se nikalnay walay alfaz main,kuch k qalam se nikalnay walay alfaz main,Taseer to stage par kharay aik Compare or akhbar ka Ka’lam likhnay walay aik Journalist k alfaz main bhi hoti hay to kia wo Peer-e-Kamil hotay hain?
Aik or shakhs bola” Peer-e-Kamil wo hota hay jissay Alham or Wajdan ho,jo mustaqbil ko boojh sakay”
“ham main se bohat saray log aisay khuab dekhtay hain jin main mustaqbil main darpesh anay walay halat se hamain agahi hojati hay,kuch log istekhara bhi kartay hain or cheezon k baray main kisi had tak jan jatay hain,kuch logon ki chati His(6th Sence)bohat taiz hoti hay,wo khatron ko bhanp jatay hain"
“Peer-e-Kamil kon hota hay?Dr Sahab kuch dair khamosh rahay,unhon ne phir apna sawal dohraya
“Peer-e-Kamil kon hota hay? Salar uljhan amaiz andaz main Dr Sabt Ali k chahray ko dekhnay laga
“Kia Dr Sabt Ali k ilawa koi or Peer-e-Kamil ho sakta tha or agar wo nahi thae to phir kon tha or kon ho sakta hay?”
Wahan baithay huay logon k Dil-o-Dimagh main aik hi gounj thi...

Dr Sabt Ali 1,1 ka chahra dekh rahay thae,phir un k chahray ki muskurahat ahista ahista madoom ho gai……….

“Peer-e-Kamil main kamliyat hoti hay..kamliyat un tamam cheezon ka majmooa hoti hay jo aap kah rahay thae, Peer-e-Kamil wo shakhs hota hay jo Dil se Allah ki ibadat karta hay,Naik or Parsa hota hay..us ki har Dua qubool hoti hay,is had tak jis had tak Allah chahay..us k alfaz main taseer bhi hoti hay,wo logon ko hidayat bhi daita hay magar ussay Alham nahi hota,ussay Wajdan hota hay,Wahi utarti hay us par or Wahi kisi Aam Insan par nahi utarti…sirf Paighambar par utarti hay…1 Lakh 24 Hazar Paighambaron main se har Paighambar Kamil tha magar Peer-e-Kamil wo hay jis par Nabuwwat ka silsila khatam kar diya jata hay…
Har Insan ko Zindagi main kabhi na kabhi kisi Peer-e-Kamil ki zaroorat parti hay,kabhi na kabhi Insani zindagi us mor par aa kar zaroor khari ho jati hay jab ya lagta hay k hamaray labon or Dilon se nikalnay wali Duayain be-asar ho gai hain,hamaray sajday or hamaray phailay huay hath rahmaton or naimaton ko apni taraf mor nahi pa rahay…Yun lagta hay jaisay koi talluq tha jo toot gaya hay phir Admi ka dil chahta hay ab us k liye koi or hath uthaye,kisi or k lab us ki Dua Allah tak Pohanchayain,koi or Allah k samnay us k liye gir-giraye,koi aisa shakhs jis ki Duayain qabool hoti hon,jis k labon se nikalnay wali il-tejayain us k apnay lafzon ki tarha wapis na mor di jati hon phir Insan Peer-e-Kamil ki talash shuru karta hay,bhagta phirta hay,Dunya main kisi aisay shakhs k liye jo Kamliyat ki kisi na kisi seerhi par khara ho…….

Peer-e-Kamil ki ya talash Insani Zindagi k irteqa se ab tak jari hay ..ya talash wo khuahish hay jo Allah khud insan k dil main paida karta hay….. Insan k dil main ya khuahish,ya talash na uteri jati to wo Paighambron par kabhi yaqeen na lata…kabhi un ki pairvi or Ata’at karnay ki koshish na karta,Peer-e-Kamil ki ya talash hi insan ko har zamanay main utaray janay walay Paighambaron ki taraf lay jati rahi....

ssoul Tuesday, January 08, 2008 03:23 AM

great job
 
i really appreciate wonderful effort of all of u. Umera Ahmed is my fav writer and i really love "Peer-e-kamil(S.A.W)".

sara soomro Tuesday, January 08, 2008 02:47 PM

jhootay roop kay darshan,,


zindgi main pahli baar jab main nay asman ki kookh say baraf ko janam laitay hoye dkhea to lamha bhar kay laye mujhay younh laga jaisay meray wajood main say koi ajnabi shay sansanti hoye guzar gye
yah fitrat ka lazwaal hussan thaa
yah lamha itna gahra tha ka mera khuda pay eeman lanay ko ji chaha
main nay socha ka shyed khuda husaan ka naam hai ....

tum khobsurat ho
yaqeen karo
agar khobsurat na bhi hoti to bhi main tumhin itna hi pyaar kartaa
husa to aik azaafi aur bay mani shay hai
meeri aankh main hai na tumharay jisam main
balka in donon kay darmyan paida honay walay rishtay kay ihsaas ka naam hai
aur yah rishta aisa hai ka jab tum guzarti ho to is dharti aur akash ka jaisay dam ruk jata hai,,zamanay ki wosateen tumharay qadamon main simat aati hain ,,,,,tum apni gahari ankhon say jab dekhti ho to saari dunya nashay main doob jati hai
tumhin batayo mera kya kasoor?

yah dil aik mandar tha,jis main sadyon say intizar kay daiye roshan thay ,,sunsaan khamoshyon aur ujaar udaasyon ka raaj thaa,,tum nay is weeranay main qadam rakha to jaisay zindgi kay naqoos baj uthhay
baharon nay apna daman pheelaya,,mohabbton ki soondhi sondhi mahak har janab phel gye,is weeranay ko younhi aabad rakhna,,ka tumharay baad yahan kon aye ga,,yahan kon loban ki khusbo bakheeray ga,,apnay wajood kay pholl nichawar karay ga,,phir kon yahan neem waah anakhon say devi ban kay baithay ga,,,,,

my Fav lines Lahasil .....

(Ishq la Hasil)

ishq insan ko kainat k kisi dosry hissay mein la jata hay. Insan ishq majazi se ishq haqeeqi tak safar tab karta ha jab ishq la-hasil rehta hay ,jab insan jholi bhar bhar kar muhabbat karay or khali dil or hath lay kar phirray..."

habibrahet Sunday, March 16, 2008 12:56 AM

6 Attachment(s)
[quote=qayym]@ PHARM
i vill INSHAALLAH try to read it after reaching Pakistan. Thx for ur efforts.[/quote]

salam

@qayym

i will not let you wait for

enjoy

just unzip and read that afsana
..............................................

Mubashira Khanum Wednesday, May 07, 2008 03:24 AM

writer cum creator
 
Umera Ahmed,
At beginning jab me ne "Umera" ki pehli story parhi , i read it again ,nd again
nd every time i was caught in a feeling that filled me with grief and courage simultaneously
She not only writes stories she creates words,
And the results of our very own behaviour.

arsa Sunday, July 13, 2008 05:01 PM

[QUOTE=Argus][I][SIZE=4]Ishq la Hasil[/SIZE][/I]

[SIZE=4][I]ishq insan ko kainat k kisi dosry hissay mein la jata hay. Insan[/I] [B]ishq majazi[/B] [I]se[/I] [B]ishq haqeeqi[/B][I] tak safar tab karta ha jab [/I][B]ishq la-hasil[/B][I] rehta hay ,jab insan jholi bhar bhar kar muhabbat karay or khali dil or hath[/I] [/SIZE][SIZE=4][I]laykar phirray..." [/I][/SIZE]
[SIZE=5][COLOR=#ff0000]
[/COLOR][/SIZE](Darbare e Dil)
...................................

[I][FONT=Arial][SIZE=4]Allah humein kissi moqe par yaad aye na aye ,do moqoon par zaroor yaad aata hai aaik jab ko koi cheez chahiye hoo ya phir koi cheez chen jae"[/SIZE] [/FONT][/I]
[I].......................................[/I]


[SIZE=4][I]zindagi main hum kabhi na kabhi uss muqaam per aajatay hain.. jahan saray [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]rishtay khatam ho jatay hain.. wahan sirf hum hotay hai aur Allah hota hai.. koi [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]maan baap, koi behan bhaii, koi dost nahi hota.. phir humain pata chalta hai k [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]humaray pairon talay koi zameen hai na sar pe koi asmaan.. buss sirf aik Allah [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]hi hai jo is khala mei bhi humain thamay huay hai.. phir pata chalta hai k hum [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]zameen per padi miiti k dhair main aik zarray ya darakkht per lagay aik patay se [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]ziada wuqat nahi rakhtay. phir pata chalta k huamray honay ya na honay se sirf [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]humain farq perta hai.. sirf humara kirdar khatam hojata hai.. kainaat mein koi [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]tabdeeli nahi atti .. kisi cheez par kooi asar nahi parta…………….Phir hamari aqal [/I][/SIZE]
[SIZE=4][I]thikanay aajati hai .. [/I][/SIZE]

[SIZE=4]Peer-e-Kamil (S.A.W) [/SIZE]


[I][SIZE=4]" Har aik ko bhikari bana kar rastay me bithaya hua hay, [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]or har aik khud ko malik samjhta hay.jab tak thokar nahi lagti, [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]jab tak ghutnoon par nahi girta apni aukaat ka pata hi nahi chaltaa. [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]wojood kay naseeb main hay bhikari hona bus Zaat bhikari nahi ho sakti. Wojood k muqadar me mangana hay Zaat ka wasaf daina hay. [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]Main to kia BB! sab bhikari hain.Aj nahi to Kal, Kal nahi to parson [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]kabhi na kabhi bhikari banna hi parta hay.Mangana hi hota hay. [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]Koi Ishq mangata hay koi Duniya or jo yeh nahi mangta woh [/SIZE][/I]
[I][SIZE=4]Khuahish Ka Khatam hona mangata hay."[/SIZE] [/I]

[U][COLOR=green][SIZE=2][COLOR=sienna]“Shehray Zaaat”[/COLOR][/SIZE][/COLOR][/U][/QUOTE]
[FONT="Comic Sans MS"][SIZE="4"][COLOR="Black"]ASSLAM O ALIKUM
yahan umara ahmed ke baat ho rahi hi so mughy se raha nahi gia or main bhi yahan apni naqis ray dany aa gai hoon
jana tak umera ahmed k writtings ka taluq hi wo jo bhi likhtee hi bohat research or chann been k baad likhtte hain
es ley bohat hi kam un ki kahnioon main koi jhool nazer aya ga
chaeye wo mazjab pe likhain yaa politics pe, caste system ko tanqeed ka nishana bana rahi hoon yaa civil service ko...... zindagi ki khubsuratti ko beyan kar rahi hoon yaa es ke talkh haqeeqtoon ko,wo youn likhteen hain jasy k wo es ko khud experience kar chukki hain
umera ko perh k kaun kahta hi k digests main acha nahi likha jata yaa hamri gals digests ko perh k kharab ho raheen hain
umera nay hamain ALLAH tak pohchany ka rasta bataya hi(wo alag baat hi k janty sab hain muger kisi kisi ki baat dil pe aser karti hi or es baat ka huner umera k pass hi)
she is the best of all writers(thz is my own openion)[/COLOR][/SIZE][/FONT]

Faryal Shah Wednesday, September 03, 2008 01:18 AM

[I]i also read Umera Ahmed's novels...i never look at the writer's name after reading a story but once i read a novel n for the first time noticed the writer's name deliberately...it was Umera Ahmed's novel...

i still dont remember the name of that story...likin us mein diary likhi hoti ha....

kon konsi story ak zikar karoun

one of her all time best...DOOSRA DOZAKH isko parh kar mein an socha..pata nhi..pata nhi hum log kion youn kartay hain......mujhy ye story parh kar laga...jesy us larki ki jagga mein bethi houn...


aor amar bail ki toh kia hi baat ha......mujhy abhi bhi uski last episode yaad hy..or us mein wo alst paragraph to mein kabhi bhi nhi bhool sakti....

mein imama ki detremination...

she has almost gave me new meanings of everything..(not only to me ofcourse, but to everyone who has read her books and stories)....and trust me, those meanings are supportive, helpful and nurturing.....and all she did throught writing and observing...she's an M.A in English and she's a teacher in sum school......i dont know her personally (i wish i cud)....i havent seen her, never heard her voice and never talked to her...but even then she's my inspiration

here u can read her all novels.

[url]http://www.esnips.com/web/UmeraAhmedMyfav[/url]


regards

faryal shah
[/I]

Astute Accountant Saturday, January 17, 2009 12:29 PM

An Extract from Peer-e-Kamil S.A.W.
 
[B]Zindagi main baaz dafa hamain pata nahi chalta k hum tareeki say bahir aaye hain ya tareeki main dakhil howay hain. Adheray main simt ka pata nahi chalta magar asmaan aur zameen ka pata zaroor chal jata hai balkay har haal main chalta hai. Sir uthanay par asmaan hi hota hai. Nazar aaye na aaye. Sir jhukanay par zameen hi hoti hai, dikhai day na day magar zindagi main safar karnay k liye sirf chaar simt’oon hi ki zaroorat parti hai. Daa’ain, baa’ain, aagay, peechay. Panch’ween simt pair’oon k neechay hoti hai. Wahan zameen na ho tu paa’taal aa jata hai.Paa’taal main pohanchnay k baad kisi simt ki zaroorat nahi rehti.
[COLOR="DarkOrchid"]Chatti simt sir say opper hoti hai. Wahan jaya nahi ja sakta. Wahan ALLAH hota hai. Ankhoon say nazar na anay wala magar dil ki har darkhan, khoon ki har gardish, har anay janay walay saans, halq say utarnay walay har niwala k sath mehsoos honay wala……..[/COLOR]

[CENTER]Peer-e-Kamil S.A.W.[/CENTER]

That's so true about Allah, The Almighty! [/B]

Husna Monday, February 16, 2009 05:30 PM

An amazing novelist and impressed by her literary works.

Nisa Wednesday, March 18, 2009 01:49 PM

:comein SALAM 2 ALL,
I hv read many novels of umera ahmad but AMAR BAIL is the one which forced me to join this site. I m veeeery happy 2 join this site.
AMAR BAIL aik aesa novel ha jis ki tareef k liye mere pas words nai han. Ma sab ko yehi kahon gi k AMAR BAIL zaroor parhain.
Aur jo b ye message parhy wo NAZIA SALEEM ki help zaroor kary. Ar nazia ap khawatein digest ko mail karain may b ap ko un se umera ka koi contact number mil jaye.
Umera u r the best

Qaiserks Wednesday, March 18, 2009 02:39 PM

I have read her novel "Peer-e-Kamil" and is one of my favorites ever.
Her writings are always commendable.

BR

mushtaque Tuesday, March 24, 2009 09:48 AM

[QUOTE=Mr Ghayas]Pessimistic
========



Optimistic
========
[B]Aurat k 4 ghar hotey hein, baap ka ghar, shohar ka ghar, betay ka ghar aur damaad ka ghar."[/B][/QUOTE]
dil ALLAH ka ghar hay aur us mein kisi kay liye bhi gunjaish nahi hay lekan aurat ki behtreen jagha dil ka darbaan hona hay


jo aap nay kaha sach hay duniya sirf musafir khana hay aur yahan har koi musafir hay "aurat ka sab say aach ghar jannat hay aur sirf un auatoon k liye jo parhhezgar hein "


mushtaque ahmed
========

Astute Accountant Tuesday, April 07, 2009 05:01 PM

[B]Fa’raar asaan nahi hota, na zindagi se, na qismat se, na un harakatoon se jo hum khud ko aqal-e-kul samjh kar kartay hain. Har shakhs ko girnay k liye thokar kha’nay ki zaroorat nahi hoti. Baaz thokar lagay baghair hi gir jatay hain. Phir unhain utha’nay k liye koi hath bari mushkil se hi aagay barhta hai.

Taken from:[COLOR="DarkOrchid"] Bus Ek Dagh-e-Nadamat[/COLOR][/B]

sara soomro Saturday, June 06, 2009 12:33 AM

[COLOR=blue]Mummy,aapko pata hai Mujhe ALLAH kiun nahi mil sakta.[/COLOR]
[COLOR=blue]mere aur ALLAH ke darmiyan Khawahishoon ki diwar hai.[/COLOR]
[COLOR=blue]Aasaiyshoon ki diwar hai. main ne apne irdgird duniya ki itni cheezein ikathi ker lii hai ke ALLAH tu mere pass aaa hi nahi sakta. [/COLOR]
[COLOR=blue]jisse Woh apni Mohabbat de deta hai isse phir aur kisi cheez ki khawahish hi nahi hoti [/COLOR]
[COLOR=blue]aur jisse duniya deta hai usski khawahish bhook ban jati hai kabhi khatam hi nahi hoti...[/COLOR]

[COLOR=blue]" Shehar-e-Zaat.
[/COLOR]


*********************************
*********************************


[COLOR=#008400]Zindagi main aik cheez hoti hay jisay Compromise kehtay hain....pur-sakoon zindagi guzarnay k liay is ki bohat zaroorat parti hay...jis cheez ko tum badal na sako is k saath compromise ker lia kro, mager apni kisi bhi khuahish ko kabhi bhi janoon mat bnana, keon k zindagi main kuch cheezain aisi hoti hain jo hmain kabhi nahi mil sakteen...chahay hum roain, chillain,,,ya bchon ki tarah airian rgrain...wo kisi dosray k liay hoti hain...magar is ka yeh matlab nahi k zindagi main hamaray liay kuch hota hi nahi...kuch na kuch hmaray liay bhi hota hay


(AmarBail,)[/COLOR]
[COLOR=#008400][/COLOR]
[COLOR=#008400][/COLOR]
[COLOR=#008400][COLOR=#0000ff]Andheray nay saath bethay hoay shakhss ki shanaht khatam nahi ki thi....yeh kaam ROSHNI nay kia tha...Roshni mojzay kerti hay...wajood ko is tarah ayaan kerti hay k kisi faraib aur dhokay main rehna mumkin hi nahi rehta....Muqaddar ko munawwer ker deti hay...haar mannay per qabr main utar deti hay...na mannay per saleb peh charha deti hay...bus cheezon ko un k muqam per rehnay nahi deti...paras say chhuay baghair bhi insaan sona ban jata hay aur aag k paas aaey baghair bhi mom ki tarah pighalnay lagta hay....ROSHNI waqiay mojzay kerti hay.....[/COLOR]
[/COLOR]
[COLOR=#008400][/COLOR]
[COLOR=#008400][COLOR=blue]Amar bail ...[/COLOR]
[/COLOR]

sara soomro Tuesday, June 16, 2009 12:32 PM

[B]Dunyaa ka koi darwaaza nahi hota k jisay khol kar ham iss say bahar nikal jaaein..[/B]
[B]Dunyaa ki sirf,,khirrkiyaan hoti hain, jin say ham bahar jhaank saktay hain. [/B]
[B]Baaz dafa ye khirkiyaan dunyaa say bahar kay manzar dikhaati hain,, Or baaz dafa ,,,apnay andar kay manzar dikhaanay lagti hain.[/B]
[B]Magar rihaaai or faraar main kabhi madad nahi detein!! [/B]


[B]Hum sab laug ek aisi race main dhorh rahe hain jaha'n koi finishing line nahi hai .......[/B]



[B]mohabat aur izat-e-nafs ka apas mein baraa gehra taluq hota hai, muhabbat sab se pehely izat-e-nafs ko khatam ker daiti hai. Ya banda muhabbat ker le ya [/B]
[B]phir apni izzat, haath ki muthi mein dono cheezain ikkhati nahi aa saktin.......[/B]


[B]Duniya me larkiyo'n se ziyaada eh'maq koi aur nahi hota. Khush'fehmi ka aagaaz aur ikhte-taam hum per he hota hai. Saari umer hum Mohabbat ki baysaakhiyo'n ka intazaar karti rehti hain. Taakay zindagi ki race shuru kar sakain. Humai'n har mard k baaray main yeh khush'fehmi hoti hai k woh aaye ga humai'n dekhega aur humaara ho jaayega koi hum se humdardi karay toh humai'n khush'fehmi hone lagti hai. Koi humai'n saraa'hay toh humai'n woh apni muthi me qayd nazar aane lagta hai. Koi humaare saath waqt guzaare toh humaare hosh-o-hawaas apne thikhaane per nahi rehte. UMER ka khayal hai mujh me meturity nahi hai. Yeh toh kisi larki me b nahi hoti kabhi larkiya'n b kabhi meture hoti hai'n?[/B]
[B]Hum me meturity sirf tab aati hai jab humai'n reject kar diya jaata hai.......[/B]



[B]Roshni moh'jazay karti hai... Wajood ko iss tarah ayaa'n karti hai k kisi farayb aur dhokay main rehna mumkin he nahi rehta... Muqadar ko munnawar kar deti hai... Haar maananay per qabar main gaarh deti hai... Na maananay per saleeb per charhaa deti hai... Bus cheezo'n ko unke muqaam per rehne nahi deti... Paaras se chuway bagayr b insan sona ban jaata hai aur aag k paas aaye bagayr b mom ki tarah peeghalnay lagta hai... Roshni waa'qee moh'jazay karti hai.........[/B]


[B]Amar bail ....[/B]

**********************************************************


[B]Iss genration k problems aur hain. Aapke zamaane ki tarah humaara waahid problem aapne aapko aur apne khandaan ko ziyada se ziyada cultured, Treditional aur arsto-cretic bana kar paysh karna nahi hai. Humko ziyada se ziyada manners na sikhaayain humko yeh bataayain k hum itni tayzi se badalti huwi duniya main apna wajood kaise qaayiam rakhan. Apne liye konsi values ka intekhaab karain aur phir kaise in values ko Intact rakhain relationship kaise banaayain aur unhain barqaraar kaise rakhain. Apna mental equilibrium kaise rakhain? Jab stress ho'n toh iss se kistarah larhain? Jab depration ho toh iss se kistarah nijaat haasil karain apni tanhaayi ka elaaj kis cheez se karain? Aapki genration ne zindagi ko ache marks aur ache manners k darmiyan iss tarah taqseem kar diya hai k hum main se bohat se toh waise he ghum hojaate hain.........[/B]




[B]shaid main abhi bhi mature nahi hoyi hon... shaid main kabhi bhi mature nahi ho sakti, ya phir omer jehangir woh hudd hai, jahan meri maturity kahtam ho
jaati hai, mere hawas kaam kerna chor daitey hain. phir main sirf woh daikhti, woh sunti aur kehti hon jo iss ki khwahish hoti hai. Kia isi kaifiyat ko
muhabbat kehtey hain?
Isse apni ankhein dhundali hoti mehsoos hoyi
Aitraf ka lamha azab ka lamha hota hai ........[/B]




[B]Amar bail . [/B]

Red Flower Tuesday, June 16, 2009 06:53 PM

[B][COLOR="Purple"]Walikum asalam. You are right that we should read the others also. One good thing about umera ahmed's work is that she takes us to Allah and at the end of the story what we learn is that one is never at loss if he believes in Allah and follows His orders. Its up to one's taste which writer he likes the most. But I like to read the works of many others also. The works that have some lesson or that turn our attention to Allah and Islam.[/COLOR][/B]


07:49 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.