CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Poetry & Literature (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/)
-   -   Iqtibasat (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/46740-iqtibasat.html)

Predator Friday, February 04, 2011 04:40 PM

Iqtibasat
 
[CENTER]
[IMG]http://i295.photobucket.com/albums/mm136/adeesaha/cigerette.jpg[/IMG][/CENTER]

Predator Wednesday, March 23, 2011 03:41 AM

Iqtibasat
 
[CENTER][IMG]http://i295.photobucket.com/albums/mm136/adeesaha/meara20dost-1.gif[/IMG][/CENTER]

Predator Wednesday, March 23, 2011 04:00 AM

[CENTER][IMG]http://i295.photobucket.com/albums/mm136/adeesaha/dadi20aman20mm20final-1.gif[/IMG][/CENTER]

Predator Wednesday, March 23, 2011 03:54 PM

[CENTER][IMG]http://i295.photobucket.com/albums/mm136/adeesaha/paa20jee.gif[/IMG][/CENTER]

Predator Thursday, March 24, 2011 04:03 PM

[CENTER][IMG]http://i295.photobucket.com/albums/mm136/adeesaha/andey-1.gif[/IMG]

***

[IMG]http://i295.photobucket.com/albums/mm136/adeesaha/samnay20dhari-1.gif[/IMG]

***

[IMG]http://i295.photobucket.com/albums/mm136/adeesaha/iqtebaas-1.gif[/IMG][/CENTER]

Mahvish Shahid Wednesday, March 30, 2011 01:49 PM

[FONT="Century Gothic"] "Roshni...koi meri sari zindagi k tajarboon ka nichour mangay tou main kahoon ga k kabhi kisi aurat ko is ki raza k baghair matt apnana aur apna lou tou kabhi is sai muhabat ki khuwahish mat karna...main nai aurat ko hameesha bohat kamzoor samjha tha...moum ki guriya ki terha...laikin aik omer baratnay k baad main nai yeh jana hai k aurat moum hai ya pathar...is ka faisla woh khud karti hai...kisi dosray shaksh ko isay moum ya pathar ka khitab dainay ka haqq nahi hota...woh khud chahay tou mehbob k isharoon ki simat murti rahti hai...aur pathar bannay ka faisla kar laiy tou koi shaksh bhikari ban kar bhi is ki aik nigah-e-eltfat nahi pa sakta...
apni hasti tumhray naam likh kar bhi mera dil aik kashkool ki terha khali hai roshni...
yeh woh kashkol hai jou hamdardi, murawat, aur jabar k tehat diay gaiy tamam sikkay neechay gira daita hai...jaisay kisi andhay faqeer ko khud ba khud khabar hoo jaiy k isay dia janay wala sikka khouta hai....yeh kashkol mehaz muhabat sai bana sikkah mangta hai roshni...so aab tak khali hai"

[B] Maha Malik (Novel: Jo chalay tou jaan sey guzar ga'ay) [/B]

[/FONT]

Farrah Zafar Wednesday, March 30, 2011 02:14 PM

[CENTER][SIZE="5"][COLOR="Purple"][FONT="Comic Sans MS"][SIZE="4"][U]AsasSay
[/U]

sab se pehle unho ne hansi aadhi aadhi baant li toh woh boli.

"tum apne hisse ki hansi ka kaya karo ghe?"

"yateem khane k chhote chhote bachon ko de doon gha"

us ne jawab diya.

woh bari faraKh dil nikli aur jab udaasi baantne ka waqt aya toh

kehne lagi..." mein is mein se kuch kuch nahi leti, sari udaasi tum

rakh lo."

is tarah us ne sara safar, sara intazaar, khazaan k sare mousam,

sardiyon ki tanha shamein, use de diin aur kehne lagi.

"aj toh tumhe andaza ho gaya ho gha k mein kanjoos nahi hoon."

woh buhat khush huwa aur bola." woh dopahr bhi sari mujhko de do,

jab ham pehli baar mille the." woh maan gaye to us ne woh dopahr

bhi udaasi, khazaan k mousamon, tanhaye aur safr k dhair par rakh

di.

itne mein us ne farakh dilana lehje mein poocha "in sab ka kaya

karo ghe?" woh bare mutamaeen lehje mein bola.

"apni udaasi ka jo hissa tumne mujhe diya hai, use zindagi bhar

apne sath rakhoon gha, shaamein boorhe librarian k naam kar doon

gha. intazaar mandair par rakhe us diye mein daal doon gha, jisse

sare-shaam jala kar koi ladki kisi ki chaap ki muntazer ho ghi. sara safar khat

mein daal kar post kar doon gha, jin ka mehboob duur ho gha, aur us se milne

k liye bechain ho."

rait per ungli se ik lambi lakeer khainch kar woh boli "sara maazi bhi tum rakh

lo." yak dam khushi ki lahr us k chehre par uthi aur aankhon mein aa kar thehr

gaye. us ne cigrate sulgaya aur bola.

"tum ne apna sara maazi bhi mujhe de kar buhat acha kiya."

"is ka kaya karo ghe?" us ne poocha.

"isse oodh k phiroon gha. aane wali garm tanha dopahron aur sard

shamon mein..." woh muskuraye.

"sare lafz bhi tum le lo."

woh mamnoon sa ho gaya aur bola."mein sare lafz bhi postmeno

mein baant doon gha. magar hamare darmiyaan kuch geeton ki saanjh bhi

he...!"

"haan woh bhi tum le lo"

"theek hai" woh mutmaeen sa ho gaya.

"in ka kaya karo ghe?"

malahon, saarbaanon aur charwahon mein baant doon gha. kisi se toot kar

mohabat karne wali ladki ko de doon gha."

yuun hi woh kitni dair apne asasSay baante rahe


[U]Mazhar UL Islam - (Aao Ham Biccher Jain)[/U]
[/SIZE][/FONT][/COLOR][/SIZE][/CENTER]

Predator Thursday, March 31, 2011 11:03 PM

[CENTER][IMG]http://i295.photobucket.com/albums/mm136/adeesaha/ibna20inshah-1.gif[/IMG][/CENTER]

Mahvish Shahid Friday, April 01, 2011 01:29 PM

[FONT="Century Gothic"]"[B]Azmaish[/B] bilkul daldal ki terha hoti hai is may say insaan sirf apnay bal botay per nahi nikal sakta..koi rasi chahye hoti hai kisi ka hath darkar hota hai..aur us waqat wo rasi woh hath mazhab ka hota hai..rasi aur haath nahi ho ga to aap daldal kay ander jitnay zaida hath pao maray gay utna hi jald dobay gay..pani may doobnay wala shakas zinda nahi to mernay kay baad uper aa jata hai meger daldal jis shakas ko nigal lenay may kamyaab ho jati hai usay dubara zaihir nahi kerti...

lakin jo shakas aik baar hath aur rasi kay zriye daldal say nikalnay may kamyaab ho jaye woh agli kisi daldal may nahi desta...."

[B]Imaan, Ameed aur Muhbbat

By

Umera Ahmad[/B]


[/FONT]

Predator Thursday, April 07, 2011 12:48 PM

[CENTER][IMG]http://i295.photobucket.com/albums/mm136/adeesaha/Mafi-1.jpg[/IMG][/CENTER]


04:44 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.