Saturday, April 20, 2024
03:25 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature

Poetry & Literature Post QUOTATIONS and POETRY here that can be used while preparing notes.

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Wednesday, October 05, 2011
Fouzia Malik Awan's Avatar
Member
 
Join Date: Nov 2006
Location: Islamabad
Posts: 31
Thanks: 4
Thanked 12 Times in 7 Posts
Fouzia Malik Awan is on a distinguished road
Default Kuch LOG agar rooth jaein.......

Kuch LOG ZINDAGI ki tarah hotey hein,ager khoo jaaein tu yaqeen ki jarain tak kamzor ker detey hein,or jo jeenay ki aas howa kertey hein, or jub aas sath chor day tu insaan kabhi kabhi haazaaroun mein b tanha reh jata hey or kabhi bharay hajoom mein kud ko bilcul bebas pata hey,!!!!

mein nay bout chaha k ye falsafa samjh jaoun k ZARORAT , TALB, OR KHAISH mein kiya farq hey, mager kabhi kabhi falsafay samjhnay mein aapko bout kuch khoo dena hota hey tab ap per samjh k darwaazay khultey hein,
kabhi pore zindagi safar m,ein guzarnay k baad b aap safar mein he rehtey hein , or kabhi faqt 1 qadam chal k he aap manzil paa letey hein,
likhnay walay log zarorai nahi k jo likh rahay hon wo harf e aakhir hota ho on k nazdeek, lkn kabhi asa b hota hey k lafz lafz dhondh k b hum khaali haath reh jaatey hein , or lafz jesay khoo say jaatey hein, zaban khamoshi k qufal laga k reh jaati hey, or aankhein saakit ho jaati hein , kuch talkheyoun, dukhoun, haqeqatoun or haadsoun ko hum pages per nahi utaar sakhtey ager safay k safay likh daalein lkn insaaf nahi ker sakhtey her os eik lamhay ka, jo guzar geya,
kuch haqeqaatein ap beyan nahi ker sakhtey k aap onka haq he ada nahi ker sakhtey jesay jesay wo beetein or jesay jesay aap nay mehsos kein!!!!!!!!!!!!!!!!
hotein hein ase haqeqatein,
hotey hein asay lamhay k jo aapko aehsaas dila detey hein k
AB AAP KUCH B NAHI RAHEY............................................. ....!!!!!!!!!!!!!!!!!!
OR ye bas eik aehsaas b aap k andar tak azeeyat utaar k rakh deta hey,
ZARORAT , TALB , or KHAISH ka falsafa tab samjh aata hey jub aazeyat ka safar teh ker letey hein,
jub aap nahi samjhna chahtey lkn tab aapko lazmi ye samjhaya jata hey k
ZARORAT kiya the?
KHAISH kiya hey?
TALB kia hogi?
ZARORAT !!!!!!
kuch log zarorat ki tarah hotey hein, aap jahan hon jahan rahein, kuch b karein wo ZARORAT aapki kamzore bani rehti hey k zaroratoun k bagher insaan kuch nahi,
TALB !!!!!!
kuch log talb howa kertey hein, dhemi dhemi aag ki tarah aap k andar dhayktay rehtey hein,talb izhar nahi ban paati kabhi kabhi lkn talb aap ko aajzii k rastoun per rakhti hey
KHAISH !!!!!!!!!!!
kuch log KHAISH howa kertey hein, ase chahat k jo aapko motaharik rakhti hey, aap k andar umeed jagaaey rakhti hey,aap ko haarnay nahi deti,
bilcul ise tarah wo log jo KHAISH howa kertey hein , TALB ka roop dhaar letey hein, or jub TALB , ZARORAT mein dhalti hey, tu phir aap bebas ho jaatey hein,
zarorat pore ker di jaaey tu aap k andar b zindagi zindaa rehti hey, or jub ZARORAT mar jaaey ya KHOO jaaey,
tu phir,
aap k andar MOT ho jaati hey, aap phir hasein gey b, aap phir roein gey b, aap dunia ka her kaam badastoor kiy b jaaein gey, lkn aap k andar wo 1 gosha khaali ho jata hey jo aap ki ZARORAT hota hey,
kuch log apni HAAR zaahir nahi kertey chahey wo kitni bari baazi haar gey hon , lkn ZARORAT HAAR k b ap mar nahi jaatey, ager marna asaan hota tu ye roz roz marti mot say farar konsa mushkil tha,
haan ZARORAT haar k apki shakseyat badlay gi nahi, bas jahan hastey they wahan ab b hasein gey, lkn aankh mein aaey aansou pii k,
jahan rotey they ab b roein gey lkn bas dil k dard ko bout sula k,
jahan bat bay baat aap zor o shor say boltey they, ab b bolein gey, lkn kise b jazbay k bager,
jahan aap zara zara c baat pey tofaan uthaa detey they, ab b asa he hoga lkn khokhlay lafzoun say,
her lamha aap ko yaad reh jaanay walay wohi logh jo apki ZARORAT hotey hein, kitnay he kaam kertey hoy,apka zehn onko sochta rehta hey, wo jinko aap zara c takleef mein nahi deakh sakhtey,
wo k jo aap ki zindagi ka samaan hotey hein,
wo log jo aapk liy hamesha pehlay number per rehtey hein,
wohi log k jin k liy apka kehna hota hey k os per aae takleef b apko aajaey,
wohi log jo aap ki bin kahi baatoun ko samjhnay ka dawa kertey hein,
wohi log jo aap ki haasi hein,
aap k dil ki khushi hein,

gar ROTH JAAEIN ya zindagi k is MEELAY mein aap onko khoo dein ,
tu
.................................................. ....................?????????????????????????????? ??????????
shaed kuch b nahi hota ??????????
ya shaed sab kuch khatam hojata hey??????????
ya shaed aap kuch kehna chahtey hein lafz khoo jaatey hein?????
ya shaed aankhein rona chahti hein mager AB NAHI ROO PAATEIN?
ya shaed aap bout hastey hein, is insaaf pey, lkn raat bhar phir soo b nahi paatey?
ya shaed ye zarorat aap ko eik eik lamhay k baad azeeyat deti hey?
ya shaed ap mor mor k deakhtey hein k wohi zarorat phir say aap ko pukaaray or aap zinda ho jaaein?
ya shaed aap aetebaar haar detey hein?
ya shaed aap beyaqeen ho jaatey hein?
ya shaed aap pagal say honay lagtey hein?
sab "SHAED" apni jaga mager!!!
PHIR ZINDAGI B KIOUN KER????????????????
phir aap kioun kehtey hein dosroun ko k kabhi kise insaan ko zarorat ka roop na dein , tab aata hey samjh falsafa k aap kuch b nahiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii, aap kuch b nahi theyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyy, or aap kabhi b kuch nahi hon gey!!!!!!!!!!!!!!!!
or yehi zindagi hey!!!
aap ko maaar k zinda rehnay per majbor kerti,
jeeti baazi haarti hoe,
aap k her jazbay ka mazaaq uraati,
her her jaga heraan kerti ,
her her jaga weraan kerti,
or KHALI HATH rakh k TISHNAGI ka dars deti !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
......................no more words!!!!!!!!!!!

By Fouzia malik awan
__________________
*Mere Zaat zara e Binishan*
*!* Fouzia Malik Awan*!*
Reply With Quote
The Following 4 Users Say Thank You to Fouzia Malik Awan For This Useful Post:
Arain007 (Thursday, October 06, 2011), faheem larik (Thursday, October 06, 2011), Shooting Star (Thursday, October 06, 2011), Taimoor Gondal (Wednesday, October 05, 2011)
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Hum chahtay kuch aur thay lekin hua kuch aur hai Last Island Urdu Poetry 2 Saturday, July 21, 2007 08:03 PM
kuch khud bhee thay .... rubab umer khan Urdu Poetry 0 Sunday, March 04, 2007 03:43 AM
kuch khud bi thay afsorda sai PlayinG Urdu Poetry 0 Sunday, January 28, 2007 04:04 AM
Mujhy kuch aur kehna tha Argus Urdu Poetry 4 Tuesday, December 19, 2006 06:35 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.