CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Mujhe vidar kar (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/10046-mujhe-vidar-kar.html)

Last Island Friday, June 01, 2007 02:31 AM

Mujhe vida kar
 
[FONT=Verdana][B]Mujhe vida kar[/B]
[B]Aey meri zaat, phir mujhe vida kar[/B]
[B]Woh log kya kahain gay , meri zaat[/B]
[B]Log, jo hazaar saal se [/B]
[B]Mere kalaam ko taras gaye[/B]

[B]Mujhe vida kar[/B]
[B]Main tere saath apne aap ke syaah GHaar main[/B]
[B]Bohot panaah le chuka [/B]
[B]Main apne haath paaon apne dil ki aag main [/B]
[B]Tapa chuka[/B]

[B]Mujhe vida kar[/B]
[B]Ke aab-o-gul ke aanso'on ke aayinon[/B]
[B]Ki be-sadaai sun sakoon[/B]
[B]Hayaat-o-marg ka salaam-e-roostaai sun sakoon [/B]
[B]Main roz-o-shab ke dast-o-pa ki narsaai sun sakoon

[/B][B]Mujhe vida kar[/B]
[B]Bohot hi dair --- [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]dair [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]jaisi [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]dair [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]ho gayi[/B]
[B]Ke ab ghaRi main beesveen saa'i ki raat baj chuki[/B]
[B]Shajar hajar woh janwar[/B][B]
Wo taayraan-e-Khasta-par
[/B][B]Hazaar saal se jo haal main , zameen par [/B]
[B]Mukalmay main jama hain[/B]
[B]Wo kya kahenge, main khudaaaon ki tarah [/B]
[B]Azl ke be-vafaaon ki tarah[/B]
[B]Phir apne ahad-e-mansabi se phir gaya[/B]

[B]Mujhe vida kar, ai meri zaat[/B]
[B]Tu apne rozanon ke paas aake dekh le
[/B][B]Ke zahan-e-na tamaam ki Masahaton main phir[/B]
[B]Haraas ki kHizaan ke barg-e-khushk yun bikhar gaye[/B]
[B]Ke jaise shahar hast main[/B]
[B]Ye nesti ki gard ki pukaar hon[/B]
[B]Lahoo ke daldalon [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]main [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]haadson ke zamhareer utar gaye [/B]
[B]Tu apne rauzanon ke paas aake dekh le[/B]
[B]Ke mashraqi ufaq pe aareefon ke kHwaab-----kHwaab-e-qahwa rang [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]main [/B][/FONT][FONT=Verdana]
[B]Umeed ka guzar nahin[/B]
[B]Ke maghrabi ufaq pe, marg noor pe kissi ki aankh tar nahi[/B]

[B]Mujhe vida kar, magar na apne zeenoN se utar [/B]
[B]Ke zeene jal rahe hain be-hushi ki aag [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]main [/B][/FONT][FONT=Verdana]
[B]Mujhe vida kar, magar na saans le[/B]
[B]Ke shayaraan-e-nau tiri sada ke saham se dubak na jaa'en[/B]
[B]Ke tu sada rasaalaton ka baar unn peh Daalti rahi [/B]
[B]Ye baar inn ka haul hai[/B]
[B]WoH dekh roshni ki doosri taraf[/B]
[B]Khayaal, kaagHzon ki baaliyaan bane huay[/B]
[B]Haroof bhaagtay huay[/B]
[B]Tamaam apnayaap hi ko chaaT-tay huay[/B]
[B]Jahaan zamana tez tez gaam-zan[/B]
[B]Wahin zamana baaz apnay khel [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]main [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]magan[/B]
[B]Jahaan peh baam-o-dar lapak rahe hain baaarishon ki simt[/B]
[B]Aarzoo ki tishnagi liye[/B]
[B]Wahin gumaan ke faasle hain raah-zan[/B]

[B]Mujhe vida kar[/B]
[B]Ke shahar ki faseel ke tamaam dar hain va abhi[/B]
[B]Kahin wo log so na jaayen boriyon [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]main [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]rait ki tarah [/B]
[B]Mujhe ai meri zaat, apne aap se[/B]
[B]Nikal ke jaane de[/B]
[B]Ke iss zabaan boorida ki pukaar, iss ki ha va hoo[/B]
[B]Gali gali sunaai de[/B]
[B]Ke shahar-e-nau ke log jaante haiN ( kaasa-e-gar sanki liye)
Keh un kay aab-o-naan ki jhalak hoon main
[/B][B]Ke unn ke tashtah baaghchon [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]main [/B][/FONT][FONT=Verdana]
[B]Apne vaqt ke dhulaaye haath se[/B]
[B]Nay darakht ugaaoon ga[/B]
[B]Main unn ke saim-o-zar se , unn ke jism -o-jaan se[/B]
[B]Koltaar ke tahen haTaaoon ga[/B]
[B]Tamaam sang parah haai baraf[/B]
[B]Unn ke aastaan se main uThaaoon ga[/B]
[B]Ke unn ke shahar-e-nau ke raaste tamaam band hain[/B]
[B]Mujhe vida kar ke apne aap [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]mein[/B][/FONT][FONT=Verdana][B], [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]main [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]itne kHwaab ji chuka[/B]
[B]Ke hausla nahi[/B]
[/FONT][FONT=Verdana][B]main [/B][/FONT][FONT=Verdana][B]itni baar aap apne zakHm si chuka[/B]
[B]Ke hausla nahin[/B][/FONT]


04:43 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.