CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   lahoo ka suraagh.......- Faiz Ahmed 'Faiz' (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/101402-lahoo-ka-suraagh-faiz-ahmed-faiz.html)

canadian Monday, May 18, 2015 07:38 AM

lahoo ka suraagh.......- Faiz Ahmed 'Faiz'
 
[SIZE="4"]kaheen naheen hai kaheen bhi naheen lahoo ka suraagh
na dast-o-naakhun-e-qaatil, na aasteen pe nishaan
na surkhee-e-lab-e-khanjar na rang-e-nok-e-sinaan
na khaak par koi dhabba na baam par koi daagh
kaheen naheen hai kaheen bhi naheen lahoo ka suraagh
na sarf-e-khidmat-e-shaahaan ke khoonbahaa dete
na deen ki nazar ke be'aana-e-jazaa dete
na razmgaah men barsaa ke mo'tabar hotaa
kisee 'alam pe raqam ho ke mushtahir hota
pukaarta rahaa, be aasra, yateem lahoo
kisee ko bahr-e-samaa'at na waqt thaa na damaagh
na mudda'ee, na shahaadat, hisaab paak hua
ye khoon-e-khaak nasheenaan tha, rizq-e-khaak hua
- Faiz Ahmed 'Faiz' [/SIZE]

Ali Mubashir Wednesday, May 20, 2015 02:07 AM

تو نے دیکھی ہے وہ پیشانی، وہ رخسار، وہ ہونٹ
زندگی جن کے تصور میں لٹا دی ہم نے
تجھ پہ اُٹھی ہیں وہ کھوئی ہوئی ساحر آنکھیں
تجھ کو معلوم ہے کیوں عمر گنوا دی ہم نے
فیض احمد فیض


06:17 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.