CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Mujh Se Pehle tumhain jis shakhs ne chaha (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/10167-mujh-se-pehle-tumhain-jis-shakhs-ne-chaha.html)

PEERLESS Tuesday, June 05, 2007 12:31 PM

Mujh Se Pehle tumhain jis shakhs ne chaha
 
Mujh se pehle tumhain jis shakhs ne chaha us ne
Shayed ab bhi tera gham dil se laga rakha ho
Aik benaam se ummeed pea b bhi shayed
Apnay khwaboon ke jazeeroon ko saja rakha ho

Mein ne mana ke wo begana e paiman e wafa
Kho chukka hai jo kisi aur ki ra’nai mein
Shayed ab laut ke aye na teri mehfil mein
Aur koi gham na sataye tumhain tanhai mein

Mein ne mana ke shab o roz ke hungamoon mein
Waqt har zakhm ko bhar deta hai rafta rafta
Chahe ummeed ki sham’ain hoon ke yadoon ke charagh
Mustaqil bohd bhujha deta hai rafta rafta

Phir bhi mazi ka khayal ata hai gahe gahe
Mudatain dard ki lau kam to nahee kar sakteen
Zakhm bhar jaye magar daagh to reh jata hai
Dooryun se kabhi yadein to naheen mar sakti

Yeh bhi mumkin hai ke ik din wo pashemaan ho ke
Tere paas aye zamany se kinara kar le
Tuu ke masoom bhi hai zood faramosh bhi hai
Us ki pemaan shikni ko bhi gawara kar le

Aur mein ke jis ne tumhain apna maseeha samjha
Aik zakhm aur bhi pehle ki tarah seh jaoon
Jis pe pehle bhi kai ahd e wafa tootay hain
Phir usi maud pe chup chaap khada reh jaoon


09:51 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.