CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Woh jo hum-rhi ka ghuroor tha (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/104576-woh-jo-hum-rhi-ka-ghuroor-tha.html)

Last Island Sunday, October 04, 2015 08:05 PM

Woh jo hum-rhi ka ghuroor tha
 
[FONT=Palatino Linotype][SIZE=3]Woh jo hum-rhi ka ghuroor tha, woh sawad e raah main jal bujha
Tu hawa ke ishq main ghul gya main zameen ki chah main jal bujha

Ye jo shakh-e-lab pe hajoom-e-rang-e-sada khula he gali gali
Kaheen koi shola e be-nawa kisi qatal gaah main jal bujha

Jo kitab-e-ishq kay baab thay teri dataras main bikher gaye
Wo jo ehed nama-e-khwab tha wo meri nighah main jal bujha

Humain yaad ho to suna'ain bhi, dheyan ho to bata'ain bhi
Keh woh dil jo mehram e raaz tha kahan rasam-o-raah main jal bjha

Kaheen be-nyazi ki laag main, kaheen ehtiyat ki aag main
Tujhe meri koi khaber bhi hai, mere khair khwah main jal bujha

Meri raakh say nai roshni ki hikayaton ko samait lay
Main charagh e subh e wisal tha, teri khaima gaah main jal bujha

Wo jo haroof taza misaal thay unhain jab se tu nay bhula diya
Teri bazm-e-naaz ka bankpan kisi khaanqah main jal bujha
[/SIZE][/FONT]


12:24 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.