CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   ashoor : nauha (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/105119-ashoor-nauha.html)

alphabravo Saturday, October 24, 2015 05:46 PM

ashoor : nauha
 
Nauha
(syed iqbal rizvi Sharib)

Zindah hai kaise Banu-e muztar tere baghair
Veeran saree duniya hai Asghar terey baghair

AAtee to hogee yaad-e Sakina tujhe bhee la-al
Bechain hai yahaan tery khwahar tere baghair

Sughra na sun sakegee gala chhid gaya teraa
Waise hee jaa-n ba-lab hai woh laghar tere baghair

Jangal ke soone pan mein woh nanha sa sin tera
Maqtal se jaai kaise yeh maadar tere baghair

Zainab ke saath saath hain Laila bhee dil figaar
"Akbar tere baghair, Ali asghar tere baghair"

Paanee kahan k aas bhee pani kee ab nahin
Tishna laboon ko sanee -a Haider tere baghair


Akbar shetaab aao sahara pedar ko do
Utha nahin hai laash--e baradar tere baghair

Maula Dayar-e quatl se shahr-e Rasoool tak
ruswa huai-e hain aal-e payambar tere baghair

Is darjah dil kharaash theiy manzar be Karbala
Roo-ee Zameen rooya hai Amnbar tere baghair

Sharib abus woh karte hain jannat kee aarzoo
Rakht-e hain deen jo dama-n -e Sarwar tere baghair

N is best Saturday, October 24, 2015 07:49 PM

MashAllah


06:13 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.