|
Share Thread: Facebook Twitter Google+ |
|
LinkBack | Thread Tools | Search this Thread |
#1
|
||||
|
||||
donoon ko aa sakeen na nibhaani, muhabaatain
donoon ko aa sakeen na nibhaani, muhabaatain
ab parrh raheen hain hum ko bhulaani, muhabbatain sab sar-basar faraib hain kiya in ka aitbaar yeh pyar, husn, ishq, jawani, muhabbatain kin ki rafaqatoon ke diye waastay magar us ko na yaad aayein puraani, muhabbatain guzri rutoon ke zakhm hii ab tak bharay nahee phir aur kya kisi se barrhaani, muhabbatain janey woh aaj kaun se rastay se aaye ghar har morr, har gali mein bichaani, muhabbatain ya dil ki haalatoon ka bayaan sab ke saamnay ya apne aap se bhi chupaani, muhabbatain nafrat ke waastay kabhi fursat nahee milee hai apni mukhtasir si kahaani, muhabbatain ........ |
#2
|
||||
|
||||
Zindagi ki rahoon mein hum tou tanha chalte hein
sath jo bhi chalte hein sath chor jatey hein............ jam wo muhabat ka pyar se pilate hen phir bhi unkahi si ik pyas chor jate hen
__________________
I AM THE WAY I AM........................ |
|
|