CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Hairaani (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/1072-hairaani.html)

saharsyed Tuesday, October 04, 2005 10:58 AM

Hairaani
 
[I][B][COLOR=SeaGreen]
[SIZE=3]
[FONT=Times New Roman]aashufta sar lai ke chala
nagufta beh halat main
girebaan chaak chaak pe
nafraton ki khaak hai

aarzoo ke qaaflay
jany kon rah par
churda k hath ja chukay
dila ke maat ja chuke

lahoo b sard sard hai
har rang zard zard hai
dar paiy fard fard hai
nazar bi gard gard hai

al-hazar ka shor hai
al-atash ka shor hai

hain raston ke zaabte
gumrahion se atte howe
har rah par mug ko milen
mere humsafar lutte howe

gul o laala ki b aankh main
koi rang o roshni nahi
konplon ke sar pe bhi
ghataa ki daamni nahi


pardi har bashar ko nafs ki
yeh hai raat mout ke raqs ki

aiysee siaah rat main
is qadar zulmaat main
yeh kon hai keh iss ne to
mere hath pe chand rakh dia
har rasta badal dia
Mere dil pe hath rakh dia
aur mere sath chal dia.......!![/FONT][/SIZE][/COLOR][/B][/I]


[COLOR=YellowGreen][B][I]MOHI[/I][/B][/COLOR]


11:35 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.