CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Abida Perveen and Nasir Kazmi a mystic combination (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/107950-abida-perveen-nasir-kazmi-mystic-combination.html)

DrWW Sunday, February 28, 2016 02:58 PM

Abida Perveen and Nasir Kazmi a mystic combination
 
Kisi ka kia jo kadmoN per jabeen-e-bandagi rakh di
Humaari cheez thi hum ne jahan jaani wahan rakh di
Jo dil maanga to woh bole key thehro yaad kerne do
Zara si cheez thi hum ne khuda jaane kahan rakh di

Nadi kinaare dhuaaN uthey mein jaanoN kuch hoye
Jis kaaran mein jogan bani kahin woh hi na jalta hoye

Jab se too ne mujhe Deewana bana rakha hai
Sang har shakhs ne haathon mein utha rakha hai

Misaal-e-saada waraq tha magar kitaab mein tha
Woh din bhi they mein tere ishq key nisaab mein tha

Tulsi aisi preet na ker jaisi lambi khujoor
Dhoop lage to chaoN nahin bhook lage phal duur

Us key dil per bhi kari ishq mein guzri ho gi
Naam jis ne bhi mohabbat ka sazaa rakha hai

More nainan mein, main palak dhaamp tohe leeyuN
Na mein dekhun aur ko, aur na tohe dekhan deyuN

Duniya bari baanwari pathar poojane jaaye
Gher ki chakki koi na pooje jis ka peesa khaye

Patharo aaj mere sar pe baraste kion ho?
Main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai

Mar bhi jaon to dafna dena maikhane mein
Ta ke maikhane ki mitti rahe maikhane mein

Khudaya peene waloN ki kahin basti juda hoti
Jahan hukman peeya kerte na peete to saza hoti

Pee ja aayam ki talkhi ko bhi hans key naasir
Gham ko sehne mein bhi kudrat ne maza rakha hai

shezzdp Sunday, February 28, 2016 06:58 PM

Kisey dhondoge un Galyoon main NASIR.
Chalo abb Ghar Challen Din Ja raha hay.

Sent from my SCH-I535 using Tapatalk


02:22 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.