hijr key mausam main, yeh barish ka barasna kaisa
hijr key mausam main, yeh barish ka barasna kaisa !
aik sehra sey samandar ka guzarna, kaisa ? aey meray dil na paraishaan ho, tanha ho kar! woh teray saath chala kab tha, bicharna kaisa? Jab shajar saath na de, haar samajh bethay toh ! zard pattoon ka hawaoon sey, ulajhna kaisa ? chal muhabbat kay samandar main utar jatay hain ! pyar karna hai toh phir maut sey darna kaisa ? Bewafa kehnay ki bhi jurat na karna aey dil ! us nay iqraar kia kab tha, mukarna kaisa ? |
07:50 PM (GMT +5) |
vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.