CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Yeh zindagi khabi khabi ajnabee lagte hai (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/11273-yeh-zindagi-khabi-khabi-ajnabee-lagte-hai.html)

Anarkali Saturday, July 21, 2007 11:59 PM

Yeh zindagi khabi khabi ajnabee lagte hai
 
Yunhi be-yaqiN yunhi be-nishaN, meri aadhi umar guzar gayi
KahiN ho na jaaoN maiN raayegaN, meri aadhi umr guzar gayi

Kabhi sayebaN na tha baham, kabhi kehkashaN thi qadam qadam
Kabhi be-makaN kabhi la-makaN, meri aadhi umr guzar gayi

Tere vasl ki jo naveed hai, wo qareeb hai ke bayeed hai
Mujhe kuch khabar to ho jaaN-e-jaaN, meri aadhi umr guzar gayi

Kabhi mujhko fikr-e-ma'ash hai, kabhi aap apni talaash hai
Koyi gur bata mere nuktadaaN , meri aadhi umr guzar gayi

Koyi taana-zan meri zaat par,koyi khandazan kisi baat par
Pa-e-dil nawazi-e-dostaaN, meri aadhi umr guzar gayi

Abhi waqt kuch mere paas hai, ye khabar nahiN hai qayaas hai
Koyi kar gila mere bad-gumaaN, meri aadhi umr guzar gayi

Usse pa liya usse kho diya, kabhi hans diya kabhi ro diya
Badi mukhtasir hai ye daastaaN, meri aadhi umr guzar gayi

Teri har daleel bahut baja, magar intezaar bhi ta kuja?
Meri baat sun mere raazdaaN, meri aadhi umr guzar gayi

KahaN kainaat meiN ghar karooN, maiN ye jaan looN to safar karooN
Isi soch meiN tha ke nagahaN, meri aadhi umr guzar gayi


01:03 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.