Koye ek faisla hona zaroori ho gaya hai
[B][CENTER]Mohabbat se rehaa hona zaroori ho gaya hai
Mera tujh se juda hona zaroori ho gaya hai Wafa ke tajrubey kartety huye tou umar guzri!! Zara sa bewafa hona zaroori ho gaya hai Meri awaaz tanhaayi mein marti jaa rahi hai Kissi ka humnawaa hona zaroori ho gaya hai Azaab-e-zulmat- e-shab hai ke ab dil ke laboun per Koye harf-e-duaa hona zaroori ho gaya hai Kab tak tazabzab ki fizaaoun mein rahein ge Koye ek faisla hona zaroori ho gaya hai Bhanwar mein hai kayi baras se kashti apni Kissi ka nakhudaa hona zaroori ho gaya hai [/CENTER][/B] |
08:46 AM (GMT +5) |
vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.