Aao kay ab aehad karain
Aao kay ab aehad karain
sarsabaz wadian, lehlahatay khait aaj malbay ka dhair hain, kal kay khilkhilatay chehray aaj ghamaon say nidhall hain Aaankhoan main zindagi ki aas liye hathon main apnay azzeezaon ki lashain uthay hooway muntazir hain nahi hain oun kay pass kuch be tan pay pehnay kapraon kay siwa tumharay pass tou sab kuch hai zara mehsoos tou karo, zara tou socho kuch khatay waqt, ya kuch peetay waqt kay wo kai din say boookay piasay hain kia ab b tum be his raho gay kia ab b tum sirf tamassha dekho gay or yeh hi kaho gay kay ham to khairiat say hain tumhain koi pukkar sunai nahi deti tumhain ab b aehsas nahi hoga bhook, dukh , takleef , dard ka aao meray saathio, aao kay yeh ahed karain jab tak hai jaan main jaan baqi lahoo kay aakhiri qatray tak ham madad karain gay ham saath dain gay mushkil ki is ghari main ham saath dain gay aao yeh aehad karain Muhammad Adnan |
05:33 PM (GMT +5) |
vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.