CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Mukaalmaati nazm (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/11383-mukaalmaati-nazm.html)

Last Island Wednesday, July 25, 2007 07:46 AM

Mukaalmaati nazm
 
[FONT=Book Antiqua][SIZE=3][COLOR=Purple][B]
Woh kehti hey, Teri meri mohabbat raaz hey ab tak
Mein kehta houn, Ye woh raaz hey jo khul key rehna hey

Woh mujh sey poochthi hey, mausamoon key dhang kaisey hein
Mein kehta houn, tumharey parahan key rang jaisey hein

Woh kehthi hey, mera her pal tujhey milney ko ji chahey
Mein kehta houn, terey deedar ko aankhein tarasti hein

Woh kehti hey, merey aangan mein mausam hey baharoon ka
Mein kehta houn, tera chehra hey khiltey phool ki manind

Woh kehti hey, kai baatein hein dil mein khaar ki surat
Mein kehta houn, kai yaadein hein dil mein dhool ki manind

Woh kehthi hey, sabhi ghazlein mujhey kaghaz pey likh bheijo
Mein kehtha houn, meri ghazlein tu sab teri hi baatein hein

Woh kehti hey, koi din mein koi milan ka din bhi aaeygaa
Mein kehta houn, kia behtr nahin woh aaj ka din ho

Woh kehti hey, tumhein kyoon isqadar jaldi hey milney ki
Mein kehta houn, mujhey her pal azaab'e jaan sa lagta hey

Woh kehti hey, mohabbat sey mussarat bhar gayi dil mein
Mein kehta houn, abhi kuch ghum bhi niklein gey taqubb mein

Woh kehti hey, mohabbat mein bohat nadaan ho tum tu
Mein kehta houn, masail sey bohat anjaan ho tum tu

Woh kehti hey, kia guzrey zamaney laut aatey hein
Mein kehta houn, aeisa kab hua mumkin zamaney mein

Woh mujh sey poochthi hey dard ki ye raat kab tak hey
Mein kehta houn, keh pagalpan ki koi hadd nahin hoti

Woh mujh sey poochthi hey, kaun roota hey kivaroon mein
Mein kehta houn, abhi ik dard hey dil ki dararoon mein

Woh mujh sey poochthi hey, ishq kia dewangi kia hey
Mein kehta houn, Koi aatish ragoon mein tehr ajati hey

Woh kehti hey, keh peela rang hey kyoon ker udaasi ka
Mein kehta houn udaasi bhi kisi dukh ki ilamat hey

Kaha us nein, mohabbat key sabhi mausam niraley hein
Kaha mein nein, mohabbat ki her ik shab mein ujaley hein

Kaha us nein, mohabbat mein bohat sey khaar hotey hein
Kaha mein nein, junoon key raastey dushwar hotey hein

Kaha us nein, mohabbat vehm key so jaal bunti hey
Mein kehta houn, mohabbat khud yaqeen key phool chunti hey

Kaha us nein, mohabbat sab saharey chein leiti hey
Kaha mein nein, mohabbat roh ko taskeen deiti hey

Kaha us nein, mohabbat ik khayaal'e khaam hoti hey
Kaha mein nein, mohabbat ik dukh bharri sham hoti hey

Woh mujh sey poochthi hey, log itney kamnazar kyoon hein?
Mein kehta houn, kameena pan yahan adaat mein shamil hey

Woh kehti hey, miloon tum sey tu kyoon ker log jaltey hein
Mein kehta houn, keh unko unki kamtari satatti hey

Woh kehti hey, abhi tak khwab hein kyoonker nigahoon mein
Mein kehta houn, abhi tak zindagi ki aaaas baqi hey

Woh kehti hey, ulajh jati houn mein yadoon ki daldal mein
Mein kehta houn, merey bhi zehn mein sochoon ka jungle hey

Woh kehti hey, ab kaisa laga hey laut ker aana
Mein kehta houn, abhi tu kuch nai badla zamaney mein

Mein kehta houn, merey her soo ghamoon ki raat hey koi
Woh kehti hey, koi din bhi nikal aaeyga chupkey sey

Woh kehti hey, tumhein kyoon roshni acchi nai lagti
Mein kehta houn, andheiroon sey shanasai hey barsoon ki

Woh kehti hey, tera damaan haseen phooloon sey bharr doun gi
Mein kehta houn, ghamoon nein cheidh ker daaley hein jholi mein

Woh kehti hey, mujhey damaan rafo kerna bhi aata hey
Mein kehta houn, sada qaim rahey tei maseehai

Woh kehti hey, kai baatein bhulla deina hi behtr hey
Mein kehta houn, mera mazzi bhi naqsh'e aab hey koi

Woh kehti hey, ajab ik dard sa uttrey hey rug rug mein
Mein kehta houn, mohabbat dard ki tameer kerti hey

Woh kehti hey, abhi tak hey ye mausaam judai ka
Mein kehta houn, meri jaan kia karoon bas mein nahin kuch bhi

Woh kehti hey, keh her rasta tujhey hi dhoondhna hoga
Mein kehta houn, mujhey ehsaas hey her zimmeydaari ka

Woh kehti hey, keh kyoon mah'e mohabbat ghatney lagta hey
Mein kehta houn, amavas ki siyah raatein bhi aati hein

Woh poochthi hey, is qadar tum natavaan kyoon ho
Mein kehta houn, ghamoon nein roh ko bhi ker diya ghayal

Woh kehti hey, ajab ik khauf hey dil key shigafoon mein
Mein kehta houn, mujhey bhi bey'yaqeeni dasti rehti hey

Woh kehti hey, zamana roand daaley ga mohabbat ko
Kaha mein nein, meri jaan mein magar tumko bacha loun ga

Woh kehti hey, ajab ghum'e zehr sa dil mein utterta hey
Mein kehta houn, mera dil reit ki surat bikherta hey

Woh kehti hey, nikal aao ghubaar'e zaat sey bahir
Mein kehta houn, nahin kuch bhi madar'e zaat sey bahir

Woh kehti hey, merey lab per mohabbat key taraney hein
Mein kehta houn mohabbat key sabhi mausam suhaney hein[/B][/COLOR][/SIZE][/FONT]


01:34 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.