CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   na mein pass us ko bula saka, na mein dil ki baat suna saka (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/11511-na-mein-pass-us-ko-bula-saka-na-mein-dil-ki-baat-suna-saka.html)

Wounded Healer Monday, July 30, 2007 03:12 AM

na mein pass us ko bula saka, na mein dil ki baat suna saka
 
na mein pass us ko bula saka, na mein dil ki baat suna saka
woh hansi hansi hi mein chal diya, ke mein haath tak na hila saka

mujhay kiya khaber ke mujhay kiya hua, mujhay kitna ghehra khumaar tha
mien khara tha us ke hasaar mein, meray ird gird ghubar tha

yunhi sochta raha dair talak, magher us ko kuch na bata saka
na mein pass us ko bula saka, na mein dil ki baat suna saka

na hai dushmani kissi din say ab, na hai dosti kissi raat say
hai bacha hi kiya jo woh lai gaya, mujhay cheen ker meri zaat say

woh maqam hi tha ajeeb sa, ke mein khud ko bhi na bacha saka
na mein pass us ko bula saka, na mein dil ki baat suna saka

yeh bhi theek hai woh chala gaya, mujhay band rustay pay chor ker
yeh bhi theek hai ke na aaye ga, kabhi apni ana ka woh torr ker

woh juda bhi kaisay hua ke mein, koi rasam bhi na nibha saka
na mein pass us ko bula saka, na mein dil ki baat suna saka

woh hansi hansi hi mein chal diya, ke mein haath tak na hila saka
jo meray qareeb na aa saka, mein ussi say dur na ja saka

mera pyar bhi koi pairr tha, ke jo barg o baar na pa saka
mein khizaan ki rut mein juda hua, mein bahar rut na mana saka

ussay dekh laita mein eik nazar, jisay dil kabhi na bhula saka
mein tha bai khudi ki giraft mien, koi rasam bhi na nibha saka


01:42 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.