CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   ~ Mohabbat ki tabiyat ~ (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/13071-mohabbat-ki-tabiyat.html)

amy Thursday, October 04, 2007 09:14 AM

~ Mohabbat ki tabiyat ~
 
[SIZE="4"][SIZE="5"][FONT="Comic Sans MS"][B]Mohabbat ki tabiyat me yeh kaisa bachpana qudrat ney rakah hai
k jitni poorani, jitni mazboot ho jaye
isey ta'eeda taaza ki zaroorat phir bhi rehti hai
yaqeen ki akhri hadon tak dilon me lehlahati ho
nigahon sey tapakti ho, lahoo me jagmagati ho
hazaaron tarhan k dilkash haaley banati ho
usey izhaar k lafzon ki haajat phir bhi rehti hai


Mohabbat maangti hai gawahi youn apney honay ki
k jaisey tifl saada shaam ko ek beej boye
aur shab me baar ha'a uthey
zameen ko khod ker dekahy
k pauda ab kahan tak hai


Mohabbat ki tabiyat me ajeeb takraar ki khoo'o hai
k yeh iqraar k lafzon ko sun ney sey nahi thakti
bicharney ki gharri ho ya milney ki saa'at
isey bas ek dhun sawaar hai
kaho mujhsey Mohabbat hai
kaho mujshey Mohabbat hai


Kuch aisee bey sukkoni hai wafa ki sarzameenon per
k jo ehl-e- Mohabbat ko sada bechain rakhti hai
k jasiey phoolon me khushboo, hath me taara
k jasiey shaam ka taara
Mohabbat kerney walon ki sehar raaton me rehti hai
gumnaami ki shaakhon per aashyana banta hai ulfat ka
yeh aein wisaal me bhi hijr k khadshon me rehti hai


Mohabbat k musaafir jab zindagi kaat chuktey hain
thakan ki kirchiyan chuntey, wafa ki ajrak pehnay
samey ki reh guzar ki akhri sarhad pe ruktey hain
tou koi dabti saanso'n ki doori thaam ker
dheeray sey kehta hai...........
k yeh sach hai na
hamari zindagi ek doosrey k naam likhi thi
issi ka naam chahat hai
tumhen mujshey Mohabbat thi
tumhen mujshey Mohabbat hai
kaho mujhsey Mohabbat hai ![/B][/FONT][/SIZE][/SIZE]

[COLOR="blue"][B]~Amjad Islam Amjad~[/B][/COLOR]

amy Sunday, October 21, 2007 11:41 AM

[LEFT][FONT="Comic Sans MS"][CENTER]agar kabhi meri yaad aye
tou chaand raaton ki narm dil geer roshni mein
kisi sitaarey ko dekh lena
agar woh nakhl-e-falak sey urr kar tumharey qadmon me aa girey
yeh jaan lena, woh istaa'ra the meray dil ka,
agar na aye.............
magar yeh kaisey mumkin hai k tum kisi pe nigaah daalo tou uski deewar-e-jaan na tootey
woh apni hasti na bhool jaye !
agar kabhi meri yaad aye
gurez kerti hue lehron pe hath rakhna
main khushbo'un me tumhen miloon ga
mujhey gulaabo'n ki pation me talash kerna
main ao'us k qatron k ayen'on me tumhen miloonga
agar sitaaron me, ao'us qatron mein, khushbo'un me na pao mujh ko
tou apney qadmon me dekh lena
main gard hoti hue musaafaton me tumhen miloonga
kahin pe roshan chiraagh dekho tou jaan lena
k har patangey k sath me bhi bikher chukka hoon
tum apney hathon sey un patangon ki khaak darya me daal dena
main khaak ban ker samandaron me safar karoonga
kisi na dekhey hue jazeeray pe ruk k tum ko sadayen doonga
samandaron k safar pe niklo tou us jazeeray pe bhi utarna !!![/CENTER][/FONT][/LEFT]

[RIGHT][COLOR="Red"][B]~Amjad Islam Amjad~[/B][/COLOR][/RIGHT]


05:46 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.