|
![]() |
Share Thread:
![]() ![]() ![]() |
|
LinkBack | Thread Tools | Search this Thread |
#1
|
||||
|
||||
![]()
ha.Ns ke faramaate hai.n vo dekh kar haalat merii
kyo.n tum aasaa.N samajhate the muhabbat merii baad marne ke bhii chho.Dii na rafaaqat merii merii turbat se lagii baiThii hai hasarat merii mai.n ne aaGosh-e-tasavvur me.n bhii khe.nchaa to kahaa pis ga_ii pis ga_ii bedard nazaakat merii aa_iinaa subah-e-shab-e-vasl jo dekhaa to kahaa dekh zaalim ye thii shaam ko suurat merii yaar pahaluu me.n hai tanhaa_ii hai kah do nikale aaj kyo.n dil me.n chhupii baiThii hai hasarat merii husn aur ishq ham_aaGosh nazar aa jaate terii tasviir me.n khi.nch jaatii jo hairat merii kis DhiTaa_ii se vo dil chhiin ke kahate hai.n 'Ameer' vo meraa ghar hai rahe jis me.n muhabbat merii |
#2
|
||||
|
||||
![]()
Kitna sehel jaana tha
khushboo'on ko chhu lena baarishon k mausam main shaam ka har ik manzar gher main qaaid kar lena roshini sitaaron ki mutthiyoon main bhar lena kitna sehel jaana tha khushboo'on ko chhu lena jugnoo'on ki baatoon se phool jaise aangan main roshini se kar lena us ki yaad ka chehra khawaab naak aankhoon ki jheel k gulaaboon per dair tak saaja rakhna kitna sehel jaana tha magar Aae nazar ki khush fehmi is tarhaan nahi hota "titliyaan pakarne ko door jaana parta hai". |
![]() |
Thread Tools | Search this Thread |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Poetry of Ahmad Faraz | Wounded Healer | Urdu Poetry | 50 | Tuesday, January 25, 2011 12:04 AM |
Yeh Aankhen Bohat Satati Hain | sara soomro | Urdu Poetry | 0 | Wednesday, April 15, 2009 12:21 AM |
Ab Jo Bichrey Hain Tu Ahsaas Howa Hai Humko | nazia niazi | Urdu Poetry | 1 | Saturday, May 26, 2007 02:28 AM |
Yeh zaroori to nahi | nazia niazi | Urdu Poetry | 2 | Thursday, January 04, 2007 12:28 PM |
Dil o Jaan barsar e kaf hain, hum hain | Danyal | Urdu Poetry | 1 | Monday, December 26, 2005 06:18 PM |