Friday, April 26, 2024
02:33 AM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

View Poll Results: Do u beleive Iqbal is the greatest poet n scholar of last century???
Yes 43 91.49%
No 3 6.38%
Don't Know 1 2.13%
Multiple Choice Poll. Voters: 47. You may not vote on this poll

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #41  
Old Friday, January 12, 2007
Mazher's Avatar
Banned
 
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 390
Thanks: 2
Thanked 98 Times in 82 Posts
Mazher is on a distinguished road
Default

Teray sheeshay mein may baqi nahin hay
bata kia tu mera saqi nahin hay?

samadar say milay piasay ko shabnam
bakheeli hay yeh Razzaqi nahi hay


Poochh iss say k maqbool hay fitrat ki gawahi
tu sahib-e-manzil hay k bhatka hua raahi


Kafir hay musalman to na shahi na faqeeri
momin hay to karta hay faqeeri mein b shahi


Kafir hay to shamsheer pay karta hay bharosa
momin hay to bay-taigh b ladta hay sipahi


kafir hay to hay ta-ba-e-taqdeer musalman
momin hay to wo aap hay taqdeer-e-Elahi


mein nay to kia parda-e-israr ko b chak
dereena hay tera marz-e-kor-e-nighahi

Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 02:48 AM.
Reply With Quote
  #42  
Old Saturday, January 13, 2007
Mazher's Avatar
Banned
 
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 390
Thanks: 2
Thanked 98 Times in 82 Posts
Mazher is on a distinguished road
Default

na takht-o-taj mein nay lashkar-o-sipah mein hay
jo baat mard-e-Qalandar ki baar-gah mein hay


sanam kada hay jahan aur mard-e-Haq hay Khalil
yeh nukta wo hay k posheeda La-E-Lah mein hay


wohi jahan hay tera jis ko tu karay paida
yeh sung-o-khisht nahin jo teri nigah mein hay


mah-o-sitara say aagay muqaam hay jis ka
wo musht-e-khaak abhi aawargan-e-raah mein hay


Khabar mili hay Khudayan-e-bahr-o-bar say mujhay
Farang rah-guzar-e-sai-l-ebay-panaah mein hay


Talash iss ki fizaon mein kar naseeb apna
jahan-e-taaza meri aah-e-subh-gah mein hay


meray ka-do ko samajh karbaada-e-naab
na madrassay mein hay baqi na khanqah mein hay

Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 02:50 AM. Reason: Posts merged.
Reply With Quote
  #43  
Old Monday, January 15, 2007
nazia niazi's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2005
Posts: 199
Thanks: 21
Thanked 18 Times in 12 Posts
nazia niazi is on a distinguished road
Default

wo ik sajda jisay tu giran samajhta hay
hazar sajdon say deta hay admi ko nijat
__________________
Main Ishq_e_kaainat main zanjeer hu sakoon
Mugh ko Hisar-e_zaat k Shar say Rehai day !

-------------------------------------------

Nazia Niazi
Reply With Quote
  #44  
Old Monday, January 15, 2007
Mazher's Avatar
Banned
 
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 390
Thanks: 2
Thanked 98 Times in 82 Posts
Mazher is on a distinguished road
Default

sach keh doo aey Burah-man gar tu bura na manay
teray sanam kado k but ho gaey puranay

apno say bair rakh-na tu nay butto say seekhha
jang-o-jadal sikhaya wa-iz ko b khuda nay

tung aa k mein nay aakhir der-o-Haram ko chhora
wa-iz ka waaz chhora chhoray teray fasaanay

pathhar ki moorto ko samjha hay tu khuda hay
khak-e-watan ka mujh ko har zarra dev-ta hay

aa ghai-ri-at k parday ik baar phhir uthha dein
bichhron ko phhir mila dein, naqsh-e-dooi mita dein


sooni pari hui hay muddat say dil ki basti
aa ik naya shawala iss des mein bana dein

Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 03:15 AM. Reason: Posts merged.
Reply With Quote
  #45  
Old Tuesday, January 16, 2007
Mazher's Avatar
Banned
 
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 390
Thanks: 2
Thanked 98 Times in 82 Posts
Mazher is on a distinguished road
Default

maktabo mein kahin raa-nai-e-afkaar b hay?
khanqaho mein kabhi lazzat-e-israr b hay?


manzil-e-rahrawaa door b dushwar b hay
koi iss qafila mein "Qafila salaar" b hay


badh k Khyber say hay yeh ma-ra-ka-e-deen-o-watan
iss zamanay mein koi Hyder-e-Karrar b hay?


Ilm ki had say paray banda-e-momin k liay
lazzat-e-shoq b hay, nemat-e-deedar b hay


Peer-e-may-khana yeh kehta hay k eewan-e-Farang
sust buniad b hay aaina deewar b hay


Khud badaltay nahin Quran ko badal detay hein
aah kis darja Faqeehaan-e-Haram huey bay-tau-feeq

Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 03:15 AM. Reason: Posts merged.
Reply With Quote
  #46  
Old Wednesday, January 17, 2007
Mazher's Avatar
Banned
 
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 390
Thanks: 2
Thanked 98 Times in 82 Posts
Mazher is on a distinguished road
Default

Sultani-e-Jamhoor ka aata hay zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aaey mita do


Jis khhet say dehqan ko mu-yasser na ho rozi
uss khhet k har khosha-e-gandum ko jala do


------------------------

khirad k pass khabar k siwa kuchh aur nahin
tera ilaj nazar k siwa kuchh aur nahin


har ikk muqaam say aagay muqaam hay tera
hayaat "zoq-e-safar" k siwa kuchh aur nahin


giraan-baha hay to hifz-e-khudi say hay warna
garhi mein aab-e-guhar k siwa kuchh aur nahin


Ragon mein gardash-e-khoon hay to kia hasil
hayat soz-e-jigar k siwa kuchh aur nahin


uroos-e-laala munasib nahin hay mujh say hijab
k mein naseem-e-sehar k siwa kuchh aur nahin


bada karim hay iqbal-e-bay nawa lekin
ata-e-shola shara k siwa kuchh aur nahin

Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 02:50 AM. Reason: Posts merged.
Reply With Quote
  #47  
Old Tuesday, February 20, 2007
Mazher's Avatar
Banned
 
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 390
Thanks: 2
Thanked 98 Times in 82 Posts
Mazher is on a distinguished road
Default

ho na yeh phhooool to bulbul ka tarannum b na ho
chamn-e-dahr mein kalion ka tabassum b na ho


yeh na saqi ho to phhir may b na ho, khum b na ho
bazm-e-tauheed mein dunia b na ho tum b na ho


------------------------

Khema Aflaak ka eestada isi naam say hay
nabz-e-hasti tapish aamada isi naam say hay


Chashm-e-aqwaam yeh nazzara abad tak dekhay
rifat-e-shan-e-Ra-fa-a-na-la-ka-zik-rak dekhay


Ki Muhammad say wafa tu nay to ham teray hein
Yeh jahan cheez hay kia "Loh-o-Qalam teray hein


Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 03:12 AM. Reason: Posts merged.
Reply With Quote
  #48  
Old Wednesday, February 21, 2007
Mazher's Avatar
Banned
 
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 390
Thanks: 2
Thanked 98 Times in 82 Posts
Mazher is on a distinguished road
Default

Dagargoo hay jahan taro ki gardish tez hay saqi
dil har zarra mein gho-gha-e-rasta-khez hay saqi



mata-e-din-o-danish lut gai Allah walo ki
yeh kis kafir ada ka ghamza-e-khoon rez hay saqi


wohi de-ree-na beemari, wohi na muh-kami dil ki
ilaj iss ka wohi aab-e-nishat angez hay saqi


haram k dil mein soz-e-aarzoo peda nahi hota
k pedai teri ab tak hijab aamez hay saqi


na uthha phhir koi Roomi ajam k lala zaro say
wohi aab-o-gul-e-Iran wohi Tabrez hay saqi



nahin hay na-ummeed iqbal apni kisht-e-weeran say
zara nam ho to yeh matti bari zarkhez hay saqi


faqeer-e-raah ko bakhshay gaey israr-e-sultani
baha meri niwa ki dolat-e-pervez hay saqi

Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 02:52 AM. Reason: Posts merged.
Reply With Quote
  #49  
Old Thursday, February 22, 2007
Mazher's Avatar
Banned
 
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 390
Thanks: 2
Thanked 98 Times in 82 Posts
Mazher is on a distinguished road
Default



ghulami kia hay? zoq-e-husn-o-zebai say mehroomi
jisay zeba kahein azad banday, hay wohi zeba



barosa kar nahin saktay ghulamo ki baseerat par
k dunia mein faqat mardan-e-hur ki annkhh hay beena


wohi hay sahib-e-amroz jis nay apni himmat say
zamanay k samandar say nikala gohar-e-farda


farangi sheesha gar k fun say pathhar ho gaey pani
meri ikseer nay sheeshay ko bakhshi sakhti-e-khara


rahay hein aur hein Fir-on meri gaat mein ab tak
magar kia gham k meri aastee-n mein hay yad-e-bai-za


wo chingari khas-o-khashaak say kis tara-h dab jaey
jisay Haq nay kia ho nais-taa-n k wastay peda


muhabbat kha-wesh-tan beeni, muhabbat kha-wesh-tan dari
muhabbat aastan-e-Qaisar-o-Kisra say bay parwah


wo Dana-e-subul Khat-m-ur-Rusul Maula-e-Kul jis nay
gubar-e-raah ko bakhsha farogh-e-wadi-e-seena

Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 02:53 AM. Reason: Posts merged.
Reply With Quote
  #50  
Old Monday, February 26, 2007
Mazher's Avatar
Banned
 
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 390
Thanks: 2
Thanked 98 Times in 82 Posts
Mazher is on a distinguished road
Default



yeh butan-e-asr-e-hazir k banay hein madrassay mein
na ada-e-kafirana, na na tarash-e-Aazrana


nahin iss khuli fiza mein koi gosha-e-faraghat
yeh jahan ajab jahan hay, na qafas na aashiana


rag-e-tak muntazir hay teri barish-e-karam ki
k ajam k me-kado mein na rahi ma-e-mughana


meray ham safeer isay b asr-e-bahar samjhay
unhein kia khabar k kia hay yeh niwa-e-aashiqana


meray khak-o-khoon say tu nay yeh jahan kia hay peda
sila-e-shaheed kia hay? tab-o-taab-e-ja-widana


teri banda parwari say meray din guzar rahay hein
na gila hay dosto ka na shikayat-e-zamana

Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 03:10 AM. Reason: Posts merged.
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Events in the life of Allama Iqbal cngfitted77777 General Knowledge, Quizzes, IQ Tests 0 Saturday, September 25, 2010 01:18 PM
Indo-Pak History safdarmehmood History of Pakistan & India 0 Saturday, April 19, 2008 06:05 PM
Quotes from Key Figures: Thanks to Shaitaan Bhaiya Babban Miyan Ding Dong Discussion 16 Saturday, April 07, 2007 03:40 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.