CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Mariiiiiz e Muhabbat (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/14402-mariiiiiz-e-muhabbat.html)

Zirwaan Khan Sunday, November 25, 2007 02:34 PM

Mariiiiiz e Muhabbat
 
[B][CENTER]mariiz-e-muhabbat u.nhii.n kaa fasaanaa
sunaataa rahaa dam nikalate nikalate
magar zikr-e-shaam-e-alam jab bhii aayaa
chiraaG-e-sahar bujh gayaa jalte jalte
[COLOR="Green"]
iraadaa thaa tark-e-muhabbat kaa lekin
fareb-e-tabassum me.n phir aa gaye ham
abhii khaake Thokar sambhalane na paaye
ki phir khaa_ii Thokar sambhalate sambhalate [/COLOR]

[COLOR="Green"]u.nhe.n Khat me.n likhaa thaa dil muztarib hai!!
javaab un kaa aayaa muhabbat na karate !!
tumhe.n dil lagaane ko kisane kahaa thaa
bahal jaayegaa dil bahalate bahalate [/COLOR]

[COLOR="Teal"]vo mehamaa.N rahe bhii to kab tak hamaare
hu_ii shammaa gul aur Duube sitaare
"Qamar" is qadar un ko jaldii thii ghar kii
vo ghar chal diye chaa.Ndanii Dhalate Dhalate[/COLOR] [/CENTER][/B]

myselfazm Monday, November 26, 2007 12:06 AM

Bahut hi khuubsuurat composition hai Dost,
It reminded me another sher of Dr. Bashir Badr..... Pesh hai....

Aankhen Aansoo Bhari, Palken Bojhil Ghanii,
Jaise Jhiilen Bhi Hon, Narm Saaye Bhi Hon.
Wo To Kahiye Unhen Kuch Hansi Aa Gayee,
Bach Gaye Aaj Ham Dubte Dubte.

God Bless You....


04:10 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.