CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   DeCemBeR MjHy RAss Aata NaHi!! (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/15058-december-mjhy-rass-aata-nahi.html)

ThE L@$T Le@F Friday, December 28, 2007 11:37 PM

DeCemBeR MjHy RAss Aata NaHi!!
 
[B][U]DeCemBeR MjHy RAss Aata NaHi[/U][/B]


[SIZE="3"][FONT="Comic Sans MS"][COLOR="Blue"][I]Kai saal guzray
Kai saal beetay
Shab-o-roz ki gargish ka tasalsul
Dil-o-jaan mein sanson ki partain ulat'tay huay
Zalzalon ki tarah haampta hai!
Chatakhtay huay khawab
Aankhon ki nazuk ragain cheeltay hain
Magar main ik saal ki goad main
Jaagti subha ko
Be-karan chahaton se atti zindagi ki dua kay ker
Ab tak wohi "justoju" ker raha hoon
Safar zindagi hai
Safar aagahi hai
Safar aabla paai ki dastan hai
Safar umar bhar ki sulagti hui khwahishon ka dhuwan hai
Kai saal guzray
Kai saal beetay
Musalsal safar ke paich o kham mein
Saans leti hui zindagi thak gai hai
Keh jazbon ki geeli zameenon main
Boay huay roz-o-shab ki her ik fasal ab "pak" gai hai
Guzarta hua saal bhi aakhri hichkiyan lay raha hai
Meray paish-o-pus
Khauf, dehshat, ajal, barood ki mauj
Aabadiyan noch ker apnay jabron main jakri hui zindagi ko
Darinson ki soorat
Nigalnay ki mashqon main masroof tar hai
Her ik rasta maut ki rahguzar hai
Guzarta hua saal jesay bhi guzra
Magar saal ke aakhri din
Nihayat katthin hain
Her ik samt lashon ka ambaar
Zakhmi janazon ki lambhi qataarain
Kahan tak koi dekh paey?
Hawaon main barood ki baas
Khud aman ki noha khwan hai
Koi chara gar, asar-e-hazir ka koi maseeha kahan hai
Meray milnay walo!
Naye saal ki muskurati hui subh gar haat aaye
To milna!!
Keh jatay huay saal ki saaton mein
Yeh bujhta hua dil
Dharakta to hai
Muskurata nahi
December mujhay raas aata nahi[/I][/COLOR][/FONT][/SIZE]


06:22 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.