CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Phol Rakhtay hayn. jo Kitabon main.... (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/1869-phol-rakhtay-hayn-jo-kitabon-main.html)

Eram Khan Saturday, December 17, 2005 06:31 PM

Phol Rakhtay hayn. jo Kitabon main....
 
[B][COLOR=Magenta][SIZE=5][FONT=Times New Roman]
[I]
Phool rakhtay hain kitabon main Wafa kay naam par...
Cheen laitay hain jo saanson ko Wafa kay naam par,

Bay-Sabab kab haath phailaya kissi kay samnay..
Bheek ab koye nahee daitaa,Khuda kay naam par,,

usnai kirnon kay bahanay, di tamazat dhop ki..
Day raha hay woh saza, daikho jaza kay nam par..

khirkiyan kholeen nahe, dewar ghur ki toor di..
itna hi wo kar saka, taza hawa kay nam par.. [/I] [/FONT][/SIZE] [/COLOR] [/B]

Amoeba Saturday, December 17, 2005 07:32 PM

Amazing Poem !
Hi Eram! Welcome to Poetry club.

Milein kabhi hum to aayse k hijab bhool jye
main sawal bhool jao'n woh jawab bhool jye
woh kisi khayal main ho, aur ussi khail main hi
kabhi myre rusty main,woh gulab bhool jye
jo kabhi tu perhny baithy,mujhe herf herf dekhy
tyri ankhin bheeg jain,tu kitaab bhool jye

tyri soch per ho havi myri yaad iss terha se
k tu apni zindagi ka yeh nisaab bhool jye
mujhe gham de raha hai woh,muger uss pe chahta hai
main hisab rekh na pao'n,woh hisab bhool jye
mujhe sad jaty jaty bus itna keh gya hai
jisy de dekhai acha,woh kharab bhool jye!!!

PS: Just Poetry ,no attachement of feelings :joker

Amoeba Sunday, December 18, 2005 04:41 PM

Thankew Thankew :bow

tamaam umer wafaa key gunaahgar rahey
ye aur baat key ham aadami to achchey they

ye irtiqa kaa chalan hai kay har zamane main
puraaney log naye aadami sey daratey they

Ps:no attachment :joker


11:47 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.