CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Mujhay Day Rahay hain Tasalliyan (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/1871-mujhay-day-rahay-hain-tasalliyan.html)

Eram Khan Saturday, December 17, 2005 11:36 PM

Mujhay Day Rahay hain Tasalliyan
 
[I][COLOR=Purple]
Mujay de rahay hain tasalyaan
Wo har aik taza piyaam se
Kabhi aa ke manzar-e-aam par
Kabhi hat ke manzar-e-aam se

Na garaz kisi se na wasta
Mujay kaam apnay hi kaam se
teraay zikar se teri fikar se
Teri yaad se teraay naam se

Meray saqia, meray saqia
Tujay marhaba, tujay marhaba
Tu pilaa'ay ja, tu pilaa'ay ja
Isi chashme-e-jam ba jaam se

Teri subuh o aish hai kia bala
Tujay aay falak jo ho hosla
Kabhi kar le aa ke muqabala
Gham-e-hijr e yaar ki shaam se[/COLOR][/I]

lahoriyes Saturday, December 17, 2005 11:43 PM

Mujh Ko Mujh Say Judda Kia Tu Nay
Mera Ban K Yeh Kia Kia Tu Nay

Merey Aansoo Bhi Mujh Say CHeen Liey
Is Qadar Gham Atta Kia Tu Nay

Ab Talab Ki Talab Nahin Mujh Par
Naqsh-E-Faani Fana Kia Tu Nay

Chand Lamhoon Main Raat Khatam Huey
Subha-E-Khanda Yeh Kia Kia Tu Nay

Teri Chahat Main Door Ja Nikla
Masawa Marwa Kia Tu Nay

Aaj Wasif Nay Keh Dia Us Ko
Be Khuda Ba Khuda Kia Tu Nay

Argus Sunday, December 18, 2005 02:36 AM

Nice Poetry by Eram and lahoriyes.
Although i ve poor selection bt cant resist to share

[b]Bund dareechay, sooni galyaan an-dekhey anjaney log [/b]
[b]kis nagri mein aa nikley hein ,sajid ham deewaney log [/b]

[b]aik hamhi nawaqif thehrey roop nagar ki galyon say [/b]
[b]bhes badal kar milney waley, sab janey pehchaney log [/b]

[b]din ko raat kahein so barhaq,subha ko sham kahein so khoob [/b]
[b]aap ki baat ka kehna hi kya, aap huay farzaney log [/b]

[b]shikwa kya aur kaisi shikayat,aakhir kuch bunyad to ho [/b]
[b]tum par mera haq hi kya hai, ham thehrey beganey log [/b]

[b]shehr kahan khali rehta hai, ye darya har dam behta hai [/b]
[b]aur bohat say mil jayein gay, ham aisey deewaney log [/b]

[b]suna hai usske ehd-e-wafa mein ,hawa bhi muft nahin milti [/b]
[b]un galyon mein har har saans pe, bhartey hein jurmaney log!![/b]

Argus Sunday, December 18, 2005 02:46 AM

hawa ka shor ye hee hai to dekhtay rahna
hamari umar k khaemain ukhadnay walay hain!!


05:28 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.