Friday, March 29, 2024
09:54 AM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Monday, October 20, 2008
The Star's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2007
Location: Sargodha
Posts: 420
Thanks: 380
Thanked 448 Times in 216 Posts
The Star has a spectacular aura aboutThe Star has a spectacular aura aboutThe Star has a spectacular aura about
Default Bewafaai Ki Mehek Se Rooh Na-paak Kar Gaya

BEWAFAAI KI MEHEK SE ROOH NA-PAAK KAR GAYA
Ek qayamat ki raat wo de gaya
Aur ek tarfa baat wo kar gaya
Zubaan par kasmon ke taale lagaa gaya
Uski har ek baat rooh behis kar gaya
Faisla suna diya juda hone ka
Har kasmon-waadon ko tod dene ka
Har guzre lamhe bhula dene ka
Har kahi gai baat ko mita dene ka
Dard ke gaon main pohoncha diya
Bin bataai waqt main kahin kho gaya
Dhoondti hun uska naam-o-nishaan
waqt ke dhundalke main kahin kho gaya
Na karna intezaar hukm jaari kar gaya
Dil main rahungi sada ye keh gaya
Jeene ka akhri sahaara bhi le gaya
Intezaar ke lamhe bhi saath le gaya
Ik khaalipan ik soonapan ik khala de gaya
Zindagi se har rang chura kar le gaya
Mujh se mere jeene ka haq bhi le gaya
Bejaan jism aur bojhal sansein chhod gaya
Khoob meri wafaon ka sila wo de gaya
Loot kar mera sabr-o-qaraar wo gaya
Umr bhar ko ankhon main nami de gaya
Mere dil ke zakhmon ko taaza kar gaya
Jee uth gaya hai duniya se ab mera
Ab mout ki ahat ka intezaar hai
Is beemaar dil ko kabr ka intezar hai
Ai ajal tu lele mujhe apni aagosh main
Jeene ke haaton itni luti hun
Ab to jeene ka armaan bhi mit gaya
Sanson ka bojh dil pe azaab kar gaya
Mera har lamha zindagi pe bojh ban gaya
Phir bhi dua hai meri jaan abaad rahe
Mere hayaat ke lamhe bhi tujhe lag jaai
Teri udaanon ko naya aasmaan mil jaai
Naya sheher khushyon ka gaon mil jaai
Mit kar bhi na mitegi mehek pyaar ki
Wafa ki khusboo phailegi is bahaar ki
Sanson se rishta nibhaungi farz ki khaatir
Lekin marne ki dua rahegi lab par har dam
Nibhaungi har dard se rishta teri khatir
Jaa le jaa tu mera aasmaan aur meri zameen
Ab na “aarzoo” hai na tamanna jeene ki Ai katil
Bewafaai ki mehek se rooh na-paak kar gaya…….
Reply With Quote
  #2  
Old Wednesday, February 11, 2009
The Star's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2007
Location: Sargodha
Posts: 420
Thanks: 380
Thanked 448 Times in 216 Posts
The Star has a spectacular aura aboutThe Star has a spectacular aura aboutThe Star has a spectacular aura about
Default jahaan na terii mahak ho

jahaan na terii mahak ho udhar na jaon main
merii sarisht safar hai guzar na jaon main

mere badan main khule jangalon kii miTTii hai
mujhe sambhaal k rakhna bikhar na jaon main

mere mizaj main be-maeanii ulajhanen hain bahut
mujhe udhar se bulanaa jidhar na jaon main

kahien pukaar na le gahari vaadiyon kaa sabuut
kisii maqaam pe aakar Thahar na jaon main

na jaane kaun se lamhe kii bad-duaa hai ye
qariib ghar ke rahun aur ghar na jaon main
__________________
The color of blood in my veins is green,I am a proud Pakistani.
Reply With Quote
Reply

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Lab Pay Aahein Aankh Mein Aisa Woh Paani Dey Gaya Princess Royal Urdu Poetry 0 Tuesday, May 27, 2008 09:54 PM
Ik shaksh raat phir mairi hasti pay cha gaya qayym Urdu Poetry 0 Thursday, February 21, 2008 05:18 PM
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya Sureshlasi Urdu Poetry 0 Thursday, May 31, 2007 08:00 PM
Durd-e-dil Meray Ghutnoo May Ho Gaya . samreen Humorous, Inspirational and General Stuff 0 Monday, January 08, 2007 09:01 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.