CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Aik Nazm (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/20921-aik-nazm.html)

Usman Naseer Friday, January 02, 2009 10:07 AM

Subah subah ik khwab ki dastak par darwaza khola, dekha
Sarhad ke us paar se kuchh mehmaan aaye hain
Aankhon se maanoos the saarey

Chehre saarey sune sunaaye
Paanv dhoye, Haath dhulaye
Aangan mein aasan lagwaaye...
Aur tannoor pe makki ke kuchh mote mote rot pakaye
Potli mein mehmaan mere
Pichhale saalon ki faslon ka gud laaye the

Aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha
Haath lagakar dekha to tannoor abhi tak bujha nahin tha
Aur hothon pe meethe gud ka jaayka ab tak chipak raha tha

Khwab tha shayad!
Khwab hi hoga! !
Sarhad par kal raat, suna hai, chali thi goli
Sarhad par kal raat, suna hai
Kuchh khwaabon ka khoon hua hai

and on wagah meeting of two PM's

Is mode se jaate hain,
kuchh sust kadam raste, kuchh tej kadam raahein

Is mod se jaati hain har ek taraf raahein

Ye soch ke baithe hain
Ik raah to wo hogi, tum tak jo pahunchti hai, is mode se jaati hai


09:06 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.