Ham bhi Ayena Badal Laitay
Kahheen tum Apna …Likha badal laitay…
To Shayed ham bhi …..
Apna Kissaa Badal Laitay…
Gar ham Wakaye kam-hosla Hotay Mohabbat main…
Marz Barhnay say pehlay hi,…
DaVa badal Laitay..
Tumharay Rah Badalnay ki,
jo hamain pehlay Khabar hoti..
Bohot Pehlay ham ,
Apna Faisla Badal Laitay..
Tumhain in Mosmoun ki,
kia khabar milti. Agar ham bhii..
Ghutan kay khouf say
Ab-o-Hawa Badal Laitay..
Tumhari tarah Jeenay ka
hamko Hunar ata to Shayed..
Makan apna Wohi Rakhtey..
Pata Badal Laitay..
Iss Kahani main bhi Wohi Kirdar thay….
bas fakat…
Kabhi chehra badal Laitay..
Kabhi Qaba Badal Laitay..
Aaj ye Halaat nahe hotay..
Zindagi bhi Sehel hooti…
Jo ham Zidd na kartay…
Apna apna rusta badal Laitay…
Hamaishaa ki Tarah is Bar bhi ham
Bol Uthay Warnaa…
Gawahii Dainay walay ..
Waakiya Badal Laitay…
Bohot Dhundla gayee hayn ..
Yaadon ki Rim-Jhim main…
Who mil jata to shayed ham bhii….
Aayeena Badal Laitayyy…
__________________
*"Learn alll the Rules so that u know how to Break them ...
*if Your Words are not SUCH Powerful as Your Silence Then "Shut-up" !
|