Dil k atishdan main shab bhar
[B][COLOR=#000084]Dil k atishdan main shab bhar
Kaisay kaisay gham jaltay hain!!! Nend bhara sanata jis dam Basti ki ik ik gali main Khirke khirke tham jata hai Dewaron per dard ka kehra jam jata hai Rasta taknay wali ankhen or qindelen bujh jati hain To us lamhay, Tery yaad ka endhan ban kar Shola shola hum jaltay hain Dore k mosam jaltay hain Tum kya jano, Qatra qatra dil main utarti or pighalti Rat ki sohbat kya hoti hai! Ankhen saray khawab bujha den Chehry apny naqsh ganwa den Or ainay aks bhola den Aisy main umeed ki wehshat Dard ki sorat kya hoti hai Aise tez hawa main piyaray, Baray baray m'on zor diye b kam jaltay hain[/COLOR][/B] [B][COLOR=#000084][/COLOR][/B] [B][COLOR=#000084]Dil k atishdan main shab bhar Tery yaad ka endhan ban kar Hum jaltay hain ...........!!! [/COLOR][/B] |
08:20 PM (GMT +5) |
vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.