CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   خرد کے پاس خبر کے سوا کچھ اور نہيں (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/2249-1582-1585-1583-1705-1746-1662-1575-1587-1582-1576-1585-1705-1746-1587-1608-1575-1705-1670-1726-1575-1608-1585-1606-1729-1610-1722-a.html)

Danyal Thursday, January 19, 2006 12:37 PM

خرد کے پاس خبر کے سوا کچھ اور نہيں
 
[B][SIZE="5"][COLOR="Black"]خرد کے پاس خبر کے سوا کچھ اور نہيں
ترا علاج نظر کے سوا کچھ اور نہيں

ہر اک مقام سے آگے مقام ہے تيرا
حيات ذوق سفر کے سوا کچھ اور نہيں

گراں بہا ہے تو حفظ خودي سے ہے ورنہ
گہر ميں آب گہر کے سوا کچھ اور نہيں

رگوں ميں گردش خوں ہے اگر تو کيا حاصل
حيات سوز جگر کے سوا کچھ اور نہيں

عروس لالہ! مناسب نہيں ہے مجھ سے حجاب
کہ ميں نسيم سحر کے سوا کچھ اور نہيں

جسے کساد سمجھتے ہيں تاجران فرنگ
وہ شے متاع ہنر کے سوا کچھ اور نہيں

بڑا کريم ہے اقبال بے نوا ليکن
عطائے شعلہ شرر کے سوا کچھ اور نہيں
[/COLOR][/SIZE][/B]

Argus Friday, January 20, 2006 06:39 PM

[FONT=Georgia][COLOR=black]Masjid tou bana di shab bhar main, Iman ki hararat walon nay
[/COLOR][/FONT][FONT=Georgia][COLOR=black]Mann apna purana papi hai, barson main Namazi ban na saka[/COLOR][/FONT]

[FONT=Georgia][COLOR=black]Kya khoob ameer-e-faisal ko sanawasi nay paigham diya [/COLOR][/FONT]
[FONT=Georgia][COLOR=black]Tu naam-o-nasab ka Hijazi hai, per dil ka Hijazi ban na saka[/COLOR][/FONT]

[FONT=Georgia][COLOR=black]Iqbal bara updeshak hai, mann baton main mo leta hai[/COLOR][/FONT]
[FONT=Georgia][COLOR=black]Guftar ka ye ghazi tou bana, kirdar ka ghazi ban na saka[/COLOR][/FONT]

THE 1 Saturday, April 01, 2006 01:03 AM

IQBAL teray daiss ka kia haal sunaaoon
 
For all those who've read IQBAL thoroughly, this one's a good one.

dehqaan to marr khapp gaya ab kisko jagaaoon
miltaa hai kahaan khosha-e-gandumm keh jalaaoon

shaheen' ka hai gunbad-e-shaahi pe baseraa
kanjashk faromaayah ko ab kissay larhaaoon

IQBAL teray daiss ka kia haal sunaaoon

shaaheen' ka jahaan aaj gargass kaa jahaan' hai
milti huee mulla say mujaahid kee azaan' hai

maanaa keh sitaaron' say bhi aagay hain jahaan' aur
shaaheen' mein magar taaqat-e-parwaaz kahaan' hai

IQBAL teray daiss ka kia haal sunaaoon

mar-mar kee silo say koi bayzaar nahi hai
rehnay ko haram mein koi tayyaar nahi hai

kehnay ko her ik shakhss musalmaan hai, lekin
dekho to kaheen naam ko kirdaar nahi hai

IQBAL teray daiss ka kia haal sunaaoon

baybaaki o haq-goyee say ghabraataa hai mo'min
makkaari o roobaahi peh utar aataa hai mo'min

jiss rizq say parwaaz mein kotaahi ka darr ho
woh rizq barhay shauq say ab khaataa hai mo'min

IQBAL teray daiss ka kia haal sunaaoon

[B]jhagrhay hain yahaan soobon' kay zaaton' kay nasab kay
ugtay hain teh saaya-e-gul khaar ghazab kay

yeh daiss hai sabkaa magar isska nahi koi
isskay tan-e-khastah peh to ab daant hain sabkay[/B]

IQBAL teray daiss ka kia haal sunaaoon

mehmoodo kee saff aaj ayyaazo say paray hai
jamhoor say sultaani jamhoor daray hai

thaamay huay daaman hai yahaan per jo khudi kaa
mar, markay jiye hai kabhi jee, jee, kay maray hai

IQBAL teray daiss ka kia haal sunaaoon

dekho to zaraa muhallo kay kay pardo ko uthaaker
shamsheer o sanaa rakkhi hain taaqo peh sajaaker

aatay hain nazar massnad-e-shaahi pe rangeelay
taqdeer-e-umam sogayee taaoos pe aaker

IQBAL teray daiss ka kia haal sunaaoon

makkaari o ayyaari o ghaddaari o haijaan
ab banta hai inn chaar anaasir say musalmaan

qaari isay kehna to barhi baat hai yaaro!
issnay to kabhi khol kay dekha nahi Qur'an

IQBAL teray daiss ka kia haal sunaaoon

kirdaar ka guftar kaa aa'maal kaa mo'min
qaa'il nahi aisay kisi janjaal ka mo'min

sarhad kaa hai mo'min koi bangaal kaa mo'min
dhoonday say bhi milta nahi Qur'an ka mo'min

IQBAL teray daiss ka kia haal sunaaoon



Regards,

[B][I]THE 1[/I][/B]


01:16 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.