Friday, March 29, 2024
04:31 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Saturday, January 21, 2006
Mr Ghayas's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Jan 2006
Location: Karachi
Posts: 183
Thanks: 0
Thanked 17 Times in 8 Posts
Mr Ghayas is on a distinguished road
Thumbs up Jab Tu Peda Howa Kitna Majbour Tha

Jab Tu Peda Howa Kitna Majbour Tha
Yeh Jahan Teri Socho Se Bhi Dour Tha

Hath Paon Bhi Tab Tere Apne Na Thay
Teri Ankhon Main Duniya K Sapne Na Thay

Tujh Ko Ata Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pi K Kaam Tera Sona He Tha

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri

Maa Ke Saye Main Parwan Charne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Barne Laga

Ahista Ahista Tu Kariyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Sara Jahan Meharban Ho Gaya

Zor Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khood He Sajne Laga Khud He Sanwarne Laga

Aik Din Ek Larki Tujhe Bha Gaye
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayi

Apne Farz Se Tu Dour Hone Laga
Beej Nafrat Ka Khud He Tu Bone Laga

Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulane Laga
Teer Baton K Phir Tu Chalane Laga

Baat Be Baat Unn Se Tu Larne Laga
Qayda Ik Naya Tu Phir Parne Laga

Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha Ik Din
Abb Humara Guzara Nahi Tere Bin

Sunn Ke Yeh Baat Tu Tesh Main Agiya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Giya

Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha
Main Tha Khamosh Sub Dekhta He Raha

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tor Do

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro

Beth Kar Ahain Bharti Thi Maa Raat Bhar
Inki Ahon Ka Tujh Par Howa Na Asar

Aik Din Baap tera Chala Roth Kar
Kese Bikhri Thi Phir Teri Maa Tout Kar

Phir Woh Bhi Bass kal Ko Bulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi

Aik Din Mout Ko Bhi Taras Agaya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya

Ashk Ankhon Main Thay Woh Rawana Howi
Mout Ki Aik Hichki Bahana Howi

Ik Sukoon Us k Chehre Pe Chane Laga
Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajane Laga

Muddatain Ho Gayi Aaj Budda Hai Tu
Touti Khatiya Pe Para Bora Hai Tu

Tere Bache Bhi Abb Tujh Se Darte Nahi
Nafrate Hain, Muhabbat Woh Karte Nahi

Dard Main Tu Pukare Ke O MERI Maa
TERE DAM SE ROSHAN THAY DONO JAHAN

Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi
Tout Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi

Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishan Reh Gaya
Dhond Zor Tera Kahan Reh Gaya

Tu EHKAM-E-RABBI Bhulata Raha
APNE Maa BAAP KO TU SATATA RAHA

Kaat Le Tu Wohi Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kese Mile Tu Ne Khoya Tha Jo

Yaad Kar K Gaya Dor Tu Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga

Mout Mange Tujhe Mout Aati Nahi
Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi

Tu Jo Khanse Tu Aulad Dante Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kon Bante Tujhe

Mout Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par

QADAR Maa BAAP KI AGAR KOI JAAN LE
APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE

Aur Leta Rahe Woh Baro Ki Dua
Osi K Dono Jahan, Uska Ka Haami KHUDA

Yaad Rakhna Tu ASMA Ki Is Baat Ko
Bhool Na Jana REHMAT KI BARSAT Ko ...
__________________
If your actions inspire others to dream more, learn more,
do more and become more, you are a leader
MCS Final Year (Karachi University)
Reply With Quote
Reply

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Aur Kitna Baqi Hai Last Island Urdu Poetry 2 Sunday, May 18, 2008 12:50 AM
Merhalay Shooq K Dushwar Howa Kartay Hain, sara soomro Urdu Poetry 0 Friday, March 14, 2008 08:31 PM
Ab Jo Bichrey Hain Tu Ahsaas Howa Hai Humko nazia niazi Urdu Poetry 1 Saturday, May 26, 2007 02:28 AM
Tum Se Bichhray Saal Howa Hae Eve Urdu Poetry 1 Friday, May 11, 2007 12:06 PM
yeh tay howa tha ashi Urdu Poetry 0 Thursday, April 27, 2006 05:43 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.