CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Izhar e Muhabbat (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/23292-izhar-e-muhabbat.html)

shallowwater Thursday, April 23, 2009 03:23 PM

Izhar e muhabbat


Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai,
Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota,

bay niazi say, magar kanptey awaz k sath,
Tu nay gabhra k mera naam na pocha hota,

younhi be wajha bhataknay ki zarorat kiya thi,
Dam-e-rukhsat mai, agar yaad na aaya hota,

Hosla tujh ko na tha mujh say juda honay ka,
Warna kajol teri ankhon ka na phela hota

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai,
Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota,

Meri har aik shab taza azab main guzree
Tumharay baadh tumharay he khawab main guzri

Main aik phool thi jisay woh rakh ker bhool gaya
Phir tamam umr usee ke kitab main guzri.

shallowwater Thursday, April 23, 2009 03:24 PM

Waqt apna mujhy sara day do


Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ki kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do….!

shallowwater Thursday, April 23, 2009 03:26 PM

Juda honay se darta hoon


Lahoo ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon ,
Meri aankhain batati hain k main sonay se darta hoon ..

Meri unggli pakar laina mujhe tanha nahi karna,
Ye dunya aik maila hai tumhain khonay se darta hoon…

Jo hansti ho tu kyun palkoon k goshay bheeg jatay hain ,
Tumhain maloom hai main iss tarah ronay se darta hoon …

Ye jab se khwaab daikha hai tum mujhe choor jaao gee ,
Main ab darta hoon khwaabon se main ab sonay se darta hoon…

shallowwater Thursday, April 23, 2009 03:27 PM

Yad aon to bas ….


Yad aon to bas itni si inayat karna,
Apnay badlay howay lahjay ki wazahat karna,

Tum to chahat ka shahkar howa karte they,
Kis se seekha ulfat main milawat karna,

Hum sazaon k haqdar baney hain kab se?
Tum hi kah do kya jurm hai pyar karna?

Teri furqat main ye ankhain ab tak nam hain,
Kabhi aana meray ashkon ki zyarat karna,

Dil main ab bhi hain pyar k diye roshan,
Dekh bholay nahi hum teri hasti ki ibadat karna!

shallowwater Thursday, April 23, 2009 03:29 PM

Aisa kabhi na karna


Tum roth jao mujhse, Aisa kabhi na kerna,
Main ik nazar ko tarsoon, Aisa kabhi na kerna,

Main poch poch haron, so so sawal kar k,
Tum kuch jawab na do, Aisa kabhi na kerna,

Main kisi roz tum ko sada dun,
Aur tum na aao, aisa kabhi na karna,

Tum chaley jao jab bhi to dekhon tumhara rasta,
Tum loat k na aao, Aisa kabhi na karna….!!

shallowwater Thursday, April 23, 2009 03:30 PM

Dard kia hota hai btayein gein kisi roz


Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz

Thi unki zid k mai jaun unko manane
Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz

kabi b maine to socha b nahi tha
Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz

Har roz aieene sey yehi poochti hun mae
Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?

Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz

Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz !

shallowwater Thursday, April 23, 2009 07:51 PM

Dair tak…

Lagta nahi k sath nibhae ga dair tak,
Lekin wo muJh ko bhool na pae ga dair tak. . .

Jo bhi qareeb aae ga us k usay zaror,
wo meri dastan sunae ga dair tak

Dhonde ga wo muJhe inhi galiyon me aik “DIN”
Dhonde ga,or muJh ko na paae ga dair tak

Me sahilon ki rait pe likhon gi us ka naam,
Wo pani pe mire naqsh banaega dair tak..

Kis haal me hon us k baad main,
Sun kar usey yaqeen na Aaega dair tak.

shallowwater Thursday, April 23, 2009 07:52 PM

Lout aana


Jab kabhi tera dil ghabraey ager tujhe meri yad aay tu lou ana,
Ager tera sath koi choray ager koi tera dil turey tu lout ana,

Kuch waqat achca guzra hai sath tumare
who waqat jab yaad aay tu lout ana,

Yahe waqat akser sath nai dete dil walon ka,
pas reh kar b ager koi sath na de tu lout ana,

Na jane teri itni yad q atti hai,
Ager yahe pegaam pohnch jaye tu lout ana,

shallowwater Thursday, April 23, 2009 07:54 PM

Ashkon ka sabab tanhai


Har RAAT Gham-e-Tanhaai,
Har SHAAM teri yaad aai,

Laakh tujhey bhulana chaha,
Us se barrh kar teri YAAD aai.,

Tuj se koi UMEED bhi wabasta nahi,
Iss DUKH se meri Aankh Bhar aai,

Logon ne poocha ASHKON ka sabab?
Bus Mujhe kehna para…!! “TANHAAI”

shallowwater Friday, April 24, 2009 01:01 AM

Hum pyaar k bhooke hain humey pyar kijiye


Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye


05:48 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.