CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Main Hoon Bewafa MUjhe Bhool Ja.... (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/3285-main-hoon-bewafa-mujhe-bhool-ja.html)

sardarzada11 Thursday, April 20, 2006 12:46 AM

Main Hoon Bewafa MUjhe Bhool Ja....
 
Tu ager kahee tu yonhe bja main hoon bewafa mujhe bhool ja
Mujhe yaad ker ke na dil jala main hoon bewafa mujhe bhool ja
Mere justgoo tu abs rhe mere arzoo tu saraab thee
Mere khawab misl-e-gulab thee tu nigah waqf-e-azab thee
Mere sooch dhang badal gye mere lafz rang badal gye
Kabhi koi jis ko na parh saka mere zindgii who kitaab thee
Mere zindgii ka na pooch ke kisse kam naseeb ke khawab thee
Tu na kam naseebe ko de sada main hoon bewafa mujhe bhool ja
Shab-o-rooz zulmat hijr hai shab-o-rooz dard shenaas hoo
Yeh suna ke tum bhi ugar gye yeh suna ke tum bhi udass hoo
Koi rut jaga na jaga sake ga naseeb hijr ke raat ka
Yeh muamlee hain baree kathn who chaln chaloo ke jo raas hoo
Tere wastee mere pass abb na wafa rhe na jafa rhe
na mere liye koi dukh utha Main hoon bewafa mujhe bhool ja
tere baad jaane yeh kia howa kabhii sukh se aankh na mil sake
mera roop dard ke ke dhoop pe yoon jala ke raakh na mil sake
kaheen bulbuloon ne khezaan main bhi lahoo rang phool khela diye
mere chahaton ke amr kali ke bahaar main bhi na khil sake
tere chahaton ke chiraagh ko main ne aansoon se bujha diya
yahii fasila tha naseeb ka main hoon bewafa mujhe bhool ja
koi aur mera naseeb hai koi aur hai mera na khuda
tere rastooon se bhut paree kaheen dooor hai mera rastaa
mere saree ehd wafaon ke use eik shaks ke naaam hain
jisse main ne apna samajh liya mujhe jis ne apna bana liya
mere arzoo tu tumhe rhe main ne zindgi tu tumhain kaha
kisi aur ko main ne pa lia main hooon bewafa mujhe bhool ja

(waiting for ur comments)
plz pray,
Sardarzada


08:28 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.